Aug 11, 2014

Bachpan kay hain khwaab suhaanay , titli phool aur main

Kahan se layein ab woh zamanay , titli phool aur main

Dard ruton ki khushboo sanjhi aik hi jaisi rog
Dhoond rahay hain saath puranay , titli phool aur main

Nafrat se hai nafrat hum ko , pareet hamari pareet
Pyaar kay hain anmol khazanay , titli phool aur main

Jeevan raah main kon kahan par bichra kiya maloom
Mil letay hain kisi bahanay , titli phool aur main

Chaand , sitaray , khushboo shabnam aur saba
Qudrat kay shah'kaar fasanay , titli phool aur main

Batayo dil ki baazi main bhala kiya baat gehri thi

Kaha youn to sabhi kuch theek tha magar maat gehri thi 

Suno baarish ! kabhi khud se bhi koi barh kay dekha hai 
Jawaab aya ! in aankhon ki magar barsaat gehri hai 

Suno ! peetam ne holay se kaha tha kiya batayo gay 
Jawaab aya ! Kaha to tha magar woh baat gehri thi 

Diya dil ka samandar us ne ! tum ne kiya kiya us ko 
Hamain bas doob jana tha keh woh soghaat gehri thi 

Wafa ka dasht kaisi tha batayo tum pe kiya beeti 
Bhatak jana hi tha hum ko wahan par raat gehri thi 

Tum us kay zikar par kiyon doobay jaatay ho khyalon main 
Rafaqat aur aadat apni us kay saath gehri thi 

Nazar aya tumhain us ajnabi main kiya batayo gay ?
Suno ! Qatal nigahon ki woh zaalim ghaat gehri thi 

Fakhra Batool 

Kon badlay ga taghazal ki fiza meray baad

Kon aandhi main jalaye ga diya meray baad 

Mujh se behtar to huye shola nawa meray 
Meray jaisa na koi aur hua meray baad 

Kon honton se kare ga teri raahon ko salaam 
Kon choomay ga yeh naqash-e-qaf-e-paa mere baad 

Kon ban jaye ga mehtaab-e-barhana par ghatta 
Kon dhaampay ga tujhay misl-e-qaba mere baad 

Kon samjhay ga tujhay apnay sukhan ka ilhaam 
Kon de ga tujhay tazeem-e-hira mere baad 

Faisala likh kay qalam tor diya musif ne 
Phir mohabbat ki na di koi saza mere baad 

Haath phaila kay yahi waqat munasib hai "Adeem"
Kiya kare gi teray honton ki dua meray baad 

Poet : Adeem Hashmi

Aks-e-deed ki phaili hui dhund main

Aks-e-deed ki phaili hui dhund main 
Aankh be'noor hai 
Koi chaara nahin , koi darmaan nahin
Hijar ki hiddaton se sulagtay huye 
Din badaltay nahin 
Manzar jaagti aankh kay taak main 
Khwaab jaltay nahin 
Saahil-e-zehan pe soch kay baad'baan 
Tham kay chaltay nahin 
Chaak siltay nahin 
Gham se jholti hui shaakh hai yahan par 
Phool khiltay nahin 
Be'yaqeeni ki raahon par bichartay huye 
Log miltay nahin 
Jin ki nas nas main hai lazat-e-dard-o-gham bikhartay nahin 
Zakham lagtay hain baarish kay mousam main jo , jald bhartay nahin 
YEh mohabbat bhi zakham aisay mousam ka hai 
YEh mohabbat bhi hai ghayoo barsaat ka 
Bhar bhi jaye agar jisam ki lo se 
Daagh mit'tay nahin 
Yeh mohabbat bhi hai ghayo barsaat ka 

Poet : Shafeeq Ahmed Khan

Dil main lar'zaan hai tera shola-e-rukhsaar ab tak

Meri manzil main nahin raat kay aasaar ab tak 

Phool murjhaa gaye , gul'daan bhi gir kar toota 
Kaisi khushboo main basay hain dar-o-dewaar ab tak 

HAsrat-e-dedaar nihaan hai meray dil main shayed 
Yaad ayi hai mujhay qamat-e-dedaar ab tak 

Woh ujalay ka koi sail-e-rawan tha , kiya tha 
Meri aankhon main hai ik saa'at-e-dedaar ab tak 

Taishaa-e-gham se hui rooh to tukray tukray 
Kiyon salamat hai meray jisam ki dewaar ab tak 

Poet : Shakeb Jalali

Poet : Shakeeb Jalaali

Yeh jo palkon pe rim jhim sitaron ka mela sa hai

Mohabbat ka ik pehar

YEh jo palkon pe rim jhim sitaron ka mela sa hai
Yeh jo aankhin main dukh sukh kay sawan ka raila sa hai
YEh jo teray bina , koi itna akela sa hai
Zindagi teri yaadon se mehka hua shaher hai

Sab mohabbat ka ik pehar hai

Sahilon pe yeh gharonday banay thay hum ne , tumhain yaad hai
Rang baarish main kaisy urraye thay hum ne , tumhain yaad hai
Raaston main diye jalaye thay hum ne , tumhain yaad hai
Aainay kis tarah se sajaye thay hum ne , tumhain yaad hai
Koi khushboo ka jhonka idher aa nikalta kahin
Gum hai neendon kay sehra main khushboo ka raasta kahin
Her khushi atay jaatay huye waqat ki lehar hai

Sab mohabbat ka ik pehar hai

Zindagi dhoop chayon ka ik kahil hai , bheer chat'ti nahin 
Aur isi khail main din guzarta nahin raat kat'ti nahin 
Tum nahin jaantay khwaishon ki musaafat samit'ti nahin 
Pyaar kartay huye aadmi ki kabhi umar ghat'ti nahin 
Dil ki dehleez pe aks , roshan teray naam se 
Rat'jagay aainayon main khilay hain kahin shaam se 
Ik dariya hai chaaron taraf darmiyaan behar hai 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...