Jan 20, 2017

Tujh se ab aur mohabbat nahin ki jaa sakti


Tujh se ab aur mohabbat nahin ki jaa sakti 
Khud ko itni bhi aziyat nahin di jaa sakti 

Jaantay hain keh yaqeen toot raha hai dil par 
Phir bhi ab tark yeh wehshat nahin ki jaa sakti 

Habs ka shaher hai aur is main kisi bhi surat 
Saans lenay ki sahulat nahin di jaa sakti 

Roshni kay liye darwaza khulla rakhna hai 
Shab se ab koi ijaazat nahin li jaa sakti 

Ishq ne hijar ka Aazaar to de rakha hai 
Is se barh kar to ri'ayat nahin di jaa sakti  

Yahi nahin koi toofan meri talaash main hai


Yahi nahin koi toofan meri talaash main hai
Keh mousam-e-gham-e-jaana meri talaash main hai 

Wisaal rutt hai magar dil ko aisa lagta hai 
Sitara-e-shab-e-hijraan meri talaash main hai 

Main faisalay ki gharri se guzar chuki hoon magar 
Kisi ka deeda-e-hairaan meri talaash main hai 

Yeh be'yaqeen si asoodgi bata'ti hai 
Keh ik qariya-e-veeran meri talaash main hai 

Main tairagi main mohabbat ki ik kahani hoon 
Koi chragh sa unwaan meri talaash main hai 

Yeh kaisa khawaab tha dharka sa lag gaya dil ko 
Keh ik shakhs-e-parishaan meri talaash main hai 

Itnay sacchay kiyon hotay hain




Itnay sacchay kiyon hotay hain 

Bacchay achay kiyon hotay hain  
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...