Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Showing posts with label Munir Niazi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Munir Niazi Poetry. Show all posts
Dec 12, 2017
Sep 11, 2017
Feb 3, 2017
Nahin hai yeh rutt milnay ki woh mousam aur hi ho ga
Nahin hai yeh rutt milnay ki woh mousam aur hi ho ga
Teray aanay ki gharriyon ka woh aalam aur hi ho ga
Koi madham mehak aa kar galay ka haar banti hai
Udasi hijar ki jaisay wisaal-e-yaar banti hai
Teray phoolon se honton par tabasum aur hi ho ga
Jahan jis main rafaqat ki khushi mehsoos hoti hai
Mohabbat jis main her shay da'imi mehsoos hoti hai
Hamaray haal kay raazon ka mehram aur hi ho ga
Jan 27, 2017
Zinda rahein to kya hai jo mar jayein hum to kya hai
Zinda rahein to kya hai jo mar jayein hum to kya hai
Duniya se khamoshi se guzar jayein hum to kya
Hasti hi apni kya hai zamanay kay samnay
Ik khawaab hain jahan main bikhar jayein hum to kya
Ab kon muntazir hai hamaray liye wahan
Shaam aa gayi hai loat kay ghar jayein hum to kya
Dil ki khalish to saath rahay gi tamaam umar
Dariya-e-gham kay paar utar jayein hum to kya
Jan 9, 2017
Khizan zada baagh par boonda baandi
Khizan zada baagh par boonda baandi
Aamad-e-baran ka sanata
Kabhi kabhi is sanatay main toot kay girtay pattay
Dev Aasa ashjaar kharray hain
kahin kahin ashjaar talay veeran puranay raastay
lay kay chalein awara hawaein
Aik nishani us ki jo thi us ko wapis ponchanay
Aaj bhout din baad aayi hai shaam yeh chadar taanay
Ik wada jo main ne kiya tha us ki yaad dilanay
~!...........!~
Aaj bhout din baad milay thay gehri pyaas aur pani
Saahilon jaisa husan kisi ka aur meri hairaani
Shayed woh milay in hi raahon par
Shayed woh milay in hi raahon par
Jin raahon par chora tha ussay
Kirno ki kaliyan chuntay huye
Meri jaanib dortay aatay huye
phir ruk wapis jaatay huye
Shayed woh hi mousam ab tak ho
Jis main , main daikhta tha ussay
Kaisi hai raah'guzar woh daikhein gay jaa kay ab ussay
Kaisi hai raah'guzar woh daikhein gay jaa kay ab ussay
Beet gaye baras bhout daikha tha hum ne jab ussay
Jaagay ga khawaab-e-hijar se aaye ga loat kar yahin
Daikhein gay khouf-o-shouq se rozon-o-dar se sab ussay
Sehraa nahin yeh shaher hai aur bhi log hain yahan
Charon taraf makaan hain itna hai hosh kab ussay
Kehnay ko baat kuch nahin jaana hai us ko tujh ko bhi
Kiyon tu kharra hai raah main rok kay be'sabab ussay
Baaghon main jaa , Ae khush nawa ayi basant ki hawa
Zard hawa hai ban ajab , jadu charha ajab ussay
Ik ik warq hai baab-e-zar teri ghazal ka Ae "Munir"
Jab yeh kitaab ho chukay jaa kay dikhana tab ussay
Bas aik maah junoon khaiz ki zia kay siwa
Bas aik maah junoon khaiz ki zia kay siwa
Nagar main kuch nahin baqi raha hawa kay siwa
Hai aik aur bhi surat kahin meri hi tarah
Ik aur shaher bhi hai qariya-e-sada kay siwa
Ik aur simat bhi hai us se jaa kay milnay ki
Nishaan aur bhi hai ik nishan-e-paa kay siwa
Zawal-e-asar hai koofay main aur gada'gar hain
Khulla nahin koi dar baab-e-iltijaa kay siwa
Meri khawaishein baa'is hain meray gham ki "Munir"
Azaab mujh pe nahin harf-e-mad'dua kay siwa
Sun bastiyon ka haal jo had se guzar gayein
Sun bastiyon ka haal jo had se guzar gayein
Un umaton ka zikar jo raston main mar gayein
Kar yaad un dino ko keh Aabaad thein yahan
Galiyan jo khaak-o-khoon ki dehshat se bhar gayein
Sar sar ki zad main aaye huye baam-o-dar ko daikh
Kaisi hawaein kaisa nagar sard kar gayein
Kya baab thay yahan jo sada se nahin khilay
Kaisi dua'ein thein jo yahan be'asar gayein
Tanhai ujaar burjon main phirta hai tu "Munir"
Woh zar fishaniyan teray rukh ki kidher gayein
Chaman main rang-e-bahar utra to main ne daikha
Chaman main rang-e-bahar utra to main ne daikha
Nazar se dil ka ghubaar utra to main en daikha
Main neem shab aasman ki wusat ko daikhta tha
Zameen pe woh husan zaar utra to main ne daikha
Gali kay baahir tamaam manzir badal gaye thay
Jo saya-e-ku-e-yaar utra to main en daikha
Khumaar-e-may main woh chehra kuch aur lag raha tha
Dam-e-sehar jab khumaar utra to main en daikha
Ik aur dariya ka samna tha "Munir" mujh ko
Main ik dariya kay paar utra to main ne daikha
Harri tehniyon kay nagar par gaye
Harri tehniyon kay nagar par gaye
Hawa kay prinday shajar par gaye
Ik Aasaib zar in makano main hai
Makeen us jaga kay safar par gaye
Bhout dhund hai aur woh naqsh-e-qadam
Khuda janay kis rah-guzar par gaye
Keh jaisay abhi tha yahan par koi
Gumaan kaisay khawab-e-sehar par gaye
Kai rang paida huye barq se
Kai aks deewar-o-dar par gaye
Wohi husan dewana gar taraf
Sabhi rukh ussi kay asar par gaye
"Munir" aaj itni udaasi hai kiyon
Yeh kya saa'ye se behar-o-bar par gaye
Qaraar-e-hijar main us ki sharaab main na mila
Qaraar-e-hijar main us ki sharaab main na mila
Woh rang us gul-e-ra'naa ka khawab main na mila
Ajab kashish thi nazar par saraab-e-sehraa se
Gehar magar woh nazar ka us aab main na mila
Bas ik hijrat daa'im gharon zameeno se
Nishaan-e-markiz dil-e-iztraab main na mila
Safar main dhoop ka manzar tha aur saa'ye ka aur
Mila jo mehar main mujh ko sahaab main na mila
Hua na paida woh shola jo ilam se uth'ta
Yeh shaher murda saheefon kay baab main na mila
Makaan bana na yahan is diyaar-e-shar main "Munir"
Yeh qasar shouq-e-nagar kay azaab main na mila
Shab-e-wisaal main doori ka khawaab kiyon aaya
Shab-e-wisaal main doori ka khawaab kiyon aaya
Kamaal-e-fateh main yeh darr ka baab kiyon aaya
Dilon main ab kay baras itnay weham kiyon jaagay
Blaad safar main ab iztraab kiyon aaya
Hai aab-e-gul pe ajeeb us bahar-e-guzran main
Chaman main ab kay gul be'hisaab kiyon aaya
Agar wohi tha to rukh pe woh be'rukhi kya thi
Zara se hijar main yeh inqalaab kiyon aaya
Bas ik hu ka tamasha tamaam simaton par
Meri sada kay safar main saraab kiyon aaya
Main khush nahin hoon bhout door us se honay par
Jo main nahin tha to us pe shabaab kiyon aaya
Urra hai shola barq-e-abar ki faseelon par
Yeh us balaa kay muqabil sahaab kiyon aaya
Yaqeen kis liye us par se uth gaya "Munir"
Tumharay sar pe yeh shak ka azaab kiyon aaya
Us shaher kay yahin kahin honay ka rang hai
Us shaher kay yahin kahin honay ka rang hai
Is khaak main kahin kahin sonay ka rang hai
Ba'ein chaman hai khud ru darakhton ka jhund sa
Mehraab dar pe us kay na honay ka rang hai
Toofan abr-o-baad mila saahilon pe hai
Dariya ki khamoshi main doobnay ka rang hai
Us ehad se wafa ka sila marg rai'gaan
Us ki fiza main her gharri khonay ka rang hai
Surkhi hai jo gulaab si aankhon main Ae "Munir"
Khaar-e-bahar dil main chabhonay ka rang hai
Tund nasha khumaar sa nikla
Tund nasha khumaar sa nikla
Aasmaan bhi ghubaar sa nikla
Kya andheray main roshni si rahi
Rang lab ka shar'raar sa nikla
Talkhi-e-gham nikal gayi dil se
Jisam se ik bukhaar sa nikla
Daikh kar husan dasht-e-hairaan hoon
Yeh to manzir diyaar sa nikla
Main hoon be'maar-e-wasal gul se "Munir"
Shouq-e-dil marg zaar sa nikla
Dil khouf main hai Aalam-e-faani ko daikh kar
Dil khouf main hai Aalam-e-faani ko daikh kar
Aati hai yaad mout ki pani daikh kar
Hai baab-e-shaher murda guzar'gah baad-e-shaam
Main chup hoon us jaga ki gar'rani ko daikh kar
Hil si rahi hai had-e-safar fart-e-shouq se
Dhund'laa rahay hain harf mah'ni ko daikh kar
Aarzada hai makaan main khaak-e-zameen bhi
Cheezon main shouq naqal makani ko daikh kar
Hai aankh surkh us lab-e-la'lain kay aks se
Dil khoon hai us ki shola biyani ko daikh kar
Parda utha to jaisay yaqeen bhi utha "Munir"
Ghabraa utha hoon samnay sani ko daikh kar
Us shaher ko jala dena chahiye
Us shaher ko jala dena chahiye
Phir us ki khaak ko bhi urra dena chahiye
Milti nahin pannah hamein jis zameen par
ik hashar us zameen pe uttha dena chahiye
Had se guzar gayi hai yahan rasam-e-qaahiri
Is dehar ko ab us ki saza dena chahiye
Ik tez rad jaisi sada her makaan main
Logon ko un kay ghar main dar'ra dena chahiye
Gum ho chalay tum to bhout khud main Ae "Munir"
Duniya ko kuch to apna pata dena chahiye
Sehan ko chamkaa gayi bailon ko geela kar gayi
Sehan ko chamkaa gayi bailon ko geela kar gayi
Raat ki baarish falak ko neela kar gayi
Dhoop hai aur zard phoolon kay shajar her raah par
Ik zia-e-zehar sab sarkon ko peela kar gayi
Kuch to us kay apnay dil ka dard bhi shaamil hi tha
Kuch nashay ki lehar bhi us ko sureela kar gayi
Baith kar main likh gaya hoon dard-e-dil ka maajra
Khoon ki ik boond kaaghaz ko rangeela kar gayi
Ik teer tha keh laga aur nikal gaya
Ik teer tha keh laga aur nikal gaya
Maari jo cheekh rail ne jungle dehal gaya
Soya hua tha shaher kisi saamp ki tarah
Main daikhta hi reh gaya aur chaand dhal gaya
Khawaish ki garmiyan thein ajab un kay jismon main
Khooban ki sohbaton main mera khoon jal gaya
Thi shaam zehar rang main doobi hui kharri
Phir ik zara si si dair main manzar badal gaya
Muddat kay baad aaj ussay daikh kar "Munir"
Ik baar dil to dharka magar phir sambhal gaya
Yeh be'sada sang door akelay
Yeh be'sada sang door akelay
Ujaar sun'saan ghar akelay
Chalay chobi kay mastiyon main
Gaye keh'naan be'khabar akelay
Moheeb ban tha chaar jaanib
Kata tha sara safar akelay
Hawa si rangon main chal rahi hai
Kharray hain woh baam par akelay
Hai shaam ki zard dhoop sar par
Hon jaisay din main nagar akelay
"Munir" ghar se nikal kay hum bhi
Phirray bhout dar ba dar akelay
Subscribe to:
Posts (Atom)








