Ek husan ki devi se mujhay pyaar hua tha , hay pyaar hua tha
Dil us ki mohabbat main giraftaar hua tha
Ek husan ki devi se mujhay pyaar hua tha , hay pyaar hua tha
Woh roop keh jis roop se kaliyan bhi lajaein
Woh zulf keh jis zulf se sharmaaein ghattaein
Meh'khanay nigahon pe, ada'on kay taraanay
Day daal mujhay husan-e-mohabbat kay khazanay
Haan aisi hi ik raat thi
Aisa hi samaan tha
Yeh chaand bhi poora tha
Zamana bhi jawaan tha
Ek pairr kay saye main jab iqraar hua tha
Ek husan ki devi se mujhay pyaar hua tha , hay pyaar hua tha
Kashmir ki wadi kay woh pur'kaif nazaray
Lamhaat mohabbat kay jahan hum ne guzaray
Angraa'eiyan lay kar meri baanhon kay saharay
Gul'naar nazar aatay thay woh sharm kay maaray
Yak'tarafa na thay husn-o-mohabbat kay ishaaray
Us ne bhi kai baar mere baal sanwaray
Ehsaas ka , jazbaat ka izhaar hua tha
Ek husan ki devi se mujhay pyaar hua tha , hay pyaar hua tha
Kuch roz kattay youn hi bura waqat jab aya
Us husan ki devi ne bhi nazron ko phiraya
Ghurbat ne zamanay ki nigahon se giraya
Aanchal mere haathon se mohabbat ne churraya
Ek raat ko us ne mujhay sotaa hua choora
Jaldi woh kahin pyaar ko roota hua choora
Soya hua main neend se jaaga jo sawairay
Woh jab na mili chaa gaye aankhon main andheray
Taqdeer kisi ko bhi buray din na dikhaa'ey
Hotay hain buray waqat main apnay bhi praa'ey
Kiya pyaar ki doulat ka talab'gaar hua tha
Ek husan ki devi se mujhay pyaar hua tha , hay pyaar hua tha