Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Sep 13, 2017
Mansoob thay jo log meri zindagi kay saath
Mansoob thay jo log meri zindagi kay saath
Aksar wohi milay hain bari be'rukhi kay saath
Youn to main hans para hoon tumharay liye magar
Kitnay sitaray toot paray ik hansi kay saath
Fursat milay to apna giribaan bhi daikh le
Ae dost youn na khel meri be'basi kay saath
Majburiyon ki baat chali hai to may kahan
Hum ne piya hai zehar bhi aksar khushi kay saath
Ik sajda-e-khaloos ki qeemat fiza-e-khuld?
Ya'rab na kar mazaq meri zindagi kay saath
Mohsin karam ki lay bhi ho jis main khaloos bhi
Mujh ko ghazab ka payar hai uss dushmani kay saath
Jab tanha sawan main bheego gay
Jab tanha sawan main bheego gay
Jab aangan khaali paao gay
Jab raat kay kaalay daman main
Tum chand ko aadha paao gay
Jab khud se baatein kartay huye
Tum khud bhi kabhi thak jao gay
Jab saahil ki takraati lehron main
Tum door kahin kho jao gay
Aur mann kay soonay pan main kabhi
Tum tanhai se ghabrao gay
Tab main .....
Tum se mohabbat karta hoon
Her baar yeh suna'nana chahao gay
In hi tamaam lamhon main jaan lena
Keh tum , tum nahin hum ban jao gay
Tumhein yeh dard likhna hai
Tumhein yeh dard likhna hai
Tumhara bool jana bhi
Tumhara yaad aana hai
Chalo aisa karein jaana , chalo aisa karein jaana
Bhulanay ki qasam ko ab
Naya ik naam detay hain
Mujhay shikwa na ho koi
Tumhein bhi ranj na ho ga
Badaltay waqat aur halaat ko ilzaam de lain hum
Zehar ki ik puriya tum
Bachay khawabon ko de dena
Zehar ki ik puriya main
Bachay khawabon ko de doon ga
To shayed bhool jayein hum
To shayed bhool jayein hum
Bachaa kar kuch nahin rakhna
Tumhein yeh dard likhna hai
Tumhara bool jana bhi
Tumhara yaad aana hai
Teray harf-o-lab ka talism tha , meri aab-o-taab main reh gaya
Teray harf-o-lab ka talism tha , meri aab-o-taab main reh gaya
Woh kisi gulab ka aks tha jo meri kitab main reh gaya
Main kahan sarapa-e-naaz thi mujhay yaad hai shab-e-tairagi
Woh kisi kay lams ka moh'jaza jo meray shabaab main reh gaya
Meri baat baat main roshni , meray harf harf main dil'kashi
Tu meray shareek-e-wisaal-e-jaan , meri her kitab main reh gaya
Dil-e-khush gumaan teri khair ho, tu hai phir yaqeen ki saleeb par
Tujhay phir kisi se shikayatein , tu issi azaab main reh gaya
Tujhay kya mila dil-e-mubtalaa , na koi dua na kahin wafa
Magar ik arsa-e-raigaan , jo teray hisaab main reh gaya
Koi phool khil kay bikhar gaya , koi baat ban kay bigar gayi
Na sawal koi labon pe hai na gila jawab main reh gaya
Woh jo mera ehad-e-jamaal tha , woh jo mera shaher-e-khayal tha
Magar uss ka zikar-e-kamaal bhi kahin dasht-e-khawab main reh gaya
Subscribe to:
Posts (Atom)