Apr 26, 2015

Shor bhi hai snaata bhi


Shor bhi hai snaata bhi 
Dil jaisi hai duniya bhi 

Sab kuch aik haqeeqat hai 
Aur sab kuch hai dhokha bhi 

Woh chand qurbat kay lamhay jo dar ba dar guzray


Woh chand qurbat kay lamhay jo dar ba dar guzray 
Mohabbaton main bhi tabdeeliyan karein shayed 

Teri gali se guzartay hain aur sochtay hain 
Teri gali se guzarna bhi chor dain shayed

Hawa main urrta hua rizq pa liya lakin


Hawa main urrta hua rizq pa liya lakin 

Parindat jurrat-e-parwaz chor aaye hain

Woh jis qadar bhi munafiq tha par yeh kehta tha


Woh jis qadar bhi munafiq tha par yeh kehta tha 

Bicharna hum se magar phir bhi silsalay rakhna

Behtar hai zeest ko hans kar nibha do


Behtar hai zeest ko hans kar nibha do 

Mehsoos karo gay to musal'sal azaab hai

Aaj phir sawan toot kay barsa hai


Aaj phir sawan toot kay barsa hai 
Aaj phir kisi kay lehjay main nami hai 

Phir se wehshaton kay haalay hain 
Aaj phir yaadon ki mehfil jami hai

Woh mojood hain aur un ki kami hai


Woh mojood hain aur un ki kami hai 
Mohabbat main tanhai daemi hai 

Chraghon kay badlay makaan jal rahay hain 
Naya hai zamana , nayi roshni hai

Haal-e-dil un se keh chukay so baar


Haal-e-dil un se keh chukay so baar
Ab bhi kehnay ki baat baqi hai 

Raat baqi thi jab woh bichray thay 
Kat gayi umar raat baaqi hai

Kya hua husn hamsafar hai ya nahin


Kya hua husn hamsafar hai ya nahin 
Ishq manzil hi manzil hai rasta nahin 

2 parinday urray aankh nam ho gayi 
Aaj samjha keh main tujh ko bhoola nahin

Dil kisi ka hai , jaan kisi ki hai


Dil kisi ka hai , jaan kisi ki hai 
Yeh bhi ik shakal zindagi ki hai 

Tum riwayat samjh rahay ho jissay 
Surat-e-haal yeh abhi ki hai 

Log kiyon chup gaye khuda janay 
Main ne to sirf roshni ki hai 

Aaqbat ki tujhay hai fikar bhout 
Aur jo zindagi abhi ki hai 

Kitni masoom hai mohabbat bhi 
Jis ne apna liya usi ki hai 

Dushmani jis ne mujh se ki Mohsin 
Main ne us se dosti ki hai 

Aik anokha khail tamasha main hi tha


Aik anokha khail tamasha main hi tha 
Duniya kay bazar main sasta main hi tha 

Meray sab iqraar ghalat tehray goya 
Her kirdaar main sab se jhoota main hi tha 

Ilam-o-amal kay ozaaron se lais thay sab 
Tanha , be'bas aur nehata main hi tha 

Main ne kiya tha saray gumaano ko roshan 
Phir jo chadar taan kay soya , main hi tha

Raah-e-talab main apna rasta , apni chaal 
Sadiyon se jo dhoond raha tha , main hi tha 

Aainay ko haath laga kar dekh chuka 
Woh saalim tha is main shakista main hi tha 

Khud ko roshan samjha tha lakin salman 
Baahir jo phaila tha andhera main hi tha

Bas aik shakhs hi kul kainaat ho jaisay


Bas aik shakhs hi kul kainaat ho jaisay 
Nazar na aaye to din main bhi raat ho jaisay 

Meray labon pe tabasum hai mojzan ab tak 
Keh dil ka tootna chooti si baat ho jaisay 

Shab-e-firaaq mujhay aaj youn daraati hai 
teray baghair meri pehli raat ho jaisay 

Usi ki yaad ki yeh bhi to ik karamat hai 
Hazaar meel par ho kar bhi saath ho jaisay 

Tera salook mujhay roz zakhm taza de 
Kisi ko pehli mohabbat main maat ho jaisay 

Zakham hijar ka bhar gaya kuch kuch


Zakham hijar ka bhar gaya kuch kuch 
Zehar-e-gham kam kar gaya kuch kuch 

Ishq kay aakhri marahil main 
Sach kahoon main bhi dar gaya kuch kuch 

Aaj dushman ki mout ka sun kar
Youn laga main bhi mar gaya kuch kuch 

Be'sabab mohtasib nahin khamosh 
Maal us kay bhi ghar gaya kuch kuch 

Ab tera dukh nahin raha Mohsin 
Jee mohabbat se bhar gaya kuch kuch

Aanso'on ne ghamon se ghabra kar


Aanso'on ne ghamon se ghabra kar

Gir kay palkon se khud'kushi kar li

Mujhay chornay ka faisala to roz karta hai woh shakhs


Mujhay chornay ka faisala to roz karta hai woh shakhs 

Magar us ka bas nahin chalta meri wafa kay samnay

Zara si chot se sheeshay ki tarah toot gaye


Zara si chot se sheeshay ki tarah toot gaye 

Dil to kambakhat mera , mujh se bhi buz'dil nikla

Apno ki chahat ne diye is qadar faraib


Apno ki chahat ne diye is qadar faraib 

Hum lipat lipat kar roye her ajnabi kay saath

Chooma hai apni aankhon ko rakh rakh kay Aaina


Chooma hai apni aankhon ko rakh rakh kay Aaina 

Aaj phir hui hai khawaab main ziyaarat janab ki

Teray bin chaand bhi aisay lagta hai mujhay


Teray bin chaand bhi aisay lagta hai mujhay 

Koi zakham ho jaisay , asmaan kay seenay main

Kaanton main guzaar deta hai gulaab apni zindagi



Kaanton main guzaar deta hai gulaab apni zindagi 

Kon kehta hai keh phoolon ko koi gham nahin hota

Mohabbat bhi to aik tarah ki siyasat hoti hai


Mohabbat bhi to aik tarah ki siyasat hoti hai 

Jeet gaye to baadshahi haar gaye to qaid-e-tanhai

Hum ne Aaghosh-e-mohabbat se yeh seekha hai sabaq


Hum ne Aaghosh-e-mohabbat se yeh seekha hai sabaq

Jis ne zinda nahin rehna woh mohabbat kar le

Koi to itna lipat kay roye


Koi to itna lipat kay roye 

Keh ab kay hum ko hi maar dalay

Phir kon bhala daad-e-tabasum unhein de ga


Phir kon bhala daad-e-tabasum unhein de ga 

Royein gi bhout mujh se bichar kar teri Aankhein

Jab bhi aati hai mousam ki adaon main tabdeeli


Jab bhi aati hai mousam ki adaon main tabdeeli 

Kisi ka youn badal jana bhout hi yaad aata hai

Koshish kay ba'wajood jo poori na ho sakein


Koshish kay ba'wajood jo poori na ho sakein 

Haan tera naam un hi khwaishon main hai

Kisi ka rooth jana aur achanak be'wafa hona


Kisi ka rooth jana aur achanak be'wafa hona 

Mohabbat main yahi lamha qayamat ki nishani hai

Ranjishein barhti hi jaa rahi hain aaj kal


Ranjishein barhti hi jaa rahi hain aaj kal 

Sadqa doon , manatein mangon ya nazar utaaron mohabbat ki

Afsana-e-ishq jis ko bhi sunaya


Afsana-e-ishq jis ko bhi sunaya 

Us ne yehi kaha , teray sabar ko salam

Youn khatam kar chukay ho tum rasm-e-mohabbat hum se


Youn khatam kar chukay ho tum rasm-e-mohabbat hum se

Jaisay hum tumhein yaad hi na ayen gay phir kabhi

Main kahan se laon bata kahan bikta hai


Main kahan se laon bata kahan bikta hai 

Woh naseeb jo tujhay umar bhar kay liye mera kar de

Woh pyaar youn karta hai sambhalnay nahin deta


Woh pyaar youn karta hai sambhalnay nahin deta 
Phir dukh kay samnadar main ubharnay nahin deta 

Us ki jafa bhi mashoor hai wafa kay saath
Woh dard to deta hai par ronay nahin deta 

Karta hai waar marham ko khanjar pe laga kay
Woh zakham to deta hai par marnay nahin deta 

Jo torta hai dil to aansoo bhi bahaata hai 
Barbaad to karta hai par ujjarnay nahin deta 

Mehboob mila hai hum ko ajeeb sa
Woh aag to lagaata hai par jalnay nahin deta 

Kuch ajeeb sa rishta hai us kay aur meray darmiyan


Kuch ajeeb sa rishta hai us kay aur meray darmiyan 

Na nafrat ki wajah mil rahi hai na mohabbat ka silla

Sadgi pasand hoon jo qudrat ka husn hai


Sadgi pasand hoon jo qudrat ka husn hai 

Meray liye na khud ko sajaya karay koi

Jab se ehsaas kay sholon ne bharakna seekha


Jab se ehsaas kay sholon ne bharakna seekha 
Shama-e-zeest ne her aan pighalna seekha 

Teri qurbat ne jalaye thay jo is duniya main chragh 
Teri doori se chraghon ne bharakna seekha 

Ek snaata tha , veeran thi guzar-gaah-e-hayaat 
Janay kab dil ne mohabbat ko samajhna seekha 

Aqal walay bhi jahan thokrein kha kha kay giray 
Hum ne us raah se darasal sambhalna seekha 

Dil ki her baat nigahon se biyaan hoti hai 
Yeh nazar milanay par is dil ne samajhna seekha 

Shaher-e-ulfat se nkal paye na woh kabhi
Jis ne is raaz-e-mohabbat ko samajhna seekha 

 

Teri yaadein bhi hain meray bachpan kay khilono jaisi


Teri yaadein bhi hain meray bachpan kay khilono jaisi 

Tanha hota hoon to inhein lay kar baith jaata hoon

Lahu lahu chraghon kay sar milay hain mujhay


Lahu lahu chraghon kay sar milay hain mujhay 
Tumharay shaher main aisay bhi ghar milay hain mujhay 

Mujhay bataao agar ghonslay salamat thay 
Hawa main urrtay huye kis kay par milay hain mujhay 

Main apnay jaisay kisi shakhs ki talaash main tha 
Magar yahan to sabhi moh'tabar milay hain mujhay 

Prinday loat kar na aayein jin ki shaakhon par
Meray naseeb kay aisay shajar milay hain mujhay

Woh ik nazuk jheel si sharmeeli larki



Woh ik nazuk jheel si sharmeeli larki 

Udaas rehnay ka hamein hunar sikhaa gayi

Hum ne dil jo wapis maanga to sar jhuka kay bolay


Hum ne dil jo wapis maanga to sar jhuka kay bolay 

Woh to toot gaya youn hi khailtay khailtay

Jaltay honton pe tabasum jo machalta hai kabhi


Jaltay honton pe tabasum jo machalta hai kabhi 
Zakham dhul jatay hain sawan jo barasta hai koi 

Main na sochon main ne traashay hain khad-o-kaal teray 
Meray baaray main bhi bata tu ne socha hai kabhi 

Chartay suraj se kabhi tu ne milaai hai nazar 
Tu ne kinaaron ki taraf ghour se dekha hai kabhi 

Log pathar main khilaatay hain umeedon kay gulaab 
Youn bhi mumkin hai bata aisa bhi hota hai kabhi 

Tu ne samjha tha keh main loat kay aa jaaon ga 
Aankh se bichra hua ashk bhi lota hai kabhi

Youn samnay aa kar na baitho


Youn samnay aa kar na baitho 

Sabar to sabar hai par her baar nahin hota

Dasht-e-duniya main umeedon ka kinaara le kar


Dasht-e-duniya main umeedon ka kinaara le kar 

Main tujhay yaad karon ik umar dobara le kar

Aaj udaasi ne bhi haath jor kar kaha mujh se


Aaj udaasi ne bhi haath jor kar kaha mujh se

Wasta tujhay teray pyaar ka mera aashiyana chor do

Aik na aik shama andheray main jalaaye rakhiye


Aik na aik shama andheray main jalaaye rakhiye
Subha honay ko hai mahool banaye rakhiye

jin kay haathon se hamein zakhm-e-nihaan ponchay hain 
Woh bhi kehtay hain keh zakhmon ko chuppaye rakhiye

Kon janay woh kis raah guzar se guzray 
Her guzar gaah ko phoolon se sajaaye rakhiye

Daaman-e-yaar ki zeenat na banay her aansoo
Apni palkon kay liye kuch to bachaye rakhiye

Maron to main kisi chehray main rang bhar jaaon


Maron to main kisi chehray main rang bhar jaaon 
Kaash main yahi ik kaam kar jaaon 

Yeh dasht-e-tark-e-mohabbat yeh teray qurb ki pyaas
Jo izzan ho to teri yaad se guzar jaaon 

Mera wajood meri rooh ko pukaarta hai 
Teri taraf bhi chalon to tehar tehar jaaon 

Teray jamaal ka paraao hai sab haseeno par 
Kahan kahan tujhay dhoondon kidher kidher jaaon 

Main zinda tha keh tera intizaar khatam na ho 
Jo tu mila hai to ab sochta hoon mar jaaon 

YEh sochta hoon keh main butt'parast kiyon nahin hua 
Tujhay qareeb jo paaon to khud se dar jaaon 

Kisi chaman main bas ik khouf se guzar na hua 
Kisi kali pe na bhoolay se paaon dhar jaaon 

Yeh jee main aati hai takhleeq-e-fun kay lamhon main 
Keh khoon ban kay rag-e-sang main utar jaaon 

Iss zindagi ka kya bharosa jo 2 pal ki hai


Iss zindagi ka kya bharosa jo 2 pal ki hai 

Hum bhi un lamhon ki tarah guzar jayein gay jo loat kay nahin aatay

Tum do farib mujhay aur main samjhon hunnar ussay


Tum do farib mujhay aur main samjhon hunnar ussay 

Ab itna bhi sadgi ka zamana nahin raha 

Kab do gay nijaat hamein raat bhar ki tanhai se


Kab do gay nijaat hamein raat bhar ki tanhai se

Ae ishq maaf kar meri umar hi kya hai

Log shor se jaag jatay hain


Log shor se jaag jatay hain 

Aur mujhay us ki khamoshi sonay nahin deti

Ek umar talak ashk fishaani main raha hai


Ek umar talak ashk fishaani main raha hai 
Ae ishq ! tera dard rawani main raha hai 

Yeh chor meray saath kabhi tha keh nahin tha 
Woh shakhs magar meri kahani main raha hai

Ek hijar teray baad rag-e-jaan main utar kar 
Taa umar phir alfaaz-o-ma'aani main raha hai 

Sehraa se teray dil ki guzar gaah talak dil
Her roz teri naqal makaani main raha hai 

Woh saath nahin meray magar sach hai hamesha 
Woh shakhs meri aankh kay paani main raha hai 

Dabi dabi si woh muskurahat labon pe apnay saja saja kay




Dabi dabi si woh muskurahat 
Labon pe apnay saja saja kay 

Woh narm lehjay main baat karna 
Adab se nazrain jhuka jhuka kay 

Woh aankhein teri sharaarti si 
Woh zulf maathay pe naachti si 

Nazar hatay na ik pal bhi 
Main thak gaya hoon hata hata kay 

Woh tera haathon ki ungliyon main 
Mila kay zulfon main kho sa jana 

Haya kay chehray pe phir sajana 
Phool chehra khila khila kay 

Woh haath hooron kay ghar hon jaisay 
Woh paaon pariyon kay par hon jaisay 

Nahin hai teri misaal jana 
Main thak gaya hoon bata bata kay 
 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...