Mar 4, 2014

Wafa ki dastan-e-gham chalo tum ko sunaatay hain


Wafa ki dastan-e-gham
Chalo tum ko sunatay hain
Jo dil par daagh hain apney

Sabhi tum ko dekhatay hain
Suno neend nahin ati
Keh dil betaab rehta hai

Kabhi titli ke kachay rang
Kabhi jugnoo statay hain
Suno jab shaam hoti hai

Andehron se khafa ho kar 
kisi ki yadon ke mandar main
Chragh-e-shab jalatay hain

Bhout khud pe jabar kar ke
Mohabbat ka safar kar ke
Bas itn ajaan paya hoon

Mohabbat mar nahin sakte
Mohabbat maar date hai

Kaash Kisi Udaas Mosam Main


Kaash Kisi Udaas Mosam Main
Meri aankhon pe 
Woh hath rakh de apney 
Aur
Hansatay huaye keh de
Boojh lo to hum tumharay 
Na boojho to tum hamaray

Kuch Bhool hotay hain


Kuch Bhool hotay hain
Waday Kaghaz ke phool hotay hain

Umar bhar juda nahin hotay
Dard bhe baray Ba Asool hotay hain

Guzar gaye bhout din rafaqat-e-shab main

 

Guzar gaye bhout din rafaqat-e-shab main
Ik umar ho gaye  chehara woh chaand sa dekhey

Teray siwa bhe kai raang khush nazar thay Magar
Jo tujhay dekh chuka woh aur kiya dekhay

Us kiAnkhon ko dekhte hoon to sochtee hoon
Nazar ka aisa tiksam kisi dastaan main tha

Qaid main kat gaye jo umar bari kaam ki the
Par main kiya karte keh zangeer teray naam ki the

Main hathon ko patwaar banaya warna
ik tooti hui kasti meray kis kaam ki the

Yeh hawa kaisay uraye ge Aanchal mera
Youn satanay ki to Adat meray Guf shaam ki the

Zindage ke melay main khawaishon ke railay main


Zindage ke melay main
khawaishon ke railay main
tum se kiya kahain janaa
is qadar jhamailay main
waqat ki rawani main
bakhat ki garani main
Shakhat be-Zameeni hai
Sakhat la-makani hai
Hijar ke samandar main
Takhat aur takhatay ki aik he kahani hai
Tum ko jo sunanai hai
Baat goo zara se hai
Baat umar bhar ki hai
Umar bhar ki batain kab 2 ghari main hoti hain
Dard kay samanadar main un-ginat jazeeray hain
Be-sumaar moti hain
Aankh ke dareechay se tum ne jo sajaya tha
Baat us diya ki hai
Baat us Gilay ki hai
Baat takhliya ki hai
Takhliya ki baton main Guftagoo izafi hai
Piyaar karney walon ko bas aik nazar he kafi hai
Ho sakay to sun jayo ik din akelay main
Tum se kiya kahain Janaa is qadar jhamailay main

Dilon ki qaid se azad mohabbat

Dilon ki qaid se Azaad Mohabbat

Mohabbat karney walay aj

Izhar-e-mohabbat kar rahay hain par

Tumharay hath main jo phool hain

Is ko mohabbat kay saheefay main kahin rakh do

Keh Izhaar-e-mohabbat kay liye lamhay muqarar to nahin hotay

Moahabbat to dilon ki qaid se azaad hoti hai

Mohabbat main riwaiyat phool daney ki

Bhout he khoobsurat hai

Magar tum Aaj mujh ko phool mat dena

Taqazay meri chahat ke siwa hain kuch

Keh meray piyaar ki rasmain zamaney se juda hain kuch

Kaisay guzartay hain din aur ratain



Kaisay guzartay hain din aur ratain

Jab apney bhe paraye ho jate hain

In lamhon ka qarb na pooch imran

Jab gum apney he saye ho jatay hain

Youn Anjaney main us se rafaqat si ho gaye



Youn Anjaney main us se rafaqat si ho gaye
Dosti karney chalay aur us se chahat se ho gaye

Woh na ho to main khud se he ulajta hoon
Kiya karoon mujhay us ki adat se ho gaye

Main apney wajood main us ko talash karta hoon
Mujhay us se is qadar mohabbat se ho gaye

Meray pass ayo to jee loon do pal
Meri to her saans us ki amanat se ho gaye

MAin sochta tha us ke Aagay zindage kiya hai
Par ussay chahaney kay liye zindagi kizarorat se ho gaye

Mujh se har baar woh nazrain chura leta hai faraz



Mujh se har baar woh nazrain chura leta hai faraz

Main ne kaghaz par bhe bana ke dekhi hain Aankhain us ki

Subha hui to Aankhain aisay neend se bojhal thein faraz



Subha hui to Aankhain aisay neend se bojhal thein faraz

Jaisay koi jaag raha tha mujh main sari raat

Tujh se milay ki dua lab pe na a jaye kahin



Tujh se milay ki dua lab pe na a jaye kahin

Chaand ko dekh kar youn aankh bacha li hum ne

Yeh tajarba bhe hua hai bujhay chraghon se



Yeh tajarba bhe hua hai bujhay chraghon se

keh her andhera humain dekhna sikhata hai

Yaad kar ke mujhay takleef he hoti ho ge



Yaad kar ke mujhay takleef he hoti ho ge

Aik qisa hoon pura sa bhula de mujh ko

Ab to Aik mudat se hain dewaron ki qaid main


Ab to Aik mudat se hain dewaron ki qaid main

Sath rehtay thay kabhi sehra , samandar aur hum

Woh bewafa na tha



Woh bewafa na tha youn he bad naam ho gaya

Hazaroon chahnay walay thay kis kis se wafa karta

Andaaz apni dekhtay hain Aainay main woh



Andaaz apni dekhtay hain Aainay main woh
Aur yeh bhe dekhtay hain koi dekhta na ho

Apni dua main sirf mujhay mangtay hain woh
Aur yeh bhe mangtay hain koi mangta na ho

Mujh ko pata hai mujh se he kartay hain piyar woh
phir na janey kehnay se kyn dartay hain woh

Her lamha meray baray main he sochtay hain woh
aur yeh bhe sochtay hain koi sochta na ho

Bas mujh ko dil-o-jaan se he chahatay hain woh
Aur yeh bhe chahtay hain koi chahta na ho

Haqeqaton pe hai duniya ko aitaraz bhout


Haqeqaton pe hai duniya ko aitaraz bhout
Keh hai Mizaj-e-zamana fasana saaz bhout

Tera Ghroor-e-Ibadat tujhay na le doobay
Suna hai parhta tha , iblees bhe namaz bhout

Yeh keh rahay thay kal Awargan-e-koocha-e-yaar
Adaein Aj bhe hain us ki dilnawaz bhout

Unhain shahoor-e-mohabbat nahin khuda ki qasam
Jo loag hain teri mehfil main sar faraz bhout

Meri khushi ka zamana hawa ka jhonka tha
Meray Ghamon ki rahi zindage daraz bhout

Ab to jazbaat pe ik baraf jami ho jaisay



Ab to jazbaat pe ik baraf jami ho jaisay
Phir kisi zakham ki is dil main kami ho jaisay


Youn saraboon pe haqeqat ka gumaa hota hai
Teri banhon main koi shaam dhali ho jaisay


Kat na saka mujh se sadiyon main safar lamhon ka
Ik nuqtay pe zameen ghoom rahe ho jaisay


Dekh dewana pan mujhay kis simt le jata hai
Goya jannat na ho ! Dilbar ki gali ho jaisay


Shor kaisa hai khamosh hawaon main Mohsin
Teri awaz mujhay dhoond rahe ho jaisay

kab tak koi uljhe hui zulfoon ko sanwaray




Is shaher-e-Khrabi main Gham-e-ishq ke maray 
Zinda hain yahi baat Bari Baat hai piyaaray

Yeh hansta hua chaand Yeh pur noor sitaray
Tabinda-o-painda hain zaroon kay saharay

Hasrat hai koi guncha humain bhe piyaar se dekhay
Armaan hai koi phool humain bhe dil se pukaray

Her subha meri subha pe roti rahe shabnam
Her raar meri raat pe hanstay rahay sitaray

Kuch aur bhe hain kaam hamain Ae gham-e-janaa
kab tak koi uljhe hui zulfoon ko sanwaray

Woh Mujh pe Ajab Asar Rakhta Hai



Woh Mujh pe Ajab Asar Rakhta Hai

Meray Adhooray Dil ki Khabar Rakhta Hai

Shyed Main Ussay Bhool Jata Magar 

Woh Yaad aney Kay Saray Hunar Rakhta Hai

Meray Intizaar ki raahat ho tum


Meray Intizaar ki raahat ho tum
Meray dil ki chahat ho tum
Tum ho to yeh duniya hai
Main kaisay kahoon keh meray liye kiya ho tum
Chalo main batyon kiya ho tum
Choo kar guzar jaye woh hawa ho tum
MAin ne jo mangi woh dua ho tum
Karay mujh ko jo roshan woh diya ho tum
Fiza main mehakti ik shaam ho tum

Kisi ko Alvida kehna bhout takleef data hai


Judai
Kisi ko Alvida kehna 
Bhout takleef data hai
Umeedain toot jate hain
Yaqeeni na yaqeeni ka kohr kuch aisa charta hai
dikhai kuch nahin deta, sujhaei kuch nahin deta
Dua ke lafaz honthon pe musalsal kap kapatay hain
Kisi khwaish ke andeshay zehan main door jatay hain
Gumaan kuch aisay hota hai
Keh jaisay mil nahin payein ge
Yeh gehray zakham furqat ke
Kisi se sil nahin payain ge
Kabhi aisa bhe hota hai 
YA RAB Duaien maan leta hai
Tu koi mohjaza kar de
Tu aisa kar bhe sakta hai
Meray hathon ki taraf dekh inhain to bhar bhe sakta hai
 Judai ki yeh teekhi dhaar 
Dilon ka khoon karte hai
Judai ki azeat se 
Mera dil ab bhe darta hai
Judai 2 ghari ki bhe ho to
Koi dil ko samjhay
Judai 4 pal ki ho to
Koi dil ko behlaye
Judai umar bhar ki ho to kiya chaara karay koi
Keh ik milney ki hasrat main
Bhala kab tak jeaye koi
Meray Moula
Karam Kar de 
Tu Aisa kar bhe sakta hai
Meray hathon ki janab dekh 
Inhain to bhar bhe sakta hai

Door janey walay to loat kar nahin atay


Door janey walay to
Loat kar nahin atay
Yeh khabar hai mujh ko bhe
Phir bhe aas hai dil main
Is liye teri Khatar
Wapsi ka darwaza 
Main ne khol rakha hai

Meray Humsafar Meray be-khabar




Meray Humsafar

Meray be-khabar

Jahan hum tumharay thay Humqadam

Wahan Aaj bhe

Ae Meray sanam

Meri khwaaishain rahain be-qadar

Meray Aansoo 

bhe ray Be-Asar

Mujhay aksar yeh kehti the



Mujhay aksar yeh kehti the 

Keh itni baar kehtay ho

Mujhay tum se mohabbat hai

Keh ab dil par yeh sunnanay se

asar koi nahin hota

Magar Jab aaj danasta

Nahin bola ussay main ne Keh

Mujhay tum se Mohabbat hai

To us ki Aankh bhar aye

Mohabbat



Ik wafa ko panay ki koshish main

Main ne zakhmi kar de hain

Wafain kitni

Kitna masoom se lagta hai 

Ik lafz Mohabbat

Aur is se muslik hain sazain kitni

Bhout he mudat ke baad kal


Bhout he mudat ke baad kal 
Jab kitab-e-mazi ko main ne khola

Bhout se chehray nazar main utray
Bhout se naamo pe dil tarpa

Aik aisa safha bhe is main aya 
likha hau tha jo Ansoon se

Keh jis ka unwaan Hamsafar tha
Yeh safha sab se he mohtabar tha

Kuch aur Aansoo Phir us pe tapkay
phir us se Aagay main parh na paya

Kitaab-e-mazi ko band kar ke
Usi ki yadoon main kho gaya main

Agar woh milta to kaisa hota 
Aur phir inhi khyalon main so gaya

Us ne tora woh taaluq jo meri zaat se tha



Us ne tora woh taaluq jo meri zaat se tha

Us ko ranj na janey meri kis baat se tha

La taaluq raha logoon kitarah woh bhe

Jo achi tarah waqif meray halaat se tha

Lambi judai



Us se miltay he yeh Ehsaas hua tha mujh ko faraz

Yeh wohi shaks hai jo lambi judai de ga

Apney labon ko dushman -e-izhaar mat bana




Apney labon ko dushman -e-izhaar mat bana

Sachay hain jo unhain gunagaar mat bana

Jitney bhe lafz hain woh mehkatay gulaab hain

Lehjay ke farq se unhain talwaar mat bana

kuch to Ayaam-e-gardish Ayaam ko bhe de

Apney her aik gham ko gahm-e-yaar mat bana

Her aik kay liye khula mat rakh issay Imran

Yeh dil ik ghar hai issay bazaar mat bana


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...