Feb 7, 2015

Tum ne zulfon ko bhout sar pe charha rakha hai




Choom leti hain latak kar kabhi chehra kabhi lab 
Tum ne zulfon ko bhout sar pe charha rakha hai 

Chashm-e-saqi ne yeh kya khail racha rakha hai ?
Koi zahid koi meh'khuar bana rakha hai 

Jo phansa phir na us ne kabhi rehaai mangi 
Zulf teri ne bhi ajab jaal bicha rakha hai 

Ab main samjha teray ruksaar pe til ka matlab 
Doulat-e-husan pe darbaan bitha rakha hai 

Dil yeh chahye keh tu kabhi badnaam na ho 
Dekh zikar tera hai magar naam chupa rakha hai 

Ishq ho keh husan ho , dono ka asar yaksan hai
Cheez ik hai magar naam juda rakha hai 

Teri makh'moor nigahon se hai ronaq sari 
Warna saqi teray meh'khanay main kiya rakha hai

Meray pehlu main bhi ek shamma jala karti hai


Meray pehlu main bhi ek shamma jala karti hai 
Jis ki lou se teri tasveer bana karti hai 

Samnay teray zuban band rehti hai magar 
Dil ki jo baat hai woh Aankh adaa karti hai 

Chup kiyon ho hum se koi baat karo 
Aisay khamoshi se to takleef barha karti hai 

Shamma jalti hai to zamanay ko pata chalta hai 
Dil kay jalnay ki khabar kis ko hua karti hai 


Kalaam karti nahin , bolti bhi jati hai


Kalaam karti nahin , bolti bhi jati hai 
Teri nazron ko yeh kaisi zuban aati hai 

KAbhi kabhi mujhay pehchanti nahin woh aankh
Kabhi chragh se charon taraf jalati hai 

Ajab tazaad main palti hai teray wasal ki yaad 
Keh ek aag bujhati hai ik lagati hai 

MAin us ko dekhta rehta hoon raat dhalnay tak 
Jo chandani teri galiyon se ho kay aati hai 

Yeh roshni bhi ataa hai teri mohabbat ki 
Jo meri rooh kay manzar mujhay dikhati hai 

Umeed-e-wasal bhi hai kaanch ki choori 
Ke pehn'nay main kai baar toot jati hai

Maqam-e-mohabbat tu ne samjha hi nahin warna


Maqam-e-mohabbat tu ne samjha hi nahin warna 

Jahan tak tera saath , wahan tak meri zindagi

Mohabbat ki tabiyat main qudrat ne ajab bachpana sa rakha hai



Mohabbat ki tabiyat main qudrat ne ajab bachpana sa rakha hai 

Keh yeh jitna bhi puraana ho issay izhaar karnay ki zaroorat roz parti hai

Na toal meri mohabbat apni dil lagi se


Na toal meri mohabbat apni dil lagi se

Dekh kar meri chahat ko aksar tarazu toot jaatay hain

Kabhi na haathon se haath chootay khayal rakhna


Kabhi na haathon se haath chootay khayal rakhna 
Kabhi na chahat ka mann tootay khayal rakhna 

Bacha kay rakhna mohabbat ko sazishon se 
Wafa ki doulat jafa na lootay khayal rakhna 

Jo ho mohabbat to ranjishon se guraiz karna 
Kisi ka nazuk sa dil na tootay khayal rakhna

Mohabbat main nahin hai farq jeenay aur marnay ka


Mohabbat main nahin hai farq jeenay aur marnay ka 

Keh jis ko dekh kar jeetay hain usi zaalim pe martay hain

Tumhain jana ijaazat hai Keh in tareek raahon par


Tumhain jana ijaazat hai

Keh in tareek raahon par 

Thakhan si khud main paao to 

Andheron se kabhi dil dol jaye 

Thak si jaao to

Mere jaltay huye lamhay 

Mere kangaal hathon se chura kay apnay haathon ko 

Fiza ki naghmagi se tum naye geeton ko chun lena 

Haseen palkon ki nokon par naye kuch khwaab bun lena 

Koi gar pooch le mera to us se zikar mar karna 

Mere jeevan ki tapti do'pehar se be'gharz ho kar 

Tum apni chandani raaton main jugnoo paaliti rehna 

Meri tanhaiyon ki wehshaton ki fikar mat karna 

Tumhain is ki ijaazat hai 

Mere sab khatt jala dena 

Mere tohfon ko dariya main bahana ya daba dena 

Meri her yaad ko dil se khu'rachna aur mitta dena 

Tumhain bil'kul ijaazat hai 

Keh jab chaho bhulaa dena 

Magar itni guzarish hai 

Agar aisa na ho jana 

To acha hai

Yahi bhout hai keh baitah hai sar jhukaye huwey


Yahi bhout hai keh baitah hai sar jhukaye huwey

Mujhay ujaar kay woh shakhs sharam'saar to hai

Teri aankhain , tabasum lab , teri zulfain bikharnay tak



Teri aankhain , tabasum lab , teri zulfain bikharnay tak

Bhula paaon ga kya kya main milan se phir bicharnay tak 

Mera jewan andheron main andhera ban gaya ab to 

KAhin ab kho na jaaon main naya suraj ubharnay tak 

Mujhay maloom tha kab yeh, hamein aisay bicharna hai 

Hamein to saath chalna tha  is chahat main marnay tak 

Meri to zindagi main her inayat bas usi ki thi 

Mujhay abad karnay se mujhay bar'baad karnay tak

Jo bigra hoon to ab asan nahin mera sudhar jana 

Bhout hi waqat lagta hai bigarnay se sudharnay tak 

Saza kiyon "Ali" kay dil ko mili hai is mohabbat main 

Teray dil main utarnay se meray dil se utarnay tak

Tum se baat karnay ki tamana to kab se dil main hai



Tum se baat karnay ki tamana to kab se dil main hai 

Par meri hasrat , tumhari fursat ki talab'gaar hi rahi

Dil-o-jaan se chahnay walay bhi baray naseeb se miltay hain


Dil-o-jaan se chahnay walay bhi baray naseeb se miltay hain 

Tum yeh baat tasleem karo gay meray bichar janay kay baad

Ajab zulam karti hain teri yaadain


Ajab zulam karti hain teri yaadain

So jaao to utha deti hain , jaag jaao to rula deti hain

Kuch baat hai teri baaton main , jo baat yahan tak aa ponchi


Kuch baat hai teri baaton main , jo baat yahan tak aa ponchi

Hum dil se gaye , dil tum pe gaya , aur baat kahan tak jaa ponchi

Kya khabar thi keh main is darja badal jaaon ga


Kya khabar thi keh main is darja badal jaaon ga 
Tujh ko kho doon ga teray gham se sambhal jaaon ga 

Ajnabi ban kay milon ga main tujhay mehfil main 
Tu ne chairi bhi to main baat badal jaaon ga 

Dhoond paaye na jahan yaad bhi teri mujh ko 
Aisay jungle main kisi roz nikal jaaon ga 

Zid main aaye huwey mousam se bachnay ki tarha
Khud hi kashti ko dabonay pe machal jaaon ga

Zouq-e-deed main hoti hai takleef sara'sar


Zouq-e-deed main hoti hai takleef sara'sar

Achay rehtay hain woh log jo kisi ki parwah nahin kartay

Zindagi mili zara si thi


Zindagi mili zara si thi 

Kuch is main kami zara si thi 

Woh roz hota gaya paas meray 

LAkin phir bhi doori zara si thi

Chand jaagtay jaagtay so bhi gaya 

Raat abhi beeti zara si thi 

Mohabbat baant di us ne zamanay main 

Jo meray hissay main aayi zara si thi

Ehsaas-e-mohabbat kay liye bas itna hi kahon gi


Ehsaas-e-mohabbat kay liye bas itna hi kahon gi 

Teray baghair bhi teray saath rehti hoon

Aik meetha sa ehsaas hua abhi abhi


Aik meetha sa ehsaas hua abhi abhi 
Aisa laga tum ne yaad kiya abhi abhi 

Itna to yaqeen hai dil ko her waqat na sahi
Hum yaad to aatay hain tumhain kabhi kabhi

Dil ko aata hai jab khayal un ka


Dil ko aata hai jab khayal un ka 
Tasveer se poochtay hain haal un ka 

Woh kabhi hum se poocha karti thi judai kya hai 
Aaj samjh aaya sawal un ka

Qadmon main taj-o-takht bhi rakhye gaye magar


Qadmon main taj-o-takht bhi rakhye gaye magar 

Hum ne tumhari yaad ka soda na kiya

Maghroor rehnay ka andaz tujhay tanha na kar de


Maghroor rehnay ka andaz tujhay tanha na kar de

Mil jaye waqat to kisi ka haal bhi pooch liya kar

Ghalti hum se na janay kahan ho gayi dosto


Ghalti hum se na janay kahan ho gayi dosto

Ishq aankhon se huwa aur zindagi haath se gayi

Yeh sun kar khushi hui keh ussay bhi meray dard ka ehsaas hai


Yeh sun kar khushi hui keh ussay bhi meray dard ka ehsaas hai 

Jab us ne yeh kaha keh gham se nidhal rehtay ho , mar kiyon nahin jatay

Woh rooth jata hai aksar ahikwa kiye baghair


Woh rooth jata hai aksar ahikwa kiye baghair
Hum bhi to seh jaatay hain shikayat kiye baghair

Hum sochtay rahay mohabbat be'los hoti hai 
Yeh youn hi ho jati hai Enayat kiye baghair 

Qasoor us ka nahin qasoor to hamara hai 
Hum ne bhi mohabbat ki un ki ijazat liye baghair 

Hum kitnay nadaan thay , itna to soch letay
Janat bhi kabhi mili hai ebadat kiye baghair

Paas woh itna tha jaisay dil aur dharkan


Paas woh itna tha jaisay dil aur dharkan 
Dekha to hum dono ne faasla bhi bhout tha 

Milnay ki tarah hum mil na paye thay kabhi 
Mera aur us ka raabta bhi bhout tha 

Itnay arsay main bhi ussay mujh par aetabar na aaya 
Yeh sach hai woh mujhay janta bhi nhout tha 

Woh mil kar bhi na mil saka yeh muqadar ki baat hai 
Main ne duaon main ussay maanga bhi bhout tha 

Ruswai kay dar se woh rakh na saka mohabbat ka bharam 
LAkin yeh sach hai keh woh mujhay chahta bhi bhout tha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...