Dec 24, 2014

Kuch aur bhi jazbon ko be'taab kiya us ne




Kuch aur bhi jazbon ko be'taab kiya us ne

JAb mehndi walay haathon se adaab kiya us ne

Surkh kapron main kuch ziada hi haseen lag rahi thi

Jab mehandi us kay haathon pe chamak rahi thi

Us ko dekh kar meray dil ki dharkan youn tham rahi thi

JAb us ki doli meri miyat kay saath nikal rahi thi

Dekhnay walon ko la'jawaab kiya us ne

Jab mehndi walay hathon se adaab kiya us ne

Jis kay liye zindagi ganwa betha hoon

Apni aankhon ko be'intiha rula baitha hoon

Us ki be'wafai kiya rang layi hai

Kisi aur kay liye apnay haathon pe mehndi lagayi hai

Meri aankhon ko ik haseen khwaab diya us ne

JAb mehndi walay haathon se adaab kiya us ne 

Libaas tan se utaar dena, kisi ko baanhon kay haar dena


Libaas tan se utaar dena

Kisi ko baanhon kay haar dena

Phir us kay jazbon ko maar dena

Agar mohabbat yahi hai jana To maaf karna mujhay nahin hai

Gunnah karnay ka soch lena

Haseen pariyaan daboch lena

Phir us ki aankhain hi noch lena

Agar mohabbat yahi hai jana to maaf karna mujhay nahin hai

Kisi ko lafzon ka jaal dena

Kisi ko jazbon ki dhaal dena

Phir us ki izzat uchaal dena

Agar mohabbat yahi hai jana to maaf karna mujhay nahin hai

Zindagi ne kuch sawalaat badal daalay


Zindagi ne kuch sawalaat badal daalay 

Waqat ne meray halaat badal daalay 

Main to aaj bhi wohi hoon jo kal thi 

Bas meray liye logon ne apnay khayalaat badal daalay

Youn hum ko satanay ki zaroorat kiya thi


Youn hum ko satanay ki zaroorat kiya thi 
Dil mera tor kay janay ki zaroorat kiya thi 

Jo nahin tha ishq to keh diya hota 
Hamain youn azmaanay ki zaroorat kiya thi 

Maloom tha gehray khwaab toot jayein gay 
Neend main aa kar jaganay ki zaroorat kiya thi 

Maan loon agar yeh yak'tarfa mohabbat thi 
Mujhay dekh kar muskuraanay ki zaroorat kiya thi 

Jo hum na thay tumharay qabal-e-nazar 
To mujh ko mohabbat sikhaanay ki zaroorat kiya thi 


Na mohabbat , na dost hamain kuch raas nahin


Na mohabbat , na dost hamain kuch raas nahin 

Sab badal jaatay hain hamaray dil main jaga banany kay baad

Ae khuda is dour main ek aur bhi kamal kar


Ae khuda is dour main ek aur bhi kamal kar 

Ya yaar ka de'daar dy ya khud'kushi halaal kar

agar dil tootay to meray paas chalay aana tum


agar dil tootay to meray paas chalay aana tum 

Mujhay meray jaisay logon se mohabbat bhout hai

Kabhi khamoshi bhi bhout kuch keh jaati hai


Kabhi khamoshi bhi bhout kuch keh jaati hai 
Tarapnay kay liye sirf yaadain reh jaati hain

Kiya farq parta hai dil ho ya koyla
Jalnay kay baad to sirf raakh hi reh jaati hai

Toot jaatay hain bikhar jaatay hain


Toot jaatay hain bikhar jaatay hain 
Kaanch kay ghar main muqadar apnay 

Ajnabi to sadaa pyaar se miltay hain 
Bhool jaatay hain to aksar apnay

Mohabbat bhi ajab cheez banai hai tu ne Ae Khuda


Mohabbat bhi ajab cheez banai hai tu ne 

Ae Khuda 

Teri hi masjid main 
Teray hi banday 
Teray hi samnay 
Rotay hain kisi aur kay liye

Tera intizaar kartay kartay yeh waqat aa gaya hai


Tera intizaar kartay kartay yeh waqat aa gaya hai 

Keh ab aankhain bhi kehti hain us kay liye hamain to saza mat do

Tum door ho magar yeh ehsaas hota hai


Tum door ho magar yeh ehsaas hota hai 

Koi hai jo her pal dil kay paas hota hai 

Yaad to sab ki aati hai magar 

Tumhari yaad ka andaaz kuch khaas hota ahi

Mohabbat chorna meri fitrat nahin


Mohabbat chorna meri fitrat nahin 

Be'wajah kisi se munh morna meri aadat nahin 

Aksar chor jaatay hain log mujhay

Kiyon keh meray dil kisi kay liye nafrat nahin

Meri mohabbat meray jazbaat sirf tum se hain


Meri mohabbat meray jazbaat sirf tum se hain 

Dekho meri kainaat sirf tum se hai 

Auron se poochnay ka main haq nahin rakhta 

Meray sawalaat meray jawabaat sirf tum se hain 

Tum ko maloom hi nahin meri tanhai ka dukh 

Meri sochain meray khayalaatsirf tum se hain 

Tum saath ho to muqadar pe hakoomat apni 

Meray her rishtay ki soghaat sirf tum se hai 

Agar kabhi bikhar jaaon to smait lena mujh ko 

Hai mukamal jo meri zaat sirf tum se hai

Ehsaas-e-mohabbat kay liye bas itna hi kaafi hai


Ehsaas-e-mohabbat kay liye bas itna hi kaafi hai 

Teray baghair bhi hum teray hi rehtay hain

Ae dil ab bas bhi kar


Ae dil ab bas bhi kar 
Pagal 
Us ki yaad koi naiki to nahin 
Jo 
Kiye jaa raha hai

Toot kay chahna aur phir toot jaana


Toot kay chahna aur phir toot jaana

Baat choti hai magar jaan leva hai

Jab hum chotay thay to sonay kay liye ronay ka natak kartay thay


Jab hum chotay thay to sonay kay liye ronay ka natak kartay thay 

Par aaj hum baray ho gaye hain to ronay kay liye sonay ka natak kartay hain 

Yeh sang'dilon ki duniya hai yahan sambhal kar chalna


Yeh sang'dilon ki duniya hai yahan sambhal kar chalna 

Yahan palkon pe bithaya jata hai nazron se giranay kay liye

Umar bhar ki chahton ka khwaab aankhon main liye


Umar bhar ki chahton ka khwaab aankhon main liye 

Kiya tum bhi bichar jaao gay ek din auron ki tarah

Ek ajnabi jumla keh kar us ne hamain rula diya


Ek ajnabi jumla keh kar us ne hamain rula diya 

Jab gham bardaash nahin kar saktay to mohabbat kiyon kartay ho

Suno ! din , maheenay , saalon ka hisaab nahin aata mujhay


Suno ! din , maheenay , saalon ka hisaab nahin aata mujhay 

Hamesha se hamesha tak saath tumhara chahiye

Tum itnay sang'dil ho jaao gay kabhi socha na tha


Tum itnay sang'dil ho jaao gay kabhi socha na tha 

Chalo khair , hum bhi baaz nahin aayen gay tumhain yaad karnay se

Tum itnay sang'dil ho jaao gay kabhi socha na tha


Tum itnay sang'dil ho jaao gay kabhi socha na tha 

Chalo khair , hum bhi baaz nahin aayen gay tumhain yaad karnay se

Kiya khoob hota keh yaadain rait hotein


Kiya khoob hota keh yaadain rait hotein 

Muthi se gira deta , paaon se urra deta

Chalo aayo matti se khailain


Chalo aayo matti se khailain 

Umar hi kiya thi , jo dil laga baithay

Mana keh abhi nahin huye hum teri yaad kay qabil


Mana keh abhi nahin huye hum teri yaad kay qabil 

Apna na sahi , anjaan samjh kar haal pooch liya karo

Dekha palat kay us ne hasrat ussay bhi thi


Dekha palat kay us ne hasrat ussay bhi thi 

Hum jis par mar mitay thay mohabbat ussay bhi thi 

Chup ho gaya tha dekh kar woh bhi idher udhar 

Duniya se meri tarah shikayat ussay bhi thi 

Yeh soch kar andheray main galay se laga liya 

Raaton ko to jaagnay ki aadat ussay bhi thi 

Woh khush hua tha mujh ko parishaan dekh kar 

Us din majboor karnay ki zaroorat ussay bhi thi 

Un pathron kay saath nibhaani pari hai ussay 

Jin se faqat mujhay nahin nafrat ussay bhi thi

Youn hi udaas hai dil be'qaraar thori hai


Youn hi udaas hai dil be'qaraar thori hai 

Mujhay kisi ka koi intizaar thori hai 

Nazar mila kay bhi us se gila karon kaisay 

Us kay dil pe mera ikhtayaar thori hai 

Mujhay bhi neend na aaye ussay bhi chain na ho 

Hamaray beech bhala itna pyaar thori hai 

Khizaan hi dhoondti rehti hai dar'ba'dar mujh ko 

Meri talaash main pagal bahaar thori hai 

Na'janay kon yahan saamp ban kay das haye 

Yahan kisi ka koi aaitabaar thori hai

Dil main hasraton ko daba kay jeetay hain


Dil main hasraton ko daba kay jeetay hain 

Apnay gham ko duniya se chupa kay jeetay hain 

Kiya lotay ga zamana khushiyon ko meri 

Hum khushiyaan doston pe luta kay jeetay hain

Her shakhs pur'khaloos hai her shakhs ba'wafa


Her shakhs pur'khaloos hai her shakhs ba'wafa 

Hansi aati hai apni sada dili pe

Mohabbat kar to li hum ne , Mohabbat paa nahin saktay


Mohabbat kar to li hum ne 
Mohabbat paa nahin saktay 
Bhout kehnay ki khwaish hai 
Magar bata nahin saktay 
Teri baatain teri yaadain 
Hamara dil dukhaati hain 
Bhout takleef hoti hai 
Tujhay suna nahin saktay 
Teray saath chalna hai 
Teri manzil bhi ban'nana hai 
Bhout thak gaye hain hum 
Ab aagay jaa nahin saktay 
Suno hum toot jayein gay 
Hamain kaisay samaito gay 
Keh mar kay bhi meri jaan 
Hum tujhay bhulaa nahin saktay 

Nahin rahi woh mohabbat ki haqeeqat aaj kay dour main


Nahin rahi woh mohabbat ki haqeeqat aaj kay dour main 

Nafs ki pyaas bujhanay ko log ishq ka naam detay hain

Taqdeer kiya likhon main muqadar kay samnay


Taqdeer kiya likhon main muqadar kay samnay 

Us ne qatal kiya mujhay meray ghar kay samnay 

Sari basti jalti to afsoos na hota 

Ek mera ghar hi jala samandar kay samnay

Agar mohabbat yahi hai jana to maaf karna mujhay nahin hai


Libaas tan se utaar dena 
Kisi ko baanhon kay haar dena 
Phir us kay jazbon ko maar dena 
Agar mohabbat yahi hai jana To maaf karna mujhay nahin hai 
Gunnah karnay ka soch lena 
Haseen pariyaan daboch lena 
Phir us ki aankhain hi noch lena 
Agar mohabbat yahi hai jana to maaf karna mujhay nahin hai
Kisi ko lafzon ka jaal dena 
Kisi ko jazbon ki dhaal dena 
Phir us ki izzat uchaal dena 
Agar mohabbat yahi hai jana to maaf karna mujhay nahin hai

Rulanay walay to sabhi milay , Aansoo ponchnay wala na mila


Rulanay walay to sabhi milay 
Aansoo ponchnay wala na mila 
Meray dil ko thi jis ki tamana 
Woh chahnay wala na mila 
Youn to duniya girnay walon ko uthanay ki baat karti hai 
JAb main gira to uthanay wala na mila 
Kehtay hain 
yeh pyaar ka jahan hai 
Pyar ki duniya hai 
JAb main ne pyaar kiya to nibhanay wala na mila 

Us ne ik baar kaha tha , pyaar sirf mujh se karna


Us ne ik baar kaha tha , pyaar sirf mujh se karna 

Us din kay baad aaj tak 'Mohabbat ki nigah se ' kabhi khud ko bhi nahin dekha

Talaash karo meri mohabbat ko apnay dil main


Talaash karo meri mohabbat ko apnay dil main 

Jab meray bin raha na jaye , samjh lena mohabbat hai

Hamain to mohabbat kay liye bhi zindagi kam lagti hai


Hamain to mohabbat kay liye bhi zindagi kam lagti hai 

Log na'janay kahan se Nafraton kay liye waqat nikaal letay hain

Meri mohabatein , meri wafaein kabhi to yaad aayen gi tumhain


Meri mohabatein , meri wafaein kabhi to yaad aayen gi tumhain 

Jab tumhari chahaton ko ilzaam dy kar thukra dy ga koi 

Saath to ik pal ka tha phir kiyon mujhay yaad aatay ho tum


Saath to ik pal ka tha phir kiyon mujhay yaad aatay ho tum 

Aks ki tarah meray dil pe kiyon chaa jaatay ho tum 

Dilbar bhi nahin ho meray hamdam bhi nahin 

YEh raastay dosti ki mujhay phir kiyon dikha jatay ho tum 

Hum kabhi milay thay to ik ajnabi ki tarah 

Meri raaton ki neend phir kiyon urra jaatay ho tum 

Hawaon se hum tumhara pata poochtay rahay 

Kuch isi tarah se apna dewana bana jatay ho tum 

Saath to ik pal ka tha phir kiyon mujhay yaad aatay ho tum

Hum faqeer log hain hamain gharz se kiya gharz


Hum faqeer log hain hamain gharz se kiya gharz 

Jahan thori mohabbat milti hai un hi kay mureed ho jaatay hain

Na chahat kay andaz alag , na dil kay thay jazbat alag


Na chahat kay andaz alag , na dil kay thay jazbat alag 

Thi sari baat lakeron ki teray haath alag meray haath alag

Tumhain bhoolein gay aur woh bhi hum


Tumhain bhoolein gay aur woh bhi hum 

Uff , ajeeb bhool hai tumhari 

Na hum rahay dil laganay kay qabil


Na hum rahay dil laganay kay qabil 

Na dil raha gham uthanay kay qabil 

Laga teri yaadon ka jo zakham dil par 

Na chora us ne mujhay muskuraanay kay qabil

Meri aankhain hamesha meray dil se jalti hain


Meri aankhain hamesha meray dil se jalti hain 

Kiyon keh tum meri aankhon se bhout door ho aur meray dil kay bhout qareeb

Bichar bhi jaaon to bhool na jaana


Bichar bhi jaaon to bhool na jaana 

Kabhi yaad karna aur muskuraana 

Karo jo mohabbat meray baad kisi aur se 

Us ko kabhi tum meri mohabbat se na milaana

Khwaab, khayal , haqeeqat , yaqeen , gham aur tanhaiyaan


Khwaab, khayal , haqeeqat , yaqeen , gham aur tanhaiyaan 

Thori se umar hai meri , kis kis kay saath guzaron

Jab tak teray saath hain tujhay mayoos na honay dain gay


Jab tak teray saath hain tujhay mayoos na honay dain gay 

Umar bhar ki khushiyon ka hum Wada nahin kartay

Meray halaat ne kar diya tha khamosh mujhay


Meray halaat ne kar diya tha khamosh mujhay 

Zara hum chup kiya huye sab ne yaad karna hi chor diya

Raatein to yaad-e-mohabbat main hi guzar jaati hain


Raatein to yaad-e-mohabbat main hi guzar jaati hain 

Mout aaye gi to jee bhar kay so lain gay

Mat tor woh pyaar jo teri zaat se hai


Mat tor woh pyaar jo teri zaat se hai 

Yeh bata tu khafa meri kis baat se hai 

Tu bhi na uljha kar mujh se is tarah 

Jab tu achi tarah waqif meray jazbaat se hai 

MAin kaisay jee loon tum se rooth kar 

Meri to her saans wabasta teri yaad se hai 

Mat intizaar karwao hum se itna


Mat intizaar karwao hum se itna 

Keh waqat kay faisalon pe tumhain bhi afsoos ho  jaye 

Kal kiya pata tum baat karnay aayo 

Aur tab tak hamari rooh hi khamosh ho jaye

Meri dua teray naam


Meri dua teray naam 
YEh jo hum main tum main hai raabta 
Khuda karay yeh sada rahay 
Yeh chragh hai to jala rahay 
YEh phool hai to khila rahay 
Tu jahan rahay khush rahay 
Teray saath meri dua rahay 
Tu dua karay to qabool ho 
Jo wafa karay to wasool ho
Koi gham na teray qareeb ho 
Tera jeewan khushi se bhara rahay 
Tu jahan chalay saba chalay 
Tu jahan rukay bahaar ho 
Teri jis taraf bhi uthay nazar 
Khuda ki rehmat tujh pe be'hisaab ho 

Us be'wafa se bhala rishta mita kaisay doon


Us be'wafa se bhala rishta mita kaisay doon 

Woh jaan hai meri ussay bhulaa kaisay doon 

Apni rooh main basa kay jissay pyaar kiya tha 

Sochta hoon ussay ab dagha kaisay doon 

Kitnay khwaab sajaye thay meri in aankhon ne 

Main apna her khwaab bhala jala kaisay doon 

Woh roye ga to Aansoo meray bhi niklain gay 

Us ki be'wafai ki ussay saza kaisay doon 

Woh kehta hai keh us ki khushi ki dua maangon main 

Par woh kisi aur ka ho jaye ussay yeh dua kaisay doon

Itni nafrat ho gayi hai ussay meri Mohabbat se


Itni nafrat ho gayi hai ussay meri Mohabbat se 

Suna hai us ne apnay hont jala dalay meray honton kay nishaan mitanay kay liye

Sadiyon se ik sapna hai


Sadiyon se ik sapna hai 

Kaho poora karo gay tum ?

Bhool jaao meray siwa sab ko 

Kaho aisa karo gay tum ?

Nahin kuch aur tamana ab 

Keh bas meray ho jaao tum 

Kabhi na chor kay jaao gay 

Kaho aisa karo gay tum ?

Faqat ik lafz sun'nanay ko 

Kai barson se tarsi hoon 

Mujhay apna bana lo tum 

Kahi aisa karo gay ? 

Wafa ka poda shajar hua to mohabbaton ka pata chalay ga



Wafa ka poda shajar hua to mohabbaton ka pata chalay ga 

Naseeb us ka samar hua to mohabbaton ka pata chalay ga 

Abhi to phirtay ho doston main aziz koi juda nahin hai 

Koi idhar se udhra hua to mohabbaton ka pata chalay ga 

YEh khush'nasibi hai shaher bhar main tumhara dushman koi nahin hai 

KAbhi kisi ka jo dar hua to mohabbaton ka pata chalay ga 

YEh kiya bicharna , keh shaam hotay hi apnay piyaaron main loat jana 

KAbhi jo lamba safar hua to mohabbaton ka pata chalay ga 

Qasoor waar ussay kiyon samjhein ghalti to apni hai


Qasoor waar ussay kiyon samjhein 

Ghalti to apni hai 

Zindagi la'parwahon ko somp di 

Aur mohabbat bhi ameeron se kar baithay

Woh apni neendon ki khumaari main mera haal tak na pooch saka


Woh apni neendon ki khumaari main mera haal tak na pooch saka

Meray Aanso'on ki tip tip ko woh baarish samjh kar so gaya

Agar kisi ko chaho to is andaaz se chaho


Agar kisi ko chaho to is andaaz se chaho 

Keh us ko jab bhi pyaar milay to tum yaad aa jaayo

Mohabbat woh haseen gunnah hai


Mohabbat woh haseen gunnah hai 

Jo her insaan khushi se karta hai 

Par mohabbat main intizaar woh saza hai 

Jo sirf wohi karta hai jo sacha pyaar karta hai

Hum bhi phoolon ki tarah aksar tanha hi rehtay hain


Hum bhi phoolon ki tarah aksar tanha hi rehtay hain 

Kabhi khud hi toot jaatay hain kabhi koi tor jaata hai

Tumharay paas hi ho ga zara phir se dhoondo ussay


Tumharay paas hi ho ga zara phir se dhoondo ussay 

Woh toota hua Dil mera aakhir gaya kahan

Chor do kisi se wafa ki aas


Chor do kisi se wafa ki aas

Jo rooth saktay hain woh bhool bhi saktay hain

Ek ajab si paheli hai zindagi


Ek ajab si paheli hai zindagi 

Sab kay saath hotay huye bhi akeli hai zindagi 

Kabhi to ik pyaar sa armaan hai zindagi 

To kabhi dard se bhari toofan hai zindagi 

Kabhi phoolon jaisi masoom ho jaati hai zindagi 

To kabhi gunaahon ka bojh ban jaati hai zindagi 

Koi to bata dy mujhay kiya hai zindagi 

Suna hai chand roz ki mehmaan hai zindagi 

Zindagi se chahye jitna pyaar kar lo 

Hoti to aakhir be'wafa hai yeh zindagi

Us ne poocha meray baghair jee lo gay wasi


Us ne poocha meray baghair jee lo gay wasi 

Rooh parwaaz kar chuki thi aur woh samjhaye hum soch rahay hain

Woh apni zindag main hua itna masroof


Woh apni zindag main hua itna masroof 

Woh kis kis ko bhool gaya ussay yeh bhi yaad nahin

Her waqat milti rehti hai mujhay anjaani si saza


Her waqat milti rehti hai mujhay anjaani si saza 

MAin kaisay poochon taqdeer se mera qasoor kiya hai

Bara armaan tha us ki mohabbat ko paanay ka


Bara armaan tha us ki mohabbat ko paanay ka 

Shikwa hai sirf us kay khamosh reh jaanay ka 

Dewangi is se barh kay aur kiya ho gi 

Mujhay ab bhi intizaar hai us kay loat aanay ka

Keh dena us meethi neend sonay walay ko


Keh dena us meethi neend sonay walay ko 

Koi bhout udaas hai tumharay bin raat kay is pehar main

Jis se had se ziada mohabbat ho us se utni hi nafrat bhi ho sakti hai


Jis se had se ziada mohabbat ho us se utni hi nafrat bhi ho sakti hai 

Kiyon keh 

Khoobsurat sheesha jab toot'ta hai to khatar'naak hathiyaar ban jaata hai

Ajab paheli hai yeh haath ki lakeeron main


Ajab paheli hai yeh haath ki lakeeron main 

Safar likhaye hain magar raasta nahin likha

Apni khushiyaan luta kar us pe qurbaan ho jaaon


Apni khushiyaan luta kar us pe qurbaan ho jaaon 

Kaash kuch din us shaher main mehman ho jaaon 

Woh apna na'yaab dil mujh ko dy dy aur phir maangay 

MAin mukar jaaon , aur be'imaan ho jaaon 

Woh mujh pe sitam karay her kisi ki tarah 

Main is adaa par bhi meharbaan ho jaaon 

Woh meray paaon kay neechay se zameen khainch lay 

Aur phir main us ka asmaan ho jaaon 

Ab to mujhay itni mohabbat ho gayi hai us se keh 

Khuda koi mojza karay aur main us kay naam ho jaaon

Koi jannat ka talib hai , koi gham se parishaan hai


Koi jannat ka talib hai , koi gham se parishaan hai 

Gharz sajda karwati hai , ibaadat kon karta hai

Raat ki tanhaiyon main to koi bhi yaad kar leta hai


Raat ki tanhaiyon main to koi bhi yaad kar leta hai 

Jo duniya ki bheer main yaad karay mohabbat us ko kehtay hain

Bhout puraani dushmani hai naseeb ki meri zaat se Wasi


Bhout puraani dushmani hai naseeb ki meri zaat se Wasi 

Khush naseeb hain woh log jin kay apnay juda nahin hotay

Bari haseen thi zindagi jab na kisi se mohabbat na kisi se nafrat thi


Bari haseen thi zindagi jab na kisi se mohabbat na kisi se nafrat thi 

Zindai main aik aisa mor aaya keh mohabbat aik se hui aur nafrat duniya se ho gayi

Ishq ki raah pe chaltay chaltay shaam ho gayi


Ishq ki raah pe chaltay chaltay shaam ho gayi 

Tu na mila tujhay dhoondtay dhoondtay shaam ho gayi 

Jab sakoon mila dil ko tera khayal aaya 

Tasawur main tujhay laaye aur sochtay sochtay shaam ho gayi 

Kitni muddat kay baad baithay hain us ki mehfil main 

Bas aaj ussay dekhtay dekhtay shaam ho gayi 

Tu na mila teri yaadain meray paas hain 

Teri un yaadon ko pyaar kartay kartay shaam ho gayi 

Tu mera hamsafar hai lakin meray saath to nahin 

Bas itna sochtay sochtay shaam ho gayi 
 

Roti hui aankhon ka manzar nahin milay ga


Roti hui aankhon ka manzar nahin milay ga 

Saathi phir tum ko hum sa nahin milay ga 

Yaad aaye gi hamaray bichar jaanay kay baad 

Jab duniya ki mehfalon main koi hum sa na milay ga

Sabab meray ronay ka woh poochain to kehna Ae saqi


Sabab meray ronay ka woh poochain to kehna Ae saqi

Tum yaad aatay ho meray sabar ki had se kahin barh kar

Mujhay ab bhi us kay pyaar ki shiddat ronay nahin deti


Mujhay ab bhi us kay pyaar ki shiddat ronay nahin deti 

Woh kehta tha mar jaaon ga teray aanso'on kay girnay se pehlay

Hum to aaghaz-e-mohabbat main hi lut gaye Faraz


Hum to aaghaz-e-mohabbat main hi lut gaye Faraz 

Log kehtay hain keh mohabbat ka anjaam bura hota hai

Lipat kar apni tanhai se youn hi jaagta hoon main


Lipat kar apni tanhai se youn hi jaagta hoon main 

Mujhay woh shakhs sari raat hi sonay nahin deta 

Kabhi jab yaad aata hai shrarat se bhara lamha 

Udaasi dy to jaata hai magar ronay nahin deta 

Mujhay yeh log kehtay hain naya jeewan shuro kar do 

Magar woh rooh pe qabiz hai yeh sab honay nahin deta

Hum jab nibahatay hain to is tarah nibhatay hain Mohabbat


Hum jab nibahatay hain to is tarah nibhatay hain Mohabbat 

Saans to toot sakti hai magar tera saath nahin
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...