Mar 16, 2015

Shayed tum aayo main ne isi intizaar main


Shayed tum aayo main ne isi intizaar main 

Ab kay baras ki eid bhi  tanha guzaar di

Naseeb walon ko hoti hai wafa naseeb


Naseeb walon ko hoti hai wafa naseeb 

Hum khud hi bad'naseeb to mohabbat ka kya qasoor

Phir kahan hisaab rehta hai sahib


Phir kahan hisaab rehta hai sahib

Ishq jab be'hisaab ho jaaye

Mujh sa koi jahan main nadaan bhi na ho


Mujh sa koi jahan main nadaan bhi na ho

Kar ke jo ishq kehta hai nuqsaan bhi na ho

Kahan talaash karo gay , tum mujh jaisa shkahs


Kahan talaash karo gay , tum mujh jaisa shkahs 

Jo tumharay sitam bhi sahay aur tum se mohabbat bhi karay

Aaj Qaatilon ki mehfil saja kay baitha hoon


Aaj Qaatilon ki mehfil saja kay baitha hoon

Hai dawat tujhay bhi be'naqab aanay ki

Armaan , shouq , hasrat , aarzoo , khushi


Armaan , shouq , hasrat , aarzoo , khushi 

Itnay taweel qissay  thori si zindagi main 

Jis kay maathay pe nayi subha ka jhumar ho ga


Jis kay maathay pe nayi subha ka jhumar ho ga 

Hum ne us waqat ki dulhan ko bhout yaad kiya

Qasid diyar-e-yaar se laye ho kuch khabar


Qasid diyar-e-yaar se laye ho kuch khabar 

Eid to dehleez par hai aur woh aaye nahin

Apnay haathon ki lakeerain na badal paye


Apnay haathon ki lakeerain na badal paye

Khush Na'seebon se bhout haath milaye hum ne 




Aaghaz-e-bar'badi ki dastaan muktasir si hai


Aaghaz-e-bar'badi ki dastaan muktasir si hai

Dour-e-jawani tha , aur kisi se dil laga baithay

Kabhi pathar ki thokar se bhi aati nahin kharaash


Kabhi pathar ki thokar se bhi aati nahin kharaash

Kabhi aik zara si baat se insaan bikhar jaata hai

Tum ne Barishon ko sirf barastay dekha hai


Tum ne Barishon ko sirf barastay dekha hai 
Main ne aksar baarishon ko kuch kehtay suna hai

Tum dekhtay ho baarishon ki jal thal her saal
Main ne barsaat ko palkon pe machaltay dekha hai 

KAisay maangon phir barasta sawan Rab se 
Keh in aankhon ne dilon ko sawan main ujartay dekha hai 

Seekh gaye hum baarishon ko apnay andar utaarnay ka fun
Aur phir sab ne hamein her pal her dam hanstay dekha hai 

Gun'gunaatay raaston ki dil'kashi apni jaga


Gun'gunaatay raaston ki dil'kashi apni jaga

Aur in sab kay darmiyan teri kami apni jaga 

Aur bhi kar deta hai dard main izaafa


Aur bhi kar deta hai dard main izaafa 

Teray hotay huye ghairon ka dilaasa dena

Agar yeh jaan'na chaho koi kaisay bikharta hai

Agar yeh jaan'na chaho 
Koi kaisay bikharta hai 
Bikhar kar kaisay girta hai 
Chaman main tum chalay jana 

Khizaan kay sard mousam main 
Wahan patton ko dekho tum 
Ya phir ik Aaina le lo 
Essay pathar pe de maaro

Agar mushkil ho yeh bhi to 
Aik phool le lena 
Hawa kay dosh pe rakhna 
To phir tum jaan paao gay 

Koi kaisay bikharta hai 
Agar yeh bhi na ho tum se
To meray paas aa jana 
Mera deedar kar lena 
Kahabar yeh ho hi jaye gi 
Koi kaisay bikharta hai

Suno hum muskuraana chahtay hain


Suno hum muskuraana chahtay hain 
Ghamon ko bhool jana chahtay hain 

Yeh duniya takleefon se bhar chuki 
Ab nayi duniya basana chahtay hain 

Meri masoom se khwaish to dekho 
Teray sapno main aana chahtay hain 

Bhout mushkil si hai hasrat to dekho
Tujhay apna bana'na chahtay hain 

Suno kuch dair meray paas baitho 
Tumhain haal-e-dil sunaana chahtay hain 

Na khailo meri zindagi se 
Hum tumhain zindagi banana chahtay hain 

Suno hum muskurana chahtay hain

 
 

Zikar be'wafaon ka tha raat sar-e-mehfil


Zikar be'wafaon ka tha raat sar-e-mehfil 

Jhuka mera bhi sar jab meray yaar ka naam aaya

Phir jaag utha hai dil main puranay dino ka dard "Mohsin"


Phir jaag utha hai dil main puranay dino ka dard "Mohsin"

Jee chahta hai keh phir koi taaza ghazal likhon

Gum sum yaadein , soonay sapnay , toot'ti jurrti umeedein


Gum sum yaadein , soonay sapnay , toot'ti jurrti umeedein 

Darta hoon , youn kaisay kattay gi ? umar hai koi raat nahin

Ajeeb habs ka mousam hai dil ke aangan main


Ajeeb habs ka mousam hai dil ke aangan main 

Taras gaye hain kisi kay saath guftagoo kay liye

Woh sang'dil na pighla meray Aanso'on se Mohsin


Woh sang'dil na pighla meray Aanso'on se Mohsin 

Woh pathar pighal gaya jis par Aansoo gira mera

Siyah raat main jaltay hain juno'on ki tarah


Siyah raat main jaltay hain juno'on ki tarah 

Dilon kay zakham bhi Mohsin kamal hotay hain

Ussay kehna kaam kaaj kaisa hai , mizaaj kaisa hai


Ussay kehna kaam kaaj kaisa hai , mizaaj kaisa hai 
Kal to kal tha bataao aaj kaisa hai 

Hamaray shaher main hain log mohabbat kay dushman 
Tumharay shaher main bataao riwaaj kaisa hai 

Teri awaaz sun loon to mil jaata hai sakoon dil ko 
Meray gham ka dekho ilaaj kaisa hai 

Teri meethi meethi baatein bhool sakta nahin kabhi
Mera dil bhi teri awaaz ka dekho mohtaaj kaisa hai 

Kabhi to mujh se milo sirf meray ban kar



Kabhi to mujh se milo 

Sirf meray ban kar

Baithay hain rah-guzar pe dil ka diya jalaye


Baithay hain rah-guzar pe dil ka diya jalaye

Shayed woh dard samjhay , shayed woh loat aaye

Itna bura to na tha jo youn bula diya mujh ko


Itna bura to na tha jo youn bula diya mujh ko 

Kabhi jo yaad Aaon to apnay faisaly par ghour zaroor karna

Kaghaz qalam lay kay main roz baith'ta hoon


Kaghaz qalam lay kay main roz baith'ta hoon 
Kuch is tarah teray husn ki tareef likhta hoon 

Teray naino ko sharaabi aur honton ko gulaabi 
Teri zulfon ko bal khaati qatil nagan likhta hoon 

Chaal teri mastaani khud se lagti ho be'gaani 
Teray husn-o-shabaab ko madhosh jaam likhta hoon 

Teri mohabbat main itna to ghayel hoon main
Dil ki veeran zameen kay liye baad-e-saba samjhta hoon 

Woh ik khat jo tu ne kabhi likha hi nahin 
Main roz baith kay uss kay jawaab likhta hoon 

Kabhi to woh khatt likhye gi mujhay yaqeen hai
Yehi alfaaz main baar baar likhta hoon 

Abar-e-baraan kay iraaday bhi pur israar se hain


Abar-e-baraan kay iraaday bhi pur israar se hain 
Aaj barsay ki ghatta khul kay yeh asaar se hain 

Log aatay hain tehartay hain chalay jaatay hain
Apnay halaat bhi ujrray huye bazaar se hain 

Woh agar chahaye to de sharf-e-mulaqaat mujhay 
Sab umeedein meri wabasta meray yaar se hain 

Yeh zaroori to nahin jeet musarrat bakhshay
Aisi khushiyan bhi hain milti jo sirf haar se hain

Meray dil ki wafaon ka hosla to dekho Dosto


Meray dil ki wafaon ka hosla to dekho Dosto

Talab'gaar us ka hai jis ko mera ehsaas tak nahin

Hamein tumse mohabbat hai


Hamein tumse mohabbat hai 
Hamara dosh hai mana 
Tumhain apna jo hai mana 
Tumharay bin yeh jeevan marg jaisa hai 
Hamen jannat ka her gosha bhi goya nark jaisa hai 
Haqeeqat main agar socho
Mohabbat main ana ka kaam hi kiya hai 
Chalo ab maan bhi jaayo 
Keh tum ko hum manaatay hain 
Hamain tum se mohabbat hai 

Kaash main yeh jaan sakta

Kaash main yeh jaan sakta

Kaash main yeh jaan sakta 
Keh yeh hansti muskuraati larkiyan 
Apni umar kay kisi mor pe 
Sar-e-shaam apnay aangan main 
Dewaar se lag kay 
Chupkay chupkat roya karain gi 
To main zamanay bhar ki khushiyon ko 
Apnay rab se 
Un kay wastay maang leta

Jab mera zikar ho


Jab mera zikar ho 

Meray marnay kay 12 bars baad bhi
Gar kahin pe kabhi 
Jab mera zikar ho 
Aur palkein teri 
Tujh ko nam si lagein 
Main yeh samjhon ga 
Main ne tujhay paa liya 

Aaj ka din udaas lagta hai



Aaj ka din udaas lagta hai 
Janay kon aas paas lagta hai

Ajnabi hai magar woh phir bhi mujhya 
Bheegi aankhon ki pyaas lagta hai 

Dil ki dharkan ko rok do yaaro 
Dil dharakta udaas lagta hai 

Aaj kya baat hai mizaaj un ka 
Khushk phoolon ki baas lagta hai 

Kaisa andaz-e-yaad hai tu mujhay 
Aati jaati si saans lagta hai 

Woh koi zindagi nahin Imran
Phir bhi jeenay ki aas lagta hai

Meri raatein teri yaadon se saji rehti hain


Meri raatein teri yaadon se saji rehti hain 
Meri saansein teri khushboo main basi rehti hain

Meri aankhon main tera sapna saja rehta hai 
Haan meray dil main tera aks basa rehta hai

Iss tarah meray dil kay bhout paas ho tum 
Jis tarah paas hi shah'rag  kay khuda rehta hai

Tum ko maloom bhi shayed yeh kabhi ho keh na ho 

Meray aangan main lagay phool gawahi dain gay
Main ne arsay se kisi phool ko dekha bhi nahin 

Tujh ko socha hai to phir tujh ko hi socha hai faqat 
Teray siwa kisi aur ko socha bhi nahin 

Tum ko maloom bhi shayed yeh kabhi ho keh na ho

Tumhain ik din kaha tha jo keh tum se pyaar kartay hain


Tumhain ik din kaha tha jo 
Keh tum se pyaar kartay hain 
Woh jumla bhool kiyon baithay 
Woh lamha bhool kiyon baithay 
Abhi tajdeed na maango
Meri be'los chahat ki 
Tumhain ik baar phir se woh
Mohabbat na milay shayed
Jo tum se rooth baithi hai
Tumhari kam naseebi hai
Tumhain gar pyaar karna hai
Hamaray saath chalna hai
Woh ik izhaar sun letay
Wohi izhaar kaafi tha

Ab us ki aankhon main be'sabab udaasi thi


Ab us ki aankhon main be'sabab udaasi thi 
Ab us kay chehray pe 
Dukh thi be'hawasi thi 
Ab kay youn mila mujh se
Youn ghazal suuni jaisay 
Main na'shanasa hoon
Woh bhi ajnabi jaisay 
Zard khaal-o-khad us kay 
So'gawaar daman tha 
Ab kay us kay lehjay main 
Kitna khur'dara pan tha 
Woh keh umar bhar jis ne 
Shaher bhar kay logon se 
Mujh ko hum sukhan jana 
Azal se Aashna likha 
Khud se meharban samjha 
Mujh ko dil'ruba likha 
Ab kay sada kaaghaz par 
Surkh roshnaai se 
US ne talkh lehjay main 
Meray naam se pehlay 
Sirf "Be'wafa" likha 

Woh khoon kar kay umeedon ka muskuraatay hain


Woh khoon kar kay umeedon ka muskuraatay hain 
Yeh log shaher kay kiyon mujh ko azmaatay hain 

Dara rahay hain yeh qabron kay mujh ko sanaatay 
Yeh zakham kaisay hain sada mujh ko rulaatay hain 

Main jab hanson, meri palkein bhi bheeg jaati hain 
Yeh meray lab meri Aahein bhout chupaatay hain 

Kabhi tha surkh gulaabon ka mousam Aangan main 
Yeh zard pattay teri yaad ab dilaatay hain 

Ana kay butt main sisakti hai hasraton ki laash 
Yeh teray waday to pagal mujhay banatay hain 

Jala kay raakh karain gay chaman ko ae "Khanam"
Jo log aag ko chingaari dikhaatay hain 

Tumhara khat mila jaana !!


Tumhara khat mila jaana !!
Woh jis main tum ne poocha hai 
Keh ab halaat kaisay hain 
Meray din raat kaisay hain 
Meharbaani tumhari hai keh 
Tum ne is tarah mujh se
Meray halaat poochaye hain 
Meray din raat poochaye hain
Tumhain sab kuch bata doon ga
Mujhay itna bata do keh
KAbhi sagar kinaray par 
Kisi machali ko dekha hai 
KEh jis ko lehrain pani ki 
Kinaray tak to laati hain 
Magar phir chor jaati hain 
Meray halaat aisay hain 
Meray din raat aisay hain 
 
 

Raat ik lar'kharatay jhonkay se


Raat ik lar'kharatay jhonkay se 

Na'gihaan sang-e-surkh ki sil par

Aaina gir kay paash paash hua 

Aur nanhi nokeeli kirchiyon ki 

Ik bochaar dil ko cheer gayi

Yaadein sari woh baatein saari


Yaadein sari woh baatein saari
Kabhi khwaab si ho jayein to 
Woh saaray waday
Woh saari qasmein
Saraab si ho jayein to
Woh teray khayalon main gun'gunaati hui
Meri tasveerain 
Kharaab si ho jayein to 
Meri jaan !
Jaan-e-jaan keh woh waqat aanay hi wala hai
Jis kay na aanay ki hum ne 
Dua'ein maangi thein , , , !!

Hoon na pagli


Hoon na pagli

Hoon na pagli 
Main ussay keh rahi thi 
Be'wafaon kay liye
Roya nahi kartay 
Yeh kehtay saath 
Main khud ro pari

Aankhon main jo tehreerain thein


Aankhon main jo tehreerain thein 

Honton pe woh bol na thay 

Hum thay teray pyaar kay Aashiq

Bas haathon main kash'kol na thay 

Hum ne us ko toot kay chaha 

Yeh us ka haq tha lakin 

Woh bhi hum ko toot kay chahye

Hum itnay anmil na thay

Kya tum ne kabhi yeh socha hai


Kabhi yeh socha hai 

Kya tum ne 
Kabhi yeh socha hai 
Tabeer jinhain mil jaati hai 
Woh khwaab fana ho jaatay hain 
Aur milti nahin tabeer jinhain 
Woh khwaab Amar ho jaatay hain

Abhi kuch dair pehlay raat ne palkein jhukayi hain


Abhi kuch dair pehlay raat ne palkein jhukayi hain 
Meri mutthi main ab tak 
Raat ki palkon se tootay kuch sitaaray hain 
Dukhon kay ista'aaray hain 
Main in ko dekhta hoon to ,,,!
To meri aankhon main dhairon khwaab 
Tabeeron kay dukh main koi chehra sochtay hain
Aur woh chehra 
Shanasa shanasa se
Kai chehron main tabdeel ho jaata hai 
Safar tehleel hota hai
Phir in chehron se yaadon kay kai manzar ubhartay hain 
Nazar main raqs kartay hain 
Woh chehray 
Jo meri tanhaiyon kay ashk paaray hain 
Mujhay her haal main khud se pyaaray hain 
Sab hi chehray tumharay hain 
 

Hamaray darmiyaan aisa koi rishta nahin tha


Hamaray darmiyaan aisa koi rishta nahin tha 
Teray shaano pe koi chatt nahin thi 
Meray zimmay koi aangan nahin tha 
Koi wada teri zanjeer paa ban'nanay nahin paya 
Kisi iqraar ne meri kalaai ko nahin thaama
Hawa-e-dasht ki maanind tu azaad tha 
Raastay teri marzi kay taabeh thay 
Mujhay bhi apni tanhai pe dekha jaye to 
Poora tasaraf tha 
Magar jab aaj tu ne
Raasta badla 
To kuch aisa laga mujh ko 
Keh jaisay tu ne mujh se be'wafai ki !!!!
 

Sham-e-gham jab bikhar gayi ho gi


Sham-e-gham jab bikhar gayi ho gi 
Janay kis kis kay ghar gayi ho gi 

Itni larzaan na thi chragh ki lo 
Apnay saaye se dar gayi ho gi 

Chandani ik shab ki mehmaan thi 
Subha hotay hi mar gayi ho gi 

Dair tak woh kahfa rahay mujh se 
Door tak yeh khabar gayi ho gi 

Ik dariya kay rukh badaltay hi 
Ik nadi phir utar gayi ho gi

Jis taraf woh safar pe nikla tha
Saari ronaq udhar gayi ho gi 

Raat suraj ko dhoondnay kay liye
Taaba had-e-sehar gayi ho gi 

Meri yadon ki dhoop chaaon main 
Us ki surat nikhar gayi ho gi 

Teri pal bhar ki dosti "Mohsin"
Us ko bad'naam kar gayi ho gi 

Poet :~ Mohsin naqvi

Nazam uljhi hui hai seenay main


Nazam uljhi hui hai 

Nazam uljhi hui hai seenay main 
Misray Ataa huye hain honton par 
Urtay phirtay hain titliyon ki tarah 
Lafz kaaghaz par baith'tay hi nahin 
Kab se baitha hoon main janam 
Saday kaghaz pe likh kay tera naam 
Bas tera naam hi mukamal hai 
IS se behtar bhi nazam kya ho gi

Ek din aisa ho ga


Ek din aisa ho ga 

Meri hatheli se phooti roshni 
Meray muqaddar ki siyaah raaton ko 
Ek aisa sitaara bakhsahay gi 
Jis ki chamak 
Teri aankhon ko chundhiya de di 
Raaton ko phir , tu so na sakay ga 
Haath rakh kay Aankhon par 
Kabhi ro na sakay ga 
Ek din aisa bhi ho ga 

Ab kahan main udaas rehti hoon


Ab kahan main udaas rehti hoon 
Ab to her dard ko mat'tanat se 
Apnay andar utaar leti hoon 
Apni zaib'bai kay qareenay se 
Nit naye zawiyon se sajti hoon 
Her naye din tumharay chehray ko 
Kitni waraftagi se se takti hoon 
Her nayi shab tumharay lams kay saath 
Kis qadar saadagi se jajti hoon 
Aur her kaifiyat ki shiddat par 
Sirf Aahistagi se hansti hoon 
Tum bhi ab khush'gawaar rehtay ho 
Main bhi kab pehlay jaisi larki hoon 
Aisa lagta hai jaisay ab shayed 
Apnay dil main tumhari marzi ki 
Koi guriya bana kay rakh di ho

Hum dartay hain


Hum dartay hain 

Hum dartay hain 
Hum tumhain rangon se khailna 
Chehron ko parhna 
Sikhaa to dain 
Magar , , 
Hum dartay hain 
Phir tum her chehra be'naqaab kar daalo gay

Barsaat main jab baarish hoti thi


Barsaat main jab baarish hoti thi 

Hum park main baitha kartay thay 

Baarish main bheega kartay thay 

Aaj , , 

Waisa hi barsaat ka din hai 

Park kay bench pe 

Tanha baitha bheeg raha hoon 

Jin main hum tum sang bheegay thay 

Un lamhon ko soch raha hoon main

Raat neend se zara pehlay



Yaadon ki hawa 

Raat neend se zara pehlay 

Dil-e-dard ki wadi main 

Yaadon ki hawa chali 

Aankhein barsein 

Aur saansein doob gayein

Kis kis se peecha churaon


Uljhan 

Kis kis se peecha churaon
Aur kis kis se bhaagon 
Khayalaat ko jhatakna chahaon 
To seenay main dar aatay hain 
Aur dil ko daboch letay hain 
Aur agar sochain , na sochna chahon 
To andar hi andar 
Rooh main apnay apnay nakhun gaar kay baith jaati hai
Aur khwaishaat 
Aur khwaab 
Aur khadshay
Aur Mohabbat
Aakhir kis kis se 

Mohabbat dukh nahin deti


Mohabbat dukh nahin deti 

Mohabbat dukh nahin deti 
Agar be'gharz ho jazba 
Agar manzil banay rasta 
Agar chahat kay parday main 
Koi laalich na ho lipta 
Agar tum somp do sab kuch 
Agar silay main kuch nahin maango 
Agar soda na ho koi 
Mohabbat bas mohabbat hai 
To phir yeh sukh hi deti hai 
AKbhi bhi dukh nahin deti 
Mohabbat dukh nahin deti

Mujhay jo bhi saza de do



Mujhay jo bhi saza de do 

Mujhay manzoor hai lakin 

Meri ik baar tum apni girah se baandh kar rakhna 

KEh meray naam se jo bhi saza mansoob ho jaye 

Woh kam az kam 

Meray jurm-e-mohabbat kay musaavi ho

Ae meray hum'nasheen !


Khwaish 

Ae meray hum'nasheen !
Kabhi aisa bhi ho 
Keh yeh jism-o-jaan 
Teray apnay hi hon 
Magar 
Jab tu dekhye koi Aaina 
To chehra mera 
Ho teray ru-ba-ru
Tu karay guftagoo
Guftagoo to karay aur aisay karay 
Keh sunanay walay karnay lagein yeh gumaan 
Keh tu mujh main nahin hai 
Bas, , , , ! !
Main hoon wahan . . . . .

Hawa jhukti nahin hai


Hawa jhukti nahin hai 
Toot jaati hai 
Kisi saahil pe gir kar 
Baad'bano se ulajh kar 
Baadalon main sar'saraati hai , kabhi baarish kay naghmay 
Aur kabhi toofan kay rath par
Machalti bijliyon kay aks chunti hai 
Kisi Aanchal par khul kar muskuraati hai 
Dehaktay Aasmaan par chandani kay thanday thanday khwaab bunti hai 
Rum her lafz main tehri 
Koi lambi musaafat hai 
Talooh-e-dasht main jo dhalti rehti hai 
Azal kay sabz ru Aangan se lay kar 
GEhray bhooray khwaab jaisay 
Door Aftaada Abd tak chalti rehti hai 
AKhin rukti nahin 
HAwa jhukti nahin 
BAs toot jaati hai

Bhout khamosh reh kar jo sadaein mujh ko deta tha


Bhout khamosh reh kar jo sadaein mujh ko deta tha 

Baray sundar se jazbon ki wafaein mujh ko deta tha 

Kabhi jo dard ki Aatish mujhay sulgaanay lagti thi 

Woh apni saans ki mehki hawaein mujh ko deta tha 

Ussay main ajnabi samjha magar her mor par "Mohsin"

Woh apnay naam ki saari duaein mujh ko deta tha

Gulon ko torna shaakhon se phir un ko masal dena


Gulon ko torna shaakhon se phir un ko masal dena
Yehi shaiwa hai ehal-e-husn-o-shokat ka 
Parindon ko nazar kay teer se zakham-e-jiger dena
Unhain be'taab kar dena 
Chamaktay jugno'on kay peechay peechay bhaagna 
Ta keh unhain pakrain phir apni qaid main rakhein
Yahan ki rasam hai Saa'ein
Naye ho is liye shayed 
YEh sab kuch daikh kar tum hairat-o-hasrat se taktay ho 
Jahan walay issay jaaiz samjhtay hain

Tum ne baarishon ko mehaz barastay dekha hai


Tum ne baarishon ko mehaz barastay dekha hai 
Main ne aksar baarish ko kuch kehtay suntay dekha hai 
Dekhey sab ne piyaasi dharti ko bighotay badal
Main ne abar-e-gham ko chupkay se mann main utartay dekha hai 
Tum dekhtay ho barsaat ki jal thal her saal 
MAin en barsaat ko baar ha palkon pe machaltay dekha hai 

Kaisay maangon phir barasta sawan Rab se apnay 
Keh Aankhon ne bastiyon ko sawan main ujartay dekha hai 
Seekh gaye hum baarishon ko andar utaarnay ka fun 
Aur phir sab ne hamein her dam her pal hanstay dekha hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...