Tum ko baatein kab ati hain
Tum masoom si bholi bhaali
Uljhi uljhi be'kal be'kal
Gum sum gum sum si rehti ho tum to chup chup si rehti ho
Tum ko baatein kab ati hain
Lakin jab jo kehna chaho
aankhon aankhon keh jaati ho
Aur sab kuch manwa leti ho
Teri naram komal palkain mujh ko kehnay kab deti hain
Baat labon pe aa jaati hai , par lab khulnay kab deti hai
Teray honton ka yeh tabasum
Kitna batooni hai jana!
Tum ho bholi si ik larki
aur main lafzon ka jadoo gar
Teray in khamosh labon se haar kay chup ho jaata hoon
Aur yeh duniya wale paagal in ko main kaisay samjhaon
Baahir se chup rehti ho
Par andar se tum bol rahi ho
Ik darwaza band hai lakin so darwaze khol rahi ho
Aur yeh sab kuch jaan kay bhi main duniya ko samjha na paaon
Lafaz teray dohraa na paaon
Theek hai bholi bhaali larki
Ab jo kehna mujh se kehna an jo sunana mujh se sunana
Duniya youn bhi yeh kehti hai
Tum masoom si guriya jaisi
Tum ko baatein kab ati hain
Poet : Arshad Malik