Hum tera hijar mana'nay kay liye niklay hain
Shaher main aag laganay kay liye niklay hain
Shaher koochon main karo hashar bar'pa aaj keh hum
Us kay waday ko bhulanay kay liye niklay hain
Hum se jo rooth gaya hai woh bhout hai masoom
Hum to aur'on ko mana'nay kay liye niklay hain
Shaher main shor hai woh youn keh gumaan kay safri
Apnay hi aap main aanay kay liye niklay hain
Woh jo thay shaher-e-ta'hiyur teray pur fun ma'maar
Wohi pur'fun tujhay dhaanay kay liye niklay hain
Rah'guzar main teri qaleen bichanay walay
Khoon ka farsh bichanay kay liye niklay hain
Hamein karna hai Khuda'wand ki imdaad so hum
Dair-o-kaaba ko laraanay kay liye niklay hain
Sar-e-shab ik nayi tamseel bar'pa honi hai
Aur hum parda uthanay kay liye niklay hain
Hamein sai'raab nayi nasal ko karna hai so hum
Khoon main apnay nahanay kay liye niklay hain
Hum kahin kay bhi nahin par yeh hai ru'daad apni
Hum kahin se bhi na janay kay liye niklay hain