Dec 20, 2014

Saal ka aakhri din hai

Saal ka aakhri din hai

Abhi kuch dhoop hai lakin

Zara si dair ko teh hai keh aakhri shaam hona hai

Haqeeqat ya kahaani jo bhi hai anjaam hona hai

Chalo mil baith kay apnay khasaaray baant letay hain

Sab hi rang aur jugnoo aur sitaaray baant letay hain

To kiyon na kuch shaam se pehlay

Jo kuch ghariyaan muyssar hain

Un hi main zindagi kar lain

Kisi ehsaas ki shamma jala kar

In andheron main

koi dam roshni kar lain

Chalo hum dosti kar lain

Abhi hijar ka qayaam hai aur december aan ponchaa hai

Yeh khabar shaher main aam hai december aan ponchaa hai

Aangan main utar aayi hai manoos se khushboo
Yaadon ka azda'haam hai december aan ponchaa hai

Khamoshiyon ka raaj hai khizaan tak main hai
Udaasi bhi bhout aam hai december aan ponchaa hai

Teray aanay ki umeed bhi ho chuki madoom
Naye saal ka ehtamaam hai december aan ponchaa hai

Khunk rutt main udaasi bhi chokhat pe kharri hai
Jaaray ki udaas shaam hai december aan ponchaa hai

Tum aao to meray mousamon ki bhi takmeel ho jaye
Nayi rutt to sar-e-baam hai december aan ponchaa hai  

Nahin hikayat mohabbaton ki , shikayaton ki

Bujhay bujhay se haroof lay kar

Kohar main doobi seyyahon ki

Warq warq pe utaarna hai

Udaas shamon kay phool chun kar

Suno december

Ussay pukaaro

Ussay bulaao

Suno december , ussay mila do

Ab is se pehlay keh saans niklay

Ab is se pehlay kay saal guzray

Wohi lakeerain , wohi sitaara

Meri lakeeron main qaid kar do

YEh aakhri shab kay aakhri pal

Koi bara ikhta'taam kar do

Yeh zindagi bhi tamaam kar do

Suno december , ussay mila do

Main jal raha hoon dhoop main , woh maanta nahin

Sar pe mohabbat ki rida taanta nahin

Jissay ghar ki eent eent pe likha hai mera naam

Iss ghar main ab koi mujhay pehchaanta nahin

Kiya chahata hoon us se meri aarzoo hai kiya

Sab kuch woh jaanta hai magar jaanta nahin

Sulee pe taankta hai magar iss adaa kay saath

Mujrim bhi pyaar ka mujhay gar'daanta nahin

Hoti hai sab ko ishq main sood-o-ziyaan ki aas

Meri tarah to khaak koi chaanta nahin

Yaadon ka aik jhonka aaya hum se milnay barson baad

Pehlay itna roye nahin thay jitna roye barson baad

LAmha lamha dil ujraa hai mushkil se yeh ehsaas hua

Pathar aaye barson pehlay sheeshay tootay barson baad

Bhool jaaon kis ne tora , kaisay tora , kiyon tora

Dhoond rahay ho galiyon main dil kay tukray barson baad

Dastak ki umeed lagaye kab tak aakhir jeetay hum

Kal ka wada karnay walay milnay aaye barson baad

Kehtay hain , kuch log zindagi main aatay hain is tarah

kab , kaisay jigar jaan dost ban jaatay hain kiya pata

Par meri veeraan zindagi main yeh hota nahin

Keh main ab dost koi banaata nahin

Kuch log milay thay mujhay bhi raah-e-zindagi main

Saath chalain gay woh mera aisa waada tha un ka

Koi kisi kay liye yahaan rukta nahin

keh main ab dost koi banaata nahin

Her baar mujhay ik chot lagi hai kuch aisay

Keh tukray huye hain kai aaitabaar kay meray

Bikhray un tukron ko main samait'ta nahin

keh main ab dost koi banaata nahin

Meray dil kay tukray to her koi lay gaya mujh se

Badlay main bas ik soona pan dy gaya her koi

Keh mera dil bhi ab meray paas nahin

Keh main ab dost koi banaata nahin

Sakhawat na namood afroz manzar hi nahin aaya

Saa'khi Baithay rahay koi gada'gar hi nahin aaya

Yeh socha tha teri khaatar koi motti nikaalon ga
MAin jis raastay main tha us main samandar hi nahin aaya

Pehan kar ayein gay , phirti dewaangi apni
Tamana thi bhout jis ko woh pathar hi nahin aaya

Baharain , bailain , jharray pattay lagay jalay dareechon par
Makeen aisa gaya ghar se palat kar hi nahin aaya

Chamak jis ki bulaa leti uqaabon ko nashaiman se
Fizaon main koi aisa kabootar hi nahin aaya

Dafeeno ki tarah dil main khazanay reh gaye saaray
Samandar kiya karay koi shanawar hi nahin nahin aaya

diya hi jab bahib ho ga hawa kis ko bujhaye gi
Chraagh-e-raah main ab kay jala kay hi nahin aaya

Kabhi hum bheegtay hain chahaton ki tez baarish main

Kabhi barson nahin miltay kisi halki ranjish main

Tum hi main devtaaon ki koi khoobi na thi warna

KAmi koi nahin thi meray andaaz-e-parastish main

Yeh pehlay soch lo phir aur bhi tanha na ho jaana

Ussay choonay ki khwaish main ussay paanay ki koshish main

Bhout se zakham hain dil main magar ik zakham aisa hai

Jo jal utha hai raaton main jo loo deta hai baarish main  

MAin bhula chuka sabhi waastay jo thay manzalon kay hasool main

Meri manzalon kay hasool main teri raah aye to kiya karon

Jo pukaarta tha her aik gharri jo jura tha dil se laree laree

KAho shakhs aisa agar kabhi mujhay bhool jaye to kiya karon

Kabhi saath tha jo keh du'ba'du tha hamesha meri hi ru'ba'ru

Jo barhaa raha tha qadam meray woh hi dag'magaye to kiya karon

Woh chragh-e-dar jo jala kabhi main bujha chuka hoon magar kabhi kay

Bujha hua bhi diya agar mera ghar jalaye to kiya karon

MAin ne aks tak to mita diye sabhi aainay bhi chuppa diye

Tujhay dekhta koi door se meray paas aye to kiya karon

Teray tabsaray hain be'khabar meri dastaan-e-hayat se

tu keh raha hai dil jissay woh meri khwaishon ka mizaar hai

Tera shukriya ae tabeeb-e-jaan yeh khaloos apni jaga magar

Teri masihaai bhi kiya karay mera dard hi be'shumaar hai

Meray raaston main jo aa gaya meray kaaflay ko jo kha gaya

Woh toofaan to kab ka guzar gaya par dil main ab tak ghubaar hai

Ae meharbaan dost sun meri mushkalon ko , samjh keh main

Teri mohabbaton ka kiya karoon kissay dil pe ab ikhtiyaar hai

Naye mousamon ko bulaao mat keh mujhay kushbo'on ki talab nahin

Meri raah rehnay do khaar khaar meray liye to yahi bahaar hai

Jo nafraton se jhulas gaya ussay dil se saaray duaein do

Par us sitam zada ka kiya karain jo mohabbaton ka shikaar hai

Zara si dair ko teh hai keh aakhri shaam hona hai

Saal ka aakhri din hai 
Abhi kuch dhoop hai lakin 
Zara si dair ko teh hai keh aakhri shaam hona hai 
Haqeeqat ya kahaani jo bhi hai anjaam hona hai 
Chalo mil baith kay apnay khasaaray baant letay hain 
Sab hi rang aur jugnoo aur sitaaray baant letay hain 
Zara si dair ko teh hai keh aakhri shaam hona hai 
Haqeeqat ya kahaani jo bhi hai anjaam hona hai 

To kiyon na kuch shaam se pehlay 
Jo kuch ghariyaan muyssar hain 
Un hi main zindagi kar lain 

Kisi ehsaas ki shamma jala kar 
In andheron main 
koi dam roshni kar lain 
Chalo hum dosti kar lain 
Zara si dair ko teh hai keh aakhri shaam hona hai 
Haqeeqat ya kahaani jo bhi hai anjaam hona hai

December aa kay guzar jaye ga

December aa kay guzar jaye ga 
Ik pairr kay na jaanay kitnay pattay gir jayein gay 
December aa kay guzar jaye ga 
Chiriyaan cheekhain gi yak'basta raaton main 
Aur pairron pe aa kay yeh gum sum rahain gi 
NA koi hari shaakh ho gi 
Na koi patta ho ga 
December aa kay guzar jaye ga 
Kitnay prinday be'ghar ho jayein gay 
Jalaa dy gi un ko december ki thandi hawa 
Na jaanay kitnay khwaab bin tabeer dhal jayein gay 
December aa kay guzar jaye ga 
Ik pairr kay na jaanay kitnay pattay gir jayein gay

Yeh khabar shaher main aam hai december aan ponchaa hai

Abhi hijar ka qayaam hai aur december aan ponchaa hai
Yeh khabar shaher main aam hai december aan ponchaa hai 

Aangan main utar aayi hai manoos se khushboo
Yaadon ka azda'haam hai december aan ponchaa hai 

Khamoshiyon ka raaj hai khizaan tak main hai 
Udaasi bhi bhout aam hai december aan ponchaa hai 

Teray aanay ki umeed bhi ho chuki madoom 
Naye saal ka ehtamaam hai december aan ponchaa hai 

Khunk rutt main udaasi bhi chokhat pe kharri hai 
Jaaray ki udaas shaam hai december aan ponchaa hai 

Tum aao to meray mousamon ki bhi takmeel ho jaye 
Nayi rutt to sar-e-baam hai december aan ponchaa hai  

December kay haseen din thay

December kay haseen din thay 

Murre ki yak'bakhta fizaa'on main 

Hamaray chaar haathon ne 

aik mujasin banaya tha 

KAha tha ek doojay ko 

Nishaani pyaar ki apni 

Bari khoobsurat hai 

Mujhay ab yaad aata hai 

Mujasim barf ka tha woh 

Ussay aakhir pighalna tha 

Ussay to mit hi jaana tha 

Raat us ne poocha tha tum ko kaisi lagti hai chandni december ki

Raat us ne poocha tha 
Tum ko kaisi lagti hai 
Chandni december ki 
MAin ne kehna chaha tha 
Saal-o-maah kay baaray main 
Guftagoo kay kiya maani 
Chahaye koi manzar ho 
Dasht ho , samandar ho 
June ho , december ho 
Dharkano ka her naghma 
Manzaron pe bhaari hai 
Saath jab tumhara ho 
Dil ko ik sahaara ho 
Aisa lagta hai jaisay 
Ek nasha sa taari ho 
Lakin us ki qurbat main 
Kuch nahin kaha main ne 
Takti reh gayi mujh ko 
Chandni december ki

Suno december , ussay mila do

Nahin hikayat mohabbaton ki , shikayaton ki 
Bujhay bujhay se haroof lay kar 
Kohar main doobi seyyahon ki 
Warq warq pe utaarna hai 
Udaas shamon kay phool chun kar 

Suno december 
Ussay pukaaro 
Ussay bulaao
Suno december , ussay mila do 
Ab is se pehlay keh saans niklay 
Ab is se pehlay kay saal guzray 
Wohi lakeerain , wohi sitaara 
Meri lakeeron main qaid kar do 
YEh aakhri shab kay aakhri pal 
Koi bara ikhta'taam kar do 
Yeh zindagi bhi tamaam kar do 
Suno december , ussay mila do

Sard raaton ki bheegi tanhai

Sard raaton ki bheegi tanhai 

Barasti boond kay chootay hi 

Sulagta sa badan 

Beeti yaadain 

Beetay lamhon main sulagta hua dil 

Youn guzray saal keh 

saaray dukh aur saaray gham 

Akela aik december seh leta hai

Chalo ik nazam likhtay hain kisi kay naam kartay hain

Chalo ik nazam likhtay hain 
Kisi kay naam kartay hain 

MAgar yeh sochna hai ab 
Keh us main zikar kis ka ho 
Keh us main baat kis ki ho 
Keh us main zaat kis ki ho 

Aur yeh bhi farz kartay hain 
Keh jis pe nazam likhtay hain 
Hamain us se mohabbat hai 
Hamaray saaray jazbon ko 
Bus us ki hi zaroorat hai 

Chalo ik kaam kartay hain 
Keh hum jo nazam likhtay hain 
Tumharay naam kartay hain 
Tum hi unwaan ho is ka 
Tumhara zikar hai is main 
Tumhari baat hai is main 
Tumhari zaat hai is main 

Tum ko chupa rakha hai in palkon main

Tum ko chupa rakha hai in palkon main 

Par in ko yeh bataana nahin  aaya

Sotay huye 

bheeg jaati hai palk meri 

Palkon ko ab tak 

Dard chupaana nahin aaya

Keh main ab dost koi banaata nahin

Kehtay hain , kuch log zindagi main aatay hain is tarah 
kab , kaisay jigar jaan dost ban jaatay hain kiya pata 
Par meri veeraan zindagi main yeh hota nahin 
Keh main ab dost koi banaata nahin 

Kuch log milay thay mujhay bhi raah-e-zindagi main 
Saath chalain gay woh mera aisa waada tha un ka 
Koi kisi kay liye yahaan rukta nahin 
keh main ab dost koi banaata nahin 

Her baar mujhay ik chot lagi hai kuch aisay 
Keh tukray huye hain kai aaitabaar kay meray 
Bikhray un tukron ko main samait'ta nahin 
keh main ab dost koi banaata nahin 

Meray dil kay tukray to her koi lay gaya mujh se 
Badlay main bas ik soona pan dy gaya her koi 
Keh mera dil bhi ab meray paas nahin 
Keh main ab dost koi banaata nahin

Sar pe mohabbat ki rida taanta nahin

Main jal raha hoon dhoop main , woh maanta nahin 
Sar pe mohabbat ki rida taanta nahin 

Jissay ghar ki eent eent pe likha hai mera naam 
Iss ghar main ab koi mujhay pehchaanta nahin 

Kiya chahata hoon us se meri aarzoo hai kiya 
Sab kuch woh jaanta hai magar jaanta nahin 

Sulee pe taankta hai magar iss adaa kay saath 
Mujrim bhi pyaar ka mujhay gar'daanta nahin 

Hoti hai sab ko ishq main sood-o-ziyaan ki aas
Meri tarah to khaak koi chaanta nahin

Pehlay itna roye nahin thay jitna roye barson baad

Yaadon ka aik jhonka aaya hum se milnay barson baad 
Pehlay itna roye nahin thay jitna roye barson baad 

LAmha lamha dil ujraa hai mushkil se yeh ehsaas hua 
Pathar aaye barson pehlay sheeshay tootay barson baad 

Bhool jaaon kis ne tora , kaisay tora , kiyon tora 
Dhoond rahay ho galiyon main dil kay tukray barson baad 

Dastak ki umeed lagaye kab tak aakhir jeetay hum 
Kal ka wada karnay walay milnay aaye barson baad 

Yaadon ka aik jhonka aaya hum se milnay barson baad
Pehlay itna roye nahin thay jitna roye barson baad

Saa'khi Baithay rahay koi gada'gar hi nahin aaya

Sakhawat na namood afroz manzar hi nahin aaya 
Saa'khi Baithay rahay koi gada'gar hi nahin aaya 

Yeh socha tha teri khaatar koi motti nikaalon ga 
MAin jis raastay main tha us main samandar hi nahin aaya 

Pehan kar ayein gay , phirti dewaangi apni 
Tamana thi bhout jis ko woh pathar hi nahin aaya 

Baharain , bailain , jharray pattay lagay jalay dareechon par 
Makeen aisa gaya ghar se palat kar hi nahin aaya 

Chamak jis ki bulaa leti uqaabon ko nashaiman se 
Fizaon main koi aisa kabootar hi nahin aaya 

Dafeeno ki tarah dil main khazanay reh gaye saaray 
Samandar kiya karay koi shanawar hi nahin nahin aaya 

diya hi jab bahib ho ga hawa kis ko bujhaye gi 
Chraagh-e-raah main ab kay jala kay hi nahin aaya 

Kabhi barson nahin miltay kisi halki ranjish main

Kabhi hum bheegtay hain chahaton ki tez baarish main 
Kabhi barson nahin miltay kisi halki ranjish main 

Tum hi main devtaaon ki koi khoobi na thi warna 
KAmi koi nahin thi meray andaaz-e-parastish main 

Yeh pehlay soch lo phir aur bhi tanha na ho jaana 
Ussay choonay ki khwaish main ussay paanay ki koshish main 

Bhout se zakham hain dil main magar ik zakham aisa hai 
Jo jal utha hai raaton main jo loo deta hai baarish main  

Meri manzalon kay hasool main teri raah aye to kiya karon

MAin bhula chuka sabhi waastay jo thay manzalon kay hasool main 
Meri manzalon kay hasool main teri raah aye to kiya karon 

Jo pukaarta tha her aik gharri jo jura tha dil se laree laree
KAho shakhs aisa agar kabhi mujhay bhool jaye to kiya karon 

Kabhi saath tha jo keh du'ba'du tha hamesha meri hi ru'ba'ru
Jo barhaa raha tha qadam meray woh hi dag'magaye to kiya karon 

Woh chragh-e-dar jo jala kabhi main bujha chuka hoon magar kabhi kay
Bujha hua bhi diya agar mera ghar jalaye to kiya karon 

MAin ne aks tak to mita diye sabhi aainay bhi chuppa diye 
Tujhay dekhta koi door se meray paas aye to kiya karon 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...