Jul 22, 2016

Woh kya kuch na karnay walay thay


Woh kya kuch na karnay walay thay 
Bas koi dam main marnay walay thay 

Thay gilay aur gard'baad ki shaam 
Aur hum sab bikharnay walay thay 

Woh jo aata to us ki khushbu main 
Aaj hum rang bharnay walay thay 

Sirf afsoso hai yeh tanz nahin 
Tum na sanwray , sanwarnay walay thay 

Youn to marna hai aik baar magar 
Hum kai baar marnay walay thay  

Tiflaan-e-koocha gard kay pathar bhi kuch nahin


Tiflaan-e-koocha gard kay pathar bhi kuch nahin
Soda bhi aik weham hai aur sar bhi kuch nahin 

Main aur khud ko tujh se chupa'on ga yehni main 
Lay daikh lay miyan meray andar bhi kuch nahin 

Bas ik ghubaar weham hai yak koocha gard ka 
Dewaar-e-bood kuch nahin aur dar bhi kuch nahin 

Yeh shaher daar-o-mohtasib-o-molvi hi kya 
Peer-e-mughaan-o-rind-o-qalandar bhi kuch nahin 

Shaikh haram luqma ki parwa hai kiyon tumhein 
Masjid bhi us ki kuch nahin mimber bhi kuch nahin 

Maqdoor apna kuch bhi nahin is diyaar main 
Shayed woh jabar hai keh muqaddar bhi kuch nahin 

Jaani main teray naaf piyalay pe hoon fida 
Yeh aur baat hai tera paikar bhi kuch nahin 

Yeh shab ka raqs-o-rang to kya sun meri kohan 
Subh-e-shataab kosh ka daftar bhi kuch nahin 

Bas ik ghubaar-e-tor gumaan ka hai teh ba teh 
Yehni nazar bhi kuch nahin manzir bhi kuch nahin 

Hai ab to aik haal-e-sakoon-e-hameshgi 
Parwaz ka to zikar hi kya par bhi kuch nahin 

Kitna darona hai yeh shaher-e-nabood-o-bood
Aisa darona keh yahan dar bhi kuch nahin 

Pehlu main hai jo meray kahin aur hai woh shakhs 
Yehni wafa-e-ehad ka bistar bhi kuch nahin 

Nisbat main un ki jo hai aziyat woh hai magar 
Shah rag bhi koi shay nahin aur sar bhi kuch nahin 

Yaran ! tumhein jo mujh se gila hai to kis liye 
Mujh ko Aaitraaz Khuda par bhi kuch nahin 

Guzray gi "Jon" shaher main rishton kay kis tarah 
Dil main bhi kuch nahin hai zuban par kuch nahin  

Kaam ki baat main ne ki hi nahin


Kaam ki baat main ne ki hi nahin 
Yeh mera tor-e-zindagi hi nahin 

Aye umeed aye umeed-e-no maidaan 
Mujh se miyat teri uthi hi nahin 

Main jo tha us gali ka mast kharam 
Us gali main meri chali hi nahin 

Yeh suna hai keh meray kooch kay baad 
Us ki khushbu kahin basi hi nahin

Thi jo aik faakhta udaas udaas 
Subha woh shaakh se urri hi nahin 

Mujh main ab mera jee nahin lagta 
Aur sitam yeh keh mera jee hi nahin 

Woh jo rehti thi dil mohallay main 
Phir woh larki mujhay mili hi nahin 

Jaaiye aur khaak uraaiye aap 
Ab woh ghar kya keh woh gali hi nahin 

Haye woh shouq jo nahin tha kabhi 
Haye woh zindagi jo thi hi nahin 

Sab chalay jao , mujh main taab nahin


Sab chalay jao , mujh main taab nahin 
Naam ko bhi ab iztraab nahin 

Khoon kar doon teray shabaab ka main 
Mujh sa qatil tera shabaab nahin 

Ik kitab-e-wajood hai to sahi 
Shayed is main dua ka baab nahin 

Tu jo parhta hai Bu'ali ki kitab 
Kya yeh aalam koi kitab nahin 

Apni manzil nahin koi fariyaad 
Raksh bhi apna bad rakaab nahin 

Hum kitabi sada kay hain lakin 
Hasab-e-mansha koi kitab nahin 

Bhool jana nahin gunnah ussay 
Yaad karna ussay sawab nahin 

Parh liya us ki yaad ka nuskha 
Us main shohrat ka koi baat nahin 

Ab kisi se mera hisaab nahin


Ab kisi se mera hisaab nahin 
Meri aankhon main koi jawab nahin 

Khoon kay ghoont pee raha hoon main 
Yeh mera khoon hai sharaab nahin 

Main sarabi hoon meri aas na cheen 
Tu meri aas hai saraab nahin 

Noch phainkay labon se main ne sawal
Taqat-e-showkhi-e-jawaab nahin 

Ab to punjab bahi nahin punjab 
Aur khud jiya ab do aab nahin 

Gham abad ka nahin hai aan ka hai 
Aur us ka koi hisaab nahin 

Bu'dash ik ro hai aik ro yehni 
Is ki fitrat main inqalaab nahin 

Kya yeh aafat nahin azaab nahin


Kya yeh aafat nahin azaab nahin 
Dil ki haalat bhout kharaab nahin 

Bood pal pal ki be'hisaabi hai 
Keh mohaasab nahin hisaab nahin 

Khoob gaao bajao aur piyo 
In dino shaher main janaab nahin 

Sab bhatak'tay hain apni galiyon main 
Taba khud koi bariyaab nahin 

Tu hi mera sawal azal se hai 
Aur sajan tera jawaab nahin 

Hifz hai " shams-e-baaz'gha " mujh ko 
Par muyassar woh mah'taab nahin 

Tujh ko dil-e-dard ka nahin ehsaas 
So meri pandliyon ko daab nahin 

Nahin jurta khayal ko bhi khayal 
Khawaab main bhi to koi khawaab nahin 

Satar-e-mu us ki zer-e-naaf ki haye 
Jis ki chaqu zano ko taab nahin  

Ajab ik tor hai jo hum sitam ijaad rakhein


Ajab ik tor hai jo hum sitam ijaad rakhein 
Keh na us shakhs ko bhulein na ussay yaad rakhein 

Ehad us ko chana-e-dil se hai so us koochay main 
Hai koi apni jaga hum jissay bar'baad rakhein 

Kya kahein kitnay hi niktay hain jo bartay na gaye 
Khush badan ishq karein aur hamein ustaad rakhein 

Be'satoon aik nawahi main hai shaher-e-dil ki 
Tesha inaam karein aur koi farhaad rakhein 

Aashiyana koi apna nahin par shouq yeh hai 
Ik qafs layein kahin se koi siyaad rakhein 

Hum ko infaas ki apnay hai imaarat karni 
Is imaarat ki labon par teray buniyaad rakhein 

Teri qeemat ghat'tai jaa rahi hai


Teri qeemat ghat'tai jaa rahi hai 
Mujhay furqat sikhai jaa rahi hai 

Yeh hai tameer-e-duniya ka zamana 
Havaili dil ki dhaai jaa rahi hai 

Woh shay jo sirf hindustan ki thi 
Woh pakistan laai jaa rahi hai 

Kahan ka deen , kaisa deen , kya deen 
Keh kya garr barr machaai jaa rahi hai 

Sha'oor-e-aadmi ki sar'zameen tak 
Khuda ki ab do'haai jaa rahi hai 

Bhout si suratein manzir main laa kar 
Tamana aazmaai jaa rahi hai 

Mujhay ab hosh aata jaa raha hai 
Khuda teri khudaai jaa rahi hai 

Nahin maloom kya sazish hai dil ki 
Keh khud hi maat khaai jaa rahi hai 

Hai veerani ki dhoop aur aik aangan 
Aur us par lu chaalai jaa rahi hai  

Apnay liye to bas edhi tha (Abdul Sattar Edhi)







Apnay liye to bas edhi tha (Abdul Sattar Edhi)

Deed tha shayed

Zakhmon pe phaya rakhta tha
Tees uthay ya ghaao pukaray
Dard samait kay lay jata tha

Nahin nahin koi paremi tha

Adam zaad se preet lagaye
Her pal yaar ki chahat main gum
Mann main pyar ka deep jalaye

Apnay nagar ka raja tha kya !

Daikh raikh janta ki karna
Her ghaao pe phaya dharna
Aas umeed dilon main bharna

Lagta hai keh dewana tha

Sab se pyar sabhi se chahat
Bair se aur nafrat se nafrat
Sab ki khatar chain aur rahat

Waid tha , raja tha , paremi tha
Tha darwaish , koi sufi tha
Kitnay roop thay woh jo bhi tha

Apnay liye to bas edhi tha

Khidmat hi meraas hai us ki
Hum'dardi hai us ka wirsa
Tarka us ka hai gham khawari
Aur hum saray us ka kumba
Ayo , hum waris ban jayein
Jitna bhi hi jis kay bas main
Utna to dukh dard mita'ein
Zakhmon par hum rakhein marham
Andheron main deep jalayein



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...