Jun 10, 2014

Jo daagh dil pe lagay un ko mita kar jeetay


Jo daagh dil pe lagay un ko mita kar jeetay
KAisay hum un ki jafaon ko bhula kar jeetay 

Baat karnay kay liye kis ka waseela chahtay 
Ya to pathar ka koi butt hi bana kar jeetay 

Na andhaira na sawaira  na kiran ki koi umeed 
Aisi halat main kahan khud ko jaga kar jeetay 

Janay wala koi subha ka bhoola nahin tha 
Warna darwazay pe shamma jala kar jeetay 

Rang pheekay thay chaman main bhi gulon ky warna
Ashiyaan shaakh-e-gulistaan pe bana kay jeetay

Na koi had hai ulfat main aza'dari ki 
Na hi lazam tha keh hum ansoo baha kar jeetay

Zindagi bhi to badalti hai thikaanay shoukat 
Warna mumkin tha galay is ko laga kar jeetay

Ghalti meri thi us ne mujhay chaha hi nahin


Ghalti meri thi 

Us ne mujhay chaha hi nahin 
Main chahat samjh baitha 

Ghalti meri thi 

Us ki pal bhar ki muskurahat ko piyaar samjh baitha 

Ghalti meri thi 

Woh to her baat pe haan karti thi 
Main hi iqraar samjh baitha 

Ghalti meri thi 

Us ne mujh se ziada ehmiyat di meray doston ko
Main us ki yeh ada mazaaq samjh baitha 

Ghalti meri thi 

Us ne kaha bhi tha koi aur hai meri zindagi main 
Main hi khud ko us ki zindagi samjh baitha 

Ghalti meri thi 

Agar woh piyaar kar leti mera daman pakar leti


Agar woh piyaar kar leti
Mera daman pakar leti
To jeevan main faqat us se 
Mohabbat farz ho jati 
Mohabbat qarz ho jati 

Magar

Acha kiya us ne 
Mujhay samjh ky chal nikli
Mujhay thukra ky chal nikli 
Bhout nadaan si hai woh
Abhi anjaan si hai woh
KAhan maloom hai us ko
Mohabbat zindagi main bas
Faqat ik baar milti hai
Agar thukra ky chal niklain 
To umrain beet jati hain 
Mohabbat ki taman'na main 

Magar 

Her aik rastay pe
Sirf ruswai milti hai
Faqat tanhai milti hai

Yaro kisi qatal se kabhi piyaar na mango


Yaro kisi qatal se kabhi piyaar na mango
Apnay hi galay kay liye talwaar na mango 

Gir jayo gy tum apnay maseeha ki nazar main 
Mar kar bhi ilaaj-e-dil-e-bemaar na mango 

Khul jaye ga is tarah nighahon ka bharam bhi 
Kaanton se kabhi phoolon ki mehkaar na mango 

Sach baat pe milta hai sada zehar ka payala 
Jeena hai to phir jurrat-e-izhaar na mango 

Us cheez ka kiya zikar jo mumkin hi nahin hai 
Sehra main kabhi saya-e-dewaar na mango

Ajeeb karb main guzri , jahan jahan guzri


Ajeeb karb main guzri , jahan jahan guzri 
Agarchay chahney walon ky darmiyaan guzri 

Tamaam umar jalatay rahay chiraagh-e-umeed 
Tamaam umar umeedon ky darmiyaan guzri

Guzar gai jo teray sath , yaad gaar hai woh 
Teray baghair jo guzri , balaa-o-jaan guzri

Mujhay sakoon muyassar nahin to kiya gham hai 
Gulon ki uamr to kaanton ky darmiyaan guzri

Ajeeb cheez hai , yeh gardish-e-zamana bhi 
KAbhi zameen pe , kabhi misl-e-asmaan guzri

Tumhain paa kar khona meray bas main nahin


Tumhain paa kar khona meray bas main nahin 
Ab koi aur zakham pirona meray bas main nahin 

Ek umar tak dhoya hai dil ky daaghon ko 
Ab yeh daagh dhona meray bas main nahin 

Jaag chukay hain bhout shab ki tanhaion main keh 
Ab raton ko sona meray bas main nahin 

Kushiyon ki aakhri umeed ly ky aya hoon teray dar pe
Dukhon main ab rona meray bas main nahin 

Teray baad nazar ati nahin mujhay koi bhi manzal 
Kisi aur ka hona ab meray bas main nahin

Teri Kushboo ka pata karti hai


Teri kushboo ka pata karti hai
Mujh pe ehsaan hawa karti hai

Shab ki tanhai main ab to aksar 
Guftagoo tujh se raha karti hai 

Dil ko us raah pe chalna hi nahin 
Jo mujhay tujh se juda karti hai 

Zindagi meri thi lakin ab to 
Teray kehnay main raha karti hai 

Us ne dekha hi nahin warna yeh aankh 
Dil ka ehwaal kaha karti hai

Be'niaz-e-kaf-e-dariya ang'gasht 
Rait pe naam likha karti hai 

Shaam partay hi kisi shakhs ki yaad 
Koocha-e-jaan main sada karti hai 

Mujh se bhi us ka hai waisa hi salook 
Haal jo tera , ana karti hai 

Dukh hua karta hai kuch aur bayaan 
Baat kuch aur hua karti hai 

Abar barsay to inayat us ki 
Shaakh to siraf dua karti hai

Masla jab bhi uthay chiraghon ka 
Faisala sirf hawa kari hai 

Us ne kaha mujh se kitna pyaar hai


Us ne kaha mujh se kitna pyaar hai 
MAin ne kaha sitaron ka koi shumaar hai 

Us ne kaha kon tumhain hai bhout aziz 
Main ne kaha jdil pe jissay ikhtiyaar hai 

Us ne kaha kon sa tohfa hai pasand 
Main ne kaha woh samaa jo ab tak udhaar hai 

Us ne kaha sath kahan tak nibhayo gy
Main ne kaha jitni yeh saansain ki taar hai 

Us ne kaha mujh ko yakeen aye kis tarah 
Main ne kaha mera naam hi aitbaar hai

Hijar ki shab main qaid karay ya subha wisaal main rakhay


Hijar ki shab main qaid karay ya subha wisaal main rakhay
Acha Mola ! teri marzi tu jis haal main rakhay 

Khail yeh kaisa khail rahi hai dil se teri mohabbat 
Ik pal sarshari de aur din malaal main rahay 

Main ne sari kushbo'ein aanchal se baandh ky rakhein
Shayed in ka zikar tu apnay kisi sawaal main rakhay 

Kisi se teray aanay ki sargoshi ko suntay hi 
MAin ne kitnay phool chunay aur apni shaal main rakhay 

Mushkal ban kar toot pari hai dil par yeh tanhai 
Ab janay yeh kab tak is ko apnay jaal main rakhay  

Kaati hai gham ki raat baray ehtaraam se


Kaati hai gham ki raat baray ehtaraam se
Aksar bhujha liya hai chraghon ko shaam se

Roshan hai apni bazam Aur isi ehtaraam se
Kuch dil bhi jal rahay hain chraghon ky naam se

Mudat hui hai khoon-e-tamana kiye magar 
Ab tak tapak raha hai lahoo dil ky jaam se

Subha-e-bahaar hum ko bulati rahi magar 
Hum khailtay rahay kisi damakti shaam se

Her saans par hai mout ka pehra laga hua 
Ahista Ae hayat guzar is maqaam se

Kati tamaam umar fraib-e-bahaar main 
Kaantay smait'ty rahay phoolon ky naam se

Yeh aur baat hai keh hum na sun sakey
Awaaz us ne di hai hamain her makaam se

Raaton main agar na ashk bahaun to kiya karoon


Raaton main agar na ashk bahaun to kiya karoon
Ek pal bhi us ko bhool na payon to kiya karoon 

Main ne suna hai us ko andheray nahin pasand 
Raahaon main ab main dil na jalaon to kiya karoon 

Tum hi kaho chor de Jab zindagi bhi sath 
Phir mout ko galay na lagaon to kiya karoon 

Socha tha keh chor doon un ki gali
Lakin kahin qaraar na payoon to kiya karoon 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...