Dasht-o-dariya se guzarna ho keh ghar main rehna
Ab to her haal main hai , hum ko safar main rehna
Dil ko her pal kisi jadoo kay asar main rehna
Khud se niklay to kisi aur kay dar main rehna
Shaher-e-gham ! dekh teri aab-o-hawa khushk na ho
Raas ata hai ussay deeda-e-tar main rehna
FAisalay saaray usi kay hain hamari baabat
Ikhtiyaar apna bas itna keh khabar main rehna
Koi khatar na madarat na taqreeb-e-wasaal
Hum to bas chahtay hain teri nazar main rehna
Raat bhar chaand main ne dekha karoon surat us ki
Subha ko aur hi soda meray sar main rehna
Main to her chehray main ab tak wohi chehra dekhon
Us ko her roz tamasha-e-dagar main rehna
Wohi tanhai , wohi dhoop , wohi be'simati
Ghar main rehna bhi hua , raag'guzar main rehna
Toot'na youn to muqadar hai , magar kuch lamhay
Phool ki tarah muyassar ho shajar main rehna
Her mulaqaat kay baad ajnabiyat aur barhi
Us ko Aainay hum ko zaham-e-hunar main rehna
Ghaas ki tarah jahan bhook ugaa karti hai
Itna asaan nahin shaakh-e-samar main rehna
Chaand ki aakhri raaton main bhout lazim hai
Aik matti ka diya , raah'guzar main rehna
Tahir-e-jaan kay guzarnay se bara saniha hai
Shouq-e-parwaz ka tootay huye par main rehna
Koi seefu ho keh mera ho keh "Parveen" ussay
Raas ata hi nahin chaand nagar main rehna
Parveen Shakir