Mar 23, 2016

Bhout masroof rehta hoon


Bhout masroof rehta hoon 

Kabhi paniyon ko uchalna 
Kabhi barf rut ko ujaalna 
Kabhi badalon ki rida liye 
Ussay kohsaaron pe dalna 
Kabhi dhaampna ussay dhund main 
Kabhi manzaron se nikalna 
Hai ajeeb sa mera mashghala  
Keh hamesha chahatein paalna 
Kabhi dekhan ussay khawab main 
Kabhi rat'jagon kay azaab main 
Kabhi harf harf bakhair kar 
Ussay jama karna kitab main 
Kabhi mousamon se nikal kar 
Ussay lana apnay hisaab main 
Hai ajeeb sa mera shouq bhi 
Keh hamesha rehna saraab main

Go meri aankh se badal barsay


Go meri aankh se badal barsay 
Lakin bojh to utraa sar se

Dil main phir ik khamoshi si 
Toofan guzra hai is ghar se

Saahil ho ya ik samnadar 
Meri tarah se koi na tarsay 

Pyar main janay kya keh jaaon 
Chup rehta hoon apnay dar se

Aag lagaai hum ko hawa ne 
Aagay thay hum baal-o-par se 

"Saad" Oqaat hi kya hai apni 
BAch na sakay hum apnay shr se

Mujh ko Ae dost bachanay ki zaroorat kya thi


Mujh ko Ae dost bachanay ki zaroorat kya thi 
Kuch nahin tha to mitanay ki zaroorat kya thi 

Jab yeh matti hi muqaddar hai zameen zaadon ki 
Aasman sar pe uthanay ki zaroorat kya thi 

Aisa hota hai keh bas main nahin rehta kuch bhi 
Warna ghar baar lutanay ki zaroorat kya thi 

Dil ujarta hai to phir kuch nahin rehta baqi 
Bastiyan is main basanay ki zaroorat kya thi 

Tu bichar jata bataye bina ae dost meray 
Mujh ko ehsaas dilanay ki zaroorat kya thi 

Ab to yeh neend bhi sapnay ki tarah hai goya 
Khawab ko aankh bananay ki zaroorat kya thi 

Apna sar tu ne uthaya to bhout khoob kiya 
Haan magar is ko jhukanay ki zaroorat kya thi 

Aik ujri hui surat kay siwa kuch bhi nahin 
"Saad" is dil ko basanay ki zaroorat kya thi  

Thi haqeeqat to fasanay ki zaroorat kya thi


Thi haqeeqat to fasanay ki zaroorat kya thi 
Hum se larnay ko bahanay ki zaroorat kya thi 

Hum na kehtay thay keh phir loatna mushkil ho ga 
Yeh raah-o-rasam barhanay ki zaroorat kya thi 

Woh samajhta hai chraghan ka hai mela koi 
Is qadar deep janalay ki zaroorat kya thi 

Us ko maloom nahin rog sadaf ka shayed 
Warna zaahir ko chupanay ki zaroorat kya thi 

Aisa pani ka dabaao hai keh jee phat'ta hai 
Itni gehraai main janay ki zaroorat kya thi 

Aik pathar pe kiya naqsh hawa ne  mujh ko 
Her taraf khaak uraanay ki zaroorat kya thi 

"Saad" kaanton se rafu karna hai daman apna 
Raah main phool bichanay ki zaroorat kya thi




Dard ko ashk bananay ki zaroorat kya thi


Dard ko ashk bananay ki zaroorat kya thi 
Tha jo is dil main dikhanay ki zaroorat kya thi 

Hum ne jo kuch bhi kiya apni mohabbat main kiya 
Go samajhtay hain zamanay ki zaroorat kya thi 

Ho jo chahat to tapak parti hai khud aankhon se 
Ae meray dost batanay ki zaroorat kya thi 

Itnay hasaas hain saanson se pighal jatay hain 
Bijliyan hum pe giranay ki zaroorat kya thi 

Hum to pehlay hi teray haq main tahi dast huye 
Aisay ghayal pe nishanay ki zaroorat kya thi 

Aisay lagta hai keh kamzor bhout hai tu bhi 
Jeet kar jashan mananay ki zaroorat kya thi 

"Saad" aankhon se hai shikwa na hi dil se koi 
Naqsh pani pe bananay ki zaroorat kya thi

Mujh se youn aankh churanay ki zaroorat kya thi


Mujh se youn aankh churanay ki zaroorat kya thi 
Apni pehchaan ganwanay ki zaroorat kya thi 

In khatton ko kahin dariya main bahaya hota 
IS tarah khud ko jalanay ki zaroorat kya thi 

Phir se tasveer bana daali hai us ki tum ne 
Guftagoo main issay lanay ki zaroorat kya thi 

Yeh zaman aik samndar hai makaan saahil hai 
Rait par pair jamanay ki zaroorat kya thi 

Sun'nanay walay to haqeeqat hi badal detay hain 
Daastan apni sunanay ki zaroorat kya thi 

Yaas aata hai to aanay do yahi behtar hai 
Phir kaho gay keh bhulanay ki zaroorat kya thi 

Kya mila tum ko bata aik nadamat kay siwa 
"Saad" ehsaan jatanay ki zaroorat kya thi 

Harf-e-sheerin hai tarasheeda labon kay andar


Harf-e-sheerin hai tarasheeda labon kay andar
Dil kay katnay ka hai ehsaas ragon kay andar

Kya bataon keh meray payar kay din kaisay hain
Chand utarnay ka sama bhi hai shabon kay andar 

Us ki aankhon se hain roshan meri sochon kay chragh 
Ae hawa in ko chupa lay tu paron kay andar 

Aag lagti hai jo jazbon ko to ro leta hoon 
Warna jal jaye yeh dil mera palon kay andar 

Jo bhi likhta hoon woh shairon main dhala aata hai 
Mud'dua apna likhon kaisay khatton kay andar 

Baat kartay huye dar lagta hai us shakhs se "Saad"
Kon rakh paye wahan khud ko hadon kay andar

Pairon talay zameen to sar par gagan bhi hai


Pairon talay zameen to sar par gagan bhi hai
Baitha hoon gham zada keh yeh tera shagan bhi hai 

Mehav-e-gham-e-hayat hain aur khouf mout ka 
Lakin hamaray dil main kisi ki lagan bhi hai 

Jhulsaa rahi hai Manzaron ko dhoop mehar ki 
Lakin woh Aftaab keh saya fagan bhi hai 

Tujh se mohabatein to bhout ho chukiein ae dost 
Is ghoomti zameen kay ooper gagan bhi hai 

Main hoon keh bad'gumaan hoon us ki taraf se "Saad"
Woh hai keh meri zaat main yaksar magan bhi hai


Hum mukamal ghubaar main hain


Hum mukamal ghubaar main hain 
Yehni apnay hisaar main hain 

Tootnay ki yeh kaifiyat hai 
Hum hayat-e-khumaar main hain 

US ki baatein hain dil main aisay 
Rang jaisay anaar main hain 

Kohsaaron ko kya khabar hai 
Dariya apnay utaar main hain 

Weham hai yeh zameen sari 
"Saad" hum kis shumaar main hain

Raas aaya nahin insan hona


Raas aaya nahin insan hona 
Koi dekhye mera veeran hona 

Kis tarah sirf-e-nazar karta main 
Dil-e-kam'bakhat ka hairan hona 

Kitna Aasaab shikan hai jeena 
Is pe marnay ka bhi imkaan hona 

Tu haqeeqat sahi lakin phir bhi 
Hai fasana tera armaan hona 

Yeh to qismat ka ulat phair hua 
Ik pathar ko tha marjaan hona

Apni mehrumiyon pe rona kiyon


Apni mehrumiyon pe rona kiyon 
Is tarah se waqar khona kiyon 

Kis liye jaagna hai raaton ko 
Aur din bhar youn hi hai sona kiyon 

Ghar basaana to theek hai lakin 
Is main youn dar'badar sa hona kiyon  

Wapisi bhi ti Aain mumkin hai 
Apnay rastay main kaantay bona kiyon 

Ik nishani hai bash'shariyat ki yahan 
"Saad" daman ko apnay dhona kiyon

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...