May 9, 2016

Shayed khizaan kay khouf se roya hai koi gul




Shayed khizaan kay khouf se roya hai koi gul

Bheega hua hai aaj aanchal bahaar ka

Koi atkaa hua hai pal shayed



Koi atkaa hua hai pal shayed 

Waqat main par gaya hai bal shayed

Dil agar hai to dard bhi ho ga 

Is ka koi nahin hai hal shayed 

Bujhti shaam se poocha main ne




Bujhti shaam se poocha main ne 
Jis ko bichray 
Muddat beeti 
Kuch to bata woh kaisa hai 
Kiya ab us ki aankhon main 
Kahin mera aks bhi basta hai
Kar kay yaad woh meri baatain 
Rotay rotay hansta hai 
Kuch dair to shaam khamosh rahi 
Phir hans kay mujhay woh kehnay lagi
Dukh jis ka tujhay youn dasta hai 
Teri had se door kahin 
Woh shakhs ab saath kisi kay hansta hai 

Matlab kay bazar main biktay hain sab rishtay





Matlab kay bazar main biktay hain sab rishtay 

Jo sahi qeemat lagta hai , usi kay ho jatay hain sab

Meri her ik ada main chupi thi us ki mohabbat







Meri her ik ada main chupi thi us ki mohabbat 
Us ne mehsoos na kiya yeh aur baat hai

Main ne her dam us kay khwaab dekhye 
Mujhay tabeer na mili yeh aur baat hai 

MAin ne jab bhi us se baat karna chahi
Mujhay alfaaz na milay yeh aur baat hai

MAin is ki mohabbat main bhout door tak gaya
Mujhay sahil na mila yeh aur baat hai

Qudrat ne to likha tha ussay meri qismat main 
Lakin hum na thay us ki qismat main yeh aur baat hai


Kisi ki yaad dil main hai koi ehsaas baaqi hai




Kisi ki yaad dil main hai koi ehsaas baaqi hai 
Badaltay mousam kay darmiyaan ek raaz baaqi hai 

Abhi main safar main hoon milay gi manzil mujhay 
Magar in raaton kay darmiyaan ek saath baaqi hai 

Kahin pe shaam dhalti hai kahin raat hoti hai
Abhi to chaand hai chandani raat baqi hai

Chalay aao kisi din tum hamara haal bhi dekho
Hamara jisam murda hai magar ik saans baaqi hai

Umeed hai phir bhi milay ga woh hamain ek din 
Khuda par hai bharosa , Khuda ki zaat baaqi hai

Her cheez dastiyaab hai duniya jahan ki




Her cheez dastiyaab hai duniya jahan ki 

Lakin teri kami ka azaala na ho saka

Woh dil nawaz hai lakin nazar shanaas nahin







Woh dil nawaz hai lakin nazar shanaas nahin 
Mera ilaaj meray chara gar kay paas nahin 

Tarap rahay hain zubano par kai sawal magar 
Meray liye koi shayaan-e-iltamaas nahin 

Teray jaloo main bhi kaamp kaamp uth'ta hai 
Meray mizaaj ko asoodagi bhi raas nahin 

Kabhi kabhi jo teray qurb main guzray thay 
Ab un dino ka tasawur bhi meray paas nahin 

Guzar rahay hain ajab marhalon se deed-o-dil
Sehar ki aas to hai zindagi ki aas nahin 

Mujhay to dar hai teri aarzoo na mit jaye 
Bhout dino se tabiyat meri udaas nahin

Itna sa yaad rakh mujhay, jaisay kisi kitaab main





Itna sa yaad rakh mujhay
Jaisay kisi kitaab main 
Beetay dino kay dost ka 
Ek khat para hua mila 
Lafz mittay mittay se hon 
Rang ura ura sa ho 
Lakin woh ajnabi na ho 
Bhoolay huye tamaam dukh 
Guzray huye tamaam sukh 
Beetay dino ka sab kuch 
Tujh se kahay aur ro paray 
Bas itna sa yaad rakh mujhay 
Keh jab kabhi baat'be'baat
Yaad hamari aa jaye 
To thora sa muskura lena 
Aur dil ko yeh samjha lena 
Nadaan sa tha par acha tha 
Aik dost hamara sacha tha

Ab kay us ki aankhon main be'sabab udaasi thi




Meray naam se pehlay 

Ab kay us ki aankhon main 
Be'sabab udaasi thi 
Ab kay us kay chehray par 
Dukh tha be'hawasi thi 
Ab kay youn mila mujh se 
Youn ghazal suni jaisay 
MAin bhi na'shnasa hoon 
Woh bhi ajnabi jaisay 
Zard khaal-o-khad us kay 
Sogawaar daman tha 
Ab kay us kay lehjay main 
Kitna khurdara pan tha 
Woh keh umar bhar jis ne 
Shaher bhar kay logon main 
Mujh ko hum'sukhan jana 
Dil se aasha likha 
Khud se meharbaan samjha
Mujh ko dil'ruba likha
Ab kay sada kaaghaz par
Surkh rosh'nai se
Us ne talkh lehjay main 
Meray naam se pehlay 
Sirf be'wafa likha 


Jitna diya hum ne tera saath bhout hai


Ek be'wafa se aik mulaqaat bhout hai
Jitna diya hum ne tera saath bhout hai 

Duniya ko dil kay daagh dikhaon to kis tarah 
Ae zindagi yeh raaz chupaon to kis tarah

Apni tabahiyon main mera haath bhout hai 
Jitna diya hum ne tera saath bhout hai 

Toota jo dil ka aaina tootay sabhi bharam
Hoti hai umar pyaar ki jeenay kay liye kam

Marnay kay liye dard ki raat bhout hai 
Jitna diya hum ne tera saath bhout hai 

Meri palkon pe khwaab sajanay walay







Meri palkon pe khwaab sajanay walay

Khush raho hamain tanha chor kar janay walay 

Main ussay bhool kar zinda rahoon yeh mumkin hai ?

Kiya kahain gay yeh barbaad zamanay walay 

Hansta chehra dekh kar tu khush na hua kar 

Dil main rakhtay hain dard muskuraanay walay 

Ussay to khud se hi fursat nahin milti 

Aik hum bhi thay kabhi us kay chahnay walay 

Mujhay yeh jaan kar aaj bhout dukh poncha 

Afsurda rehtay hain hum se daman churanay walay 

Kuch yaadain hoti hain dil se laganay wali 

Kuch log hotay nahin dil se bhulanay walay 

Us ko mera halka sa ehsaas to hai



Us ko mera halka sa ehsaas to hai 
Be'dard sahi woh mera hamraaz to hai 

Woh aaye na aaye meray paas lakin 
Shiddat se mujhay us ka intizaar to hai 

Abhi nahin to kiya hua mil hi jaye ka kabhi
Meray dil main us se milnay ki aas to hai 

Mohabbat ki gawahi meri aankhon se na maang 
Barasti nahin aankhain magar dil udaas to hai 

Mohabbat khouf hoti hai



Mohabbat khouf hoti hai 
Kabhi nadaan karti hai 
Kabhi hairaan karti hai 
Mujhay maloom hai shayed
Bhout nuqsaan karti hai 
Yeh ghar veeraan karti hai 
Jahan hon ronaqein ziyada 
Woh dil sunsaan karti hai 
Magar ab sun meray hamdam 
Mujhay karni mohabbat hai 
Mohabbat woh haqeeqat hai 
Jo dil abaad karti hai 
Mohabbat jeet hoti hai 
MAgar yeh haar jaati hai 
Kabhi dil soz lamhon se 
Kabhi be'kaar rasmon se 
Mohabbat khud nahin marti 
Mohabbat maar deti hai

Meri hasrat kay janazay ko uthanay walay




Meri hasrat kay janazay ko uthanay walay
Kitnay barbaad hain yeh log zamanay walay 

Koi apna nahin matlab ki hai duniya saari
Ab kahan miltay hain woh yaar puranay walay 

Main dua go hoon sadaa neendein hon mubarak tujh ko 
Hijar ka dard mujhay de kar jaganay walay 

Bas yahi soch kar her baar manata hoon ussay 
Loat kay aatay nahin rooth kar janay walay 

Hamaray seenay main kabhi jhaank kar dekho to sahi
Kitnay afsurda hain auron ko hansaanay walay

Kaash koi aisa ehal-e-dil hota jo meri aarzoo karta




Kaash koi aisa ehal-e-dil hota jo meri aarzoo karta 

Kho jaata agar main kahin , to meri justagoo karta 

MAin us kay zehan-o-dil main kuch is tarah sama jaata 

Keh lab jab bhi kholta meri justagoo karta

Kahin milay to yeh baat ussay kehna




Kahin milay to yeh baat ussay kehna 

Ab koi nahin karta mujh se baat ussay kehna 

Ab nahin dekhta koi chaand ko meray liye 

Ab tanha hi guzar jaati hai raat ussay kehna 

Ab neend ne bhi kar li hai hum se dushmani 

Ab koi nahin jaagta meray saath ussay kehna 

Ab door tak koi saathi nazar nahin aata mujhay 

Tanha hi guzar rahi hai yeh hayaat ussay kehna 

Zameen kay saath us ne bhi hamain chor diya hai 

Aur badal gaye hain woh saray halaat ussay kehna

Agar main hadh se guzar jaaon to mujhay maaf kar dena




Agar main hadh se guzar jaaon to mujhay maaf kar dena 
Teray dil main utar jaaon to mujhay maaf kar dena 

Youn hi gussay main aa kar daant dena to meri aadat hai 
Agar main aisa kar jaaon to mujhay maaf kar dena 

Raastay main tujhay dekh kar teri deed ki khatar 
Pal bhar jo tehar jaaon to mujhay maaf kar dena 

Apnay jazbaat se likhi hui yeh shokh tehreer 
Teray naam kar jaaon to mujhay maaf kar dena 

Teri pal bhar ki judai mujhay jeenay nahin deti 
Teray bin jo main mar jaaon to mujhay maaf kar dena 

Gum sum sa yeh din khoob guzra pata hi na chala




Gum sum sa yeh din khoob guzra pata hi na chala 

Bas khoye thay kisi kay khayalon main keh aaj phir shaam ho gayi

Yaad aayon to bas itni si inayat karna




Yaad aayon to bas itni si inayat karna 

Apnay badlay huye lehjay ki wazahat karna 

Tum to chahat ka shah'kaar hua kartay thay 

Kis se seekha hai yeh ulfat main milaawat karna 

Hum sazaaon kay haq'daar banay hain kab se 

Tum hi keh do jurm hai kya mohabbat karna 

Teri ulfat main yeh aankhain abhi tak nahin soten

Kabhi aana meri aankhon ki ziyarat karna

Chaand, suraj aur sitaaray ajnabi




Chaand, suraj aur sitaaray ajnabi 

Ik musaafir sab nazaray ajnabi 

Mojza hai gardish-e-halaat ka 

Shaher apna log saray ajnabi

Ajnabiyat ka taaluq bhi khoob hai 

Hum tumharay tum hamaray ajnabi 

Jaan kay dushman hamaray aashna 

Aashnaa saray kay saray ajnabi 

Zindagi ki talkhiyaan hain hum'nasheen 

Phool , khushboo rang saray ajnabi 

Woh jissay hum ne apni pehchaan di 

Aaj woh hum ko pukaaray ajnabi

Ab agar aao to janay kay liye mat aana




Ab agar aao to janay kay liye mat aana 

Sirf ehsaan jatanay kay liye mat aana 

MAin ne palkon pe tamanayen saja rakhi hai 

Dil main umeed ki shannain jala rakhi hain 

Pyaar ki aag main zanjeer pighal sakti hai 

Chahnay walon ki taqdeer badal sakti hai 

Tum hi be'bas yeh batanay kay liye mat aana 

Ab tum aana jo tumhain mujh se mohabbat hai koi 

Mujhay milnay ki agar tum ko bhi chahat hai koi 

Tum koi rasam nibhaanay kay liye mat aana 

Ab aagar aao to jaanay kay liye mat aana

Ho talluq to rooh se ho




Ho talluq to rooh se ho 

Dil to aksar bhar hi jaatay hain

Teray hi khayal main raat guzar jaati hai




Teray hi khayal main raat guzar jaati hai

Be'basi kay haal main raat guzar jaati hai

Tu mujhay yaad karta hai keh nahin

Isi sawal main raat guzar jaati hai

Teray chehray ka aks zehan main banaata hoon

Tasawur-e-hilaal main raat guzar jaati hai

Tumhain chaand kahon ya chaand jaisa  kahon

Sochon kay jaal main raat guzar jaati hai

Kaash keh tu her waqat meray saath rahay

Khwaish-e-kamal main raat guzar jaati hai

Woh ik masoom si chahat, woh ik be'naam si ulfat




Woh ik masoom si chahat

Woh ik be'naam si ulfat

Woh meri zaat ka hissa

Woh meri zeest ka qissa

Mujhay mehsoos hota hai

Woh meray paas hai ab bhi

Woh jab jab yaad aata hai

Nigahon main samaata hai

Zubaan khamosh hoti hai

Magar yeh aankh roti hai

Main khud se pooch leta hoon

Jissay main yaad karta hoon

Ussay kiy apyaar tha mujh se

Jawaban soch leta hoon

Ussay bhi pyaar tha shyed

Isi Shayed se wabasta hai ab to her khushi meri

Yeh ek lafaz shayed

ban gaya hai zindagi meri

Apna hissa shumaar karta tha, Mujhay woh itna pyaar karta tha




Apna hissa shumaar karta tha
Mujhay woh itna pyaar karta tha

Woh banata tha meri tasveeren
Un se baatein hazaar karta tha

Mera dukh bhi khulos-e-niyat se
Apnay dukh main shumaar karta tha

Sach samjhta tha jhoot bhi mera
Youn mera aaitabaar karta tha

Pehlay rakhta tha phool meray raastay main
Phir mera intizaar karta tha

Aaj pehlu main woh nahin dost
Jaan jo mujh pe nisaar karta tha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...