Sep 30, 2017

Main aik barg-e-khizaan ki maanind


Main aik barg-e-khizaan ki maanind 
Kab se shaakh nihaal-e-gham par 
Laraz raha hoon 
Mujhay abhi tak hai yaad-o-jaan figaar-e-sa'aat 
Keh jab baharon ki aakhri shaam 
Mujh se kuch youn lipat kay roi 
Keh jaisay ab umar bhar na daikhay ga 
Hum main aik doosray ko koi 
Woh raat kitni karri thi 
Jab aandhiyon kay shab-e-khoon se 
Bu-e-gul bhi lahu lahu thi
Sehar hui jab khushk-o-zar-daroo thay 
Keh jaisay maqtal main 
meray bichray huye rafeeqon ki 
Zakham khurda bar'hana laashein 
Garri hui hoon 
Main jaanta tha 
Keh jab yeh bojhal buland ashjaar 
Jin ki kohna jarrein zameen ki ameeq gehraiyon main 
barson se ja'guzeen thein 
Hajoom-e-sar sar main 
Chand lamhi yeh istaada na reh sakay to 
Main aik barg-e-khizaan bhi 
Shaakh nihaal-e-gham par na reh sakon ga 
Woh aik pal tha keh aik raat thi 
Magar meray wastay bhout thi 
Mujhay khabar hai keh kal baharon ki awleen subha 
Phir se be'barg-o-baar shaakhon ko 
Zindagi ki nayi qaba'ein ata karay gi 
Magar mera dil dharak raha hai 
Mujhay , jalsay aandhiyon ki yo'rash 
Khizaan kay toofan na chu sakay thay 
Kahin naseem-e-bahar 
Shaakh-e-nihaal gham se
Juda na kar de


Na hareef-e-jaan na shareek-e-gham-e-shab intizaar koi to ho


Na hareef-e-jaan na shareek-e-gham-e-shab intizaar koi to ho 
Kisi bazam-e-shoq main layein hum dil-e-be'qaraar koi to ho 

Kissay zindagi hai aziz ab kissay aarzu-e-shab-e-tarb 
Magar ae nigaar-e-wafa talab tera Aaitaabr koi to ho 

Kahin taar daman-e-gul milay to yeh maan lain keh chaman khilay 
Keh nishaan fasal-e-bahar ka sar shaakh'saar koi to ho 

Yeh udaas udaas se baam-o-dar yeh ujaar ujaar si raah'guzar 
Chalo hum nahin na sahi magar sar ku-e-yaar to ho 

Yeh sakoon-e-jaan ki gharri dhallay to chragh-e-dil hi na bujh chalay 
Woh bala se ho gham-e-ishq ya gham-e-roz'gaar koi to ho 

Sar-e-maqtal shab-e-aarzu rahay kuch to ishq ki aab'ru 
Jo nahin Adu to Faraz keh naseeb daar koi to ho 


Juz teray koi bhi din raat na janay meray


Juz teray koi bhi din raat 

Juz teray koi bhi din raat na janay meray 
Tu kahan hai magar Ae dost puranay meray 

Tu bhi khushbu hai magar mera ta'jasus be'kaar 
Barg-e-awara ki maanind thikaanay meray 

Shamma ki lo bhi keh woh to tha magar hijar ki raat 
Dair tak rota raha koi sirhaanay meray 

Khalq ki be'khabri hai keh meri ruswai 
Log mujh ko hi sunatay hain fasanay meray 

Lutt kay bhi khush hoon keh ashkon se bharra hai daman 
Daikh ghaarat gar-e-dil yeh bhi khazanay meray 

Kaash tu bhi meri awaz kahin sunta ho 
Phir pukara hai tujhay dil ki sada ne meray 

Kaash tu bhi kabhi aa jaye maseehai ko 
Log aatay hain bhout dil ko dukhanay meray 

Kaash auron ki tarah main bhi kabhi keh sakta 
Baat sun li hai meri , aaj khuda ne meray 

Tu hai kis haal Ae zood faramosh meray 
Mujh ko to cheen liya ehad-e-wafa ne meray 

Chaara gar youn to bhout hain magar Ae jaan-e-faraz 
Juz teray aur koi zakham na janay meray 



Qurbaton main bhi judai kay bahanay maangay


Qurbaton main bhi judai kay bahanay maangay 

Qurbaton main bhi judai kay bahanay maangay 
Dil woh be'mehar keh ronay kay bahanay maangay 

Hum na hotay to kisi aur kay char'chay hotay 
Khalqat-e-shaher to kehnay ko fasanay maangay 

Yehi dil tha keh tarasta tha maraasam kay liye 
Ab yahi tark-e-taaluq kay liye bahanay maangay 

Apna yeh haal keh jee haar chukay lutt bhi chukay 
Aur wohi andaz puranay maangay 

Zindagi hum teray daaghon se rahay sharminda 
Aur tu hai keh sada Aaina khana maangay 

Dil kisi haal pe qanay hi nahin jaan Faraz 
Mil gaye tum bhi to kya aur na janay maangay 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...