Apr 12, 2014

Barq nazron ko baad-e-saba chaal ko



Barq nazron ko
Baad-e-saba chaal ko
Aur zulfon ko kali ghata keh diya
Meri ankhon main
Sawan ki rut aye jab
Deeda-e-yaar ko meh'kada keh diya
Main kahan 
Jurat-e-lab'kushai kahan
Toba toba junoon ki yeh be-tabiyaan
Ro-baroo jin ke nazrain bhi uth'ti na ta'ein
Un ke munh pe
Unhain be-wafa keh diya

Suna hai raat bhar ussay chaand takta rehta hai




Suna hai raat bhar ussay chaand takta rehta hai

Sitaray baam-e-falak se utar kar dekhtay hain

Suna hai din ko ussay titliyaan satati hain

Suna hai raat ko jugnoo tehar ke dekhtay hain

Mousam-e-bahar jab guzar gaya to yaad aya



Mousam-e-bahar jab guzar gaya to yaad aya

Dil ke sunay angan main sajar naye laganey thay

Tu badal'ta hai to be-sakhta meri ankhain



Tu badal'ta hai to be-sakhta meri ankhain 

APney hathon ki lakeeron se uljh jati hain

Woh ashak ban kar meri chashm-e-tar main rehta hai



Woh ashak ban kar meri chashm-e-tar main rehta hai

Ajeeb shaks hai pani ke ghar main rehta hai

Ussay pana ussay khona usi ke hijar main rona



Ussay pana ussay khona usi ke hijar main rona

Yahi agar ishq hai mohsin to hum tanha achay thay

Mujhay zaham tha magar main bikhar gaya mohsin


Mujhay zaham tha magar main bikhar gaya mohsin

Woh reza reza tha magar apney ikhtiyaar main tha

Bichar kar kabhi mujh se tum ne yeh bhi socha hai


Bichar kar kabhi mujh se tum ne yeh bhi socha hai

Adhoora chaand kitn audaas lagta hai

Barbaad karney ke aur bhi rastay thay faraz



Barbaad karney ke aur bhi rastay thay faraz

Na'janay unhain mohabbat ka hi khyal kyn aya

Tujhay chaha to yeh jana


Tujhay chaha to yeh jana

Keh likhna farz ho jaisay

Us ko dekha to mohabbat bhi samjh Aayi



Us ko dekha to mohabbat bhi samjh Aayi

Warna is lafz ki tareef suna kartay thay

Khawaish bhi titli ki tarah hoti hai


Khawaish bhi titli ki tarah hoti hai 

is ke peechat bhagtay raho

Hath nahin ati

Aur jab hath ati hai

To waqat agay barh jata hai

Aur khwaish ka wajood hi nahin rehta

Do ghari ki mulaqaat main

Do ghari ki mulaqaat main 

Umar bhar ke sitam de gaye hain

Kiya mila hai sila ishq main 

Piyaar manga tha gham de gaye hain

Ho ke tum se juda hum to rotay rahay

Tum gaye to zamanay ki kushiyan gaye'ein

Ansoon'on ki barasti gha'tain 

Aap hum ko sanam de gaye hain

Hum tumhari wafa pe bharosa kiye

Bhool bethay mohabbat main 2no jahan

Torna chay'ein ab to n atootay 

Ap aisay bharam de gaye hain


Ab ussay roz na sochon to badan toot'ta hai faraz


Ab ussay roz na sochon to badan toot'ta hai faraz


Umar guzri us ki yaad ka nasha kartay kartay

Hoti hai bari zalim yak'tarfa mohabbat faraz


Hoti hai bari zalim yak'tarfa mohabbat faraz

Woh yaad to atay hain par yaad nahin kartay


Be-khabar Be'waja be'rukhi na kiya kar


Be-khabar Be'waja be'rukhi na kiya kar

Koi toot jata hai tera lehja badalney se

Is haseen taul'aq se niklay to bikhar jayein ge


Is haseen taul'aq se niklay to bikhar jayein ge
Hum teri zaat se niklay to bikhar jayein ge

Bhout adat hai is dil ko tumharay sath chalney ki
Yeh hath , hath se niklay to bikhar jayein ge

Ik mudat se teri kahani ka unwaan rahay hain
Ab is ri,yaat se niklay to bikhat jayein ge

Pass hotay to koi shahrat kartay

Pass hotay to koi shahrat kartay
Tujhay le ke banhon main mohabbat kartay

Dekhtay teri ankhon main neend ka khumaar
Apni khoye hui neen'don ki shikayat kartay

Teri ankhon main apna aks dhoondtay
Khud se bhi ziada teri chahat kartay

Jis ki hakoomat thi us ke ghulaam thay
Qabeelay main dost kis se baghawat kartay

Ik dil tha woh bhi us ke pass tha
Raat bhar jaag kar kis ki hifazat kartay

Meray mazhab main shirk haraam hai warna
Aur kuch na kartay hum din raat teri ibadat kartay

Poet : Mohsin naqvi
 

Kabhi kabhi aansoo muskurahat se ziada special hotay hain


Kabhi kabhi 
Ansoo muskurahat se ziada special hotay hain
Kyn keh
Muskurahat to sab kay liye hoti hai
Magar ansoo un kay liye hotay hain
Jinhain hum khon anahin chahtay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...