Jun 2, 2016

Jo baat tujh main hai , teri tasveer main nahin


Jo baat tujh main hai , teri tasveer main nahin

Rangon main tera aks dhala to na dhal saki
Sanson ki aanch jisam ki khushbu na dhal saki
Tujh main jo loch hai meri tehreer main nahin

Be'jaan husan main kahan raftaar ki adaa
Inkaar ki adaa hai na iqraar ki adaa
 Koi lachak bhi zulf-e-girah geer mian nahin 

Duniya main koi cheez nahin hai teri tarah 
Phir aik baar samnay aa jaa kisi tarah 
Kya aur ik jhalak meri taqdeer main nahin 

Raat bhi hai kuch bheegi bheegi


Raat bhi hai kuch bheegi bheegi 
Chand bhi hai kuch madham madham 

Tum ayo to aankhein kholay 
Soi hui payal ki chham chham 

Kis ko bataein kaisay bataein 
Aaj ajab hai dil ka aalam 

Chain bhi hai kuch halka halka 
Dard bhi hai kuch madham madham 


Yeh zulf agar khul kay bikhar jaye to acha


Yeh zulf agar khul kay bikhar jaye to acha 
Is raat ki taqdeer sanwar jaye to acha 

Jis tarah se thori si teray saath katti hai 
Baqi bhi isi tarah guzar jaye to acha 

Duniya ki nigahon main bura kya hai bhala kya
Yeh bojh agar dil se utar jaye to acha 

Waisay to tum hi ne mujhay barbaad kiya hai 
Ilzaam kisi aur kay sar jaye to acha 
 

Parbaton kay pairron par shaam ka basera hai


Parbaton kay pairron par shaam ka basera hai  
Sur'mai ujaala hai , cham'pai andhera hai 

Dono waqat miltay hain do dilon ki surat main 
Aasman ne khush ho kar rang sa bakhaira hai 

Thehray thehray pani main geet sar'saratay hain 
Bheegay bheegay jhonkon main khushbu'on ka daira hai 

Kiyon na jazab ho jayein is haseen nazaray main 
Roshni ka jhurmat hai , mastiyon ka ghaira hai

Mujhay galay se laga lo bhout udaas hoon main


Mujhay galay se laga lo bhout udaas hoon main 
Gham-e-jahan se churra lo bhout udaas hoon main 

Yeh intizar ka dukh ab saha nahin jata 
Tarap rahi hai mohabbat raha nahin jata 
Tum apnay paas bula lo bhout udaas hoon main 

Her ik saans main milnay ki payas palti hai 
Sulag raha hai badan aur rooh jalti hai 
Bachaa sako to bachaa lo bhout udaas hoon main 

Bhatak chuki hoon bhout zindagi ki rahon main 
Mujhay ab aa kay chupa lo bhout udaas hoon main 
Mera sawal na talo bhout udaas hoon main

Apna dil paish karon , apni wafa paish karon


Apna dil paish karon , apni wafa paish karon 
Kuch samjh main nahin aata tujhay kya paish karon 

Teray milnay ki khushi main koi naghma chairon
Ya teray dard-ej-udai ka gila paish karon 

Meray khawabon main bhi tu , meray khayalon main bhi tu 
Kon si cheez tujhay tujh se juda paish karon 

Jo teray dil ko lubhaye woh ada mujh main nahin 
Kiyon na tujh ko koi teri hi adaa paish karon 

Naghma-o-shair ki soghaat kissay paish karon


Naghma-o-shair ki soghaat kissay paish karon 
Yeh chalaktay huye jazbaat kissay paish karon 

Shokh aankhon kay ujalon ko lutaon kis par 
Mast zulfon ki siyah raat kissay paish karon 

Garm sanson main chuppay raaz bataon kis ko 
Narm honton main dabbi baat kissay paish karon 

Koi hum'raaz to paon koi hum'dam to milay 
Dil ki dharkan kay isharaat kissay paish karon 


Jayein to jayein kahan , samjhay ga kon yahan


Jayein to jayein kahan 
Samjhay ga kon yahan , dard bharray dil ki zuban 

Jayein to jayein kahan 

Ma'yousiyon ka maj'ma hai jee main 
Kya reh gaya hai is zindagi main 

Rooh main gham , dil main dhuwan 
Jayein to jayein kahan  

Un ka bhi gham hai apna bhi gham hai 
Ab dil kay bachnay ki umeed kam hai 

Aik kashti so toofan 
Jayein to jayein kahan 



Unhein kho kar dukhay dil ki dua se aur kya mangon


Unhein kho kar dukhay dil ki dua se aur kya mangon 
Main hairaan hoon keh aaj apni wafa se aur kya mangon 

Gir-e-baan chaak hai , aankhon main aansu lab pe aahein hain 
Yeh kafi hai duniya ki hawa se aur kya mangon 

Meri bar'badiyon ki daastan un tak ponch jaye 
So us kay mohabbat kay Khuda se aur kya mangon

Mujhay galay se laga lo bhout udaas hoon main


Mujhay galay se laga lo bhout udaas hoon main 
Ghma-e-jahan se chura bhout udaas hoon main 

Yeh intizar ka dukh ab saha nahin jata 
Tarap rahi hai mohabbat raha nahin jata 
Tum apnay paas bula lo bhout udaas hoon main 

Her ik saans main milnay ki payas palti hai 
Sulag raha hai badan aur rooh jalti hai
Bachaa sako to bachaa lo bhout udaas hoon main   

Bhatak chuki hoon bhout zindagi ki rahon main 
Mujhay ab aa kay chupa lo bhout udaas hoon main 
Mera sawal na talo bhout udaas hoon main

Zindagi bhar nahin bhoolay gi woh barsaat ki raat


Zindagi bhar nahin bhoolay gi woh barsaat ki raat 
Aik anjaan haseena se mulaqat ki raat 

Haye woh reshmi zulfon se barasta pani 
Phool se galon pe ruknay ko tarasta pani 

Dil main toofan uthaye huye jazbaat ki raat 
Zindagi bhar nahin bhoolay gi woh barsaat ki raat 

Darr kay bijli se achanak woh lipatna us ka 
Aur phir sharam se bal kha kay simat'na us ka 

Kabhi daikhi na suni aisi tilismaat ki raat 
Zindagi bhar nahin bhoolay gi woh barsaat ki raat 

Surkh aanchal ko daba kar jo nichora us ne 
Dil pe jalta hua ik teer sa chora us ne 

Aag pani main lagatay huye halaat ki raat 
Zindagi bhar nahin bhoolay gi woh barsat ki raat 

Meray naghmon main jo basti hai woh tasveer thi woh 
No'jawani kay haseen khawab ki tabeer thi woh 

Aasmano se utar ayi thi jo raat ki raat 
Zindagi bhar nahin bhoolay gi woh barsaat ki raat 

Jeewan kay safar main raahi , miltay hain bichar janay ko


Jeewan kay safar main raahi , miltay hain bichar janay ko 
Aur de jatay hain yaadein tanhai main tarpanay ko 

Ro ro kay inhein rahon main khona para ik apnay ko 
Hans hans kay in hi rahon main apnaya tha be'ganay ko 

Ab sath na guzrein gay hum lakin yeh fiza wadi ki 
Dohrati rahay gi barson bhoolay huye afsanay ko 

Tum apni nayi duniya main kho jao paraye ban kar
Jee paye to hum jee lain gay , marnay ki saza panay ko

Main ne chand aur sitaron ki tamana ki thi


Main ne chand aur sitaron ki tamana ki thi 
Mujh ko raaton ki siyahi kay siwa kuch na mila

Main woh naghma hoon jissay pyar ki mehfil na mili 
Woh musafir hoon jissay koi bhi manzil na mili 

Zakham paye hain baharon ki tamana ki thi 
Main ne chand aur sitaron ki tamana ki thi 

Kisi gaisu kisi aanchal ka sahara hi nahin 
Raastay main koi dhundla sa sitara hi nahin 

Meri nazron ne nazaron ki tamana ki thi 
Main ne chand aur sitaron ki tamana ki thi 

Dil main na'kaam umeedon kay baseray paye 
Roshni lenay ko nikla to andheray paye 

Rang aur noor kay dharon ki tamana ki thi 
Main ne chand aur sitaron ki tamana ki thi 

Tum na janay kis jahan main kho gaye


Tum na janay kis jahan main kho gaye 
Hum bharri duniya main tanha ho gaye

Mout bhi aati nahin 
Aas bhi jaati nahin 

Dil ko yeh kya hua 
Koi shay bhaati nahin 

Aik jaan aur laakh gham 
Ghatt kay reh jaye na dam 

Ayo tum ko daikh lain !
Doobti nazron se hum 

Tum na janay kis jahan main kho gaye 
Hum bharri duniya main tanha ho gaye

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai


Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 
Keh jaisay tujh ko banaya gaya hai meray liye 

Tu ab se pehlay sitaron main bas rahi thi kahin 
Tujhay zameen pe bulaya gaya hai meray liye 

Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 

Keh badalti yeh nigahein meri amanat hain 
Yeh gaisu'on ki ghanni chaon hai meri khatar 

Yeh hont aur yeh banhein meri amanat hain 
Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 

Keh jaisay bajti hain shehnaiyan si rahon main 
Sohaag raat hai ghoongat utha raha hoon main 

Simat rahi hai tu sharma kay apni banhon main 
Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 

Keh jaisay tu mujhay chahay gi umar bhar youn hi 
Keh luttay gi meri taraf pyar ki nazar youn hi 

Main jaanta hoon keh to ghair hai magar youn hi 
Kabhi kabhi meray dil main khayal aata hai 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...