Mar 11, 2014

Na manzilon ko na hum raah'guzar ko dekhtay hain


Na manzilon ko na hum raah'guzar ko dekhtay hain 
Ajab safar hai keh bas hum safar ko dekhtay hain 

Hamari dar'badri ka yeh maajra hai keh hum 
Musafiron ki tarah apnay ghar ko dekhtay hain

Koi to baat hai us main Faiz


Koi to baat hai us main Faiz

Her khushi jis pe luta di hum ne

Mujh se mukhlis na waqif meray jazbaat se tha


Mujh se mukhlis na waqif meray jazbaat se tha 
US ka rishta to faqat apnay mufadaat se tha 

Ab jo bichra hai to kya royein judai pe teri
Yeh andesha to hamein pehli mulaqaat se tha

Dil maseeha hai, samajhta hai tabiyat uski


 Dil maseeha hai, samajhta hai tabiyat uski
Narm guftar sahi, talkh hy aadat uski

Tum zara pyar se poocho, k ye qissa kia hy?
Kyun bhala chaand ne, orrhi hy shabaahat uski?

Husan biknay pe jo aaya to, tawayef ban kr
Ek tamashai ne, taiy ki thi, ye qeemat uski

Log itnay b teray shehar k, sachay to nahin
Sun to leni thi, zara dair, wazaahat uski

Dil ye kehta hy, chalo lout chalen, us k nagar
Yaad aati hy, sir_e_shaam rafaaqt uski

Bnai kya "Khuda" ny roshan surat 'Muhammad' Ki,


Bnai kya "Khuda" ny roshan surat 'Muhammad' Ki
Huy aashiq wo jis ny dekh li surat Muhamad ki

Kamal e husn e Yousaf pr faqat aashiq Zulaikha thi
"Khuda" khud jis py aashiq hai wo surat hai "Muhamad" ki

 


Qareeb aa k boht door ho gia woh shakhs



Qareeb aa k boht door ho gia woh shakhs
Na jane kon si dunya mein kho gia woh shakhs!

khyal-o-khawb ki ta'abeer mujhe samjha kr
Meri hi zaat mein mujh ko dabo gia woh shakhs!

Main apne hijar ki raton mein rang kese bharon
Mujhe jaga kr sar-e-sham so gia woh shakhs..!

Apne hi shehar ka log satane lage


Apne hi shehar ka log satane lage

yar apni mahfil se uth kay jane lage

jab b izhar_e_ jazbat chaha main ne

log apna apna dard sunane lage

hamare naam se chalti thi jinki sansein kbhi

aaj wohi hum se nazrein churane lage

kya khabar thi k ik pal mein bichar jaye ga woh

jise apna bnane mein zamane lage

kya karon nazron se hat'ta hi nahi wo manzar

jab haath chhura kr mera woh jane lage

Qissy meri ulfat k jo marqoom hein saray



Qissy meri ulfat k jo marqoom hein saray
Aa dekh tery naam sy mosoom hein saray,


Bs is liay hr kaam adhora hi parra hay,
Khadim bhi meri qoum k makhdoom hein saray,


Ab kon mery paaon ki zanjeer ko kholy?
Hakim meri basti k bhi mehkoom hein saray,


Shayad yeh zarf hy jo khamosh hon ab tak,
Warna to tery aeib bhi maloom hein saray,


Sab jurm meri zaat sy mansoob hein "mohsin",
Kiya mery siwa shehr main masoom hein saray..?
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...