Jul 19, 2014

Paani aankh main bhar kar laya ja sakta hai


Paani aankh main bhar kar laya ja sakta hai 
Ab bhi jalta shaher bhujaya ja sakta hai 

Aik mohabbat aur woh bhi na'kaam mohabbat 
LAkin is se kaam chalaya jaa sakta hai 

Dil par paani peenay ati hain umeedain 
Is chashmay main zehar milaya jaa sakta hai

Mujh gum'naam se poochtay hain farhaad-o-majnoo
Ishq main kitna naam kamaya jaa sakta hai 

Yeh mehtaab yeh raat ki paishaani ka ghayo
aisa zakham to dil par khaya jaa sakta hai 

Phatta puraana khwaab hai mera phir bhi "Tabish"
Is main apna aap chupaya jaa sakta hai

Poet : Abbas Tabish

Mera kamra hai keh ik duniya teri yaadon ki



Mera kamra hai keh ik duniya teri yaadon ki 

Chairoon jis cheez ko teri nishaani niklay

Tu hosh main tha phir bhi hamain pehchaan na paya



Tu hosh main tha phir bhi hamain pehchaan na paya 

Ik hum hain keh pee kay bhi tera naam letay hain

Yeh to suraj ki meharbaani hai


Yeh to suraj ki meharbaani hai 

Din bhala mujh se kab guzarta hai

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Tu ne dekhi nahin ishq kay qalandar ki dhamaal


Tu ne dekhi nahin ishq kay qalandar ki dhamaal 

Paaon pathar pe bhi parr jaye to dhool urrti hai

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Zindagi bhar kay imtihaan kay baad



Zindagi bhar kay imtihaan kay baad 

Woh nateejay main kisi aur ka nikal

Teri her baat maan leti hoon



Teri her baat maan leti hoon 

Yeh bhi andaaz hai shikayat ka

Chaand jab niklay to tera gumaan hota hai


Chaand jab niklay to tera gumaan hota hai 

Kis qadar dil faraib woh samaa hota hai 

Hum teri yaad main khoye rehtay hain jaana

Neend main jab sara jahan hota hai

Paas ayo zara dil ki baat bataon tum ko


Paas ayo zara dil ki baat bataon tum ko 
Kaisay dharakta hai dil awaaz sunaon tum ko 

Aa ke dekh lo dil pe likha hai naam tumhara 
Agar kehtay ho to dil cheer ky dikhaon tum ko 

Jitna jalaya hai tum ne pyaar main mujh ko 
Dil to karta hai main bhi jalaaon tum ko 

Ajnabi hota to , aisa kar bhi leta shayed 
Magar tum to apnay ho kaisay staoun tum ko

Marnay ki duaein kiyon maangain


Marnay ki duaein kiyon maangain 

jeenay ki tamana kiyon karain 

YEh duniya ho ya woh duniya 

Ab khwaish-e-duniya kiyon karain 


ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Tum jo mil jao to nijaat mil jaye


Tum jo mil jao to nijaat mil jaye

Is roz jeenay se roz marnay se

Hum sabhi khwaab churaatay teri aankhon se magar


Hum sabhi khwaab churaatay teri aankhon se magar
Teri palkon ko baidaar na honay detay

Hum sabhi rang churaatay tere chehray se magar 
Be'asar tere lab-o-rukhsaar na honay detay 

Tujh se miltay teri saanson se mila kar saansain 
Ek bhi saans gunnah'gaar na honay detay 

Hum tujhay dukh bhu sunaatay to lateefon ki tarah 
Hum tabiyat teri be'zaar na honay detay 

Hum girha kholtay sub teri shanasaai ki 
Tujh ko is tarah se pur israar na honay detay

Aaj tafseel se nahin bas itna suno


Aaj tafseel se nahin bas itna suno 

Main tanha hoon aur wajha tum ho 


ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Yaadon main basa rakha hai tujhay is qadar


Yaadon main basa rakha hai tujhay is qadar 

Koi waqat bhi poochay to tera naam bata detay hain

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Aankhein khultay hi yaad anay lagtay ho


Aankhein khultay hi yaad anay lagtay ho 

Tumhain to bas stanay ka bahana chahiye

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Wafa ka zikar chala to mujhay khyal aya


Wafa ka zikar chala to mujhay khyal aya 

Woh naqsh meri wafa ka mitta chuka ho ga 

Jo meri aankhon ko aaina kaha karta tha 

Woh mera chehra bhi kab tak bhula chuka ho ga

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Rotay huye woh mujh se lipat kar boli


Rotay huye woh mujh se lipat kar boli 

Nafrat hai mujhay tum se mery paas na ayo

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Hijar ki talkhi zehar bani hai


Hijar ki talkhi zehar bani hai 

Meethi baatein bhaigo na

Shaam main jeevan beet chala hai 

Roshan subhain bhaijo na

Khud ko dekhay arsa beeta 

Apni aankhain bhaigo na

Hijar ka ehtraam to dekho


Hijar ka ehtraam to dekho 

Mere ansoo qataar main utray

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

MAin fanaa ho gaya par woh badla phir bhi nahin


MAin fanaa ho gaya par woh badla phir bhi nahin 

Meri chahat se bhi sachi thi nafrat us ki

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Youn to sadmon main bhi hans leta tha main


Youn to sadmon main bhi hans leta tha main 

Aaj kiyon be'waja rone laga hoon main 

Barson se hatheliyaan khaali hi rahi meri 

Phir aaj kiyon laga sab khonay laga hoon main

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Teri ulfat ne to dewana bana rakha hai


Teri ulfat ne to dewana bana rakha hai 
Aur logon ne bhi afsana bana rakha hai 

Andhiyaan tez chalein , bujh na sake ga phir bhi 
Khoon-e-dil se jo diya hum ne jala rakha hai 

Unse khud un ki jafaon ka gila kaisay karain 
Hum ne aahon ko bhi seenay main daba rakha hai 

Woh jo qaatil hai , sitam'gar hai mohabbat ka meri 
Hum ne unwaan-e-ghazal un ko bana rakha hai

Ban kar anjaan sar-e-bazam woh mujh se bolay
Ishq main kis kay bura haal bana rakha hai 

Shiddat-e-gham main bhi muskuraana ho ga


Shiddat-e-gham main bhi muskuraana ho ga 
Ab yeh fun bhi honton ko sikhana ho ga 

lazat-e-gham kuch aur bhi barh jaye gi 
Zakham jis qadar gehra aur puraana ho ga 

Koi na ho ga raah-e-wafa pe chalnay wala
Aisa bhi aik dour aik zamana ho ga 

Meh'kashon kay bas chehray badel jayein gay 
Wohi mehh ho gai , wohi meh'khana  ho ga 

Gumaan tha gham-e-hijar ik raat ka hai 
Kiya khabar thi tamasha yeh rozana ho ga 

 

Mujh se miltay hain to miltay hi chura letay hain aankhain


Mujh se miltay hain to miltay hi chura letay hain aankhain 

Phir woh kis kay liye rakhtay hain saja kar aankhain 

Main unhain dekhta rehta hoon jahan tak woh main dekhon

Aik woh hain keh jo dekhain na uthaa kar aankhain

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Koi dewaar rehnay do faqat izhaar rehnay do


Koi dewaar rehnay do faqat izhaar rehnay do 

Safar main saath chal kar bhi mujhay is paar rehnay do

Na aankhon main sajao tum na mujh ko khaak hone do 

NA tarsain tumhari qurbat ko mujhay be'baak rehnay do

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Meri sochon ko naye mor pe laane kay liye


Meri sochon ko naye mor pe laane kay liye

Haan woh aya tha mujhay chor kay jaane kay liye

Din guzata hai qayamat ki tarah aksar 

Aur shaam ati hai naya hashar uthanay kay liye 

Jab woh ata hai mujhay yaad to youn lagta hai 

Zindagi kam hai bhout us ko bhulanay kay liye

Aahat , aahat intizaar kar kay dekhna


Aahat , aahat intizaar kar kay dekhna 

Kabhi kisi se pyaar kar kay dekhna 

Toot'tay hain khoon kay rishtay bhi 

Ghaltiyaan do chaar kar kay dekhna 

Agar zindagi ka falsafa samjhna ho to 

Baarish main kachi dewaar kar kay dekhna

Kabhi kabhi koi yaad koi bhout purana yaad


Yaad

Kabhi kabhi koi yaad
Koi bhout puraani yaad 
Dil kay darwaze par 
Aisay dastak deti hai 
Shaam ko jaisay taara niklay
Subha ko jaisay phool 
Jaisay dheeray dheeray zameen par 
Roshniyon ka nazool 
Jaisay rooh ki pyaas bujhaye
Utray koi rasool 
Jaisay rotay rotay  achanak 
Hans de koi malool
Kabhi kabhi koi yaad 
Koi bhout purani yaad 
Dil kay darwaze par aisay dastak deti hai

Hum ne hasraton kay dagh ansoo'on se dho liye


Hum ne hasraton kay dagh ansoo'on se dho liye
Aap ki khushi hazoor boliye na boliye

Kiya haseen khaar thay jo meri nigah main 
Sadgi se baar ha rooh main samo liye

Mea'kaday kay hoz ka faiz-e-aam dekh kar 
Hum ne bhi kabhi kabhi khushk lab bigho liye

Mousam-e-bahaar hai , ambreen khumaar hai
Kis ka intizaar hai , gaisoo'on ko kholiye

Zindagi ka raasta kaatna to tha "Adm"
Jaag uthay to chal diye , thak gaye to so liye
 

Nahin keh milnay milaanay ka silsala rakhna


Nahin keh milnay milaanay ka silsala rakhna 
Kisi bhi stah pe koi to rabta rakhna 

Marain gay log hamaray siwa bhi tum pe bhout 
Yeh juram hai to phir is jurm ki saza rakhna 

Madad ki tum se tawaqo to khair kiya ho gi 
Ghreeb-e-shaher-e-sitam hoon mera pata rakhna 

Bas aik shaam hamain chayea na poochna kiyon 
yeh baat aur kisi shaam pe uthaa rakhna 

Naye safar pe rawana hua hoon az'sar-e-no
Jab aayon ga to mera naam bhi naya rakhna 

Faseel-e-shouq uthaana "Zafar" zaroor magar
Kisi taraf se nikalnay ka raasta rakhna

Poet : Zafar Iqbaal

Teray ishq ne maala maal kiya


Teray ishq ne maala maal kiya  teray ishq ne 
Na yeh pooch keh kiya mera haal kiya teray ishq ne 

Main teri talaash main nikla tha aur kahan kahan nabhatka tha 
Kabhi sehra main kabhi jungle main kabhi dard ki gehri daldal main 
Phir teray dard pe aa baitha aur tujh se aas laga baitha
Mera toota saans bahaal kiya teray ishq ne 

Akaash pe tera jalwa tha tujhay dekha main ne sawan main 
Pa'taal main tera charcha tha tujhay dekha main ne dar'pan main 
JAb dil kay andar jhaanka to tujhay dekha dil ki dharkan main 
Mera toota saans ba'haal kiya teray ishq ne 
Teray ishq ne maala maal kiya  teray ishq ne 
Na yeh pooch keh kiya mera haal kiya teray ishq ne

Poet Saber Zafar

Na kar Ae tabeeb !! na'kaam koshishein meray dard ko samjhnay ki


Na kar Ae tabeeb !! na'kaam koshishein meray dard ko samjhnay ki 

Tu pehlay ishq kar , phir chot khaa , phir likh meray dard ki dawaa

Waday ki shar bhi achi rakhi aap ne


Waday ki shar bhi achi rakhi aap ne 

Wada wafa karain gay agar yaad reh gaya to

Paani par bhi zaad-e-safar main pyaas to letay hain


Paani par bhi zaad-e-safar main pyaas to letay hain 

Chahnay wale aik dafa bin'waas to letay hain 

Aik hi shaher main reh kar jin ko izn-e-deed  na ho 

Yahi bhout hai, aik hawa main saans to letay hain 

Raasta kitna dekha hau ho , phir bhi shah'sawaar 

Airh laga kar apnay haath main raas to letay hain 

Phir aangan dewaaron ki oonchai main gum hon gay

Pehlay pehlay ghar apno kay paas to letay hain 

Yahi ghaneemat hai keh bachay khaali haath nahin hai 

Apnay pur'khon se dukh meeraas to letay hain 

Main faqat chalti rahi , manzil ko sar us ne kiya


Main faqat chalti rahi , manzil ko sar us ne kiya 
Saath mere roshni ban kar safar us ne kiya

Is tarah kheenchi hai , meray gird dewaar-e-khair
saray dushman roznon ko be'nazar us ne kiya 

Mujh main bastay saray snaaton ki lay us se bani
Pathron kay darmiyaan thi , naghma gar us ne kiya 

Be'sar-o-samaan pe dil'daari ki chadar daal di
Be'dar-o-dewaar thi main , mujh ko ghar us ne kiya 

Paaniyon main yeh bhi paani aik din tehleel tha 
Qatraa-e-be'sarfa ko lakin gehar us ne kiya 

Aik mamooli si achai traashi hai bhout 
Aur fikr-e-khaam se sarf-e-nazar us ne kiya 

Phir to imkaanat phoolon ki tarah khiltay gaye
Aik nanhay say shagoofay ko shajar us ne kiya 

Taaq main rakhaye diye ko pyaar se roshan kiya 
Is diye ko phir chragh-e-raah guzar us ne kiya

jaane ab woh kaisa ho ga



Kaafi arsa beet gaya hai ,jaane ab woh kaisa ho ga 

Waqat ki saari karwi baatein chuky chuky sehta ho ga 

Ab bhi bheegti baarish main woh bin chatri kay chalta ho ga 

Mujh se bichray arsa beeta , ab woh kis se larta ho ga 

Acha tha jo saath hi rehtay baad main us ne socha ho ga 

Apnay dil ki saari baatein khud se khud hi kehta ho ga

Kaafi arsa beet gaya hai ,jaane ab woh kaisa ho ga 

Kaafi arsa beet gaya hai ,jaane ab woh kaisa ho ga


Kaafi arsa beet gaya hai ,jaane ab woh kaisa ho ga 

Waqat ki saari karwi baatein chuky chuky sehta ho ga 

Ab bhi bheegti baarish main woh bin chatri kay chalta ho ga 

Mujh se bichray arsa beeta , ab woh kis se larta ho ga 

Acha tha jo saath hi rehtay baad main us ne socha ho ga 

Apnay dil ki saari baatein khud se khud hi kehta ho ga

Kaafi arsa beet gaya hai ,jaane ab woh kaisa ho ga 

Woh kehti hai teri meri mohabbat raaz hai ab tak



Woh kehti hai teri meri mohabbat raaz hai ab tak
Main kehta hoon keh yeh woh raaz hai jo khul kay rehna hai 

Woh mujh se poochti hai mousamon kay dhang kaisay hai 
MAin keta hoon tumharay pairahan kay rang jaisay hain 

Woh kehti hai mera her pal tujhay milnay ko jee chahye
Main kehta hoon teray deedar ko aankhain tarasti hain 

Woh kehti hai meray aangan main hai mousam baharon ka 
Main kehta hoon tera chehra hai khiltay phool ki manind

Woh kehti hai kai baatein hain dil main khaar ki surat
MAin kehta hoon kai yaadein hain dil main dhool ki manind

Poet : Shafeeq Ahmed Khan

Main kehta hoon kai yaadein hain dil main dhool ki manind


Mukaal'maati Azaad Ghazal

Woh kehti hai teri meri mohabbat raaz hai ab tak
Main kehta hoon keh yeh woh raaz hai jo khul kay rehna hai 

Woh mujh se poochti hai mousamon kay dhang kaisay hai 
Main keta hoon tumharay pairahan kay rang jaisay hain 

Woh kehti hai mera her pal tujhay milnay ko jee chahye
Main kehta hoon teray deedar ko aankhain tarasti hain 

Woh kehti hai meray aangan main hai mousam baharon ka 
Main kehta hoon tera chehra hai khiltay phool ki manind

Woh kehti hai kai baatein hain dil main khaar ki surat
Main kehta hoon kai yaadein hain dil main dhool ki manind

Poet : Shafeeq Ahmed Khan

Kisi ki yaad kisi ki dua zaroori hai


Kisi ki yaad kisi ki dua zaroori hai 
Khatahn safar hai koi aasraa zaroori hai

Dilon ki khirkiyaan kholo keh saans li jaye
Shadeed habs hai taza hawa zaroori hai

Mujhay yeh tohfa-e-soz-e-sukhan tujhi se mila hai 
Gham-e-hayaat tera shukriya zaroori hai

Hawa hai tez magar shab ki paish'waai ko 
Kisi mundair pe roshan dia zaroori hai

Hum apnay zabt ki is intihaa pe aa ponchay 
Jahan koi na koi faisala zaroori hai

Khabar nahin ussay kiya keh kay khush kiya jaye 
Woh poochta hai mohabbat main kiya zaroori hai

Hum aisay ehad main hai "Shahida Latif" jahan 
Keh jo zaroori nahin woh bara zaroori hai

Shahida Latif

Kaha na tha keh main nazuk hoon mat taraash mujhay


Kaha na tha keh main nazuk hoon mat taraash mujhay
Junoon main kar diya tu ne to paash paash mujhay 

Woh mujh ko baant kay kuch waqat kaat letay hain 
Samjh liya hai meray doston ne taash mujhay

Woh hadsa tha keh andar se ho gaya hoon khandar
Ba'zahir ayi nahin hai koi khraash mujhay 

Meray jo kaam adhooray paray hain kar aaon 
Zameen pe bhaig diya jaye phir se kaash mujhay 

Yeh pait saath na hota to main farishta tha 
Kiya moaash kay chakar ne bad'maash  mujhay 

Meray siwa meray pasmaand'gaan main koi nahin 
MAin apni laash ko rota hoon , meri laash mujhay 

MAin aik raaz keh tha dafan teray seenay main 
Bhughat nateeja keh tu ne kiya hai faash mujhay 

Kahin main tum ko milon to mujhay bata dena 
Kai dino se hai "Shahid" meri talaash mujhay

Poet : Shahid Zkki 

Chalk jaati hain aankhain be'irada kiya keya jaye


 Chalk jaati hain aankhain be'irada kiya keya jaye
Hamaray zarf se hai gham ziada kiya keya jaye

Tum aadab-e-safar kay bhaid  bhayo se nahin waqif
Tumharay saath chalnay ka irada kiya keya jaye

Gharz kay tez dhaaron se kinaray kat'tay jaate hain 
Mohabbat kay jazeeray ko kashada kiya keya jaye

Jahan parwaz karnay se hawa bhi khauf khaati hai 
Safar un raaston par pa'piyada kiya keya jaye

Hazaron rang bikhraye thay tasveerain banai thein 
Magar dil ka warq phir bhi hai sada kiya keya jaye

Hamain bhi zakham dikhlanay ki khwaish hai magar "Shahid"
Bhari mehfil main khud ko be'libada kiya keya jaye

Poet : Shahid Zkki

Faslay aisay bhi hon gay , yeh kabhi socha na tha



Faslay aisay bhi hon gay , yeh kabhi socha na tha 
Samnay baitha tha meray aur woh mera na tha

Khud chraha rakhay thay tan par ajnabiyat kay ghilaaf
Warna kab aik doosray ko hum ne pehchana na tha 

Raat bhar pichli si aahat kaan main aati rahi
Jhaank kar dekha gali main , koi bhi phirta na tha 

Yeh sabhi veeraniyan us kay juda honay se thein 
Aankh dhund'lai hui thi , shaher dhund'laya na tha 

Saikroon toofan lafzon kay dbay thay zer-e-lab 
Aik pathar tha khamoshi ka keh jo hilta na tha 

Yaad kar kay aur bhi takleef hoti thi "Adeem"
Ab siwaye bhool jaanay kay chara na tha   

Yeh ishq-o-mohabbat samjh se bala tar hain


Yeh ishq-o-mohabbat samjh se bala tar hain 

Ilam hota to aalam hoty, fun hota to maahir hotay

Likh kar mera naam zameen par , mitta diya



Likh kar mera naam zameen par , mitta diya 

Us ka tha faqat khail, khaak main mujh ko mila diya

Bari ajeeb hai is nadaan dil ki khwaish


Bari ajeeb hai is nadaan dil ki khwaish 

Aik shakhs mera hona nahin chahta aur dil ussay khona nahin chahta

Dil na'umeed to nahin na'kaam hi to hai


Dil na'umeed to nahin na'kaam hi to hai

Lambi hai gham ki shaam , lakin shaam hi to hai

Thaka diya hai tumharay firaaq ne mujh ko



Thaka diya hai tumharay firaaq ne mujh ko 

Kahin main khud ko gira loon ? agar ijazat ho

Raah taktay huye jab thak gayein aankhain meri


Raah taktay huye jab thak gayein aankhain meri 

Phir tujhay dhoondnay meri aankh se ansoo niklay

Na shikaytein na sawaal hai


Na shikaytein na sawaal hai 

Koi aasra na malaal hai 

Teri be'rukhi bhi kamaal thi 

Mera zabat bhi kamaal hai

Main us kay saath juft ho jaaon


Main us kay saath juft ho jaaon 

Dua maangi thi taaq raaton main

Kabhi un ka naam lena kabhi un ki baat karna


Kabhi un ka naam lena  kabhi un ki baat karna 

Mera zouq un ki chahat , mera shouq un pe marna

Jaa rahay ho to jaao lakin ab


Jaa rahay ho to jaao lakin ab 

Yaad apni mujhay dilaeyo mat

Raat shamma bhuja kay bhout dair tak mehfil sajai hum ne


Raat shamma bhuja kay bhout dair tak mehfil sajai hum ne 

Main apnay dil kay liye rota raha , aur dil kam'bakhat tere liye

Nahin sajday kiyea hum ne kabhi ghairon ki chokhat par


Nahin sajday kiyea hum ne kabhi ghairon ki chokhat par 

Hamain jis ki zaroorat ho khuda se maang letay hain

Dil dharaknay ki sadaa hai tu issay ghour se sun


Dil dharaknay ki sadaa hai tu issay ghour se sun 

Yeh koi yaad dihaani to nahin hoti hai

Ab yeh hai halat-e-ehwaal keh ik yaad se hum


Ab yeh hai halat-e-ehwaal keh ik yaad se hum 

Shaam hoti hai to bas rooth liya kartay hain

Tu meri jaan dastaan tha kabhi


Tu meri jaan dastaan tha kabhi 

Ab tera naam dastaani hai

Jaate jaate aap itna kaam to keejiya mera


Jaate jaate aap itna kaam to keejiya mera

Yaad ka sara sar-o-samaan jalatay jaayea

Aks-e-khushboo hon , bikharnay se na rokay koi


Aks-e-khushboo hon , bikharnay se na rokay koi 
Aur bikhar jaaon to mujh ko na smaitay koi 

Kaamp uthti hoon main yeh soch kay tanhai main 
Meray chehray pe tera naam na parh le koi 

Jis tarah khwaab meray ho gaye reza reza 
Is tarah se na kabhi toot kay bikhray koi 

Main to us din se harasaan hoon keh jab hukam milay 
Khushk phoolon ko kitaabon main na rakhay koi

Ab to is raah se woh sahaks guzarta bhi nahin 
Ab kis umeed se darwaze se jhankay koi 

koi aahat koi awaaz koi chaap nahin 
Dil ki galiyaan bari sunsaan hain , aye koi

Parveen shakir

Baarish hui to phoolon kay tan chaak ho gaye


Baarish hui to phoolon kay tan chaak ho gaye
Mousam kay haath bheeg kay safaak ho gaye

Badal ko kiya khabar keh baarish ki chaah main 
Kitnay buland-o-bala shajar khaak ho gaye

Jugnoo ko din kay waqat pakarnay ki zid karain
Bachay hamaray ehad kay chalak ho gaye

Lehraa rahi hai barf ki chadar hata kay ghaas
Suraj ki sheh pe tinkay bhi be'baak ho gaye

Jab bhi ghreeb-e-shaher se gutagoo hui
Lehjay haway-e-shaam kay num'naak ho gaye

Saahil pe jitnay aab gazeeda thay sab kay sab 
Dariya ka rukh badaltay hi tairaak ho gaye

Parveen shakir 

Ishq tujhay karti hoon main zindagi se ziyada


Ishq tujhay karti hoon 

Main zindagi se ziada

Main darti nahin mout se

Teri judai se ziada

Chaye to azmaa le mujhay 

Kisi aur se ziada

Meri zindagi main kuch nahin 

Teri mohabbat se ziada

Shaam ayi teri yaadon kay sitaray niklay


Shaam ayi teri yaadon kay sitaray niklay
Rang hi gham kay nahin naqsh bhi pyaray niklay

Aik ma'hoom tamana kay saharay niklay 
Chaand kay saath teray hijar kay maaray niklay

Koi mousam ho magar shaan-e-kham-o-paig wohi 
Raat ki tarah koi zulf sanwaray niklay

Raqs jin ka hamain saahil se baha laya tha 
Woh bhanwar aankh tak aye to kinaray niklay

Woh to jaan lay kay bhi waisa hi subak naam raha
Ishq kay baab main sab juram hamaray niklay 

Dhoop ki rut main koi chaayon ugaata kaisay 
Shaakh phooti thi keh ham'sayon main aaray niklay

Parveen shakir

Koi raat meray aashna mujhay youn bhi to naseeb ho


Koi raat meray aashna mujhay youn bhi to naseeb ho 

Na rahay khyal libaas ka woh itna meray qareeb ho 

Badan ki garam aanch se meri aarzoo ko aag de

Mera josh behak uthay mera haal bhi ajeeb ho 

Teray chashani-e-wajood ka sara ras main nichor loon

Phir tu hi mera marz ho aur tu hi mera tabeeb ho 

Parveen Shakir
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...