Dec 18, 2014

Dost jaisi kabhi dushman ki tarah lagti hai

Zindagi bhi kisi uljhan ki tarah lagti hai

Teri aankhon main udaasi hai meray ghar ki tarah

Teri halat meray aangan ki tarah lagti hai

Aik lamhay main meray mann ko behgo deti hai

US ki her baat hi sawan ki tarah lagti hai

Tu bhi chahat kay taqazon se nahin waqif hai

Teri uljhan meri uljhan ki tarah lagti hai

Kitni mushkil se katti , kal ki meri raat na poocho

Dil se nikli hui honton main dabi baat na poocho

Woh kis ada se meray samnay guzra hai abhi

Kis tarah main ne smbhalay meray jazbaat na poocho

Waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain

Kiya nahin dikhlaatay yeh gardish-e-halaat na poocho

Kisi ka ho woh gaya aur mujhay khabar na hui

Kuch is tarah se churaya hai mera haath na poocho

Nahin hai pyaar tera ae sanam tu kuch bhi nahin

Banai thi bari mushkil se kainaat na pooch

Hum bhout door nikal aye hain chaltay chaltay

Ab tehar jayein kahin shaam kay dhaltay dhaltay

Meray andar kay andhron ki yeh choti si chubhan

Gehray zakhmon main hi dhal jaye gi palatay palatay

Garm sehra main kahan dhoondon tujhay jaan-e-jahan

Ho chalay paaon bhi aadi yahan jaltay jaltay

Raat kay baad sehar ho gi magar kis kay liye

Hum bhi shayed na rahain raat kay dhaltay dhaltay
 
Milna itifaaq to bicharna naseeb tha

Milna itifaaq to bicharna naseeb tha

Woh utna hi door ho gaya jitna qareeb tha

Hum us ko dekhnay kay liye tarastay hi rahay

Jis shakhs ki hathali pe apna naseeb tha

Teray paas aanay ko jee chahata hai

Naye zakham khaanay ko jee chahata hai

Idher aaye shayed woh mouj-e-taranum

Ghazal gun'gunaanay ko jee chahta hai

Zamana mera azmaaya hua hai

Tujhay aazmaanay ko jee chahata hai

Wohi baat reh reh kay yaad aa rahi hai

Jissay bhool jaanay ko jee chahata hai

LAbon pe meray khilta hai tabassum

JAb aansoo bahanay ko jee chahata hai

Kai martaba dil pe bijli giri hai

MAgar muskuraanay ko jee chahata hai

Rukh-e-zindagi se niqaab ulat kar

HAqeeqat dikhanay ko jee chahata hai  

Dost miltay hain yahan dil ko dukhaanay kay liye

Ungliyaan rakhtay hain woh hum pe uthaanay kay liye

Kiya qasoor un ka yeh ik rasam chali ayi hai

Tohmatain hoti hain duniya main laganay kay liye

NA'khuda maan kay baithay hain jin ki kashti main

Woh hamain moujon main laye thay dabonay kay liye

Woh hawaon ki tarah rukh ko badal letay hain

Ham naseebon se laray thay jinhain paanay kay liye
 
Sitaaray tim'tamaatay hain to koi yaad aata hai

Nazaray geet gaatay hain to koi yaad aata hai

Ussay aana nahin wapis magar yeh phir bhi haath apnay

Dua ko jab bhi utha'tay hain to koi yaad aata hai

KAbhi jugnoo kabhi taaray kabhi gunchay kabhi baadal

Hamara dil jalaatay hain to koi yaad aata hai

Bhout koshish se bhi hum us sitam'gar ko nahin bhulay

Kahin bhi dil lagaatay hain to koi yaad aata hai

Abhi raaston main bikhri hai mehak pehli rafaqat ki

Kisi se milnay jaatay hain to koi yaad aata hai

Hamari shairy pe ab bhi us ki hukam'raani hai

Ghazal jab sunaatay hain to koi yaad aata hai

Hisaab-e-tark-e-taaluq tamaam main ne kiya

Shuru us ne kiya ikhtataam main ne kiya

Mujhay bhi tar-e-mohabbat yeh hairatain bhi rahin

Jo kaam mera nahin tha woh kaam main ne kiya

Woh chahta tha keh dekhaye mujhay bikhartay huye

So is ka jashan basad ehtamaam main ne kiya

Bhout dino main meray ghar ki khamoshi tooti

Khud apnay aap se ek din kalaam main ne kiya

Us aik hijar ne milwa diya wasal se bhi

Keh tu gaya to mohabbat ko aam main ne kiya

Woh aftaab jo dil main dharak raha tha faysal

Ussay supurd-e-shafaq aaj shaam main ne kiya

Main aaina tha , woh mera khayal rakhti thi

MAin toot'ta tha to chun kar sambhaal rakhti thi

Her aik maslay ka hal nikaal rakhti thi

Zaheen thi , mujhay hairat main daal rakhti thi

Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha

Woh rokti thi mujhay , kal pe taal rakhti thi

Woh mery dard ko chunti thi apni pooron se

Woh meray waastay khud ko nidhaal rakhti thi

Woh doobnay nahin deti thi dukh kay dariya main

Meray wajood ki naao uchaal rakhti thi

Duaein us ki balaaon ko rok leti thein

woh meray chaar soo haathon ki dhaal rakhti thi

Aik aisi dhun kay na phir kabhi main ne suni

Woh munfarid sa hansi main kamaal rakhti thi

Ussay nadamatein kahan meri gawara thein

Woh meray wastay asaan sawaal rakhti thi

Bichar kay us se main duniya ki thokron main hoon Imran

Woh paas thi to mujhay la'zawaal rakhti thi 

Dil behalta hai kahan anjuman-e-mehtaab se bhi

Ab to hum log gaye deeda-e-be'khwaab se bhi

Ro parta hoon to koi baat hi aisi ho gi

MAin keh waqif tha teray hijar kay adaab se bhi

kuch to us aankh ka shaiwa hai khaffa ho jaana

Aur kuch bhool hui hai dil-e-be'taab se bhi

Ae samnadar ki hawa tera karam bhi maloom

Pyaas saahil ki tu bujhaati nahin sailaab se bhi

Kuch to us husan ki jaanay hai zamana sara

Aur kuch baat chali hai meray ehbaab se bhi

Dil kabhi gham kay samandar ka shanaver tha Imran

Ab to khouf aata hai ik mouja-e-paay'aab se bhi

Main ussay kaisay akela chor doon is raah main

Saath jo chalta raha majbooriyon kay baad bhi

BAn kay khushboo rach gaya hai youn meray ehsaas main

Door ho paya nahin woh dooriyon kay baad bhi

Rafta rafta us ko bhi yeh duniya raas aa gayi

Muskuraa kay woh milta hai ranjishon kay baad bhi

Faaslay kab kam huye hain raabton kay baad bhi

Ajnabi thay ajnabi hain Mohabbaton kay baad bhi

Sukh ka mousam khiyaal-o-khaam hua

Sukh ka mousam khiyaal-o-khaam hua
Saans lena bhi ab dushwaar hua

Aankhon aankhon main parha karo jazbay
Chehra chehra khuli kitaab hua

Roshni us kay ashk ki dekhon
Aaina subh ko aftaab hua

Ik falak'naaz ki mohabbat main
Main hawaon ka hum'rakaab hau

Kon mojon main gholta hai lahoo
Sur'khru kis liye chenaab hua

Kis kay sar par sinaa ko rashk aya
Kon maqtal main kaam'yaab hua

Ab kay hijraan ki dhoop main Imran
Rang us ka bhi kuch khraab hua

Shaam ko yaadon kay aangan main utar jaata hoon

Aur is bazam se phir main waqat-e-sehar haata hoon

Mujh ko maqsood hai her haal main raahat teri

Bujhon gar to teray dil se utar jaata hoon

Main to qayim hoon faqat teri kashish kay baa'iss

Teri sarhad se jo niklon to bikhar jaata hoon

Gumbad-e-zaat se jo sadaa aati hai

Shab ki tanhai main sunta hoon to dar jaata hoon

Main to qayim hoon abhi ehad-e-wafa pe apnay

Gar tujhay raas nahin hai to mukar jaata hoon

Samjha nahin yeh dil samjhanay chalay aao

Do dilon kay faaslay mitaanay chalay aao

Junoon-e-ishq main pagal ho gaye hum

Apni baanhon main mujhay samaanay chalay aao

Na door reh kar tarpaao na dil ko tarsaao

Apna bana kar apnaanay chalay aao

Mera ishq sacha hai mera aaitabaar kar lo

Mera ishq mera pyaar aazmaanay chalay aao

Phir ik cigarette jala raha hoon

Phir ik cigarette jala raha hoon   
Phir ik teeli bujha raha hoon

Teri nazar main yeh mashgala hai
Main to us ka wada bhula raha hoon

Samajhna mat is ko meri aadat
Yeh dhuwaan jo main urra raha hoon

Yeh teri yaadon kay silsalay hain
Main teri yaadain jala raha hoon

Phir ik cigarette jala raha hoon
Phir ik teeli bujha raha hoon

MAin pee kay itna behak chuka hoon
Keh gham kay qissay suna raha hoon

Agar tumhain bhi gham hai to paas aao
Main pee raha hoon pila raha hoon

Phir ik cigarette jala raha hoon
Phir ik teeli bujha raha hoon

MAin pee kay baadlon main ponch chuka hoon
Dhuown main khud ko jala raha hoon

HAin meri aankhain to aaj pur'nam
MAgar main sab ko hansa raha hoon

Phir ik cigarette jala raha hoon
Phir ik teeli bujha raha hoon

Tumhain kiya matlab hamaray gham se
MAin to youn hi tum ko suna raha hoon

Gar burra laga to maaf karna
MAin dil kay qissay suna raha hoon

Phir ik cigarette jala raha hoon
Phir ik teeli bujha raha hoon

Lo pehan li paaon main zanjeer ab

Lo pehan li paaon main zanjeer ab

Aur kiya dikhlaye gi taqdeer ab

Khud hi chal kar aa gaya zindaan tak

Kiya karo gay khwaab ki tabeer ab

Ae maseeha ! jo teri baaton main thi

Dil talak ponchi hai woh taseer ab

Seedha meray dil hi par aa kar lagay

Aakhri tarkash main hai jo teer ab

Aur kuch paanay ki hasrat hi nahin

Mil gayi hai pyaar ki jageer ab

Kuch to ae yaar ilaaj-e-gham-e-tanhai ho

Baat itni bhi na barh jaye keh ruswai ho

Doobnay walay to aankhon se bhi kab niklay hain
Doobnay kay liye laazim nahin gehrai ho

Jis ne bhi mujh ko tamasha sa bana rakha hai
Ab zaroori hai wohi shakhs tama'sha'i ho

Main tujhay jeet bhi tohfay main nahin de sakta
Chahata yeh bhi nahin hoon teri paspaai ho

Aaj to bazam main her aankh thi purnam jaisay
Dastaan meri kisi ne yahan doh'raai ho

Koi anjaan na ho  shaher-e-mohabbat ka makeen
Kaash her dil ki her ik dil se shna'saai ho

Youn guzar jaata hai Imran teray koochay se
Tera waqif na ho jaisay koi sodaai ho 

Ae dost zindagi main aisay pal bhi ayein hain

Hum ne laal-o-gohar aur yaqoot bhi tukhraye hain

Us ki khushi ki khatar gun'gunaana aadat bani
Museebaton kay toofaan main bhi hum muskuraye hain

Raaton ko kisi kay sang hum ne ik lamhay main bita diya
Apnay hi ghar main kai baar hum chor ban kar aye hain

Siwa us kay pal kaatna bari baat hoti thi
Khuda ne hum ko hijar kay so baras bhi dikahye hain

Hamain udaas dekh kar aksar woh rooth jaata tha
Aaj usi dilbar ne ashkon kay samandar rulaye hain

Tishna ussay chahtay rehna sochon to na'daani hai
Magar kiya karon jitna bhulaya utna woh yaad aye hain 

Meri ronaq tu , pehchaan hai tu

Meri ronaq tu , pehchaan hai tu

Meri zindagi tu , emaan hai tu

Bin teray be'rang duniya saari

Ek saans lena bhi kitna bhaari

Yeh rooh-e-jisam be'kaar hain sab

Meray jeenay ka asmaan hai tu

Her lafz tera taqdeer hai meri

Mera her khayaal tasveer hai teri

Saray aziz ghair hain lagtay

Ek mera apna mehmaan hai tu

Na main be'wafa , na main be'qadar

Gunaah'gaar hoon mujh ko hai khabar

Meri nekiyon ka sila hai tu

Meray rab ka ehsaan hai tu

Tishna gar tujhay bhool jaye

Ussi pal main ussay mout aye

Tujhay bad'naam kaisay karta "Gul"

Meri izzat tu giraybaan hai tu 

Zindagi bhi kisi uljhan ki tarah lagti hai

Dost jaisi kabhi dushman ki tarah lagti hai 
Zindagi bhi kisi uljhan ki tarah lagti hai 

Teri aankhon main udaasi hai meray ghar ki tarah 
Teri halat meray aangan ki tarah hai

Aik lamhay main meray mann ko behgo deti hai 
US ki her baat hi sawan ki tarah hai 

Tu bhi chahat kay taqazon se nahin waqif hai 
Teri uljhan meri uljhan ki tarah lagti hai

Dil se nikli hui honton main dabi baat na poocho

Kitni mushkil se katti , kal ki meri raat na poocho 
Dil se nikli hui honton main dabi baat na poocho 

Woh kis ada se meray samnay guzra hai abhi 
Kis tarah main ne smbhalay meray jazbaat na poocho 

Waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain 
Kiya nahin dikhlaatay yeh gardish-e-halaat na poocho 

Kisi ka ho woh gaya aur mujhay khabar na hui 
Kuch is tarah se churaya hai mera haath na poocho 

Nahin hai pyaar tera ae sanam tu kuch bhi nahin 
Banai thi bari mushkil se kainaat na pooch

Ab tehar jayein kahin shaam kay dhaltay dhaltay

Hum bhout door nikal aye hain chaltay chaltay 
Ab tehar jayein kahin shaam kay dhaltay dhaltay 

Meray andar kay andhron ki yeh choti si chubhan 
Gehray zakhmon main hi dhal jaye gi palatay palatay

Garm sehra main kahan dhoondon tujhay jaan-e-jahan 
Ho chalay paaon bhi aadi yahan jaltay jaltay 

Raat kay baad sehar ho gi magar kis kay liye 
Hum bhi shayed na rahain raat kay dhaltay dhaltay

Woh utna hi door ho gaya jitna qareeb tha

Milna itifaaq to bicharna naseeb tha 
Woh utna hi door ho gaya jitna qareeb tha 

Hum us ko dekhnay kay liye tarastay hi rahay
Jis shakhs ki hathali pe apna naseeb tha 

Teray paas aanay ko jee chahata hai 
Naye zakham khaanay ko jee chahata hai 

Idher aaye shayed woh mouj-e-taranum 
Ghazal gun'gunaanay ko jee chahta hai 

Zamana mera azmaaya hua hai 
Tujhay aazmaanay ko jee chahata hai 

Wohi baat reh reh kay yaad aa rahi hai 
Jissay bhool jaanay ko jee chahata hai 

LAbon pe meray khilta hai tabassum 
JAb aansoo bahanay ko jee chahata hai

Kai martaba dil pe bijli giri hai 
MAgar muskuraanay ko jee chahata hai 

Rukh-e-zindagi se niqaab ulat kar 
HAqeeqat dikhanay ko jee chahata hai   

Ungliyaan rakhtay hain woh hum pe uthaanay kay liye

Dost miltay hain yahan dil ko dukhaanay kay liye 
Ungliyaan rakhtay hain woh hum pe uthaanay kay liye

Kiya qasoor un ka yeh ik rasam chali ayi hai 
Tohmatain hoti hain duniya main laganay kay liye 

NA'khuda maan kay baithay hain jin ki kashti main 
Woh hamain moujon main laye thay dabonay kay liye 

Woh hawaon ki tarah rukh ko badal letay hain 
Ham naseebon se laray thay jinhain paanay kay liye

Nazaray geet gaatay hain to koi yaad aata hai

Sitaaray tim'tamaatay hain to koi yaad aata hai 
Nazaray geet gaatay hain to koi yaad aata hai 

Ussay aana nahin wapis magar yeh phir bhi haath apnay 
Dua ko jab bhi utha'tay hain to koi yaad aata hai 

KAbhi jugnoo kabhi taaray kabhi gunchay kabhi baadal
Hamara dil jalaatay hain to koi yaad aata hai 

Bhout koshish se bhi hum us sitam'gar ko nahin bhulay 
Kahin bhi dil lagaatay hain to koi yaad aata hai 

Abhi raaston main bikhri hai mehak pehli rafaqat ki 
Kisi se milnay jaatay hain to koi yaad aata hai 

Hamari shairy pe ab bhi us ki hukam'raani hai 
Ghazal jab sunaatay hain to koi yaad aata hai 
 
Shuru us ne kiya ikhtataam main ne kiya

Hisaab-e-tark-e-taaluq tamaam main ne kiya 
Shuru us ne kiya ikhtataam main ne kiya 

Mujhay bhi tar-e-mohabbat yeh hairatain bhi rahin
Jo kaam mera nahin tha woh kaam main ne kiya 

Woh chahta tha keh dekhaye mujhay bikhartay huye 
So is ka jashan basad ehtamaam main ne kiya 

Bhout dino main meray ghar ki khamoshi tooti 
Khud apnay aap se ek din kalaam main ne kiya 

Us aik hijar ne milwa diya wasal se bhi 
Keh tu gaya to mohabbat ko aam main ne kiya 

Woh aftaab jo dil main dharak raha tha Imran
Ussay supurd-e-shafaq aaj shaam main ne kiya

MAin toot'ta tha to chun kar sambhaal rakhti thi

MAin aaina tha , woh mera khayaal rakhti thi

MAin toot'ta tha to chun kar sambhaal rakhti thi 

Her aik maslay ka hal nikaal rakhti thi 

Zaheen thi , mujhay hairat main daal rakhti thi 

Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha 

Woh rokti thi mujhay , kal pe taal rakhti thi 

Woh mery dard ko chunti thi apni pooron se 

Woh meray waastay khud ko nidhaal rakhti thi 

Woh doobnay nahin deti thi dukh kay dariya main 

Meray wajood ki naao uchaal rakhti thi 

Duaein us ki balaaon ko rok leti thein 

woh meray chaar soo haathon ki dhaal rakhti thi 

Aik aisi dhun kay na phir kabhi main ne suni

Woh munfarid sa hansi main kamaal rakhti thi 

Ussay nadamatein kahan meri gawara thein 

Woh meray wastay asaan sawaal rakhti thi 

Bichar kay us se main duniya ki thokron main hoon Imran

Woh paas thi to mujhay la'zawaal rakhti thi 

Ab to hum log gaye deeda-e-be'khwaab se bhi

Dil behalta hai kahan anjuman-e-mehtaab se bhi 
Ab to hum log gaye deeda-e-be'khwaab se bhi 

Ro parta hoon to koi baat hi aisi ho gi 
MAin keh waqif tha teray hijar kay adaab se bhi 

kuch to us aankh ka shaiwa hai khaffa ho jaana 
Aur kuch bhool hui hai dil-e-be'taab se bhi 

Ae samnadar ki hawa tera karam bhi maloom 
Pyaas saahil ki tu bujhaati nahin sailaab se bhi 

Kuch to us husan ki jaanay hai zamana sara 
Aur kuch baat chali hai meray ehbaab se bhi 

Dil kabhi gham kay samandar ka shanaver tha Imran 
Ab to khouf aata hai ik mouja-e-paay'aab se bhi

Saath jo chalta raha majbooriyon kay baad bhi

Main ussay kaisay akela chor doon is raah main 

Saath jo chalta raha majbooriyon kay baad bhi 

BAn kay khushboo rach gaya hai youn meray ehsaas main 

Door ho paya nahin woh dooriyon kay baad bhi 

Rafta rafta us ko bhi yeh duniya raas aa gayi 

Muskuraa kay woh milta hai ranjishon kay baad bhi 

Faaslay kab kam huye hain raabton kay baad bhi 

Ajnabi thay ajnabi hain Mohabbaton kay baad bhi 
 
Saans lena bhi ab dushwaar hua

Saans lena bhi ab dushwaar hua

Sukh ka mousam khiyaal-o-khaam hua 
Saans lena bhi ab dushwaar hua 

Aankhon aankhon main parha karo jazbay 
Chehra chehra khuli kitaab hua

Roshni us kay ashk ki dekhon 
Aaina subh ko aftaab hua 

Ik falak'naaz ki mohabbat main 
Main hawaon ka hum'rakaab hau 

Kon mojon main gholta hai lahoo
Sur'khru kis liye chenaab hua 

Kis kay sar par sinaa ko rashk aya 
Kon maqtal main kaam'yaab hua 

Ab kay hijraan ki dhoop main Imran 
Rang us ka bhi kuch khraab hua  

Main to qayim hoon abhi ehad-e-wafa pe apnay

Main to qayim hoon abhi ehad-e-wafa pe apnay

Shaam ko yaadon kay aangan main utar jaata hoon 
Aur is bazam se phir main waqat-e-sehar haata hoon 

Mujh ko maqsood hai her haal main raahat teri 
Bujhon gar to teray dil se utar jaata hoon 

Main to qayim hoon faqat teri kashish kay baa'iss
Teri sarhad se jo niklon to bikhar jaata hoon 

Gumbad-e-zaat se jo sadaa aati hai 
Shab ki tanhai main sunta hoon to dar jaata hoon 

Main to qayim hoon abhi ehad-e-wafa pe apnay 
Gar tujhay raas nahin hai to mukar jaata hoon

Do dilon kay faaslay mitaanay chalay aao

Samjha nahin yeh dil samjhanay chalay aao 
Do dilon kay faaslay mitaanay chalay aao 

Junoon-e-ishq main pagal ho gaye hum 
Apni baanhon main mujhay samaanay chalay aao 

Na door reh kar tarpaao na dil ko tarsaao 
Apna bana kar apnaanay chalay aao 

Mera ishq sacha hai mera aaitabaar kar lo 
Mera ishq mera pyaar aazmaanay chalay aao

Main dil kay qissay suna raha hoon

MAin dil kay qissay suna raha hoon

Phir ik cigarette jala raha hoon   cigarette
Phir ik teeli bujha raha hoon 

Teri nazar main yeh mashgala hai 
Main to us ka wada bhula raha hoon 

Samajhna mat is ko meri aadat 
Yeh dhuwaan jo main urra raha hoon 

Yeh teri yaadon kay silsalay hain 
Main teri yaadain jala raha hoon 

Phir ik cigarette jala raha hoon 
Phir ik teeli bujha raha hoon

MAin pee kay itna behak chuka hoon 
Keh gham kay qissay suna raha hoon 

Agar tumhain bhi gham hai to paas aao 
Main pee raha hoon pila raha hoon

Phir ik cigarette jala raha hoon 
Phir ik teeli bujha raha hoon 

MAin pee kay baadlon main ponch chuka hoon 
Dhuown main khud ko jala raha hoon 

HAin meri aankhain to aaj pur'nam 
MAgar main sab ko hansa raha hoon 

Phir ik cigarette jala raha hoon 
Phir ik teeli bujha raha hoon 

Tumhain kiya matlab hamaray gham se 
MAin to youn hi tum ko suna raha hoon 

Gar burra laga to maaf karna 
MAin dil kay qissay suna raha hoon 

Phir ik cigarette jala raha hoon 
Phir ik teeli bujha raha hoon

Aur kiya dikhlaye gi taqdeer ab

Lo pehan li paaon main zanjeer ab 
Aur kiya dikhlaye gi taqdeer ab 

Khud hi chal kar aa gaya zindaan tak 
Kiya karo gay khwaab ki tabeer ab 

Ae maseeha ! jo teri baaton main thi 
Dil talak ponchi hai woh taseer ab 

Seedha meray dil hi par aa kar lagay 
Aakhri tarkash main hai jo teer ab 

Aur kuch paanay ki hasrat hi nahin 
Mil gayi hai pyaar ki jageer ab

Baat itni bhi na barh jaye keh ruswai ho

Kuch to ae yaar ilaaj-e-gham-e-tanhai ho 
Baat itni bhi na barh jaye keh ruswai ho 

Doobnay walay to aankhon se bhi kab niklay hain 
Doobnay kay liye laazim nahin gehrai ho 

Jis ne bhi mujh ko tamasha sa bana rakha hai
Ab zaroori hai wohi shakhs tama'sha'i ho 

Main tujhay jeet bhi tohfay main nahin de sakta 
Chahata yeh bhi nahin hoon teri paspaai ho 

Aaj to bazam main her aankh thi purnam jaisay 
Dastaan meri kisi ne yahan doh'raai ho

Koi anjaan na ho  shaher-e-mohabbat ka makeen 
Kaash her dil ki her ik dil se shna'saai ho 

Youn guzar jaata hai Imran teray koochay se 
Tera waqif na ho jaisay koi sodaai ho 

Hum ne laal-o-gohar aur yaqoot bhi tukhraye hain

Ae dost zindagi main aisay pal bhi ayein hain 
Hum ne laal-o-gohar aur yaqoot bhi tukhraye hain 

Us ki khushi ki khatar gun'gunaana aadat bani 
Museebaton kay toofaan main bhi hum muskuraye hain 

Raaton ko kisi kay sang hum ne ik lamhay main bita diya 
Apnay hi ghar main kai baar hum chor ban kar aye hain 

Siwa us kay pal kaatna bari baat hoti thi 
Khuda ne hum ko hijar kay so baras bhi dikahye hain 

Hamain udaas dekh kar aksar woh rooth jaata tha 
Aaj usi dilbar ne ashkon kay samandar rulaye hain 

Tishna ussay chahtay rehna sochon to na'daani hai 
Magar kiya karon jitna bhulaya utna woh yaad aye hain 

Meri zindagi tu , emaan hai tu

Meri ronaq tu , pehchaan hai tu 
Meri zindagi tu , emaan hai tu 
Bin teray be'rang duniya saari 
Ek saans lena bhi kitna bhaari 
Yeh rooh-e-jisam be'kaar hain sab 
Meray jeenay ka asmaan hai tu 

Her lafz tera taqdeer hai meri 
Mera her khayaal tasveer hai teri 
Saray aziz ghair hain lagtay 
Ek mera apna mehmaan hai tu 

Na main be'wafa , na main be'qadar 
Gunaah'gaar hoon mujh ko hai khabar
Meri nekiyon ka sila hai tu 
Meray rab ka ehsaan hai tu 

Tishna gar tujhay bhool jaye 
Ussi pal main ussay mout aye 
Tujhay bad'naam kaisay karta "Gul"
Meri izzat tu giraybaan hai tu 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...