Aug 1, 2014

Jis subha ki awaaz main baarish ki khanak ho



Jis subha ki awaaz main baarish ki khanak ho 

Us din ka badan dekhiye , sur kaisay hua ho 

Jis shaam kay maathay pe khilay wasal ka tara 

Us raat kay iqraar ki kiya suratein hon gi 

Ae bhaid bharay din meray 

Ae ramz bhari raat 

YEh maah zada , mehar gazeeda dil wehshi 

Phir kon se jadoo kay asar main hai giraftaar 

Barsaat main jaltay huye jungle kay kinaray 

Kis qaaf kay bashinday se tehri hai mulaqat 
Parveen Shakir

Ae ramz bhari raat


Ae ramz bhari raat 

Jis subha ki awaaz main baarish ki khanak ho 

Us din ka badan dekhiye , sur kaisay hua ho 

Jis shaam kay maathay pe khilay wasal ka tara 

Us raat kay iqraar ki kiya suratein hon gi 

Ae bhaid bharay din meray 

Ae ramz bhari raat 

YEh maah zada , mehar gazeeda dil wehshi 

Phir kon se jadoo kay asar main hai giraftaar 

Barsaat main jaltay huye jungle kay kinaray 

Kis qaaf kay bashinday se tehri hai mulaqat 

Parveen Shakir


haan , yeh woh mousam to woh hai



Haan, yeh woh mousam to woh hai 

Keh jis main nazar chup rahay 

Aur badan baat karta rahay 

Us kay haathon kay shabnam piyalon main 

Chehra mera 

Phool ki tarah halkoray letarahay 

Pankhari pankhari 

Us kay boson ki baarish main 

Peham nikharti rahay 

Zindagi is junoon khaiz baarish kay shano ko sar pe rakhaye 

Raqs kaeri rahay

Parveen Shakir

Sar'shaari


Sar'shaari 

Haan, yeh woh mousam to woh hai 

Keh jis main nazar chup rahay 

Aur badan baat karta rahay 

Us kay haathon kay shabnam piyalon main 

Chehra mera 

Phool ki tarah halkoray letarahay 

Pankhari pankhari 

Us kay boson ki baarish main 

Peham nikharti rahay 

Zindagi is junoon khaiz baarish kay shano ko sar pe rakhaye 

Raqs kaeri rahay

Parveen Shakir

Kitni shafaaf hai yeh awaaz



Kitni shafaaf hai yeh awaaz 
Chashmay ki tarah se , jis ne meray 
Andar kay tamaam mousmon ko 
Aaina bana kay rakh diya hai 

Pathar ho kay phool ho keh sabza
Taaron ki baraat ho keh mehtaab 
Suraj ka jalaal ho keh tan main 
Khwabon ki dhanak kheenchi hui ho 
Baarish ho , shafaq khili hui ho 
Her rut ka gawah us ka lehja 
Teh tak jissay aankh choo kar aye 

Kitni shafaaf hai yeh awaaz

Parveen Shakir
 

Us ki Awaaz


Us ki Awaaz 

Kitni shafaaf hai yeh awaaz 
Chashmay ki tarah se , jis ne meray 
Andar kay tamaam mousmon ko 
Aaina bana kay rakh diya hai 

Pathar ho kay phool ho keh sabza
Taaron ki baraat ho keh mehtaab 
Suraj ka jalaal ho keh tan main 
Khwabon ki dhanak kheenchi hui ho 
Baarish ho , shafaq khili hui ho 
Her rut ka gawah us ka lehja 
Teh tak jissay aankh choo kar aye 

Kitni shafaaf hai yeh awaaz

Parveen Shakir

Kitni dair tak


Kitni dair tak 

Imlataas kay pairr kay nechay 

Baith kay hum ne baatein kein 

Kuch yaad nahin 

Bas itna andaaza hai 

Chaand hamari pushat se ho kar 

Aankhon tak a poncha tha

Saath


Saath 

Kitni dair tak 

Imlataas kay pairr kay nechay 

Baith kay hum ne baatein kein 

Kuch yaad nahin 

Bas itna andaaza hai 

Chaand hamari pushat se ho kar 

Aankhon tak a poncha tha

Ik lambay safar ki dhoop sar par



Ik lambay safar ki dhoop sar par 

Aankhon main gulaabi rat'jagon ki 

Malboos pe gard raaston ki 

Shaano pe thakan musafton ki 

Awaaz main jheel jaisa tehraao 

Seenay main chupaye zakham , khindaan 

Mailay main khud apnay se bichar kay 

Daaman mera thaam kay khara hai 

Bachay ki tarayh malool-o-masroof

Woh ik lambay safar ki dhoop sar par


Woh 

Ik lambay safar ki dhoop sar par 

Aankhon main gulaabi rat'jagon ki 

Malboos pe gard raaston ki 

Shaano pe thakan musafton ki 

Awaaz main jheel jaisa tehraao 

Seenay main chupaye zakham , khindaan 

Mailay main khud apnay se bichar kay 

Daaman mera thaam kay khara hai 

Bachay ki tarayh malool-o-masroof

Ik lamha to pathar bhi khoon ro jaye


Ik lamha to pathar bhi khoon ro jaye 
Jab khwabon ka sona matti ho jaye 

Ik aisi baarish ho meray shaher pe jo 
Saray dil aur saaray dareechay dho jaye 

Pehra detay rehtay hain jab tak khadshay 
Kaisay raat kay saath koi phir so jaye 

Baarish aur namoo to us kay haath main hain
Matti main par beeg to koi bo jaye 

Teen ruton tak maan jis ka rasta dekhaye 
Woh bacha chothay mousam main kho jaye 

Parveen Shakir

Ilzaam tha diye pe na taqseer raat ki


Ilzaam tha diye pe na taqseer raat ki 
Hum ne to bas hawa kay taaluq se baat ki 

Her subha jab keh subh-e-qayamat ki tarah aye 
Aisay main kon ho ga jo sochay sabaat ki 

TAkleef to hui magar ae nakhun-e-malaal 
Khulnay lagi girah bhi koi apni zaat ki 

Zanjeer hai , jazeera hai ya shaakh-e-be'samar 
Ab kon si lakeer salamat hai , haat ki 

Marnay agar na payi to zinda bhi kab rahi 
TAnha kati woh umar jo thi teray saat ki 

Phir bhi na mera qafla lutnay se bach saka 
Main ne khabar to rakhi thi aik aik ghaat ki 

Parveen Shakir

Waqat kay saath anasar bhi rahay sazish main


Waqat kay saath anasar bhi rahay sazish main 
Jal gaye pairr kabhi dhoop kabhi baarish main 

Woh to ik sada-o-kam shouq ka talab nikla 
Hum ne na'haq hi ganwaya ussay araaishmain 

Zindagi ki koi mehroomi nahin yaad ayi 
JAb talak hum thay teray qurab ki asaish main 

Aik duniya ka qaseeda tha agarcha meray naam 
Lutaf ata tha kisi shakhs ki femaish main 

Us ki aankhin bhi meri tarah se girvi kahin aur 
Khwaab ka qarz barha jaata hai ik khwaish main 

Parveen Shakir

Jo chala gaya mujhay chor kay


Jo chala gaya mujhay chor kay
MAin kabhi na us ko bhula saka 
Wohi dooriyan woghi faaslay main 

Kabhi na in ko mitta saka 
Kiya ussay bhi mujh se pyaar tha 
Yeh tabassum us ka shaoor tha 

Woh koi ajab sawal tha 
Jo meri samjh main na aa saka 
Meri zindagi ka sakoon tha 

Woh meray dil ka ik janoon tha 
Meri bandagi mera pyaar tha 
YAhi baat na main bata saka 

YAhi sochta tha main raat bhar 
Woh kabhi milay ga jo raah par 
To karoon ga us se shikaetein 
Woh mila to lab na hilla saka 

Main aarhay tirchey Khayal sochon





Main aarhay tirchey khayal sochon
keh be-irada kitaab likhon
koi shanasa ghazal tarashon
keh ajnabi antisaab likhon
ganwa'dun ik umr k zamany
keh ik pal ka hisaab likhon

Meri tabiyat pe munhisar hai
main jis trah ka nisaab likhon
ye mere apne mizaaj par hai
azaab sochon
sawaab likhon

Taweel tar hai safr,, tumhe kya ?
Main jee raha hon magr tumhe kya?
Magr tumhe kya k tum to kab se
mere iradey ganwa chuke ho
jala k sary haroof apne
meri dunya bhuja chuke ho

Main raat orhon k subah pehno,n
tum apni rasmein utha chuke ho
suna hai sab kuch bhula chuke ho
to ab mere dil pe jabr kesa ho?
Ye dil to hadd se guzr chuka ha
guzr chuka ha magr tumhe kya

Khizaa,n ka mosam thehar chuka hai
thehar chuka hai magr tumhe kya?
Magr tumhe kya k iss khizaan me
main jis trah k khwab likhon
keh ik pal ka hisaab likhon
azaab sochon,
sawaab likhon
magar tumhe kya

Asar us ko zara nahin hota


Asar us ko zara nahin hota 
Ranj rahat fiza nahin hota 

Tum hamaray kisi tarah na huye
Veeran duniya main kiya nahin hota 

Na'rasai se dam rukay to rukay 
MAin kisi se khafa nahin hota 

Tum meray paas hotay ho goya 
Jab koi doosra nahin hota 

Haal-e-dil yaar ko likun kiyon kar 
Haath dil se juda nahin hota

Daaman us ka jo hai daraaz to ho 
Dast-e-aashiq rassa nahin hota 

Chaara-e-dil siwaye sabar nahin 
So tumharay siwa nahin hota 

Kiyon sunnay arz-e-muztarib ae "Momin"
Sanam aakhir khuda nahin hota 

Woh koi aur na tha chand khushk pattay thay


Woh koi aur na tha chand khushk pattay thay 
Shajar se toot kay jo fasl-e-gul pe roye thay 

Abhi abhi tumhain socha to kuch na yaad aya 
Abhi abhi to hum ik doosray se bichray thay 

Tumharay baad chaman par jab ik nazar daali 
Kalli kalli main khizaan kay  chragh jaltay thay 

Tamaam umar wafa kay guna'gaar rahay 
Yeh aur baat keh hum aadmi to achay thay 

Woh ik baar meri hayat se tha jin ko payaar 
Jo zindagi se guraizan thay roz martay thay 
 


Rait se buut na banana ae mere ache funkaar


 Rait se buut na banana ae mere ache funkaar

ik lamhe ko thahar main tujhe patthar laa dun
main tere samane ambaar laga dun lekin
kon se rang kaa patthar tere kaam aaye ga
surkh patthar jise Dil kehti hai bedil duniya
Ya wo pattharai hui aankh ka Neela patthar
jis mein sadiyon kay tahayur kay paray hon Dore

kya tujhe Rooh kay pathar ki zaroorat ho gi
jis pe haq baat bhi patthar ki tarah girti hai
ik wo patthar hai jise kehte hain tahaziib-e-safed
Us k mar_mar mein siyah khoon jhalak jata hai
ik insaaf ka patthar bhi to hota hai magar
haath mein tesha-e-zar ho to wo hath aata hai

jitne mayaar hain is daur k sab pathar hain
sher bhi raqs bhi tasveer-o-ginaa bhi patthar
mere ilhaam tera zahan-e-rasaa bhi patthar
is zamaane mein har fan ka nishaan pathar hai
hath patthar hain tere merii zuban pathar hai
rait se buut na bana ay mere ache funkaar

Jab tera hukam mila tark mohabbat kar di


Jab tera hukam mila tark mohabbat kar di 

Dil magar is pe woh dharka keh qayamat kar di 

Tujh se kis tarah main izhaar-e-tamana karta 

Lafz soojha to mahni ne baghawat kar di 

Main to samjha tha keh loat atay hain janay wale

Tu ne ja kar to judai meri qismat kar di 

Mujh ko dushman kay iradon pe bhi pyaar ata hai 

Teri hlfat ne mohabbat meri aadat kar di 

Pooch baitha hoon main tujh se tere koochay ka pata 

Teri halat ne kaisi teri surat kar di 
 


Ya rab gham-e-hijraan main itna to kiya hota



Ya rab gham-e-hijraan main itna to kiya hota 

Jo haath jigar pe hai woh dast-e-dua hota 

Ek ishq ka gham aafat aur us pe yeh dil aafat 

Yeh gham na diya hota ya dil na diya hota 

NAkaam tamana dil is soch main rehta hai 

Youn hota to kiya hota , youn hota to kiya hota 

Umeed to bandh jaati taskeen to ho jaati 

Wada na wafa kartay wada to kiya hota 

Dil se her guzri baat guzri hai


Dil se her guzri baat guzri hai 
Kis qayamat ki raat guzri hai 

Chandani neem'wa dareecha , sakoot 
Ankhon ankhon main raat guzar jaati hai 

Haye woh log , khoobsurat log 
Jin ki dhun main hayat guzri hai 

Kisi bhatkay huye khayal ki moj 
Kitni yaadon kay saath guzri hai 

Tam'tamata hai chehra-e-ayaam 
Dil pe kiya wardaat guzri hai 

Phir koi aas larkhari hai 
Keh naseem-e-hayat guzri hai 

Bhujhaye jaatay hain dukhi palkon pe deep 
Neend aai hai , raat guzri hai 
 

December jab bhi ata hai woh pagli phir se beetay mousam ko yaad karti hai


December jab bhi ata hai woh pagli phir se beetay mousam ko yaad karti hai 

Puranay card parhti hai 
Keh jis main us ne likha tha 
main loaton ga december main 

Naye kapray banati hai woh sara ghar sajati hai 
December kay her ik din ko woh gin gin kar bitaati hai 
Jun hi 15 guzarti hai woh kuch kuch toot jaati hai 

Magar phir bhi puraani album ko khol kar maazi ko bulaati hai 
Nahin maloom yeh keh beetay waqat ki khushiyaan 
Bhout takleef deti hain mehaz dil ko jalati hain 

Youn hi din beet jaatay hain december loat jaata hai 
Magar woh khush feham larki dobara se calaner main 
December kay maheenay kay safar ko mor kay phie se

December kay safar main doob jaati hai 
Keh aakhir us ne likha tha 
Main loaton ga december main 
 

Soz-e-gham de kay mujhe us ne ye irshaad kiya





Soz-e-gham de kay mujhe us ne ye irshaad kiya
ja tujhe kash-ma-kash-e-dahar se aazad kiya

wo karen bhi to kin alfaaz mein tera shikwa
jin ko teri nigaah_e lutf ne barbaad kiya

dil ki choton ne kabhi chain se rehne na diya
jab chalii sard hawa main ne tujhe yad kiya,

aise mein main tere taj-takalluf pe nisaar
phir to farmaaye wafa aap ne irshaad kiya

is ka rona nahi kyun tum ne kiya dil barbaad
is ka gham hai k bahut der mein barbaad kiya,

itna masuum hon fitrat se, kali jab chatakii
jhuk k main ne kaha, mujh se kuch irashaad kiya

meri har saans hai is baat ki shaahid_e maut
main ne har lutf k mauqe pe tujhe yad kiya

mujh ko to hosh nahi tum ko khabar ho shaayad
log kehte hain k tum ne mujhe barbaad kiya

wo tujhe yad kare jis ne bhulaya ho kabhi
hum ne tujh ko na bhulaya na kabhi yad kiya

kuch nahi is k siwaa 'josh' hariifon ka kalaam
wasl ne shaad kiya hijar ne nashaad kiya 

Ab naye saal ki mohlat nahin milnay wali


Ab naye saal ki mohlat nahin milnay wali 

Aa chukay ab to roz-o-shab azaabon wale 

Ab to sab dashnaa-o-khanjar ki buzaan boltay hain 

Ab kahan log mohabbat kay nisaabon wale

Zinda rehnay ki tamana ho to ho jaatay hain 

Faakhton kay bhi kardaar uqaabon wale

Na meray zakham khilay hain na tera rang-e-hina 

Mousam aye hi nahin ab kay gulaabon wale

Woh dil'nawaaz hai nazar shanaas nahin


Woh dil'nawaaz hai nazar shanaas nahin 
Mera ilaaj meray chara gar kay paas nahin 

Tarap rahay hain zubaan par kai sawaal magar 
Mere liye koi shayaan-e-iltamaas nahin 

Teray ujalon main bhi dil kaamp uth'ta hai 
Meray mizaaj ko asoodgi bhi raas nahin 

Kabhi kabhi jo teray qurb main guzray thay 
Ab un dino ka tasawur bhi meray paas nahin 

Guzar rahay hain ajab marhalon se deeda-o-dil 
Shaher ki ass to hai zindagi aas nahin 

Mujhay yeh dar hai keh teri arzoo na mit jaye
Bhout dino se tabiyat meri udaas hai 

Gayi woh baat ki ho guftagoo to kiyon kar

Gayi woh baat ki ho guftagoo to kiyon kar
kahin se kuch na hua phir kaho to kiyon kar ho

humare zehan mein is fikr ka hai naam wisaal
ki gar na ho to kahan jaayen ho to kiyon kar ho

adab hai aur yahi kash'makash to kya kiije
hayaa hai aur yahi go'ma'go to kiyon kar ho

tumhin kaho ki guzara sanam paraston ka
buton ki ho agar aisi hi Khu to kiyon kar ho

uljhate ho tum agar dekhte ho aaina
jo tum se shahar mein hon ek do to kiyon kar ho

jise naseeb ho roz-e-siyaah mera saa
Wo shaqs din na kahe raat ko to kiyon kar ho

humein phir un se umeed aur unhin humari qadr
humari baat hi puchhe na wo to kiyon kar ho

Galat na tha humein Khat par gumaan tasalli ka
na maane deedaa_e deedaar ju to kiyon kar ho

bataao us mishaa ko dekhakar ho mujh ko qarar
Yah nesh ho rag_e jaan mein faro to kiyon kar ho

mujhe junoon nahi Gaalib wale baqaul_e huzoor
firaaq-e-Yar mein taskeen ho to kiyon kar ho

Aakhir yeh december bheeg gaya


Aakhir yeh december bheeg gaya 

Aakhir yeh december bheeg gaya 

Ab dil na lagay ga kitaabon main 

Ab phir se yaad staye gi 

Ab sard yeh shaan rulaye gi 

Dil phir se yeh ghabraye ga 

ik sookhaye pairr ki tehni pe 

Koi panchi geet sunaye ga 

Aakhir yeh december bheeg gaya 

Bin teray december beet gaya 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...