Showing posts with label Khalid Sharif Poetry. Show all posts
Showing posts with label Khalid Sharif Poetry. Show all posts

Apr 21, 2016

Is gham ko to ab dil main samona hi paray ga


Is gham ko to ab dil main samona hi paray ga 
Aankhein jo bhar aayi hain to rona hi paray ga 

Woh shakhs muradon se jissay paya tha hum ne  
Mehsoos yeh hota hai keh khona hi paray ga 

Ab jee ko jalatay huye ik umar hui hai 
Ab hum ko teri tarah ka hona hi paray ga 

Yeh hijar ka mousam kahin be'kaar na jaye 
Baqi jo bacha hai ussay khona hi paray ga 

Is kasht-e-malamat main meri jaan zara dekh 
Yeh tukhm-e-mohabbat hai  keh bona hi paray ga

Husan-e-fitrat ne mujh pe jadu kiya , dil wahin reh gaya



Husan-e-fitrat ne mujh pe jadu kiya , dil wahin reh gaya 
Phool ' kohsaar , jungle , sitaray , hawa , dil wahin reh gaya 

Tum mujhay saath lay aaye acha kiya , par tumhein kya pata 
Meray mohsin meray yaar-e-dard aashna , dil wahin reh gaya 

Youn hua jaisay bijli si chamki wahan aur kya ho biyaan 
Aankh khultay hi dekha keh sab theek tha , dil wahin reh gaya 

Main khudaon ki basti main mabhoos tha , zehan maflooj tha 
Jis jaga koi insaan mujh ko mila , dil wahin reh gaya 

Kharman-e-jaan yeh jab barq-e-wehshat giri tab kissay hosh tha 
Jism ko khair main ne sambhala diya , dil wahin reh gaya 

Us ne Khalid mujhay aaj apna kaha , kaisay mumkin hua 
Ghar to main aa gaya sochta sochta , dil wahin reh gaya

Apnay mahool se bichri hui tum lagti ho


Apnay mahool se bichri hui tum lagti ho 
Paas baithi ho par uljhi hui tum lagti ho 

Beech apnay hai koi pichlay janam ka rishta 
Jaagtay sotay main dekhi hui tum lagti ho 

Yeh lab-o-lehja yeh aankhein nahin is duniya ki 
Mujh ko mareekh se aayi hui tum lagti ho 

Chandani raat main phaili hui khushbu ki tarah 
Mujh ko her simt se aati hui tum lagti ho 

Aik be'naam udasi ki jhalak chehray par 
Shayed is shaher se roothi hui tum lagti ho 

To jaana ab judai ki gharri nazdeek aati hai


" Judai ki gharri "

To jaana 
Ab judai ki gharri nazdeek aati hai 
Chalo aankhon pe bosa do 
Keh ab bichray to shayed phir kabhi milnay na payein hum 
Zamana darmiyan youn aa gaya hai 
Keh ab doori yaqeeni ho gayi hai 
Hum apnay aap main gum barhtay jatay thay 
Bila sochay bila samjhay 
Magar ab kay 
Zamana darmiyan youn aa gaya hai 
Keh khawabon ki koi tabeer mumkin hi nahin hai 
Aur kuch is main hamari aur tumhari niyaton ka dosh bhi hai 
To jaana 
ab judai ki gharri nazdeek aati hai 
Chalo aankhon par bosa do 
Keh ab bichray to shayed phir kabhi milnay na payein hum


Ussay to kho hi chukay phir khayal kya us ka


Ussay to kho hi chukay phir khayal kya us ka 
Yeh fikar kaisi keh ab ho ga haal kya us ka 

Woh aik shakhs jissay khud hi chor baithaythay 
Ghulaye deta hai  dil ko malaal kya us ka 

Tumhari aankhon main chhalkein nadamatein kaisay ?
Jawab ban'nanay laga tha sawal kya us ka 

Tumharay apnay iraday main koi jhol tha 
Kaho keh milna tha aisa mohaal kya us ka 

Woh nafraton kay bhanwar main bhi muskura kay mila 
Ab us se barh kay bhala ho kamaal kya us ka 

Ab is tarah bhi na yaadon ki kirchiyan chuniye 
Na tha firaaq se behtar wisaal kya us ka 

Yeh soch kay na milay phir ussay kabhi Khalid 
Keh janay ho ga nadamat se haal kya us ka
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...