Urdu and English Poetry of famous authors, short poetry, two liners and complete Ghazals and Nzams & Many More ...
Showing posts with label Faiz Ahmad Faiz Poetry. Show all posts
Showing posts with label Faiz Ahmad Faiz Poetry. Show all posts
Sep 2, 2018
Sep 11, 2017
Jan 30, 2017
Hum parwarish loh-o-qalam kartay rahein gay
Hum parwarish loh-o-qalam kartay rahein gay
Jo dil pe guzarti hai raqam kartay rahein gay
Asbaab-e-gham-e-ishq ba'ham kartay rahein gay
Veerani-e-doran pe karam kartay rahein gay
Haan talkhi-e-ayaam abhi aur barhay gi
Haan ehal-e-sitam mashq-e-sitam kartay rahein gay
Manzoor yeh talkhi , yeh sitam hum ko gawara
Dam hai to madaad-e-alm kartay rahein gay
Baqi hai lahu dil main to her ashk se paida
Rang-e-lab-o-rukhsaar-e-sanam kartay rahein gay
Ik tarz-e-taghafal hai so woh un ko mubarak
Ik arz-e-tamana hai so hum kartay rahein gay
Jan 22, 2017
Apr 29, 2016
Raat youn dil main teri khoi hui yaad aayi
Raat youn dil main teri khoi hui yaad aayi
Jaisay veeranay main chupkay se bahar aaye
Jaisay sehraon main holay se chalay baad-e-naseem
Jaisay beemar ko be'wajah qaraar aa jaye
Feb 13, 2016
Thay khaak-e-raah bhi hum log qehar-e-toofan bhi
Thay khaak-e-raah bhi hum log qehar-e-toofan bhi
Saha to kya na saha aur kiya to kiya to kya na kiya
Woh heela'gar jo wafa jo bhi hai , jafa khu bhi
Kiya bhi to "Faiz" kis butt se dostana kiya
Aug 6, 2015
Yeh kis khalish ne phir is dil main ashiyana kiya
Yeh kis khalish ne phir is dil main Ashiyaani kiya
Phir aaj kis ne sukhan hum se ghaibaana kiya
Gham jahan ho , rukh-e-yaar ho keh dast-e-adu
Salook jis se kiya hum ne Aashqana kiya
Thay khaak raah bhi , hum log qehar-e-toofan bhi
Saha to kya na saha , kiya to kya na kiya
Khosha keh aaj her ik mud'dai kay lab par hai
Woh raaz jis ne hamein randa-e-zamana kiya
Woh heela gar jo waga ju bhi hai , jafa khu bhi
Kiya to Faiz kis butt se distana kiya
Jul 31, 2015
Ae dil-e-be'taab tehar
Tairagi hai keh um'madti hi chali aati hai
Shab ki rag rag main lahu phat raha ho jaisay
Chal rahi hai kuch is andaaz se nabz-e-hasti
Dono aalam ka nasha toot raha ho jaisay
Raat ka garam lahoo aur bhi beh jaanay do
Yeh hi tareeki to hai ghaaz-e-rukhsaar-e-sehar
Subha honay ko hai Ae dil-e-be'taab tehar
Dast-e-tanhai main ae jaan-e-jahaan larzaan hain
Yaad
Dast-e-tanhai main ae jaan-e-jahaan larzaan hain
Teri awaaz kay saaye teray honton kay saraab
Dasht-e-tanhai main doori kay khas-o-khaak talay
Khil rahay hain teray pehlu kay saman gulaab
Uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki aanch
Apni khushboo main sulagti hui madham madham
Door ufaq paar chamakti hui qatra qatra
Gir rahi hai teri dil'daar nazar ki shabnam
Is qadar pyaar seae jaan-e-jahan rakha hai
Dil kay rukhsaar pe is waqat teri yaad ne haath
Youn gumaan hota hai garcha hai abhi subh-e-firaaq
Dhal gaya hijar ka din aa hi gayi wasal ki raat
Apr 27, 2015
Na ab raqeeb , na naseh , na gham'gusaar koi
Na ab raqeeb , na naseh , na gham'gusaar koi
Tum aashna thay to thein aashnaiyan kya kya
Juda thay hum to muyassar thein qurbatein kitni
Baham huye hain to pari hai judaiyan kya kya
Ponch kay dar pe teray kitnay mohtabar tehray
Agarcha raah main huyein jag hasaiyan kya kya
Hum aisay sada dilon ki niaz mandi se
Button se ki hain jahan main Khudaiyan kya kya
Sitam pe khush kabhi lutf-o-karam pe ranjeeda
Sikhaein tum ne hamein kaj'adaeiyan kya kya
Is qadar pyaar se Ae jaan-e-jahan rakha hai
Is qadar pyaar se Ae jaan-e-jahan rakha hai
Dil kay rukhsaar pe is waqat teri yaad ne haath
Youn gumaan hota hai garcha hai abhi subh-e-firaaq
Dhal gaya hijar ka din aa bhi gayi wasal ki raat
Apr 22, 2015
Kiyon samjh nahin aati teray dewano ki
Kiyon samjh nahin aati teray dewano ki
Daamano ki khabar hai na giribaano ki
Ae jafa kaar teray ehad se pehlay to na thi
Kasrat is darja mohabbat kay pashmano ki
Faiz saqi ki ajab dhoom hai mehkhano main
Her taraf may ki talab maang hai paimano ki
Raaz-e-gham se hamein aagah kiya khoob kiya
kuch nihayat hi nahin ap kay ehsaano ki
Yaad phir taaza hui haal se teray hasrat
Qais-o-farhad kay guzray afsaano ki
Feb 19, 2015
Oct 12, 2014
Aug 25, 2014
Teri awaz ke saye , teray honthon ke sarab
Dasht-e-tanhai main Ae jan-e-jaan larzaan hai
Teri awaz ke saye , teray honthon ke sarab
Dast-e-tanhai main doori ke khs-o-khaak talay
Khil rahay hain teray pehlo ke saman aur gulaab
Uth rahi hai kahin qurbat se teri saans ki anch
Apni kushboo main sulagti hui madham madham
Door ufaq paar , chamakti hui qatra qatra
Gir rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam
Is qadar piyaar se ae jaan-e-jahan rakha kiya hai
Dil ke ruksaar pe is waqat teri yaad ne haat
Youn gumaan hota hai garcha hai abhi subha furaaq
Dhal gaya hijar ka din A bhi gaye wasal ki raat
Poet : Faiz Ahmed Faiz
Aug 23, 2014
Hum keh tehray ajnabi itni mulaqaaton kay baad
Hum keh tehray ajnabi itni mulaqaaton kay baad
Phir banain gay aashna kitni madaraaton kay baad
Kab nazar main aye gi be;daagh sabzay ki bahaar
Khoon kay dhabbay dhulain gay kitni barsaaton kay baad
Thay bhout be'dard lamhay khatam dard-e-ishq kay
Thein bhout be'mehar subhain meherbaan raaton kay baad
Dil to chaha par shakist-e-dil ne mohlat hi na di
Kuch gilay shikway bhi kar letay manajaaton kay baad
Un se jo kehnay gaye thay "Faiz" jaan sadqa kiye
Un kahi hi reh gayi woh baat sab baaton kay baad
Ik ik phool bhout yaad aya
Ik ik phool bhout yaad aya
Shaakh-e-gul jab woh jala di hum ne
Koi to baat hai us main "Faiz"
Her khushi jis par kuta di hum ne
Aug 13, 2014
Tum mere paas raho
Tum mere paas raho
Tum mere paas raho
Meray qatil meray dil'daar , meray paas raho
Jis gharri raat chale
Asmaan ka lhoo pee kay siyaah raah chalay
Marham mushak liye , nashtar almaas liye
Bain karti hui , hansti hui , gaati niklay
Dard ki kaasni pazaib bajati niklay
Jis gharri seeno main doobay huye dil
Asteeno main nihaan haathon ki raat taknay lagain
Aas liye
Aur bachon ky bilaknay ki tarah qal'qal se
Behar na'soodgi machlay to manay na mny
Jab koi baat banaye na banay
Jab koi baat chalay
Jis gharri raat chalay
Jis gharri maatami sunsaan siyaah raat chalay
Paas raho
Meray qatil meray dil'daar , meray paas raho
Poet : Faiz Ahmad Faiz
Jul 28, 2014
Hum keh tehray ajnabi itni mulaqaaton kay baad
Hum keh tehray ajnabi itni mulaqaaton kay baad
Phir banain gay aashna , kitni middaton kay baad
Kab nazar main aye gi be'dagh sabzay ki bahaar
Khoon kay dhabbay dho lain gay , kitnay barson kay baad
Thay bhout be'dard lamhay , khatam-e-dard-e-ishq kay
Thein bhout be'mehar subhain , meharbaan raaton kay baad
Dil to chaha , par shakist-e-dil ne mohlat hi na di
Kuch gilay shikwye bhi kar letay munajaaton kay baad
Un se jo kehnay gaye thay , faiz jaan sadqa kiye
An'kahi hi reh gayi , woh baat sab baaton kay baad
Subscribe to:
Posts (Atom)







.jpg)


.jpg)