Jun 4, 2016

Daikha to tha youn hi kisi ghaflat sha'aar ne


Daikha to tha youn hi kisi ghaflat sha'aar ne 
Dewana kar diya dil-e-be'ikhtiyar ne 

Ae aarzu kay dhundlay khawabo ! jwab do 
Phir kis ki yaad aayi thi mujh ko pukarnay 

Tujh ko khabar nahin , magar ik sada loh ko 
Bar'baad kar diya teray do din kay pyar ne 

Main , aur tum se  tark-e-mohabbat ki aarzu 
Dewana kar diya hai gham-e-roz'gaar ne 

Ab ae dil bata tera kya khayal hai 
Hum to chalay thay ka'kal geeti sanwarnay 

Jurm-e-ulfat pe hamein log saza detay hain


Jurm-e-ulfat pe hamein log saza detay hain 
Kaisay na'daan hain sholon ko hawa detay hain 

Hum se dewanay kahin tark-e-wafa kartay hain 
Jaan jaye keh rahay , baat nibha detay hain 

Aap doulat kay tarazu main dilon ko tolein 
Hum mohabbat se mohabbat ka sila detay hain 

Takhat kya cheez hai aur laal-o-jawahir kya hain 
Ishq walay to khudai bhi luta detay hain 

Hum ne dil de bhi diya , ehad-e-wafa lay bhi liya 
Aap ab shouq se de lain jo saza detay hain 


Yeh mehlon yeh takhton yeh tajon ki duniya


Yeh mehlon yeh takhton yeh tajon ki duniya 
Yeh insan kay dushman samajon ki duniya 
Yeh doulat kay bhookay rawajon ki duniya 

Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai 

Her ik jisam ghayel her ik rooh payasi
Nigahon main uljhan dilon main udasi 
Yeh duniya hai ya aalam-e-bad'hawasi 

Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai 

Yahan ik khilona hai insan ki hasti 
Yeh basti hai murda paraston ki basti !
Yahan par to jeewan se hai mout sasti 

Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai 

Jawani bhatakti hai bad'kaar ban kar 
Jawan jism sajtay hain bazar ban kar 
Yahan pyar hota hai be-o-paar ban kar 

Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai 

Jala do issay phoonk dalo yeh duniya 
Meray samnay se hat'ta lo yeh duniya 
Tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya 

Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai   


Ashkon main jo paya hai , woh geeton main diya hai


Ashkon main jo paya hai , woh geeton main diya hai 
Us par bhi suna hai keh zamanay ko gila hai 

Jo taar se nikli hai , woh dhun sab ne suni hai 
Jo saaz pe guzri hai woh kis dil ko pata hai 

Hum phool hain , auron kay liye laye hain khushbu 
Apnay liye lay de kay bas ik dagh mila hai 


Tum chali jao gi , par'chaiyan reh jayein gi


Tum chali jao gi , par'chaiyan reh jayein gi 
Kuch na kuch husan ki rainayan reh jayein gi 

Tum keh is jheel kay sahil pe mili ho mujh se 
jab bhi dekhon ga  yahin mujh ko nazar ayo gi 

Yaad mit'ti hai na manzir koi mitt sakta hai 
Door ja kar bhi tum apnay ko yahin pao gi 

Ghull kay reh jaye gi jhonkon main badan ki khushbu
Zulf ka aks ghat'taon main rahay ga sadiyon 

Phool chupkay se chura lain gay labon ki surkhi 
Yeh jawan husan fizaon main rahay ga sadiyon 

Is dharakti hui shadaab-o-haseen wadi main 
Yeh na samjho keh zara dair ka qissa ho tum 

Ab hamesha kay liye meray muqaddar ki tarah 
In nazaron kay muqaddar ka bhi hissa ho tum 

Tum chali jao gi par'chaiyan  reh jayein gi !
Kuch na kuch husan ki rainaiyan reh jayein gi 

Yeh wadiyan , yeh fizaein bulaa rahi hain tumhein


Yeh wadiyan , yeh fizaein bulaa rahi hain tumhein
Khamoshiyon ki sadaein bulaa rahi hain tumhein

Taras rahay hain jawan phool hont choonay ko
Machal machal kay hawaein bulaa rahi hain tumhein

Tumhari zulfon se khushbu ki bhanak lenay ko 
Jhuki jhuki si ghata'ein bulaa rahi hain tumhein 

Haseen champ'pai Pair'ron ko jab se dekha hai 
Nadi ki mast adaein bulaa rahi hain tumhein 

Mera kaha na suno , un ki baat to sun lo 
Her aik dil ki dua'ein bulaa rahi hain tumhein 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...