Jan 22, 2015

Ho nahin sakta keh mujhay teri yaad na aaye


Ho nahin sakta keh mujhay teri yaad na aaye 
Bhool kar bhi tujhay bhoolon woh waqat na aaye 

Tum bhoolo to tumhain koi aanch na aaye 
Main bhoolon to mujhay agli saans na aaye

Zindagi tab behtar hoti hai


Zindagi tab behtar hoti hai 

Jab aap khush hotay hain 

Lakin zindagi tab 

Behtareen hoti hai jab aap ki waja se koi doosra khush hota hai

Teri nazron se ojhal ho jayein gay hum


Teri nazron se ojhal ho jayein gay hum 
Door fizaon main kahin kho jayein gay hum 

Hamari yaadon se lipat kar rotay rahao gay 
Jab zameen ki matti main so jayein gay hum

Farq sirf itna tha


Farq sirf itna tha 
Us ki doli uthi 
Meri mayyat uthi
Phool us par bhi thay 
Phool mujh par bhi thay 
Mehfil wahan bhi thi 
Log yahan bhi thya 
Rona wahan bhi tha 
Rona yahan bhi tha
Saheliyaan us ki bhi thein 
Dost meray bhi thay 
Kalmay us kay bhi parhay
Kalmay meray bhi parhay 
Qazi udhar bhi tha 
Molvi idher bhi tha 
Wph sajj kay gayi 
Mujhya sajaya gaya 
Woh uth kay gayi 
Mujhay uthaya gaya 
Faraq sirf itna tha 
Ussay apnaya gaya 
Aur mujhya dafnaya gaya

Honton ki hansi ko na samjh haqeeqat-e-zindagi


Honton ki hansi ko na samjh haqeeqat-e-zindagi 

Dil main utar kay dekh hum kitnay tootay huye hain

Tum bhi soo jaao apni hasraton ko dhaamp kar Wasi


Tum bhi soo jaao apni hasraton ko dhaamp kar Wasi

Kon dekhta hai aadhi raat tak kisi kay dil ka tarapna 

Apno ko hamesha apnay honay ka ehsaas dilaao


Apno ko hamesha apnay honay ka ehsaas dilaao

Warna waqat aap kay 

Apno ko aap kay bina jeena sikha dy ga

Dil kay konay se ik awaaz aati hai


Dil kay konay se ik awaaz aati hai 

Hamain her pal tumhari yaad aati hai 

Dil poochta hai baar baar hum se 

Jinhain hum itna yaad kartay hain 

Kiya unhain bhi hamarai yaad aati hai

Apni tabiyat ka bhi ajeeb mizaaj hai


Apni tabiyat ka bhi ajeeb mizaaj hai 

Log mout se dartay hain aur hum teri judai se

Ranjish hai agar dil main koi to khul kay gila karo


Ranjish hai agar dil main koi to khul kay gila karo 

Hum to woh log hain phir bhi hamesha hans kay milain gay

Chalo bataon tumhain aik nishaani udaas logon ki


Chalo bataon tumhain aik nishaani udaas logon ki 

Kabhi ghour karna yeh hanstay bhout hain

Life is one way road we can see back,


Life is one way road 

we can see back, 

but can't go back.

So enjoy every second

 because today's newspaper will be tomorrow's waste paper

Yaadon Kay Roop Mein Tum Rehtay Ho Saath Meray


Yaadon Kay Roop Mein Tum Rehtay Ho Saath Meray

Tery Itny Say Ehsaan Ka So Baar Shukriyaa

Hum Un K LiYe Ehem


Hum Un K LiYe Ehem
Wahhh
Dil-e-Nadaan Tera Wehem

Kbi Pegham_e_Ulfat aur Kabi Tera youn bhool jana


Kbi Pegham_e_Ulfat aur Kabi Tera youn bhool jana

Hai to Sra_sar Na_Jaiz ,Lekin Teri Ye b Mehrbani, Teri wo b Mehrbani

Sitam To Yeh Hai Kay Wo Bhi Naa Ban SaKa Apna


Sitam To Yeh Hai Kay Wo Bhi Naa Ban SaKa Apna
Qabool Hum Nay Kiye Jiss Kay Gham Khushi Ki Tarah

Kabi na socha tah ham ne Qateel us k liye
Kary ga wo b sitam ham pe har kisi ki tarah

Darbaar-e-ishq se khairaat jo mili mujh ko


Darbaar-e-ishq se khairaat jo mili mujh ko 

Meray naseeb ki jholi main tera intizaar aaya

DIL kay jaltey huwey zakhmon ko hawa mat dena



DIL kay jaltey huwey zakhmon ko hawa mat dena
Beety lamho kay kisi pal ko sada mat dena

Teri aankhon kay yeh aansoo to anmol moti hain
Apni naadani main tum in ko ganwa mat dena

Ab maza deney laga dard-e- mohabbat mujh ko
Mujh ko is dard ki ab koi dawa mat dena

Youn na ho keh log mohabbat hi se toba kr lein
Is tarah jurm-e- dosti ki saza mat dena

log aksar youn hi bin poochey chaley aaty hain
Koi pochy bhi to tum dil ka pata mat dena

Woh Mohabbat Se Khafa Hai Mujhe Maloom Na Tha




Woh Mohabbat Se Khafa Hai Mujhe Maloom Na Tha
Ishq Us Se la pataa Hy Mujhe Maloom Na Tha

Wo Bicharne Lage Mujh Se To Anaa Toot Gai
Rooth Jana Hi Adaa Hy Mujhe Maloom Na Tha

Subha Hone Pe B Aankhon Se Andhera Na Gaya
Raat Soraj Se Khafa Hy Mujhe MalooM Na Tha

Rooth Jane Pe MaNaNa Usy Aata Hi Nhi
Ye B Meri Hi Khata Hy Mujhe Maloom Na Tha

Zindagi "Jurm e Anasar" Hai Zamane Me
yahan Sans Lena bhi Saza Hai Mujhe Maloom Na Tha

Kuch Aisa Ho Ye Sham Dhaly


Kuch Aisa Ho Ye Sham Dhaly

Koi Hath Me Thamy Hath Mera

Koi Le K MujKo Sath Chaly

Koi Bethy Mery Pehlo Me

Mere Hath Pe Apna Hath Dhary

or ponch k anso Ankhon Se

wo dheery sy ye bat kahy

Yoon Tanha Safar ab Kat'ta Nhi 

Chalo Hum bhi Tumhary sath chaley

Har Sham kehty ho keh kal Sham milen gay


Har Sham kehty ho keh kal Sham milen gay
Aati nahi wo Sham jis Sham milen gay

Acha nahi lagta Mujy Shamon ka bdalna
Kal Sham b kehty thy k kal Sham milen gay

Aati hy jo milny ki gharri krty ho bahany
Darty ho Daraty ho k Ilzam milen gay

Ye Rah-e-Muhabat hy yahan chalna nahi Asaan
Is Rah pe tum jis se Milo Badnam milen gay

Dil ly k hmara wo araam se boly
Bs khuwab ki Soorat tumhe Daam milyen gay

Umeed hy wo Din b kbhi aayen gay sun lo
Hum Tumsy Milen gay to Sar-e-Aam milen gay

December Aaj Bhi Apne Asaasay Saath Laaya Hai


December Aaj Bhi Apne Asaasay Saath Laaya Hai

Wohi Tevar, Wohi Afsurdgi Aur Sard sa Lehja

Tujhay chahh kar kaisay kisi ki chahh karon


Tujhay chahh kar kaisay kisi ki chahh karon

Tujhy bhool kar kiyon khud ko tabah karon

Tu zindgi hi ni dil ki lagi bhi hai

Phir kiyon kisi ko soch kar gunaah karon

Ungliyan Toot Gain Pathar Tarashte Huwe


Ungliyan Toot Gain Pathar Tarashte Huwe 

Or Jb Teri surat Bani To Mera Ty Haasa e Nikal Gya

Keh ee kay ban gaya 

Nazar ki piyas bujhaane ka hosla na huwa


Nazar ki piyas bujhaane ka hosla na huwa
Mile to Lab bhi hilaane ka hosla na huwa

Pukaarti he rahi door tak osey nazrein
Magar Zubaan se bulaane ka hosla na huwa

Tumhare jabr-o-sitam hans kay seh liye Dil par
Tumhare Dil ko dukhaane ka hosla na huwa

Lutey kuch aise Mohabbat mein hum k phir ab tak
Kisi ko Dil mein basaane ka hosla na huwa

Intzar ki aarzu ab kho gayi hai


Intzar ki aarzu ab kho gayi hai

Khamoshiyon ki aadat ho gayi hai

Na sikwa raha na shikayt kisi se

Agar hai to ek mohbbat

jo in tanhayion se ho gayi hai

Kabhi Usko yaqeen hoga meri wafaon ka


Kabhi Usko yaqeen hoga meri wafaon ka
kabhi to badlay ga rukh in fizaon ka

Hay yaqeen k woh mil jayega mujhe
Itna to sila dega mera Rab meri duaaon ka

Na bazm apni na saqi apna, na jaam apna ,na yar apna


Na bazm apni na saqi apna, na jaam apna ,na yar apna 

agar yahi hai nizam-e-hasti ghalib to zindgi ko salam apna

Qaid-e-Tanhai Se Humein Chutkara Nahi Milta



Qaid-e-Tanhai Se Humein Chutkara Nahi Milta
Ab Kisi Se Bhi Andaaz Humara Nahi Milta

Qismat Men Hi Na Ho Wafa To Kisi Se Kya Gila
Ishq Men Doobne Walon Ko Kinara Nahi Milta

Kyun Rota Hai Akela Beth Kar Kisi Ki Khatir
Jo Ik Baar Bichar Jaye Dubara Nahi Milta

Kuch Logon Ka Kehna Hai K Mil Jati Hai Har Cheez
Laekin Jo Asman Se Toot Jaye Wo Sitara Nahi Milta

Kyun Talash Karta Hai Wafa Dunya Main Dost
Yahan To Apno Se Bhi Sahara Nahi Milta

Tumhari yaad kay manzar kabhi khonay nahin detay



BayTab Dil  ( Parveen Shakir )

Tumhari yaad kay manzar kabhi khonay nahin detay
Tumhari yaad kay saay hamien sonay nahin detay

Yeh badal,phool aur khusboo bohat betab kertay hein
Agar rona bhi chahien ham kabhi ronay nahin detay

Ham apni sans de k rok letay janay walon ko
Hamara bas agar hota juda honay nahin detay

Nazar mein deed ki hasrat liay chup chap bethy hein
Woh ham se dor reh kar bhi hamein sonay nahin detay

BayTab Dil ( Parveen Shakir )


BayTab Dil  ( Parveen Shakir )

Tumhari yaad k manzar kabhi khonay nahin detay
Tumhari yad k saay hamien sonay nahin detay

Yeh badal,phool aur khusboo bohat betab kertay hein
Agar rona bhi chahien ham kabhi ronay nahin detay

Ham apni sans de k rok letay janay walon ko
Hamara bas agar hota juda honay nahin detay

Nazar mein deed ki hasrat liay chup chap bethy hein
Woh ham se dor reh kar bhi hamein sonay nahin detay

Mohabbat Bhi Raas Na Aayi Kya Krtay


Mohabbat Bhi Raas Na Aayi Kya Krtay

Thi Kismat Mein Hi Tanhaai Kya Krtay

Socha Tha De Ga Umar Bhar Sath Jo

Di Usi Ne Hi Judaai Kya Krtay

Hua Jo Rukhsat Tu Hum Ne Mor Li Aankhen

Tere Baad Hum Ye Benaye Kya Krtay

Jab Woh Ik Shakhs Hi Humein Na Mila

Le K Hum Sari Khudayi Kya Krtay
.

Jhoot kehtay hain log keh mohabbat sab kuch cheen leti hai


Jhoot kehtay hain log keh mohabbat sab kuch cheen leti hai 

Main ne to mohabbat kar kay ghamon ka khazana paa liya
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...