Jul 3, 2014

Kuch khwaab hain jin ko likhna hai


Kuch khwaab hain jin ko likhna hai 

Tabeer ki surat deni hai 

Kuch log hain ujray dil wale

Jinhain apni mohabbat deni hai

Kuch phool hain jin ko chun'nana hai

Aur haar ki surat deni hai

Kuch apni neendain baaqi hain 

Jinhain baant'na hai kuch logon main 

Un ko bhi to rahat deni hai 

Ae umar-e-rawaan

Ahista chal

Abhi khaasa qarz chukana hai 

Koi aisa pal bhi hua kare


Koi aisa pal bhi hua kare 

Main kahon to bas woh suna kare 

Meri fursatein , mere mashgahlay

Sabhi apne naam likha kare 

Koi baat ho kisi shaam ki 

Koi zikar ho kisi raat ka 

Jo suna'ne baithon usay kabhi 

Woh suney to sun ke hansa kare

Jo main kahon chalo us nagar 

Jahan jugnoo ka hajoom ho 

Woh palat ke dekhe meri taraf

Aur mujh ko pagal kaha kare

Her nafas umar-e-guzishta ki hai mayat-e-faani


Her nafas umar-e-guzishta ki hai mayat-e-faani 

Zindagi naam hai mar mar ke jiyea jane ka

Ik mo'imaa hai samjhne ka na samjhne ka


Ik mo'imaa hai samjhne ka na samjhne ka 

Zindagi kaahey ko hai khwaab hai dewaane ka

Jazba-e-ishq slaamat hai to Insha'Allah


Jazba-e-ishq slaamat hai to Insha'Allah

Kachaye dhaage se chale aayen ge sarkaar bandhy

Tu hai har'jai to apna bhi yahi tor sahi


Tu hai har'jai to apna bhi yahi tor sahi 

Tu nahin aur sahi , aur nahin aur sahi

Khoob parda hai keh chilman se lage baithay hain


Khoob parda hai keh chilman se lage baithay hain 

Saaf chuptay bhi nahin samne aatay bhi nahin

Khat un ka bhout khoob ,ibaarat bhout achi


Khat un ka bhout khoob ,ibaarat bhout achi

Allah kare zor-e-qalam aur ziada

Rukh-e-roshan ke aagay shamma rakh ke woh yeh kehtay hain


Rukh-e-roshan ke aagay shamma rakh ke woh yeh kehtay hain 

Udhar jata hai daikhain ya idhar ata hai parwana

Di mo'azan ne azaan wasal ki shab pichli raat


Di mo'azan ne azaan wasal ki shab pichli raat

Haye kam'bakhat ko kis waqat khuda yaad aya

Raah pe un ko laga laye to hain baaton main


Raah pe un ko laga laye to hain baaton main 

Aur khul jayein gy do chaar mulaqaton main

Na jana keh duniya se jata hai koi


Na jana keh duniya se jata hai koi 

Bhout dair ki meharbaa atay atay

Bhala gardish-e-falak ki chain deti hai kissy "insha"


Bhala gardish-e-falak ki chain deti hai kissy "insha"

Ghaneemat hai keh hum'surat yahan do chaar baithaye hain

Na chhair Ae nikhat-e-baad-e-bahari raah alag apni


Na chhair Ae nikhat-e-baad-e-bahari raah alag apni 

Tujhe athkeliyaan soojhi hain , hum be'zaar baithay hai



Ibtada-e-ishq hai rota hai kiya


Ibtada-e-ishq hai rota hai kiya 

Agay Agay dekhiye hota hai kiya

Zameen walon se yeh keh kar taluh hota hai suraj


Zameen walon se yeh keh kar taluh hota hai suraj 

Ujalay baant denay se ujaalay kam nahin hotay

Hum huaye , tum huaye , keh mir huaye


Hum huaye , tum huaye , keh mir huaye

Us ki zulfon ke sab aseer huaye


Woh aye bazam main itna to mir ne dekha


Woh aye bazam main itna to mir ne dekha 

Phir is ke baad chraghon main roshni na rahi


Faqeerana aye sada kar chale


Faqeerana aye sada kar chale

Miyaan kush raho , hum dua kar chale

Afraad ke hathon main hai aqwaam ki taqdeer


Afraad ke hathon main hai aqwaam ki taqdeer 

Her fard hai millat ke muqadar ka sitara

Jalaal-e-baad'shahi ho keh jamhoori tamasha ho


Jalaal-e-baad'shahi ho keh jamhoori tamasha ho 

Juda ho deen siyasat se to reh jati hai changaizi

Yeh faizaan-e-nazar tha ya keh maktab ki kramat thi


Yeh faizaan-e-nazar tha ya keh maktab ki kramat thi 

Sikhaye kis ne Ismaaeel  ko adaab-e-far'zandi

Kisi chragh se lagta hai larr kay aayi hai



Kisi chragh se lagta hai larr kay aayi hai 

Pari hui hain kharashein hawa kay chehray par

Wajood-e-zan se hai tasveer-e-kainaat main rang


Wajood-e-zan se hai tasveer-e-kainaat  main rang 

Isi ke saaz se hai zindagi ka soz-e-doraan

Sitaron se aagay jahan aur bhi hain


Sitaron se aagay jahan aur bhi hain 

Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain

Zindagi aamad braye bandagi


Zindagi  aamad   braye  bandagi 

Zindagi    be'bandagi   sharmindagi

Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai


Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai 

Par nahin taqat-e-parwaaz magar rakhti hai 



Tumhari tehzeeb apne hathon se aap hi khud'kushi kare gi


Tumhari tehzeeb apne hathon se aap hi khud'kushi kare gi 

Jo shaak-e-nazuk pe asihyaana bane ga na'paidaar ho ga

Taqdeer ke qazi ka yeh fatwaa hai azal se


Taqdeer ke qazi ka yeh fatwaa hai azal se

HAi juram-e-zaaeifi ki saza marg-e-mafajaat


Phool ki pati se kat sakta hai heeray ka jigar


Phool ki pati se kat sakta hai heeray ka jigar 

Mard-e-na'daan pe kalaam naram-o-nazak be'asar

Be'khatar kood para Aatish-e-namrood main ishq


Be'khatar kood para Aatish-e-namrood main ishq

Aqal hai mehav-e-tamashaye lab-e-baam abhi


Andaaz-e-biyaan garcha shokh nahin hai


Andaaz-e-biyaan garcha shokh nahin hai 

Shayed keh utar jaye tere dil main meri baat

Aankh jo dekhti hai lab pe aa sakta nahin


Aankh jo dekhti hai lab pe aa sakta nahin 

Main mehv-e-hairat hoon keh duniya kiya se kiya ho jaye gi


Yeh laash be'kafan asad-e-khasta-e-jaan ki hai


Yeh laash be'kafan asad-e-khasta-e-jaan ki hai 

Haq maghfarat kare ajab azaad mard tha 


Lo woh bhi kehtay hain keh "yeh be.nang-o-naam hai"


Lo woh bhi kehtay hain keh "yeh be.nang-o-naam hai"

Yeh janta agar , to luta'ta na ghar ko main

Ishq pe zor nahin hai yeh woh aatish ghalib


Ishq pe zor nahin hai yeh woh aatish ghalib 

Keh lagaye na lage aur bhujaye na bujhay


Hum ko maloom hai jannat ki haqeeqat lakin


Hum ko maloom hai jannat ki haqeeqat lakin 

Dil ke khush rakhney ko ghalib yeh khyaal acha hai

Humne mana keh taghafal n akaro gy tum lakin


Humne mana keh taghafal na karo gy tum lakin 

Kaak ho jayein gy hum tum ko khabar hone tak





Yeh na thi hamari qismat keh wisaal-e-yaar hota

 
Yeh na thi hamari qismat keh wisaal-e-yaar hota 
Agar aur jeetay rehtay yahi intizaar hota 

Tere wadon par jiye hum to yeh jaan jhoot jana 
Keh kushi se mar na jatay agar aitabaar hota 

Koi meray dil se poochay tere teer-e-naam'kash ko 
Yeh khalish kahan se hoti jo jigar ky paar hota 

Yeh kahan ki dosti hai keh banay hain dost maseeh 
Koi chraagh hota , koi ghamgusaar hota 

Rag-e-sang se tapka woh lahoo keh phir na thamta 
Jise gham samjh rahay ho yeh agar shraar hota 

Gham agarcha jaan ghulis hai par kahan be,chain keh dil hai 
Gham-e-ishq gar na hota gham-e-rozgaar hota 

Kahon kis main ke kiya hai shab-e-gham buri bala hai 
Mujhe kiya burra tha marna agar ik baar hota 

Huwey mar ke hum jo ruswa huwey kiyon na ghar-e-dariya 
Na kabhi janaza utha , na kahin mazaar hota 

Ussay kon dekh sakta keh yagaana hai woh yakta 
jo doee ki boo bhi hoti to kahin do chaar hota 

Yeh masail-e-tasawuff yeh tera biyaan Ghalib
Tujhe hum waali samjhtay , jo na baada-e-khwaar hota

Wo silsile wo shouk wo qurbat nahen rahi


Wo silsile wo shouk wo qurbat nahen rahi

phir you hua k dard me shiddat nahen rahi

apni zindagi me ho gaye masruf wo bhout

or humse bat karne ki fursat nahen rahi

wo pehle jesa piyaar wo ulfat nahen rahi

ab doston me rasm-e- mohabbat nahen rahi 

barson se meri yaad se gafil hen mere dost 

Shayad ab unko meri zarurat nahen rahi

Tu hawa k haath py chahton ka dia jalanay ki zid na kar


Tu hawa k haath py chahton ka dia jalanay ki
Zid na kar
Yeh udaas logon ka shehr ha yahan muskranay ki
Zid na kar
Mein hon apnon ka dasa hua
Mera gham ha had sy brha hua
Mein shakista ghr ki misaal hon
Mery pas any ki
Zid na kar
Mein teri ghazal to ni hon na
Jo her aik lab py saja rehon
Mein to aik misra_e_dard hon 
Mujhy gungnanay ki
Zid na kar
Yonhi roshni ki talab main tu
Mery dil ko na dy aziyatain
Jo kisi k hijr main jal bhuja
Usay
Phir jalanay ki zid na kar
Abhi lot aao abhi waqt ha
Abhi saans baqi ha jism main
Tujhy ilm to ha mohsin
Mujhy aazmanay ki
Zid na kar


Isi morr pr ya agly paraao pr ?


Eisi morr pr ?
ya
agly paraao pr ?
juda to hm
ko hona hy..
to phir ao
yahin apne assason
ko alag kr lain
ye jitny zakhm
dil pr hen
idhar
meri traf kr do..
keh
Tum aksr ye kehty thy
ye sb
meri badolat hain
mgr thehro
zra thehro
yahan
kch khwab bhe
hon gy
Jo mil k hum ny
dekhy thy..
Suhany khwab
tum rakh lo
adhory sb
muje dy do
k meri yun
bhe adat hy
Muje tooti huye Chezon sy
ek be'naam ulfat hai.....

Insaan ki fairat ko samjhtay hain prindy


Insaan ki firat ko samjhtay hain prindy

Jitna bhi mohabbat se bulaao nahin atay

Waqt k Shikanjon ne khwahishon ky phoolon ko


Waqt k Shikanjon ne
Khwahishon k Phoolon ko
Noch, noch torra hy
Kiya ye Zulam thorra hy
Dard k jazeeron ne
Aarzu k jeevan ko
Maqbaron mein dala hy
Zulmaton k dairay hain
Log Sub Lutery hain
Moat Rooth bethi hy
Zaat reza, reza hy
Taar, taar Daman hy
Dard, dard jeewan hy
Shabnami si Palkain hain
Qurb hy, na Doori hy
Zindagi Adhoori hy
Ab Yakeen Aaya
keh
Moat bhi Zaroori hy

Bhool gaye hain kuch log hamain Is tarah


Bhool gaye hain kuch log hamain Is tarah

Yaqeen maano keh yaqeen hi nahi ata.

Tum ne hi majboor kiya hai


Tum ne hi majboor kiya hai 
Mujh ko raah badalney par 
Jeewan ke be'annt safar main 
Ghair ka ho kar chalney par 
MAin ne tumhari aashaaon ka 
Her her roop sraha hai 
Main ne apna aap bhula kar 
tum ko toot ke chaha tha 
Umar ki ugli dewaaron par 
Qismat ka anshyaara tha 
Aur bhout thay suraj lekin 
Tum sa chraagh hi piyara tha 
Lakin tum hi mere maseeha 
Nafraton ke sanchay main dhal kar 
Ik din mere samney aa gaye 
Qatil ka behroop badal kar 
Ab kiya shikwa , kaisi shikayat 
Chahat ke sab rishtay kachay 
Main bhi aur tum bhi harjaai 
MAin bhi theek aur tum bhi sachay

Woh aayein ghar main hamare khuda ki qudrat hai


Woh aayein ghar main hamare khuda ki qudrat hai 

Kabhi hum un ko kabhi apne ghar ko dekhtay hain

Nikalna khuld se Adam ka suntay aye hain lakin


Nikalna khuld se Adam ka suntay aye hain lakin 

Bhout be'abroo ho kar tere koochay se hum niklay

Mout ka aik din mo'aiyan hai


Mout ka aik din mo'aiyan  hai 

Neend kiyon raat bhar nahin ati

Main ne mana keh kuch nahin ghalib


Main ne mana keh kuch nahin ghalib

Mufat hath aye to bura kiya hai

Ki mere qatal ke baad us ne jafa se toba


Ki mere qatal ke baad us ne jafa se toba 

Haye us zood-e-pashimaan ka pashimaan hona

Kal yeh likhti thein bichrna tumhain manzoor nahin



Kal yeh likhti thein bichrna tumhain manzoor nahin 

Ab yeh kehti ho  mere khat mujhe wapis kar do

Main safaaei koi doon ga na wazahat doon ga 

Tum ko wapis main tumhari yeh amanat doon ga

Phir kabhi tum se na milne ki zamanat doon ga 

BAs tumhain tark-e-marasim pe yeh zehmat doon ga 

Tum ho be'chain to main bhi koi masroor nahin 

Kal yeh likhti thein bichrna tumhain manzoor nahin 

Ab yeh kehti ho  mere khat mujhe wapis kar do


 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...