Pa'barhana aur meray charon taraf tanhaiyan
Chun raha hoon teri yadon ki sulagti kirchiyan
Kya kahein tark-e-taluq ka irada to nahin
Yaad jo karnay lagay ho tum purani talkhiyan
Aah ! woh mousam woh heelay aur kinara nehar ka
Yaad aati hain mujhay campus ki sari khushiyan
Kya kisi wehshat zada mousam ka tum ko khouf hai
Kis liye khamosh ho kholo na dil ki khirkiyan
Main ussay shohrat kay baam-o-dar pe ponchanay kay baad
Apnay daman main chupa lay jaon ga ruswaiyan
Apni barbadi ka main jaa kar kissay ilzaam doon
Apnay hathon se daboein main ne apni kashtiyan
Jeet to jata hoon phir bhi dukh sa rehta hai mujhay
Kab talak us se main khelon ga shakista baziyan
Boliyan lagti hain ab bhi khushbu'on ki shaher main
Aaj bhi bazar main bikti hain nazuk titliyan
Leejiye is dil ka phir mah-e-moharram aa gaya
Matamon ka shor hai aur chal rahi hain barchiyan
Yaad hai mujh ko december main judai ki woh raat
Chand ki kirnein lahu main ban gayein chingariyan
Hijar kay saahil pe kis kay muntazir baithay ho tum
Is samandar se bhala kab lot'ti hain kashtiyan
Phir kaseela zaiqa mousam ka is dil ko laga
Phir se aankhon main utar ayein purani talkhiyan
Kon janay kis se badla lay raha hoon main Wasi
Aik muddat se ragon main paal kar veeraniyan