Sep 5, 2017

Mera dard kaisay woh jaanta , meri baat kaisay woh maanta


Mera dard kaisay woh jaanta , meri baat kaisay woh maanta 
Woh khud fanaa kay safar main tha , ussay rokna bhi mohaal tha 

Woh jo uss kay samnay aa gaya , kisi roshi main naha gaya 
Ajab uss ki haybat-e-husan thi ajab uss ka rang-e-jamaal tha 

Dam-e-wapsi ussay kya hua , na woh roshni , na woh taazgi 
Woh sitara kaisay bikhar gaya woh jo aap apni misaal tha 

Woh mila to sadiyon baad bhi meray lab pe koi gila na tha 
Ussay meri chup ne rula diya , jissay guftagoo main kamaal tha 


Raat jal uth'ti hai jab shiddat-e-zulmat se "Nadeem"


Raat jal uth'ti hai jab shiddat-e-zulmat se "Nadeem"

Log uss waqfa-e-maatam ko sehar kehtay hain 

Nagar ho jaye ga , veeran sara


Nagar ho jaye ga , veeran sara 

Ussay roko woh hijrat kar raha hai ..!

Nahin tum se koi shikayat , bas itni si iltijaa hai


Nahin tum se koi shikayat , bas itni si iltijaa hai 

Jo haal kar gaye ho , kabhi dikhnay mat aana 

Teri ni'yat hi nahin thi warna


Teri ni'yat hi nahin thi warna 

Nibhanay walay  raasta nahin dikha kartay 

Teray rokay se woh bad ehad kahan rukta hai


Teray rokay se woh bad ehad kahan rukta hai 

Pa'on choonay se to behtar hai ussay jaanay de 

Baha rahi thi woh sailaab main ja'haiz apna


Baha rahi thi woh sailaab main ja'haiz apna 

Badan ki doobti kashti sambhalnay kay liye 

Fariyaad kar rahi hai tarsi hui nigaah


Fariyaad kar rahi hai tarsi hui nigaah 

Daikhay huye kisi ko bhout din guzar gaye 

Tumharay naam tumharay nishaan se be-sar-o-kaar


Tumharay naam tumharay nishaan se be-sar-o-kaar 

Tumhari yaad kay mousam guzartay jaatay hain 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...