Jun 3, 2014

Kyon kisi ko wafa ky badlay wafa nahin milti


Kyon kisi ko wafa ky badlay wafa nahin milti


Kyon kisi ko wafa ky badlay wafa nahin milti
Kyon kisi ko dua ky badlay dua nahin milti
Kyon kisi ko kushi ky badlay kushi nahin milti
Yeh pyaar main kyn hota hai 

Ishq kitna rulaye sari duniya bhulaye be'qarari barh'hy chain ik pal na aye

Log ishq main kiya se kiya huye
Mil gaye kabhi phir juda huye
Bas khizaan mili is bahaar main 
Umar kat rahi  intizaar main

Kyn kisi ko hansi ke badlay hansi nahin milti
Kyon kisi ko wafa ky badlay wafa nahin milti

Yeh pal kahin tehra nahin
Yadon pe to pehra nahin 
Jab dawa se bhi zakham na bharay
Aisay haal main socho koi kiya karay

Kyon kisi ko kushi ky badlay kushi nahin milti
Kyon kisi ko wafa ky badlay wafa nahin milti

Tere naam hum ne kiya hai


Tere naam hum ne kiya hai

Tere naam hum ne kiya hai 
jeevan apna sara sanam
pyaar bhout kartay hain tum se
ishq hai tu hamara sanam 

Teray ishq ne sathiya tera haal kiya kar diya

Gulshan bhi ab to veerana lagta hai 
her apna hum ko begana lagat hai 
hum teri yadon mainkhoye rehtay hain
log hamain pagal dewaana kehtay hain 
teray bina  , teray bina 
teray bina na'mumkin hai zindagi ka guzara sanam

lagi chootay na laagi chootay na
ishq ka dhaga tooty na

nain'on se behtay ashkon ky dharon main
Hum ne tujh ko dekha chaand sitaron main 
firha ki agni main pal pal tapti hain
ab to saansain teri mala jabhti hain
teray liye , teray liye
teray liye is duniya ka her sitam hai gawara sanam

Tere naam hum ne kiya hai 
jeevan apna sara sanam


Tera mukhra haseen jadoo kar gaya


Tera mukhra haseen jadoo kar gaya
yeh dil ly gaya meri jaan 
main ne dekhi hain bari larkiyaan sohniyan
tery jaisai mili koi na

aray mil gaya dil ko qaraar meray
hi kar liya hum ne jo pyaar tumhain
dekha jo tujhay to nazron ne kaha keh
tera mukhra haseen jadoo kar gaya

Tera mukhra haseen jadoo kar gaya
yeh dil ly gaya meri jaan 
main ne dekhi hain bari larkiyaan sohniyan
tery jaisai mili koi na

Jata hi nahin nazron se paray
mukhra hai tera palkon ky talay 
meray gird bas teri hi awaaz hai
mohhabat ka yeh aisa andaaz hai
jaisay sawan barsayjhoom kar yeh

Tera mukhra haseen jadoo kar gaya
yeh dil ly gaya meri jaan 
main ne dekhi hain bari larkiyaan sohniyan
tery jaisai mili koi na

Kajal ky bina aankhain kaliyaan 
Aarz aanch dy behkay baliyaan 
sulagta hai dil shyed aag lagi
Mera bhi hai jaisay ab haal yahi
Hai khwaab idher tabeer udhar 

Tera mukhra haseen jadoo kar gaya
yeh dil ly gaya meri jaan 
main ne dekhi hain bari larkiyaan sohniyan
tery jaisai mili koi na

aray mil gaya dil ko qaraar meray
hi kar liye hum ne jo pyaar tujhay
dekha jo tujhay  nazron ne kaha keh

Tera mukhra haseen jadoo kar gaya
yeh dil ly gaya meri jaan 
main ne dekhi hain bari larkiyaan sohniyan
tery jaisai mili koi na

Tum py hi likha hai her ik lafz


Tum py hi

Tum py hi 

likha hai 

her ik lafaz 

apni nazmon ka 

phir bhi kyn poochtay ho 

keh

is nazam ka

unwaan kiya hai

Hamain yakeen hai mohabbat ab nahin ho gi


Hamain yakeen hai mohabbat ab nahin ho gi
koi shikwa ya shikayat ab nahin ho gi

tumhara naam ly ly kar dil dharkta  tha
lahoo main youn hararat ab nahin ho gi

bari hasrat se jo taktay thay mujhay
unhain mujh se adawat ab nahin ho gi

gulon ko chairti tumharay jisam ki kushboo
chaman main yeh shrarat ab nahin ho gi

Suno ! meri woh sab ghazlain jala dena
un jazbon ki ehmiyat ab nahin ho gi

chalo tum ko kisi se to mohabbat hai
magar hum se mohabbat ab nahin ho gi

Unkahi baton ki thakan


Unkahi baton ki thakan 

Sard raton ki rida , doobti neendon ki thakan 
Subha ky hathon se tooti meray khabon ki thakan

shall ho jatay hain her pairr ky sookhay bazoo
dhal gayi zard khizaon main baharon ki thakan 

Baagh main phailti tanhai ky bojhal paon
girtay paton ki thakan , garam dopehron ki thakan

Love is


Love is 

Patient 
Kind
Not jealous
Not boastful 
Not proud
Not rude
Not demanding of its own way.
Not irritable
Not keeping record of wrong
not rejoicing in injustice
Rejoicing whenever truth wins out.
Never giving up
Never losing up
Never losing faith 
Always hopeful
Enduring through every circumstances

I will love you forever


I will love you forever 

I love you so deeply,
I love you so much,
I love the sound of your voice
And the way that we touch
I love your warm smile 
And your kind , thoughtful way,
The joy that you bring
To my life every day
I love you today
As i have from the start,
And i will love you forever 
With all of my heart.

Love is a gentle caring


Love

Love is a gentle caring
a quit concern 
deeply hidden in the heart 
A presence always felt
everyday , every minute , every hour.
Love is a gentle embrace
between body and soul.
A quiet touch of the hand 
a soft hug by warm arms
a caress of two souls.
Love is agreat passion
between hungry hearts.
The intimate exchange
between mind , body and soul.
Love is always carring 
always growing 
always being there.
Love is a wonderful  gift
shared by two blesses souls.
experiencing Heaven on earth.

Sweet Love Words


Sweet Love Words

There are words that show feelings ,
Some word express different thoughts'
Some words transform us all ,
They touch the deep of our soul.
There are magic words ' sweet ones,
Simple ones , but powerful,
Some words have ambrosia flavor ,
Some ones, roses smell and color,
There are words , finally, 
That bring us hope and peace.

Amongst all words , however , my choice goes
To those that mix innocence 
With a lot of passion and so much desire..
The sweetest , that i very much like,
The words I more eagerly enjoy,
The ones that come from your lips , my love

My love reveals objects


My love reveals objects



My love reveals objects
silken  butterflies
concealed in his fingers
his words 
splash me with stars 
night shines like lightning 
under the fingers of my love
My love invents worlds where
jeweled glittering of my love
worlds where music is the world 
worlds where houses with open eyes
contemplate the dawn
My love is mad sunflower that forgets 
fragments of sun in the silence

Dil jalon se dil jalon ka rabta acha laga


Dil jalon se dil jalon ka rabta acha laga
do gahri mil baithny ka silsila acha laga

koi khoobi to na thi mujh main keh chaha jaon main 
phir na janay ussay chahaera mera acha laga

raat sari jagney ke baad mujh ko subha dam 
neem baaz aankhon se us ka dekhna acha laga

baat meri aur mukhatab us ka hona ghair se
is ka yeh tarz-e-takalum bhi bara acha laga

sar meray seenay pe rakh ky us ne sharmatay huye
sath jeenay marney ka wada kiya , acha laga

apneu chaharay pe jo dekhay us ke honton ky naqoosh 
mud'daton ky baad mujh ko aaina acha laga

umar bhar jagay magar rehaan is sab ki qasam
sath un ko bhi jaga kar jagna acha laga

jaan se ishq aur jahan se guraiz


jaan se ishq aur jahan se guraiz
doston ne kiya kahan se guraiz

ibtida ki teray qaseeday se
ab yeh mushkil, karon kahan se guraiz

main wahan hoon jahan jahan tum ho
tum karo gy kahan kahan se guraiz

kar gaya meray teray qissay main 
daastaan-go yahan wahan se guraiz

jung haari na thi abhi keh faraz
kar gaye dost darmiyaan se guraiz

Her ik lafaz tarapta hua hi payo gy


Her ik lafaz tarapta hua hi payo gy
meri ghazal ka misra jo gun'gunao gy

hum to be'naam ho gay tumhari ulfat main 
ab hathaili ko kis ky naam se sajao gy

hum kabhi tum se apn agham byaan nahin kartay 
agar maloom yeh hota keh muskurao gy 

tumhara husan tha fani so fanna-yaab hua 
ishq baqi hai ussay her baqa main payo gy 

woh qatal kar ky mujhay her kisi se poochtay hain


woh qatal kar ky mujhay her kisi se poochtay hain 
yeh kaam kis ne kiya hai yeh kaam kis ka tha 

wafa karain gy nibhaein gy , baat manein gy 
tumhain bhi yaad hai kuch yeh kalaam kis ka tha 

agarcha dekhney wale tere hazaron thay
tabaah haal bhout zair-e-baam kis ka tha 

her aik se kehtay hain kiya daag be'wafa nikla 
yeh poochay un se koi yeh ghulaam kis ka tha

Tujhay khabar hi nahin keh teri udaas adhoori mohabbaton ki kahaniyan


Tujhay khabar hi nahin keh teri udaas adhoori 
Mohabbaton ki kahani 
Jo bari kashada dili se
Hans hans kay sun raha tha 
Woh shakhs teri sadaqaton pe fareefta
Ba'wafa aur sabat qadam
Keh jis ki jabeen par 
Zaalim rafaqaton ki jalan se
Koi shikan tak na aayi 
Woh zabat ki karab naak shiddat se 
Dil hi dil main , khamosh chup chaap 
Mar gaya ..............

woh tum na thay aik khyal tha


woh tum na thay aik khyal tha
meri soch ka hi kamaal tha 

woh mohabbatein , woh chahatein 
meri uljhano ka hi jaal tha 

meray dil main thein jo ronaqein 
woh tera hi husn-o-jamaal tha 

mujhay khwaab jis ka mila nahin 
woh aisa hi sawaal tha 

issay yaad kaisay na karain hum 
ussay bhoolna to mohaal tha 

woh aaj gaya to ehsaas hua 
kis qadar mujhay us se pyaar tha 

ab us ki kiya main misaal doon 
woh apni misaal aap tha

Meri tehreeron main kiya dhoond rahi ho tum


Meri tehreeron main kiya dhoond rahi ho tum
khud ki ?
be'khabar
jhoot hain yeh jumlay bhi
meri tarah 
ik be'sharam insaan 
saray jazbon , yaadon , waadon
raat ky snatay 
tanhai ka sahara le kar jisay tehsay 
shab bhar gharta hai yeh sacha jhoot
par is jhoot ko likhtay likhtay 
likhtay likhtay 
kaghaz aksar bheeg jata hai 
tum jana 
kaghaz ky us tar hissay main kho jati ho
phir tum 
meri tehreeron main kiya dhoond rahi ho 

Sakoot-e-jaan ka matlab bata do phir chalay jana


Sakoot-e-jaan ka matlab bata do phir chalay jana 

ya phir sargoshiyan dil ki suna do phir chalay jana

jo mera aur tumhara waqat guzra hansaney roney main 

ussy poori tarah se tum bhula do phir chalay jana

ya saray pairr pody tum bin kai raat jagay hain 

tum aa ky ik baar in ko sula do phir chalay jana

na janey kyn lakin dekhney ki tum ko aadat hai 

meri be'waja aadat chura do phir chalay jan a

meray shab-o-roz ka unwaan bas tum ho

mujhay dosra unwaan jo la do phir chalay jana

Meray chara gar ko khabar to do


Meray dil se meray khyal tak 
woh jo khwaishon ki jung thi
meray karab se
meray dard tak ky saray bhaid sina gayi
mujhay hoslon pe yaqeen tha
mujhay khud pe ajab hi za'am tha
to yeh kiya hua 
yeh kyn hu a
keh main reza reza bikhar gayi
na phir se khud hi simat sakon 
na phir se waisay pa'nap  sakon 
meray chara gar ko khabar to do
keh main khud se kaisay bikhar gayi
keh main khud se kaisay bichar gai

In jheel si gehri aankhon main


In jheel si gehri aankhon main 
ik shaam kabhi abaad to ho
is jheel kinaray pal do pal 
ik khwaab ka neela phool khilay
is phool ke behtay rangon main 
jis qawat larazta chaan chalay
is waqat kahin in aankhon main 
is basray pal ki yaad to ho
in jheel si gehri aankhon main 
ik shaam kabhi abaad to ho
phir chaye samandar ki 
her moj parishaan ho jaye
her khwaab guraizaan ho jaye
phir chahaye phool ky chaheray ka 
her dard numayaan ho jaye
is jheel kinaray pal do pal 
woh roop nagar ejaad to ho 
din raat ky is aainay se
woh aks kabhi azaad to ho
is jheel si gehri aankhon main 
ik shaam kabhi abaad to ho

Utray thay kabhi faiz woh aaina-e-dil main


Utray thay kabhi faiz woh aaina-e-dil main

Aalam hai wohi  aaj bhi hairani-e-dil ka

Kaisay kahon main tum se


Kaisay kahon main tum se
teri judai maar dy gi
zehar dil main utaar de gi
teri yaad ky saharay 
na guzar sakein gy yeh din
tujhay dekhny ko meri 
aankhain taras gayi to
yeh nazrain tarap gayi to
yeh aankhin baras gayi to
kaisay mana sakon gi
ansoo chupa sakon gi
gar tum bichar gaye to
tum mujh se lar gaye to
main juda jo hui tum se
na main jee sakon gi sun lo
meri aarzoo yahi hai
meri zindagi main kushiyaan 
jo mili woh sab tumhi se

Mohabbat khwaab hoti hai


Mohabbat khwaab hoti hai 
Mohabbat baat hoti hai
agar koi pooch baithay to 
mohabbat raaz hoti hai
machalti umangon ka sath hoti hai
agar koi dhoondna chahaye 
to mohabbat nayaab hoti hai
mohabbat phool hai shayed 
ghamon ki dhool hai shayed
kisi ka sath hai shayed 
chamkti raat hai shayed 
agar na mile to ...
mohabbat azaab hoti hai

suna hai tumharay paas aik aaina hai


suna hai tumharay paas

aik aaina hai 

jo andhon ko 

un ki suratein dekhata hai 

andhay khawabon ki tasveer banata hai

khawabon ki talash main thak kar 

meri neendain so gayi hain 

meri aankhon se khwaab nochnay walay 

meri aankhain bhi andhi ho gayi hain 


Tujhay khabar bhi nahin


Tujhay khabar bhi nahin 

keh teri udasi adhoori hai

mohabbaton ki kahani'an 

jo bari kushada dili se 

hans hans kar sun raha tha 

woh shaks teri sdaqaton par fareefta 

baa'wafa , sabat qadam

keh jis ki jabeen par

zaalam raqabaton ki jalan si

koi shikan na aye

woh zabt ki khabar'naak shiddat se 

dil hi dil main 

khamosh , chup chaap

mar gaya hai 


Tumhari aankhon main ik til hai


Tumhara kehna hai 
Tum mujhay be'pannah shiddat se chahatay ho 
Tumhari chahat 
Wisal ki aakhri hadon tak
Meray faqat meray naam ho gi 
Mujhay yaqeen hai mujhay yaqeen hai 
Magar qasam khanay walay larkay 
Tumhari aankhon main aik til hai 

Tumhara kehna hai


Tumhara kehna hai 

tum mujhay be'pannah siddat se chahtay ho

tumhari chahat 

wisaal ki aakhri hadon tak 

meray faqat meray naam ho gi

mujhay yakeen hai , mujhay yakeen hai

magar qasam khanay wale larkay

tumhari aankhon main aik til hai 

Hum aksar yeh samjhtay hain


Mohabbat tehar jati hai 
Hum aksar yeh samjhtay hain 
Jissay hum pyar kartay hain 
Ussay hum bhool baithay hain 
Magar aisa nahin hota 
Mohabbat aik sach hai 
Haan ! mohabbat tehar jati hai 
Hamari baat kay andar 
Hamari zaat kay andar 
Magar yeh kam nahin hoti 
Kisi bhi dukh ki surat main 
Kabhi koi zaroorat main 
Kabhi anjaan se gham main 
Kabhi lehlay ki thandak main 
Udasi ki zaroorat main 
Kabhi baarishon ki surat main 
Hamari aankh kay andar 
KAbhi qatray ki surat main 
Ba'zahir aisa lagta hai 
Ussay hum bhool baithay hain 
Magar aisa nahin hota 
Hargiz kam nahin hoti 
Mohabbat tehar jati hai 
Mohabbat kam nahin hoti ..........!!

mohabbat tehar jati hai mohabbat kam nahin hoti


Mohabbat tehar jati hai 
hum aksar yeh samjhtay hain 
jissay hum pyaar kartay hain
ussy hum bhool baithay hain 
magar aisa nahin hota
mohabbat aik sach ahi 
Haan! mohabbat tehar jati hai
hamari baat ky andar
hamari zaat ky andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh surat main
kabhi lehjay ki thandak main 
udasi ki zaroorat main
kabhi barishon ki surat main 
hamari aankh ky andar 
kabhi qatray ki surat main
ba'zahir aisa lagta hai 
ussay hum bhool baithay hain 
magar aisa nahin hota
yeh hargiz kam nahin hoti
mohabbat tehar jati hai 
mohabbat kam nahin hoti

An'aa aik aisa pathar hai


An'aa  aik aisa pathar hai
Jo mann main janam leti hai 
Yeh sar ko na jhukanay ki 
Badan se qasam leta hai 
Dilon ki her tamana par 
Yeh kaari zarb hota hai  
Aur is kay her taqazay main 
Bala ka karb hota hai 
Yeh duniya ki kisi talkhi se
Kabhi darnay nahin deta 
Yeh jeenay bhi nahin deta 
YEh marnay bhi nahin deta 
Agar jeewan ki raahon main 
Jo chahat ko kabhi chaho
Kisi kay saamp lafzon se
Ussay daswana parta hai 
Mohabbat karnay se pehlay 
Ussay daf'nana parta hai 
An'aa  aik aisa pathar hai
Jo mann main janam leta hai 

 

Qismat saath hi nahin deti


Qismat saath hi nahin deti 

Bilkul teray jaisi hai . . .!!

Ae Ishq.. hamari galion main na aur phiro to acha hai


Youn dil na lagay .. na dard uthay

mat roz milo to acha hai 

na pyaar barhay .... na jhagra ho

tum door baso to acha hai

kisi phool se miltay chaheray ko

meri duniya dekhna chahye gi

jo paas tumharay kuch bhi nahin

parday main raho to acha hai

is pyaar ki sundar banhon main 

ab banhain daal ky so bhi chuko

youn jee jee ke ab marney se

mar mar ky jeo to acha hai

le ky zanjeerain hathon main 

kuch log tumhari taak main hain 

Ae Ishq.. hamari galion main na aur phiro to acha hai 

Tumhain wapis bhi jana hai


Tumhain wapis bhi jana hai
Kabhi tum ne yeh socha hai 
Kisi ki sochti sada si aankhon main 
Udasi ki khafi tehreer tum ne sab mitta dali
Dhanak sapno ka phir se jaal sa ik bun diya un main 
Magar jana ! zara socho . !
Agar is baar bhi sapnay kisi ne tor dalay to 
Woh in ki kirchiyan sari ki sari 
Apni palkon main chupa lay gi
Agar is zindagi kay bhais main phir marg nikli to galay us ko laga lay gi 
Tum aisa kiyon nahin kartay 
Abhi se us ko batlaa do tumhein wapis bhi jana hai 

Tumhain wapis bhi jana hai


chalo sath tumharay chaltay hain


Koi abar uray kisi qalzam se

ras barsay meray veeranay par

koi jalta ho , koi karhta ho 

meray der se wapis anay par 

koi baithay meray pehlu main 

koi hath dharay meray shanay par

koi dabay dabay lehjay main kahay 

tum ne ab tak baray dard sehay 

chalo tanha chalna khel nahin

chalo sath tumharay chaltay hain

Tum se pehlay bhi mohabbat to mujhay thi lakin


Aitraaf

Tum se pehlay bhi mohabbat to mujhay thi lakin 

aisi mun zor na thi 

jo meri rroh main tehleel hui jati hai

dorti hai jo meray jisam main lahoo ban kar

din badin cheen rahi hai jo mujhay khud main

din badin sonp rahi hai jo mujhy bas tum ko

dekhnay deti nahin aur kisi simt mujhay 

sochney deti nahin aur koi baat mujhay

dharkanein aik hi tasbeeh kiya jati hain 

dil ki halat yeh meri jaan kisi tor na thi

tum se pehlay bhi mohabbat to mujhay thi lakin 

aisi mun zor na thi

Chalo yeh maan letay hain



Chalo yeh maan letay hain
Keh teray aur meray darmiyan rishta nahin koi 
Na to meray liye dil main kasak mehsoos karti hai 
Na meray dil main teray naam se toofan uthta hai 
Na to baton ki meri yaad kar kay hansti rehti hai 
Na main teri hansi kay wastay batein banata hoon 
Na to meray liye nazmon kay guldastay sajati hai 
Na main teray liye lafzon kay moti chunta rehta hoon 
Na teray dil main koi khouf hai keh hum juda hon gay 
Na main aglay jahan ki baat dil main laya karta hoon 
Na meray haath main teray liye tehreer-e-ulfat hai 
Na meray dil main meray wastay koi mohabbat hai 
Bhala ab aur apnay darmiyan kaisa taaluq ho
Hamaray darmiyan to ajnabiyat hai na aashna sa hoon
Hamaray dil nahin manay magar hum maan letay hain 
Keh teray aur meray darmiyan rishta nahin koi 
Chalo hum maan letay hain 


Kaash mujhay bhi batein atiein


Mujh ko batain kab ati hain
main to bas khamosh sa shair
ulfat chahat ky rangon se
dil ki khali tasveeron main 
koi mohabbat likh deta hoon
aur kabhi dewaar se lag kar
koi mohabbat ro deta hoon
aur kabhi aankhon aankhon 
sari batin keh jata hoon
main to ik khamosh sa shair
mujh ko batein kab ati hai
mujh ko batein gar atein to 
tum kiya mujh ko chor kar jatein 
meray sapnay tor kar jatein 
kiya meri aankhon main dukh kay
itnay aansoo dekh saktein thein
mera kul sarmaya tha jo 
kiya woh mujh se le saktein thein
mujh ko batein gar atein to 
main bhi tum se woh sab kehta
jo tum sun'nanay ki khwaish main 
saray rastay bhool ayi ho
saray rishtay bhool ayi ho
main tehra khamos sa shair
mujh ko batein gar atein to
tum bhi meray khwaab sajatien 
youn na tanha chor kay jatein
kaash mujh bhi batein atein

Chandani raat kay khamosh sitaron ki qasam


Chandani raat kay khamosh sitaron ki qasam 

Dil main ab teray siwa koi bhi abaad nahin

kabhi din main chaand chamka hai


Dil kehta hai , ussy raat kahon 

magar woh chahta hai , chaand kaha jaye ussay

kaisay samjhaon ussy 

kaisay samjhaon  , roshni yeh siyaah zaat hi hai 

husan is chaand ka yeh raat hi hai

tum hi batayo

kabhi din main chaand chamka hai

Dil kehta hai phir khud ko taqseem karon main


Dil kehta hai

phir khud ko taqseem karon main

itni muddat baad 

tumhari yaad ayi hai

youn lagta hai

jaisay pichlay mousam

phir se loat aye hon

be'khawabi ky aadi hum bhi jab se huye hain


Sach poocho to

be'khawabi ky aadi hum bhi
jab se huye hain
khwaab suhanay bikhar gaye hain
guriyan aur patolay jab se 
chootay tab se
meet puraney bichar gaye hain
Sach poocho to 
dil to apna ab bhi chahye
mazi apna palat aye
aankh macholi khailain phir se
lakin jana 
ab yeh sab kuch kab mumkin hai 
umar ky pal ky neechay se to
khasa pani guzar chuka hai
charrta dariya utar chuka hai 

Meray hamdam meray sathi tumhain to yaad hi ho ga


Meray hamdam meray sathi
tumhain to yaad hi ho ga
woh din kiya khaas tha 
jab tum meri hast main ayi thi
meri be'rang duniya ko 
tumhari muskurahat ny hazaron rang bakshay thay
issay kaisay sajaya tha tumhain to yaad hi ho ga
tumhain main ne bataya tha
keh main khawabon main rehta hoon magar tum ik haqeeqat ho
mohabbat hi mohabbat ho
phir is ky baad sab mousam , sabhi manzar tumhari aankh se dekhay
tumharay sath jo guzray wohi pal zindagi tehray
tumhain to yaad hi ho ga, mujhay kab yaad rehtatha
mujhay kiya kaam karney hain
mujhay kis kis se milna hai 
kahan jana zaroori hai
khafa koi hai kyn mujh se
kissay ja ky manana hai 
mujhay kab yaad rehta hai
mera mamool to tum thein
tumhi sab yaad rakhti thi
main apney dil ki sab batein faqat tum se hi karta tha
tumhari bhi yeh aadat thi
tumhain to yaad ho ho ga main aksar tum se kehta tha 
abhi is zindagi ke sath kitney roog liptay hain
mujhay tum se mohabbat ki zara fursat nahin milti
zara woh waqat anay do , zara fursat mile mujh ko
bitha ky samney tum ko tumhain jee bhar ky dekhon ga
batayon ga mujhay tum se mohabbat si mohabbat hai
mujhay is dam mili fursat
keh jab yeh baat sun'naney ko nahin tum samny meray
meri jaan tum wahan par ho
jahan se loat kar wapis kabhi koi nahin ata
mera qaraar sun latein 
mera izhaar sun latein
keh ab fursat hi fursat hai
keh ab mamool main meray faqat tum se mohabbat hai
magar yeh bhi haqeeqat hai
keh main takheer se poncha
tumhain janey ki jaldi thi 

Hamein tum se mohabbat hai


Hamein tum se mohabbat hai 

Na yeh dukh seh saktay hain 

Na tum se keh saktay hain .......!!!!

Taluq torna chahey tu mujh ko chorna chahey


Taluq torna chahey
Tu mujh ko chorna chahey 
To meri shart itni hai 
Tumhein jo de chuka hoon main 
Mujhay lota do woh sab kuch !

Meray naghmay woh chahat kay 
Woh sab tohfay mohabbat kay 
Woh bheegi dairy meri 
Woh sari shairy meri 
Sabhi woh phool aur patiyan 
woh meethi pyar ki batein 
Kaho lota sako gay tum ?
Meray woh qeemati lamhay 
Jo tujh ko sochtay guzray 
Woh pal jo ik qayamat thay 
Jo rasta dekhtay guzray 
Khuda ko bhool kar woh din 
Jo tujh ko poojtay guzray 
Kaho lota sako gay tum ?

Haya ki chandani de di
Jiya ki raagni de di
Labon ki chashni de di 
Hina ki roshni de di 
Tujhay to zindagi de di 
To phir woh zindagi meri 
Kaho lota sako gay tum ?
Agar mumkin ho aisa to 
Taluq tor lena tum !
Bhalay phir chor dena tum ?

Aag ky do naam hain nafrat aur mohabbat


Aag ky do naam hain 

aag ky do naam hain

nafrat aur mohabbat

dono hi dil ko jalatay hain 

raton ki neend uratay hain 

dono hi bhout sta'tay hain 

tanhai main tarpatay hain 



Tumhara lehja badal raha hai


Tumhara lehja badal raha hai 

wohi hai dharti , falaq wohi hai
yeh dil bhanwar se naina
yaqeen wohi hai gumaan wohi hai
yeh chaand aur keh'kishaan wohi hai

tumhari surat tumharo moorat 
tumhari batein wohi hain lakin
bhout dino se youn lag raha hai 
sam'aton se utar ky suraj pighal raha hai 
tumhara lehja badal raha hai ...

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...