Aug 15, 2014

Wusat-e-chashm-e-tar bhi daikh'ain gay



Wusat-e-chashm-e-tar bhi daikh'ain gay
Hum tujhay bhool kar bhi daikh'ain gay 

Zakham pe sibat kar na lab apnay 
Zakham ko chaara gar bhi daikh'ain gay 

Hijar ki shab se hoslay apnay 
Bach gaye to sehar bhi daikh'ain gay 

Ik dua dil se chup kar maangi thi 
Us dua ka asar bhi daikh'ain gay 

Ik purana safar to khatam hua 
Ik nayi raah'guzar bhi daikh'ain gay 

Gin to lenay do be'kafan laashain 
Be'sada baam-o-dar bhi daikh'ain gay 

Raat honay do , log sonay do 
Chaand ko dar'badar bhi daikh'ain gay 

Chair kar dil ki raakh ko "Mohsin "
Ab kay raqas-e-shrar bhi daikh'ain gay 

Poet : Mohsin Naqvi 

Hum tujhay bhool kar bhi daikh'ain gay


Wusat-e-chashm-e-tar bhi daikh'ain gay
Hum tujhay bhool kar bhi daikh'ain gay 

Zakham pe sibat kar na lab apnay 
Zakham ko chaara gar bhi daikh'ain gay 

Hijar ki shab se hoslay apnay 
Bach gaye to sehar bhi daikh'ain gay 

Ik dua dil se chup kar maangi thi 
Us dua ka asar bhi daikh'ain gay 

Ik purana safar to khatam hua 
Ik nayi raah'guzar bhi daikh'ain gay 

Gin to lenay do be'kafan laashain 
Be'sada baam-o-dar bhi daikh'ain gay 

Raat honay do , log sonay do 
Chaand ko dar'badar bhi daikh'ain gay 

Chair kar dil ki raakh ko "Mohsin "
Ab kay raqas-e-shrar bhi daikh'ain gay 

Poet : Mohsin Naqvi 

Zindagi kay jo qarz denay hain


Itni mohlat kahan keh ghutno se 

Sar utha kar mulk ko dekh sakon 

Apnay tukray utha'on daanton se 

Zara zara karaidta jayon 

Cheelta jayon rait se afshaan 

Waqat baitha hua hai gardan par 

Torta ja raha hai tukron main 

Zindagi de kay bhi nahin chuktay 

Zindagi kay jo qarz denay hain 

Poet : Gulzaar

Zameen kay qarz bhi basti main kaisay kaisay hain


Zameen kay qarz bhi basti main kaisay kaisay hain 
MAkaan kiya hain , saron par pahaar rakhaye hain 

Na sochnay main dukhon se fraghatein hain bhout 
Jo sochtay hain to bas sochtay hi rehtay hain 

Andheri shab main khulay asmaan kay neechay 
Yeh kon log hain jo pathron pe baithay hain 

Kahan se layein gay roghan musafir aaj ki shaam 
Chragh jalnay se pehlay dimagh jaltay hain 

Kuch itafaaq banay jin kay paaon ki zanjeer 
Suna hai ayein gay woh dekhiye kab aatay hain 

Yahan khatan nahin abadiyon ki jad ka suragh 
Tamaam raastay veeraniyon se miltay hain

US ko fursat hi nahin waqat nikaalay "Mohsin"


US ko fursat hi nahin waqat nikaalay "Mohsin"

Aisay hotay hain bhala chahnay wale "Mohsin"

Woh ik shakhs Mataa-e-dil-o-jaan tha , na raha 

Ab bhala kon meray dard sambhalay "Mohsin"

Aaj ka din eham hai magar


Aaj ka din eham hai magar 

Teray aanay se mazeed ho jaye ga 

Tujh se bichray huye hain saal magar 

Aaj na aya to sadiyon main badal jaye ga

Na janay kiya hua saal bhar main


Na janay kiya hua saal bhar main 

Diya roshan keh madham ho gaya hai 

Hamain maloom hai itna keh aik saal 

Hamari umar se kam ho gaya hai

Maslay to pichlay saal kay sab apni jaga rahay


Maslay to pichlay saal kay sab apni jaga rahay 

Sab sochtay rahay keh naya saal aa gaya 

Khushiyaan jo baanta to koi nayi baat thi 

Guzra hua yeh saal bhi umrain barhaa gaya

Gaye mousamon main jo khiltay thay gulaabon ki tarah



Gaye mousamon main jo khiltay thay gulaabon ki tarah 

Dil pe utrain gay wohi khwaab azabon ki tarah 

Kon janay keh naye saal main tu kis ko parhay 

Tera miyaar badalta hai nisaabon ki tarah

Ik diya dil main jalana bhi , bhujha bhi dena


Ik diya dil main jalana bhi , bhujha bhi dena 

Yaad karna bhi ussay roz bhula bhi dena 

Surat-e-naqsh-e-qadam , dasht main rehna "Mohsin"

Apnay honay se na honay ka pata bhi dena 

Chup jaati hai aaina dikha kar teri yadain


Chup jaati hai aaina dikha kar teri yadain 

Sonay nahin detein mujhay shab bhar teri yadain 

Jab tez hawa chalti hai basti main sar-e-shaam 

Barsaati hain atraaf se pather teri yadain

Hamesha aik hi tasveer reh jaati hai aankhon main


Hamesha aik hi tasveer reh jaati hai aankhon main 

Yeh pehla hijar hai aur aisa manzar kab badalta hai 

Kisi ko saal-e-no ki kiya mubarak'baad di jaye 

Calendar kay badalnay se muqadar kab badalta hai

Eaqat guzara to yeh malaal hua


Waqat guzara to yeh malaal hua 

Khatam ik zindagi ka saal hua 

Kitni shiddat se koi yaad aya 

Aaj jeena bara mohaal hua

Jissay chahyo ussay ehsaas-e-kudai de do


Jissay chahyo ussay ehsaas-e-kudai de do 

Silsala pyaar ka rakho ti ibaadat jaisa 

Hum bharay shaher main tanha to nahin thay lakin 

Koi rishta na mila phir teri chahat jaisa 

Aaj duniya ne sitam dhaye to dil toot gaya


Aaj duniya ne sitam dhaye to dil toot gaya 

Teri baatein tera andaaz-e-wafa yaad aya 

Kaash hum tum ko mana letay na janay detay 

Muddaton baad yeh ehsaas-e-khata yaad aya 


Yeh bhi andaaz hamaray hain tumhain kiya maloom


Yeh bhi andaaz hamaray hain tumhain kiya maloom 

Hum tumhain jeet kay haray hain tumhain kiya maloom 

Aik tum ho keh hamain apna samjhtay hi nahin 

Aik hum hain keh tumharay hain tumhain kiya maloom

Shaher sunsaan hai sehra ki tarah


Shaher sunsaan hai sehra ki tarah 

Ab woh hangama-e-ehbaab kahan

Hum shaher-e-wafa main wafa dhoondtay rahay


Hum shaher-e-wafa main wafa dhoondtay rahay 
Hairat main ik jahan hai kiya dhoondtay rahay 

Lamhon main kar gaya tha jo bar'baad bastiyaan 
Hum muddaton woh dast-e-qaza dhoondtay rahay

Shajar hajar tumhain jhuk kar salam kartay hain


Naat

Shajar hajar tumhain jhuk kar salam kartay hain 
Yeh be'zubaan tumhi se kalaam kartay hain 

Zameen ko arsh-e-moala hai tera gumbad-e-sabz
Teri gali main farishtay qayaam kartay hain 

Musafron ko tera dar hai manzil-e-aakhir 
Yahin sab apni musafat tamaam kartay hain 

Jinhain jahan main kahin bhi amaan nahin milti 
Woh qaaflay yahan aa kar qayaam kartay hain 

Nazar main phirtay hain teray diyaar kay manzir 
Isi nawaah main hum subh-o-shaam kartay hain 

Sakoon-e-dil ki inhi se umeed hai "Nasir
Jo apna faiz ghreebon pe aam kartay hain 

Nasir Kazmi

Abhi kuch aur karishmay ghazal k dekhte hain



Abhi kuch aur karishmay ghazal k dekhte hain
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain

Judayi'an tau muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain

Tu samnay hai tau phir kyun yaqeen nahi aata
Yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhte hain

Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein
Jo lalachoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain

Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
Sau ab k dono hi chaalen badal ke dekhte hain

Bohat dino se nahi hai kuch us ki khair khabar
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal k dekhte hain

Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain


Abhi kuch aur karishmay ghazal k dekhte hain
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain

Judayi'an tau muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain

Tu samnay hai tau phir kyun yaqeen nahi aata
Yeh baar baar jo aankhon ko mal ke dekhte hain

Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein
Jo lalachoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain

Na tujh ko maat hui hai na mujh ko maat hui
Sau ab k dono hi chaalen badal ke dekhte hain

Bohat dino se nahi hai kuch us ki khair khabar
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal k dekhte hain

Goongi ho gai aaj kuch zuban kehty kehty



Goongi ho gai aaj kuch zuban kehty kehty
Hichkicha gya main khud ko musalman kehty kehty

Ye baat nahi k muj ko us par yaqeen nahi
Bas dar gya khud ko saheb-e-imaan kehty kehty

Tofeq na hoi mujhy ek waqt ki namaz ki
Aur chup hoa moazan aazaan kehty kehty

Kisi kafir ne jo poocha k ye kia hay maheena
Sharam se pani hoa main ramzan kehty kehty

Mere shelf main gard se ati kitaab ka jo poocha
Main garh gya zameen main quran kehty kehty

Ye sun k chup sadh li "iqbal" us ne
Yoon laga jese ruk gaya ho mujhay hewaan kehty kehty

karon sajda aik khuda ko



karon sajda aik khuda ko
parhon kalma ya main dua doon
dono hi aik khuda aur mohabbat



khuda ke naam pe sajday main sir jhukna ibadat hai
woh dil Allah ka ghar hai keh jis dil main mohabbat hai
khuda ke naam

karon sajda aik khuda ko
parhon kalma ya main dua doon
dono hi aik khuda aur mohabbat


parho ayat koi surat sanam ke naam ka kalma
wafa ke 2 dano par tasbeeh to mukamal hai
woh jannat ho ya yeh duniya inhi lafzon ki chahat hai
mohabbat hai khuda jaisi khuda hi to mohabbat hai
khuda ke naam

karon sajda aik khuda ko
parhon kalma ya main dua doon
dono hi aik khuda aur mohabbat

meray mehboob ki surat main rab dekhon to kiya samjon
yeh emaan hai , bagawat hai , junoon hai , ya haqeeqat hai
mera qibla mera  kaaba hai mera taveez manat hai
khuda ke roop main pinhaan meray dil main mohabbat hai
khuda ke naam


karon sajda aik khuda ko
parhon kalma ya main dua doon
dono hi aik khuda aur mohabbat


yeh dil main kaisi uljahan hai
main kiya mangon khuda janay mohabbat to gunnah hi hai
mohabbat hi khuda bhi hai
main mar jayon na is gham main
na keh payon yeh chahat hai
mera jeena ibadat hai mera marna mohabbat hai
Khuda ke naam
khuda aur mohabbat

karon sajda aik khuda ko
parhon kalma ya main dua doon
dono hi aik khuda aur mohabbat
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...