Jul 25, 2014

Mera chota sa ik sapna hai




Mera chota sa ik sapna hai 
Jissay pal main poora kar de ga 
In aati jaati sansoon main 
Woh khushboo pyaar ki bhar de ga 
Mujhay oonchi hawaon main urna hai 
Aur ambar ko ja choona hai 
Sona hai yaad kay bistar pe 
Phir her khwaish main jaagna hai 
Jab chahon ghoomon baghiya main 
Main titli hoon mujhay par de de 
Her saans gawahi deti hai 
Mera jeevan sundar kar de ga 
Jab dekhaye ga mera khaali mann
Woh rang-e-mohabbat bhar de ga 
Woh mera saajan , woh mera piya 
Bin jis kay lagay na mera jeeya 
Jeevan ki andheri raaton main 
Woh jaisay ho koi jalta diya 
Mujhay us ki pannah main rehna hai 
Jo hansta basta kar de ga 
Jis ghar ki kachi dewaarain thein 
Aur lakri ka ik zeena tha 
Angana main matti ki khushboo
Woh sawan rutt ka maheena tha 
Maazi kay sundar rangon ka 
nainon ko her manzar de ga 


2 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...