Sep 22, 2014

Dil bhool nahin paata


Dil bhool nahin paata

Woh khwaab mohabbat ka

Ek be'had anokha hai

Jab sochnay baithon

Kuch yaad nahin aata

Ek pal kay liye phir bhi

Woh khwaab mohabbat ka

Be'chain jo guzri hain

Raatain to bhout si thein

Baatain to bhout si thein

Woh samnay aya to

Sab bhool gaye mujh ko

Kuch yaad nahin aata

Dil bhool nahin paata

Yeh aahatain yeh sar'srahatein


Yeh aahatain yeh sar'srahatein

Sookhaye huye patton ki

Yeh to hain shikayatein

Mat gumaan kar

Kisi anjaan ka

Yeh

Saraab hain

Azaab hain

Bhool ja unhain bhool ja

Bhool ja unhain bhool ja


Yeh aahatain yeh sar'srahatein

Sookhaye huye patton ki

Yeh to hain shikayatein

Mat gumaan kar

Kisi anjaan ka

Yeh

Saraab hain

Azaab hain

Bhool ja unhain bhool ja

Chandani december ki


Chandani december ki

Raat us ne poocha tha

Tum ko kaisi lagti hai ?

Chandani december ki

MAin ne kehna chaha

Saal-o-maah kay baaray main

Guftagu kay kiya mainay?

Chahay koi manzar ho

Dasht ho , samandar ho

June ho , decmber ho

Dharkano ka her naghma

Qurbaton ka her lamha

MAnzaron pe bhaari hai

Saath jab tumhara ho

Dil ko ik sahara ho

Aisa lagta hai jaisay

Ik nasha sa taari hai

LAkin us ki qurbat main

Kuch nahin kaha main ne

Takti reh gayi mujh ko

Chandani december ki

Saadgi-e-ishq hum se na poochiye


Saadgi-e-ishq hum se na poochiye

Kis tarah huye bar'baad

Hum se na poochiye

Yeh daastan-e-hijar-o-wasal hai

Suniye ga to tarap jaye ga

Kehta hoon phir

Sitam raah-e-wafa hum se na poochiye

Jal jayein gi sma'atein

Kho jayein gi baseeratein

Tehar jayein gi labon ki jumbish

Toot jayein gay sab qalam

Yeh jaza-e-sadagi hum se na poochiye

November phir udaas hai


November phir udaas hai


Ajnabi si raahon main

Door tak nigahon main

Be'rukhi ka mousam hai

Aj phir nigahon ko

Beetay pal ki pyaas hai

Phir raha hoon dar'ba'dar

Mojzay ki aas hai

Aisa lagta hai jaisay

November phir udaas hai

Baat to karo koi ?

Saath to chalo koi ?

Khamoshi ka pehra hai

Zakham dil ka gehra hai

Kisi apnay ki mujhay talaash hai ?

Aisa lagta hai jaisay

November phir udaas hai 

Un'kahi kay lehjay main



Un'kahi kay lehjay main

Kiya kiya nahin kaha hum ne

Un'suni kay parday main

Kiya kiya nahin suna tum ne

Raaz jo nahin khulta

Jaantay hain hum dono

Baat jo nahin kartay

Maantay hain hum dono

Dhund chai rehti hai

Qehar jaisa aalam hai

Dil zadon ki basti ka

Kiya ajeeb mousam hai

Aik mehak farsooda si

Jaisay faiz ki naaz main

Yaad ki kasak ho jaisay

Faraz ki ghazlain

Soch aik jaisi hai

Khwaab aik jaisay hain

Door door reh kar bhi

Saath saath chaltay hain

Khush gumaaniyaan dil ki

Kaan main yeh kehti hain

Dooriyon se darna kiya

Aah-e-sard bharna kiya

Aisi rut bhi aye gi

Jab keh shak kahay farwa par

Misal-e-gul khailain gay hum

Aik din milain gay hum

Tumhain dekha nahin jaana nahin phir bhi yeh lagta hai


Tumhain dekha nahin jaana nahin phir bhi yeh lagta hai

Qabeela aik hai apna

Wohi dard-e-judai , wohi bheegi hui palkain

Naseeb aik hai apna

Kisi se kuch nahin kehna , koi shikwa nahin karna

Qareena aik hai apna

Kisi ki yaad se , veeraan dil jag'maga lena

Khazeena aik hai apna

YAqeen ki aakhri had tak , milan ki khush gumaani hai

Nateeja aik hai apna

Suno december ussay pukaaro


Suno

Suno december ussay pukaaro

Suno december ussay mila do

Ab is se pehlay keh saal guzray

Ab is se pehlay keh jaan niklay

Wohi sitaara meri lakeeron main qaid kar do

Is aakhri shab kai aakhri pal koi bara ikhtataam kar do

Yeh zindagi bhi tamaam kar do

Suno december ussay bhula do

December aa kay guzar jaye ga


December aa kay guzar jaye ga

Ik pairr kay na janay kitnay pattay gira jaye ga

December aa kay guzar jaye ga

Chiriyaan cheh'kain gi yak'basta raaton main

Aur pairon pe aa kar yeh gum'sum rahain gi

Na koi hari shaakh ho gi

Na koi patta ho ga

December aa kay guzar jaye ga

Kitnay prinday be'ghar ho jayein gay

Jala dy gi un ko december ki thandi hawa

Na janay kitnay khwaab bin tabeer dhal jayein gay

December aa kay guzar jaye ga

Ik pairr kay na janay kitnay pattay gir jayein gay

Yeh kaisa alwida geet gaya december ne


Yeh kaisa alwida geet gaya december ne

Jaatay jaatay nargasi mousam ko rulaya

Kahin pe lala zaar banaya

Gulaab moti chambaili se

Tulip ki lariyon se goond kar

Pyaar kar rangon se seench kar

Pariyon si khwaishon kay jhurmat main

Hamaray labon pe

Duaaon kay alwida kalamaat

Tum hamesha raho meray saath

Mar'mareen hathailiyon pe nayi

Umeedon kay roshan chragh

Sadiyon se chaand ki devi

Kaat rahi hai charkha

Narm narm gaalon se

Prem ki dhanak se dhunak rahi hai

Her aanay wali subha ko

Rab ne diya hai sab ko yahi paighaam

Ajj jaati december ki shaam

Insaaniyat kay naam

Mohabbat azaadi shaanti amaan hai

Sab ki jaan

Nafraton ko kar do tamaam

Choti si hasti hai yeh

Pyaar se basti hai yeh

Hamesha se hai

Hamesha rahain gay

Main aur neela asmaan

Akela december


Akela december

Sard raaton ki bheegi tanhai

Barsaati boond kay chootay hi

Sulagta sa badan

Beeti yaadon

Beetay lamhon main

Sulagta hua dil

Youn guzray saal kay saaray dukh

aur saaray gham

Akela aik december seh leta hai

Nayi hikayat mohabbaton ki , shikayaton ki


Nayi hikayat mohabbaton ki , shikayaton ki

Bujhay bujhay se haroof lay kar

Kohar main doobi seyah aahon kay

Warq warq pe utaarna hai

Udaas shaamon kay phool chun kar

Suno december

Ussay pukaaro

Ussay bulaao

Suno december , ussay mila do

Ab is se pehlay keh saans niklay

Ab is se pehlay keh saal guzray

Woh lakeerain wohi sitaara

Meri lakeeron main qaid kar do

Yeh aakhri shab kay aakhri pal

Koi bara ikhta'taam kar do

Yeh zindagi bhi tamaam kar do

Suno december ussay mila do

December ki tha'tharti hui shaamain


December ki tha'tharti hui shaamain

Kohar main lipti dhundli se subhain

Dharkano se girtay huye

Khushk zard pattay

Woh gaaon kay tamaam raastay

Khyaal abaad kartay hain

Tumhain sab yaad kartay hain

Her saal january hamain kuch sapnay dikhaati hai


Her saal january hamain kuch sapnay dikhaati hai

Jis ko poora karnay main

December aa ponchta hai

Zindagi aur akheer bhi maano

Umar kay january aur december hain

Zindagi ki january bhi jo khwaab dikhaati hai

Aadmi umar bhar us ko poora karta rehta hai

Aur umar ka december aan ponchta hai

Aur saal ki tarah

Saans bhi khatam ho jaati hai

Ishq kay ilaaqay main hukam-e-yaar chalta hai


Ishq kay ilaaqay main hukam-e-yaar chalta hai

Zaabtay nahin chaltay

Husan ki adaalat main aajzi to chalti hai

Martabay nahin chaltay

Dosti kay rishton ki parwarish zaroori hai

Silsalay taaluq kay khud se ban to jaatay hain

Lakin is shagoofon ko tootnay bikharnay se

rokna bhi parta hai

Chahton ki matti ko

Aarzoo kay poday ko

Seenchna bhi parta hai

Ranjishon ki baaton ko

Bhoolna bhi parta hai

Kiyon keh ishq kay ilaaqay main hukam-e-yaar chalta hai

Zaabtay nahin chaltay

Bahaar rut main ujaar raastay


Bahaar rut main ujaar raastay

Dekha karo gay to ro paro gay

Kisi se milnay ko jab bhi Mohsin

Saja karo gay to ro paro gay

Tumharay wadon ne yaar mujh ko

Tabaah kiya kuch is tarah se

Keh zindagi main jo phir kisi se

Daga karo gay to ro paro gay

Main jaanta hoon meri mohabbat

Ujaar dy gi tumhain bhi aisay hi

Keh chaand raaton main ab kisi se

Mila karo gay to ro paro gay

Barsati baarish main yaad rakhna

Tumhain staein gi meri aankhain

Kisi wali kay mizaar par jab

dua karo gay to ro paro gay

Koi to hai jo


Koi to hai jo

Udaasiyaan jab

Tum stayein

To soch lena

Koi to hai jo

Tumhari khaatar

Andhron ko

Chun raha hai

Koi to hai jo

Tumharay khwaabon

Ko apni aankhon

Main bun raha hai

Koi to hai jo

Tumhari saanson

Ko apni saanson

Main sun raha hai

Koi to hai jo

Apni dharkan

Ki tasbiyon par

Tumharay naam ko

Gin raha hai

Woh jo rehta tha is dil main


Woh jo rehta tha is dil main

Kabhi apno ki tarah

Aisa bhoola keh milta hai

Ab sapno ki tarah

Pal pal karta tha jo

Saath nibhaanay ki baatain

Chor gaya hum ko

Puraani rasmon ki tarah

Ruswa hua zamanay main to yeh jaana

Teray waday bhi thay jhootay , teri qasmon ki tarah 

Kisi se rishta gehra na karna


Kisi se rishta gehra na karna

Bhool kar bhi adhooray sapnay na sajana

Zindagi main kisi se dil na lagana

Kiyon keh

Gehray rishtay

Adhooray sapnay

Aur dil

Aksar toot jaatay hain

YEh dard mit gaya to phir


YEh dard mit gaya to phir

Yeh zakham sil gaya to phir

Bichar kar sochta hoon main

Woh phir se mil gaya to phir

Main titliyon kay shaher main

Rahoon to mujh ko fikar hai

Woh phool jo khila nahin

Woh phool khil gaya to phir

Tujhay bhi kuch nahin mila

mujhay bhi kuch nahin mila

Tamaam umar kay liye

Yeh dard mil gaya to phir

Manoos ajnabi


Manoos ajnabi


Ab kay december main

Main ne bhi kuch khwaab sajaye hain

Apni sard aankhon main

Par dar lagta hai

Kahin yeh meray khwaab

Pighal na jayein

Dhoop parnay par

Mohabbat phir mohabbat hai kabhi dil se nahin jaati


Mohabbat phir mohabbat hai kabhi dil se nahin jaati

Laakon rang hain is kay

Ajab hi dhang hain is kay

Kabhi sehraa

Kabhi dariyaa

Kabhi jugnoo

Kabhi aansoo

Hazaron roop rakhti hai

Badan jhulsa kay jo rakh dy

Kabhi woh dhoop rakhti hai

Kabhi ban kar yeh aik jugnoo

Shab-e-gham ki andheron main

Dilon ko aas deti hai

Kabhi manzil kinaaray par

Sadiyon kay musafir ko

Faqat aik pyaas deti hai

Aziyat hi aziyat hai

Mohabbat phir mohabbat hai

Kabhi dil se nahin jaati

Mohabbat to jaana


Mohabbat to jaana

Hoti hai do kay darmiyaan

Aur phir jo koi aata hai baad main

Woh teesra hai

So tumhain kaisay samjhaein

Ana to koi teesra hai

Jo meray tumharay

Darmiyaan kharra hai

Ayo tor dain is taikon ko

Phir se ban jayein sirf do

Kai barson se aisa hai


Kai barson se aisa hai

Keh ik veeraan raasta

Jo barson se

Hamray beech hayal hai

Ana kay khoon main lipti

Woh ik jaanib kharri hai aur

Ana kay khoon main lipta

usi veeraan rastay kay kinaaray

Doosri jaanib na'janay kitnay barson se

Akela main khrra hoon

Waqat bhi lafz hai



Waqat bhi lafz hai

Waqat ka saaz-o-aahang bhi

Rang bhi , sang bhi

Aman bhi , jung bhi

Lafz hi lafz hain

Phool bhi lafz hai

Dhool bhi lafz hai

Lafz qaatil bhi hai

Lafz maqtool  bhi

Lafz hi khoon bahaa

Lafz dasht-e-dua

Lafz arz-o-samaa

Subh-e-fasal-e-bahaaran bhi ik lafz hai

Shaam-e-hijar-e-nigaaran bhi ik lafz hai

Ronaq-e-bazam-e-yaaran bhi ik lafz hai

MAin bhi ik lafz hoon

Tu bhi ik lafz hai

Aa kay lafzon ki surat

Fizaa'on main mil kar bikhar jayein hum

Ik naya lafz takhleeq kar jayein hum

Aa keh mar jayein hum

Yeh thaka thaka sa jo chaand hai


Yeh thaka thaka sa jo chaand hai

Yeh to khwaab hai  kisi aankh ka

Jissay jaagnay ki saza milti ,

yeh jo chaand hai yeh azaab hai

Woh azaab

Jis ne mila diya hai gulaab lamhon ko khaak main

Yeh jo chaand hai yeh jawaab hai

Kisi si tarah kay sawaal ka

Keh jo aaj tak na utha kabhi kisi zehan main

Yeh jo chaand hai

Yeh to baab hai kisi dard ka

Kisi hijar ka , kisi wasal ka ,

Kisi zard zard si fasal ka

Yeh thaka thaka sa jo chaand hai

Kabhi ban paray to yeh is se pooch kay dekhna

Issay gehri gehri si neend se

Bhala kis ne aa kay jaga diya

Issay rog kis ne laga diya

Agar tum ba'wafa hotay



Agar tum ba'wafa hotay

To hum ne zindagi ka khwaab takna tha

Muqadar se zara takraar karni thi

Zamanay ko kahaan khaatar main laana tha

Tumharay dil main rehna tha

Tumhain apna banaana tha

Chalo yeh farz kartay hain

Agar tum ba'wafa hotay 

Woh kehti hai sitaaray aasmaano main kiyon chamaktay hain


Woh kehti hai sitaaray aasmaano main kiyon chamaktay hain

Main kehta hoon mohabbat aanso'on main rang bharti hai

Woh kehti hai tumharay baad baarish kiyon nahin hoti

Main kehta hoon meri jaan hijar siyaaron main rehta hai

Woh boli nahin kuch kehtay huye aksar jhijaktay hain

Main bola dil main baithay chor ko raasta nahin milta

Woh boli sardiyon main dhoop ki hiddat kabhi dekhi

Main bola tum ne meray lams ki shiddat nahin dekhi

Woh boli dard kay us paar bhi ik dard hota hai

Main us kay baad kitni dair tak kuch bhi nahin bola

Meri hasraton ko zubaan dy


Meri hasraton ko zubaan dy

Meri wehshaton se kalaam kar

Main tera adhoora sawaal hoon

Mujhay apnay mann main qayam kar

Mujhay aisa koi jawaab dy

Keh sunain tu baag-o-bahaar ho

Meri hasraton kay daiyaar main

Teri aarzoo tera pyaar ho

Main udaasiyon main palee barhi

Mujhay mil saki na koi khushi

Kahaan kho gaye , kahaan dhoond loon

Tujhay ae zindagi ,meri zindagi

Mohabbat is tarah jaisay titliyon kay par


Mohabbat is tarah jaisay titliyon kay par

Mohabbat zindagi ki jabeen-e-naaz ka jhoomar

Mohabbat aarzoo ki seep ka anmol sa gohar

Mohabbat aas ki dhoop main umeed ki chahadar

Mohabbat hai tera gaisoo

Teri aankhain

Mohabbat hain teri baatain

Mohabbat hai tumhari hijar ki aur wasal ki raatain

Mohabbat hai teri dharkan

Mohabbat hai teri saansain

Mohabbat hai teri khamoshi

Tumhari baat jaisi hai

Mohabbat ko agar samjho

Mohabbat tumhari zaat jaisi hai

Bhout koshish karay lakin musaafir aa nahin sakta


Bhout koshish karay lakin musaafir aa nahin sakta

Koi phir rok leta hai

Ussay wapis palatnay se

Faqat murr kar hi taknay se

Aur us ka muntazir lamha

Kai sadiyon , kai janmon se

Us ka muntazir lamha

Bil'aakhir beet jaata hai

Muqadar jeet jaata hai

Aye naye saal bata tujh main naya kiya hai


Aye naye saal bata tujh main naya kiya hai

Her taraf khalq kiyon shor macha rakha hai

Roshni din ki wohi

Taaron bhari raat wohi

Aaj hum ko nazar aati hai her baat wohi

Asmaan badla hai , nabaadal na yeh afsurda zameen

Aik hinsay ka badalna koi jiddat to nahin

Pichlay barson ki tarah hon gay qareenay teray

Kisay maloom nahin 12 maheenay teray

Be'sabab detay hain kiyon log mubarak'baadain

Sab kiya bhool gaya waqat ki karwi yaadain

Tu naya hai To dekha subha nayi shaam nayi

Warna in aankhon ne dekhye hain naye saal kai

Mujhay ik baat kehni hai


Mujhay ik baat kehni hai

Jo tum hotay ho mujh se door

Udaasi ki siyaah chaadar

Na janay kis tarah , kiyon kar

Meray sar par

Kahin se aan girti hai

Hum woh be'dard hain


Hum woh be'dard hain

Khwaab ganwa kar bhi jinhain neend aa jaati hai

Soch soch kar bhi jin kay zehno ko kuch nahin hota

Toot phoot kar bhi jin kay dil dharakna yaad rakhtay hain

Toot kar ronay ki koshish main jo

Baat baat muskuraatay hain

Shaam se pehlay mar jaanay ki khwaish main jo

Jeetay hain jo

Aur

Jeetay chalay , jeetay hain 

Haadsaat-e-jahan kay haathon hum


Haadsaat-e-jahan kay haathon hum

Kis qadar toot toot kay bikhray hain

Ab to aksar gumaan hota hai

Hum zameen par bashar nahin

Bal'keh

Asmaan ki chitaan kay neechay

Basnay wale naheef  bonay hain

Hum to taqdeer kay khilonay hain

Tumhari zindagi main , main kahaan par hoon


Tumhari zindagi main , main kahaan par hoon

Hawa-e-subha main

Ya shaam kay pehlay sitaaray main

Jhijakti boonda baandi main

Keh be'had tez baarish main

Pehli chaandni main

Ya keh phir tapti dohpehron main

Bhout gehray khyalon main

Keh be'has sar'sraati dhunn main

Tumhari zindagi main

MAin kahaan par hoon

Keh ik khawaab-e-mohabbat tootnay

Aur doosra aaghaaz honay kay

Kahin mabain ik be'naam lamhay ki fraaghat

Tumhari zindagi main

Main kahaan par hoon

Alfaaz kay jhootay bandhan main


Alfaaz kay jhootay bandhan main

Aghraaz kay gehray pardon main

Her shakhs mohabbat karta hai

Hala keh mohabbat kuch bhi nahin

Sab jhootay rishtay naatay hain

Sab dil rakhnay ki baatain hain

Sab asli roop chupaatay hain

Ehsaas se khaali log yahan

Lafzon kay teer chalatay hain

Ik baar nazar main aa kar woh

Phir saari umar rulaatay hain

Yeh ishq-o-mohabbat mahr-o-wafa

Sab rasmi rasmi baatain hain

Her shakhs khudi ki masti main

Bas apni khaatar jeeta hai

Tumhari zindagi main , main kahaan par hoon


Tumhari zindagi main , main kahaan par hoon

Hawa-e-subha main

Ya shaam kay pehlay sitaaray main

Jhijakti boonda baandi main

Keh be'had tez baarish main

Pehli chaandni main

Ya keh phir tapti dohpehron main

Bhout gehray khyalon main

Keh be'has sar'sraati dhunn main

Tumhari zindagi main

MAin kahaan par hoon

Keh ik khawaab-e-mohabbat tootnay

Aur doosra aaghaaz honay kay

Kahin mabain ik be'naam lamhay ki fraaghat

Tumhari zindagi main

Main kahaan par hoon

Alfaaz kay jhootay bandhan main


Alfaaz kay jhootay bandhan main

Aghraaz kay gehray pardon main

Her shakhs mohabbat karta hai

Hala keh mohabbat kuch bhi nahin

Sab jhootay rishtay naatay hain

Sab dil rakhnay ki baatain hain

Sab asli roop chupaatay hain

Ehsaas se khaali log yahan

Lafzon kay teer chalatay hain

Ik baar nazar main aa kar woh

Phir saari umar rulaatay hain

Yeh ishq-o-mohabbat mahr-o-wafa

Sab rasmi rasmi baatain hain

Her shakhs khudi ki masti main

Bas apni khaatar jeeta hai

Hamain yeh roz-o-shab ka silsala acha nahin lagta


Hamain yeh roz-o-shab ka silsala acha nahin lagta

Kisi se baat karna ho koi bhi zakham barhaana ho

Kabhi be'haal ho kar koi jaan se guzarna ho

Tumhari yaad main rehna ho ya khud se mukarna ho

Kisi haroof-e-tasali kay zakham bharna ho

Muhabbat ki duaa hoton pe rakh k muskurana ho

Darakhton par tumhara naam likh kar bhool juna ho

Kisi khwab shab main kisi chasm-e-veeraan ko solana hai

Tumhari khushboo se kai meh'jaan ko sajaana ho

Ya phir shaair sakoot-e-shaam-e-gham main geet gaana ho

Youn hi be'wajah kaifiyat main ashkon ko bahaana ho

Kisi jazbay ko bhi chairra hamain sach nahin lagta

Keh ab to roz-o-shab ka silsala acha nahin lagta

Apni tanhaiyon se poocha hai


Apni tanhaiyon se poocha hai

Shab-e-hijraan se baat kar li hai

Meray andar ki sehmi khamoshi

Meray baahir ka hansta chehra bhi

Raat kay san'sanaatay lamhay bhi

Din ka dasta hua ujaala bhi

Zabt ka toota yeh bandhan bhi

Sabar ka choot'ta yeh daaman bhi

Us ki yaadain bhi kuch ishaaron main bhi

Mujh ko majboor kar rahi hain sab

Ayo us kay paas chaltay hain

US se kehtay hain  keh kuch dawa kar day

Apni fitrat ko chor kar ik pal

koi wada to woh wafa kar dain

In ki baaton se kuch nahin ho ga

Aakhri faisal to dil ka hai

Dil yeh kehta hai us se milnay se

Apni tanhaiyaan hi achi hain

Ab akelay main lag gaya hai dil

Us se milnay hamain nahin jana

Us ki baatain udaas kar dain gi 

Woh aansoo hamaray


Woh aansoo hamaray

Aakhri aansoo thay

Jo hamain galay mil kar

Bahaye tanha jaanay waqat un aansoo'on

se kis tour paish aye

Magar meri fraib-e-waqt ki behki hui aankhon ne

Us kay baad bhi aansoo bahaye hain

Meray dil ne bhout se dukh rachaye hain

Magar youn hai keh maah-o-saal ki si raaigaani main

Meri aankhain

Galay miltay huye rishton ki furqat kay woh aansoo

Shayed

Phir na ro payein

Fiza main phir se koi roshni ka aks jaaga hai


Fiza main phir se koi roshni ka aks jaaga hai

Mera hum'raqs jaaga hai

Jo meray dil kay rukh'saaron ko choo kay

Khushboo'on kay geet gaata hai

To youn mehsoos hota hai

Keh jaisay jugno'on ne titliyon se Perahan badlay

Keh jissay faakhtaaon ne udaasi kay chalan badlay

Keh phir fart-e-junoon main zindagi ki saans tham jaye

Mohabbat ki hawaalay se

Azaab-e-sham main gham jaye
 

Woh aksar mujh se kehti thi


Woh aksar mujh se kehti thi

Wafa hai zaat aurat ki

Magar jo mard hotay hain

Bhout be'dard hotay hain

Kisi bhanwar ki surat gul ki khushboo loot letay hain

Suno tum ko qasam meri

Riwaayat tor dena tum

Na tanha chor dena tum

Na yeh dil tor kay jana

Magar phir youn hua hum'dam

Mujhay anjaan rastay pe chor kar us ne

Mera dil tor kar us ne mohabbat chor di us ne

Wafa hai zaat aurat ki

riwaayat tor di us ne 

Main guzri rutton ko yaad kar kay


 Main guzri rutton ko yaad kar kay

Woh khud se teri hi baat kar kay

Main shaam-e-manzar ko dekhta hoon

Dino ko apnay khraab kar kay

Hua juda to baat kiya hai

Main sochta hoon yeh yaad kiya hai

Bhujha raha hoon main pyaas apni

Aankhon ko apni sraab kar kay

Tumhain tha jaana to main samjha

Keh dekho kitna main na'samjh tha

Jo mil na paye jawaab mujh ko

Gaye ho tum woh sawaal ban kay

Tumhain hi her pal sochnay se

hui hai mujh ko mahaarat haasil

Teri yaadain mili hain mujh ko

Haseen sa ek inaam ban kar

Mujhay roz-o-shab ki kitaab main


Mujhay roz-o-shab ki kitaab main

Koi aisa harf na mil saka

Jissay misl-e-gul ka khitaab doon

Jissay chandani ki si taab doon

Jissay dhoond kar , jissay khoj kar

Rukh-e-asmaan pe saja bhi doon

Meray khoon-e-dil ki nigarishain

Meri rooh tak kay fishaar bhi

Yahan ilm-o-fun ki dukaan par

Baray sastay daamon se bik gaye

Mujhay tor kar mijhay phor kar

Meray doston ne jala diya

Raah-e-zindagi kay ghubaar main

Meri raakh tak ko urra diya

Mujhay phir bhi koi gila nahin

Jo mila nahin , so mila nahin 

Tumhain jo be'sabab mujh se khafa honay ki aadat hai



Tumhain jo be'sabab mujh se khafa honay ki aadat hai

Yeh aaghaz-e-judai hai keh andaaz-e-mohabbat hai

Wafa kay rang main dekho jafa achi nahin hoti

Kisi se pyaar main itni ana achi nahin hoti

Faqat kehnay ki baatain hain

Nibhaata kon hai kis ko ?

Chalo ab deikh letay hain

Maanta kon hai kis ko

Chalo phir dhoond letay hain usi masoom bachpan ko


Chalo phir dhoond letay hain usi masoom bachpan ko

Unhi masoon khushiyon ko

Unhi rangeen lamhon ko

Jahan gham ka pata na tha

Jahan dukh ki samjh na thi

Jahan bas muskurahat thi

Bahaarain hi bahaarain thein

Chalo phir dhoond layein hum

Usi masoom bachpan ko

Keh jab sawan barasta tha

To us kaaghaz ki kashti ko

Bana'na aur daboo dena

Bhout acha sa lagta tha

Aur is duniya ka her chehra

Bhout sacha sa lagta tha

Chalo phir dhoond letay hain usi masoom bachpan ko

Kuch neem gham main


Kuch neem gham main

Aaj tum ne phone kiya aur na hi koi mail

Din bhar tumharay phone ka intizaar raha

Phir majbooran main ne khud hi kar liya

Tumhain bura to nahin laga ... jana

Bas itna yaad hai

Chaandni shab thi

Hawa bhi sard thi

Kuch bhi zehan main nahin

Bas itna yaad hai

Tumharay kandhay pe mera sar tha

Aur meray kandhay pe tumharay baazu

Sunehri shamain Thar'thrati raatain Mehakti coffee


 December

Sunehri shamain

Thar'thrati raatain

Mehakti coffee

Woh bheeni khushboo


Khamosh kamra

Aatish'daan sulagta

Main aur

Teri yaadon ki khushboo

Haan yahi december hai

Ussay kehna december aa gaya hai


Ussay kehna december aa gaya hai

December kay guzartay hi

Baras aik aur manzil ki ghupa main doob jaye ga

Ussay kehna december loat aya ga

Magar jo khoon so jaye ga jismon main na jaye ga

Ussay kehna hawaein sard hain

Aur zindagi kay kohray dewaaron main larzaan hain

Ussay kehna shagoofay tehniyon main so rahay hain

Aur un par barf ki chadar bichi hai

Ussay kehna agar suraj na niklay ga

To kaisay barf piglay gi

Ussay kehna

Keh

Loat aye 

Sab log thay manzil ko rawaan dawaan


Sab log thay manzil ko rawaan dawaan

Aur main tha keh kinaray ko na choo saka

Meri chashm-e-nam hoyein bhi gar

Mujhay khumaar-e-qalab na poncha saka

Meri khwaishon ki imaartain

Veeraan bastiyon main satoon milay

Meri aik aik jo dewaar thi

Ussay phir se tameer na kar saka

Meray chaman main jo khizaan ayi

Ussay moj-e-bahaar na dila saka

Meray dast-ba-dast main jo dhool thi

Ussay aik hi aah ne urra diya

Meray aainay main jo tasveer thi

Ussay rooh-e-emaan na dila saka

Meri naao thi keh moujon main rawaan dawaan

Aur main tha keh kinaaray ko na chu saka

Sab bhool gaye mujh ko


Dil bhool nahin paata 

Woh khwaab mohabbat ka 

Ek be'had anokha hai

Jab sochnay baithon 

Kuch yaad nahin aata 

Ek pal kay liye phir bhi

Woh khwaab mohabbat ka

Be'chain jo guzri hain

Raatain to bhout si thein

Baatain to bhout si thein

Woh samnay aya to

Sab bhool gaye mujh ko 

Kuch yaad nahin aata 

Dil bhool nahin paata 


Mat gumaan kar kisi anjaan ka


Yeh aahatain yeh sar'srahatein 

Sookhaye huye patton ki 

Yeh to hain shikayatein 

Mat gumaan kar 

Kisi anjaan ka 

Yeh 

Saraab hain 

Azaab hain 

Bhool ja unhain bhool ja

Raat us ne poocha tha


Chandani december ki 


Raat us ne poocha tha 

Tum ko kaisi lagti hai ?

Chandani december ki 

MAin ne kehna chaha

Saal-o-maah kay baaray main 

Guftagu kay kiya mainay?

Chahay koi manzar ho

Dasht ho , samandar ho

June ho , decmber ho

Dharkano ka her naghma 

Qurbaton ka her lamha 

MAnzaron pe bhaari hai 

Saath jab tumhara ho

Dil ko ik sahara ho

Aisa lagta hai jaisay 

Ik nasha sa taari hai

LAkin us ki qurbat main 

Kuch nahin kaha main ne 

Takti reh gayi mujh ko 

Chandani december ki

 


Kis tarah huye bar'baad hum se na poochiye


Saadgi-e-ishq hum se na poochiye

Kis tarah huye bar'baad 

Hum se na poochiye

Yeh daastan-e-hijar-o-wasal hai 

Suniye ga to tarap jaye ga 

Kehta hoon phir

Sitam raah-e-wafa hum se na poochiye

Jal jayein gi sma'atein 

Kho jayein gi baseeratein 

Tehar jayein gi labon ki jumbish 

Toot jayein gay sab qalam 

Yeh jaza-e-sadagi hum se na poochiye

Ajnabi si raahon main


November phir udaas hai 

 

Ajnabi si raahon main 

Door tak nigahon main 

Be'rukhi ka mousam hai 

Aj phir nigahon ko 

Beetay pal ki pyaas hai 

Phir raha hoon dar'ba'dar 

Mojzay ki aas hai 

Aisa lagta hai jaisay 

November phir udaas hai 

Baat to karo koi ?

Saath to chalo koi ?

Khamoshi ka pehra hai 

Zakham dil ka gehra hai 

Kisi apnay ki mujhay talaash hai ?

Aisa lagta hai jaisay 

November phir udaas hai 

Aik din milain gay hum


Un'kahi kay lehjay main 

Kiya kiya nahin kaha hum ne 

Un'suni kay parday main 

Kiya kiya nahin suna tum ne 

Raaz jo nahin khulta 

Jaantay hain hum dono 

Baat jo nahin kartay 

Maantay hain hum dono 

Dhund chai rehti hai 

Qehar jaisa aalam hai 

Dil zadon ki basti ka

Kiya ajeeb mousam hai 

Aik mehak farsooda si 

Jaisay faiz ki naaz main 

Yaad ki kasak ho jaisay 

Faraz ki ghazlain 

Soch aik jaisi hai 

Khwaab aik jaisay hain 

Door door reh kar bhi 

Saath saath chaltay hain 

Khush gumaaniyaan dil ki 

Kaan main yeh kehti hain 

Dooriyon se darna kiya 

Aah-e-sard bharna kiya 

Aisi rut bhi aye gi 

Jab keh shak kahay farwa par 

Misal-e-gul khailain gay hum 

Aik din milain gay hum 

 


Qabeela aik hai apna



Tumhain dekha nahin jaana nahin phir bhi yeh lagta hai 
Qabeela aik hai apna 
Wohi dard-e-judai , wohi bheegi hui palkain 
Naseeb aik hai apna 
Kisi se kuch nahin kehna , koi shikwa nahin karna 
Qareena aik hai apna 
Kisi ki yaad se , veeraan dil jag'maga lena 
Khazeena aik hai apna 
YAqeen ki aakhri had tak , milan ki khush gumaani hai 
Nateeja aik hai apna

Suno december ussay bhula do


Suno 
Suno december ussay pukaaro 
Suno december ussay mila do 
Ab is se pehlay keh saal guzray 
Ab is se pehlay keh jaan niklay 
Wohi sitaara meri lakeeron main qaid kar do
Is aakhri shab kai aakhri pal koi bara ikhtataam kar do 
Yeh zindagi bhi tamaam kar do 
Suno december ussay bhula do

Ik pairr kay na janay kitnay pattay gira jaye ga


December aa kay guzar jaye ga 
Ik pairr kay na janay kitnay pattay gira jaye ga 
December aa kay guzar jaye ga 
Chiriyaan cheh'kain gi yak'basta raaton main 
Aur pairon pe aa kar yeh gum'sum rahain gi
Na koi hari shaakh ho gi 
Na koi patta ho ga 
December aa kay guzar jaye ga 
Kitnay prinday be'ghar ho jayein gay 
Jala dy gi un ko december ki thandi hawa
Na janay kitnay khwaab bin tabeer dhal jayein gay 
December aa kay guzar jaye ga 
Ik pairr kay na janay kitnay pattay gir jayein gay 

Main aur neela asmaan


Yeh kaisa alwida geet gaya december ne 
Jaatay jaatay nargasi mousam ko rulaya 
Kahin pe lala zaar banaya 
Gulaab moti chambaili se
Tulip ki lariyon se goond kar 
Pyaar kar rangon se seench kar 
Pariyon si khwaishon kay jhurmat main 
Hamaray labon pe
Duaaon kay alwida kalamaat
Tum hamesha raho meray saath 
Mar'mareen hathailiyon pe nayi
Umeedon kay roshan chragh 
Sadiyon se chaand ki devi
Kaat rahi hai charkha
Narm narm gaalon se
Prem ki dhanak se dhunak rahi hai 
Her aanay wali subha ko 
Rab ne diya hai sab ko yahi paighaam 
Ajj jaati december ki shaam 
Insaaniyat kay naam
Mohabbat azaadi shaanti amaan hai 
Sab ki jaan 
Nafraton ko kar do tamaam 
Choti si hasti hai yeh 
Pyaar se basti hai yeh
Hamesha se hai 
Hamesha rahain gay 
Main aur neela asmaan 

Sard raaton ki bheegi tanhai


Akela december 

Sard raaton ki bheegi tanhai 
Barsaati boond kay chootay hi 
Sulagta sa badan 
Beeti yaadon 
Beetay lamhon main 
Sulagta hua dil
Youn guzray saal kay saaray dukh 
aur saaray gham 
Akela aik december seh leta hai

Ussay to mit hi jaana tha


December kay haseen din thay 

Murre ki yakh fizaon main 

Hamaray chaar haathon nain 

Mujasma ik banaya tha 

Kaha tha ek doojay ko 

Nishaani pyaar ki apni 

Bari hi khoobsurat hai 

Mujhay ab yaad aata hai 

Mujasma barf ka tha woh 

Ussay aakhir pighlna tha 

Ussay to mit hi jaana tha 

Ussay to mit hi jaana tha


Suno december ussay mila do


Nayi hikayat mohabbaton ki , shikayaton ki 
Bujhay bujhay se haroof lay kar 
Kohar main doobi seyah aahon kay
Warq warq pe utaarna hai 
Udaas shaamon kay phool chun kar 
Suno december 
Ussay pukaaro
Ussay bulaao 
Suno december , ussay mila do 
Ab is se pehlay keh saans niklay 
Ab is se pehlay keh saal guzray 
Woh lakeerain wohi sitaara 
Meri lakeeron main qaid kar do 
Yeh aakhri shab kay aakhri pal 
Koi bara ikhta'taam kar do 
Yeh zindagi bhi tamaam kar do 
Suno december ussay mila do 
 
 

Kohar main lipti dhundli se subhain



December ki tha'tharti hui shaamain 

Kohar main lipti dhundli se subhain 

Dharkano se girtay huye 

Khushk zard pattay 

Woh gaaon kay tamaam raastay 

Khyaal abaad kartay hain 

Tumhain sab yaad kartay hain

Tumhain sab yaad kartay hain


December ki tha'tharti hui shaamain 

Kohar main lipti dhundli se subhain 

Dharkano se girtay huye 

Khushk zard pattay 

Woh gaaon kay tamaam raastay 

Khyaal abaad kartay hain 

Tumhain sab yaad kartay hain

December aur january


Her saal january hamain kuch sapnay dikhaati hai 
Jis ko poora karnay main 
December aa ponchta hai 
Zindagi aur akheer bhi maano 
Umar kay january aur december hain 
Zindagi ki january bhi jo khwaab dikhaati hai 
Aadmi umar bhar us ko poora karta rehta hai 
Aur umar ka december aan ponchta hai 
Aur saal ki tarah 
Saans bhi khatam ho jaati hai

Bas itna yaad hai


Kuch neem gham main 

Aaj tum ne phone kiya aur na hi koi mail 
Din bhar tumharay phone ka intizaar raha 
Phir majbooran main ne khud hi kar liya 
Tumhain bura to nahin laga ... jana 

Bas itna yaad hai 

Chaandni shab thi
Hawa bhi sard thi 
Kuch bhi zehan main nahin 
Bas itna yaad hai 
Tumharay kandhay pe mera sar tha 
Aur meray kandhay pe tumharay baazu 

Haan yahi december hai

December

Sunehri shamain 
Thar'thrati raatain 
Mehakti coffee
Woh bheeni khushboo

Khamosh kamra 
Aatish'daan sulagta 
MAin aur
Teri yaadon ki khushboo
Haan yahi december hai 

December kay guzartay hi


Ussay kehna december aa gaya hai 
December kay guzartay hi 
Baras aik aur manzil ki ghupa main doob jaye ga 
Ussay kehna december loat aya ga 
Magar jo khoon so jaye ga jismon main na jaye ga 
Ussay kehna hawaein sard hain 
Aur zindagi kay kohray dewaaron main larzaan hain 
Ussay kehna shagoofay tehniyon main so rahay hain 
Aur un par barf ki chadar bichi hai 
Ussay kehna agar suraj na niklay ga 
To kaisay barf piglay gi 
Ussay kehna 
Keh 
Loat aye 

Aur main tha keh kinaray ko na choo saka


Sab log thay manzil ko rawaan dawaan 
Aur main tha keh kinaray ko na choo saka
Meri chashm-e-nam hoyein bhi gar 
Mujhay khumaar-e-qalab na poncha saka 
Meri khwaishon ki imaartain 
Veeraan bastiyon main satoon milay
Meri aik aik jo dewaar thi 
Ussay phir se tameer na kar saka
Meray chaman main jo khizaan ayi 
Ussay moj-e-bahaar na dila saka
Meray dast-ba-dast main jo dhool thi 
Ussay aik hi aah ne urra diya 
Meray aainay main jo tasveer thi 
Ussay rooh-e-emaan na dila saka
Meri naao thi keh moujon main rawaan dawaan 
Aur main tha keh kinaaray ko na chu saka
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...