Jan 3, 2015

Mumkin nahin keh woh mujh ko bhula day ga


Mumkin nahin keh woh mujh ko bhula day ga 

Woh to her pal her dam mujh ko dua day ga 

Pyaar diya hai is qadar us ko main ne 

Kis tarah woh kisi ko meri jaga day ga

Main roya nahin rulaya gaya hoon


Main roya nahin rulaya gaya hoon 
Bana kar pasand phir thukraya gaya hoon

Chor diya gaya taqdeer kay shaher 
Payar kay naam pe jalaya gaya hoon 

Bhout hi narm-o-nazuk tha mizaaj apna 
Jeetay jee khaak main milaya gaya hoon 

Mareez-e-mohabbat ko gulaab raas kahan 
Hamesha kay liye kaanton par sulaya gaya hoon 

Be'mout na marta to kiya karta 
Bhari duniya main youn sataya gaya hoon 

Kabhi jo palkon pe naaz uth'tay thay 
Aaj usi nazar se giraya gaya hoon

Hai mujh ko yaqeen tum par itna


Hai mujh ko yaqeen tum par itna 

Tum mujh se khafa ho na paao gay 

Pal bhar kay liye bhula do gay magar 

Zindagi bhar kabhi na bhool paao gay

Ajab maqaam pe tehra hai aa kay qaafla dil ka


Ajab maqaam pe tehra hai aa kay qaafla dil ka 

Sakoon dhoondnay niklay thay , neendain bhi ganwa baithay

Yahi ik baat aksar mujhay tajasus main rakhti hai


Yahi ik baat aksar mujhay tajasus main rakhti hai

Mohabbat bheek hai shayed , tabhi mushkil se milti hai

Kiyon kisi se itna pyaar ho jaata hai


Kiyon kisi se itna pyaar ho jaata hai

Ek din jeena bhi dushwaar ho jaata hai

Lagnay lagtay hain apnay hi pyaaray

Aur ek ajnabi par aitabaar ho jaata hai

Parhnay walon ka qehat hai warna


Parhnay walon ka qehat hai warna 

Girtay aansoo kitaab hotay hain

Guzar jaye gi yeh khamosh raat bhi gham-e-zindagi ki tarah


Guzar jaye gi yeh khamosh raat bhi gham-e-zindagi ki tarah 

Hota jo hamara koi apna to hamain bhi raat ka salam kehta

Hamain kon yaad karay ga is bhari duniya main


Hamain kon yaad karay ga is bhari duniya main 

Bina matlab kay to yeh log tujhay bhi yaad nahin kartay

Logon ne meray gham ka tamasha bana diya


Logon ne meray gham ka tamasha bana diya 

Meray chaman kay saath mera dil bhi jala diya 

Apno ne meri dosti ka kuch youn sila diya 

Ulfat kay badlay khoon kay aansoo rula diya

Mohabbat ki baat mat keejiye mujhay acha nahin lagta


Mohabbat ki baat mat keejiye mujhay acha nahin lagta 
Keh ab kisi ki mohabbat pe Aaitabar karna mujhay acha nahin lagta 

Apno se barh kay chaha tha jissay main ne 
Shayed is tarah se chahna kisi ko acha nahin lagta 

Guzar jayein jo din woh wapis nahin aatay
Lakin un dino ko yaad karna mujhay acha nahin lagta 

Mujhay maloom hai woh shakhs kitna be'wafa hai 
Kisi ko be'wafa kehna mujhay avha nahin lagta 

Zakham to bhout diye hain us ne mujhay 
Zakham hum bhi detay magar badla lena mujhay acha nahin lagta

Dopehar tak bik gaya bazaar ka her ik jhoot


Dopehar tak bik gaya bazaar ka her ik jhoot

Aur main ik sacha pyaar lay kar shaam tak baitha raha
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...