Mar 7, 2014

Ek toota howa shesha hon utha kar rakh lo



Ek toota howa shesha hon utha kar rakh lo
 Kaam aonga mujhe ghar main saja kar rakh lo 

Meri halat pe hanste hain zamane wale
 Aise aalam main mujhe apna bana kar rakh lo

Main bhi ek phool ho jaon ga patti patti
tum utha kar mujhe guldano main saja kar rakh lo

Yaad rakhna keh main tanhai main kaam aaonga.
Main khilona hon mujhe sab se chupa kar rakh lo

Hum nahi pas to tum kun ho pareshan
hamari tasveer ko seene se laga kar rakh lo

Shabnam Laboon Ki Teray ek din churaon ga main


Shabnam Labon ki teray
Ek Din Churaun ga Main
 Zulfon Ko Teri Saya
Ek Din Banaunga Main
Hifazat Karunga Teri
Jab Tak Hai Sanse Baki
Tujhe Chahta Hun Kitna
Ek Din Bataunga Main
Jaagte Hain Jaise
Raat Raat Bhar Hum
Neende Teri Ankhon Se Bhi
Ek Din Udaunga Main
Chupa Le Kitna Bhi
Anchal Me Tu Chehre Ko
Ghunghat Yeh Tera
Ek Din Uthaunga Main
Rahunga Saath Tere
Duniya Ho Chahe Dushman
Deewangi Hai Kitni
Ek Din Dikhaunga Main

Kuch dil ki lagi tum chero


Kuch dil ki lagi tum chero
 kuch dil lagana hum sikhayen 

kuch pyar ki baatein tum karo
 kuch pyar nibhana hum sikhayen

kuch nazar ka ishara tum karo
kuch aankh milana hum sikhayen

kuch jan ki baazi tum lagao
kuch jan sey jana hum sikhayen

kuch thora sa hans k tum dakho
kuch muskurana hum sikhayen

kuch milney ki aas tum do
kuch waqt pey aana hum sikhayen

dil per tum bus hath rakh do
kuch dil dharkana hum sikhayen

kuch pyar sey paas tumaao
kuch galey lagana hum sikhayen

Woh Shakhs acha laga Tou Saaf Keh Diya

 

Woh Shakhs acha laga Tou Saaf Keh Diya

 

 Dil Ki Baat thi  nunafiqat Nhe Ho Saki

Tujhay Socha Bhi Tu Apni Duaon Main Socha

 

Tujhay Socha Bhi Tu Apni Duaon Main Socha


Teray Khayal Ko Bhi Hum Nay Ebadat Jana

Bhout pehlay se in qadmon ki aahat jaan letay hain

بہت پہلے سے ان قدموں کی آہٹ جان لیتے ہیں
تجھے اے زندگی ہم دور سے پہچان لیتے ہیں


Bhout pehlay se in qadmon ki aahat jaan letay hain 
Tujhay ae zindagi hum door se pehchaan letay hain

 
مری نظریں بھی ایسے قاتلوں کا جان و ایماں ہیں
نگاہیں ملتے ہی جو جان اور ایمان لیتے ہیں




Meri nazrain bhi aisay qaatlon ka jaan-o-emaan hain 
Nigahain miltay hi jo jaan aur emaan letay hain


طبیعت اپنی گھبراتی ہے جب سنسان راتوں میں
ہم ایسے میں تری یادوں کی چادر تان لیتے ہیں




Tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raaton main 
Hum aisay main teri yaadon ki chadar aan letay hain


خود اپنا فیصلہ بھی عشق میں کافی نہیں ہوتا
اسے بھی کیسے کر گزریں جو دل میں ٹھان لیتے ہیں




Khud apna faisala bhi ishq main kaafi nahin hota 
issay bhi kaisay kar guzrain jo dil main thaan letay hain

جسے صورت بتاتے ہیں پتا دیتی ہے سیرت کا
عبارت دیکھ کر جس طرح معنی جان لیتے ہیں





Jissay surat bataatay hain pata deti hai seerat ka 
Ibaarat dekh kar jis tarah mahni jaan letay hain 


تجھے گھاٹا نہ ہونے دیں گے کاروبارِ الفت میں
ہم اپنے سر ترا اے دوست ہر احسان لیتے ہیں




Tujhay ghaata na honay dain gay kar-o-baar-e-ulfat main 
Hum apnay sar tera , ae dost her ehsaan letay hain

فراق اکثر بدل کر بھیس ملتا ہے کوئی کافر
کبھی ہم جان لیتے ہیں کبھی پہچان لیتے ہیں


Firaaq aksar badal kar bhais milta hai koi kaafir 
Kabhi hum jaan letay hain kabhi pehchaan letay hain

Apney hathon se youn chaheray ko chupatay kiyoun ho



Apney hathon se youn chaheray ko chupatay kiyoun ho
Mujh se sharmatay ho to samney Aatay kyn ho

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqrar-e-wafa 
Piyaar kartay ho to phir piyaar chupatay kyn ho

Ashak Aankhon main meri dekh ke rotay kyn ho
Dil bhar ata hai to phir dil ko dukhatay kyn ho

Un se wabasta hai jab mera muqadar phir tum
Meray shanon se yeh zulf apni hatatay kyn ho

Roz mar mar ke jeenay ko kehtay kyn ho
Milney atay ho to phir loat ke jatay kyn ho

Poet : Pervaiz Shahidi Pervaiz

Kuch to hawa bhe sard thi kuch tha tera khyal bhi



Kuch to hawa bhe sard thi kuch tha tera khyal bhi
Dil ko khushi ke sath sath hota raha malal bhi

Baat woh adhi raat ki, raat woh pooray chand ki
Chand bhi aian chait ka us pe tera jamaal bhi

Sab se nazar bacha ke woh mujh ko kuch aisay dekhta
Aik dafa to ruk gaye Girdish maah-o-saal bhi

Dil to chamak sakay ga kiya , phir bhi turash ke dekh lain
Sheesha graan-e-shaher ke hath ka yeh kamaal bhi

Us ko na pa sakay thay jab dil ka ajeeb haal tha
Ab jo palat ke dakhiye , baat thi kuch mahaal bhi

Meri talab tha aik shaks , woh jo nahin mila to phir
Hath dua se youn gira, bhool gaya sawaal bhi

Us ke he bazoaon main Aur us ko he sochtay rahay 
Jism ke khwaishon pe thay rooh ke aur jaal bhi

 Parveen Shakir


Koo ba Koo phail gaye baat shanasai ki



Koo ba Koo phail gaye baat shanasai ki
Us ne khushboo ki tarah meri pazirai ki

Kaisay keh doon mujhay chor diya us ne
Baat to sach ahi magar baat hai ruswai ki

Woh kahin bhe gaya lota to meray pass aya
Bas yahi baat hai achi meray harjai ki

Tera pehlo, Teray dik ki tarah abad rahay
Tujh pe guzray na qiyamat shab-e-tanhai ki

Us ne jalti hui paishani pe jab hath rakha
Rooh tak aa gaye taseer masihaai ki

Ab bhe barsaat ki raton main badan toot ta  hai 
Jaag uthati hai ajab khwaishain angrai ki 

Poet : Parveen Shakir
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...