Feb 26, 2014

Duain us ke balayon ko roak lati thian



Duain us ke balayon ko roak lati thian 

woh meray chaar soo haton ke dhaal rakhte the

Woh pass aye to mouazo-e-guftagoo na milay



Woh pass aye to mouazo-e-guftagoo na milay
Woh loat jaye to her guftagoo usi se rahay

main us ka panchwaan mousam


main us ka panchwaan mousam

ussay tab yaad ayon ga

keh jab kuch bhi nahin ho ga

na koi rang ka mousam

na rasm-e-sang ka mousam

rahay ga yaad ka mousam

dil-e-barbaad ka mousam

ussay tab yaad ayon ga

tab......bhout hi yaad ayon ga

tum se ulfat ke takazay na nibhaye jatay

tum se ulfat ke takazay na nibhaye  jatay
warna hum ko bhe tamana the keh chahay jatay

dil ke maroon ka na kar gham keh yeh andoh  naseeb
zakham bhe dil main na hota  to karahay jatay

kam nigha he ke humain khud bhe kahan the toufeeq
kam nigha he  kay liye azar na chahay jatay

kaash ae abar  bahaari  teray behkay se qadam
meri umeed ke sehra main bhe ghay jatay

hum bhe kyun dehar ke raftaar se hotay pamaal
hum bhe her lagzish masti ko sarahay jatay

lazat-e-dard se asooda kahan dil walay
hain faqat dard ke hasrat  main karahay jatay

hai teray fitna-e-raftaar ka shohra kiya kiya 
garcha dekha na kisi ne sar-e-rahe  jatay

de na mohlat humain hasti ne wafa ke warna
aur kuch din gham hasti se nibhaye jatay

Mohabbat karnay walay kam na hon ge



Mohabbat karnay walay kam na hon gay
teri mehfil main lakin hum na hon gay

zamanay bhar ke gham ya ik tera gham
yeh gham ho ga to kitnay gham na hon gay

agar tu itefaaqan mil bhe jaye
teri furqat ke sadmay kam na hoon gay

dilon ke unjhanain barhte rahain gay
agar kuch mashwaray baham na hon gay

main aksar sochta hoon phool kab tak
shreek-e-gariya shabnum na hon gay

Hafeez in se main jitna bad gumaan hoon
woh mujh se is qadar barham na hon gay


Chupkey chupkey raat din ansoo bahana yaad hai


Chupkey chupkey raat din ansoo bahana yaad hai
hum ko ab tak aashqui ka woh zamana yaad hai 

ya hazroon aztraab -o-sad hazaroon ishtiaq!!!!
tujh se woh pehlay pehal dil ka lagana yaad hai

bar bar uthna isi janab nigha-e-shauq ka
aur tera ghusay se woh Aankhain larana yaad hai

tujh se miltay he woh kuch betaab ho jana mera
aur tera dantoon main woh ungli dabana yaad hai

kheench lena woh meray parday ka kona dfatan
aur dupatay se tera woh munh chupana yaad hai

tujh ko jab tanha kabhi pana to az rah lihaz
haal-e-dil baton he baton main jatan yaad hai

ghair ke nazroon se bach kar sab ke marzi ke khlaaf
woh tera choori chupay ratoon ko ana yaad hai

dopehar ke dhoop main meray bulanay kay liye
woh tera khotay pe nangay paon aana yaad hai

Aj tak nazroon main hai woh sohbate raaz-o-niyaaz
apna jana yaad hai, tera bulana yaad hai

Poet: Hasrat mohani

Tumhari anjuman se uth ke dewane kahan jatay



Tumhari anjuman se uth ke dewane kahan jatay
jo wabasta huay tum se woh afsany kahan jatay

nikal kar der-o-kaaba se agar milta na mekhana !
to thukray huay insaan khuda janay kahan jatay

tumhare be-rukhi ne laag rakh le bad-e-khaney ke
tum aankhon se pila datay to paymanay kahan jatay

chalo acha hui kaam aa gaye dewange apni !!!
wagarna hum zamanay bhar ko samjhanay kahan jatay

qateel apna muqadar gham se be-gana agar hota !!
to phir apnay paray hum se pehchanay kahan jatay


Is shehar -e-khrabi main gham ke maray


Is shehar -e-khrabi main gham ke maray
zinda hain yahi baat bari hai piyare

yeh hansata hua chaand yeh pur-noor sitaray
tabinda-o-painda hain zaroon ke saharay

hasrat hai keh koi guncha humain piyar se dekhay
armaan hai koi phool hamhain dil se pukaray

her subho meri subho pe roti rahi shabnum
her raat meri raat pe hanstay rahay taray !!

kuch aur bhe hain kaam humain ae gham-e-janaan
kab tak koi uljhi hui zulfon ko sanwaray
 
Poet; Habib Jalib

Woh to khushboo hai hawaoan main bikhar jaye ga



Woh to khushboo hai hawaon main bikhar jaye ga 
masla phool ka hai phool kidhar jaye ga

hum to samjhay thay keh ik zakhm hai bhar jaye ga
kiya khyaber the rag-e-jaan main utar jaye ga

woh hawaon ke tarah khan-e-bajaan phirta hai
aik jhonka hai jo aye ga guzar jaye ga

woh jab aye ga to phir is ke rafaqat kay liye
mousam-e-gul meray Angan main tehar jaye ga

akhrash woh bhe kahin rait pe baithi ho ge 
tera yeh piyaar bhe drya hai utar jaye ga

Mujh ko tehzeeb ke barzukh ka banaya  waris
jurm yeh bhe mery ajdaad ke sar jaye ga

Tumharay khat main naya ik salam kis ka tha


Tumharay khat main naya ik salam kis ka tha
Na tha raqeeb to aakhir woh naam kis ka tha

Wo qatl kar ke har kisi se poochte hain
ye kam kis ne kiya hai ye kam kis ka tha


wafa karenge nibhayen ge baat manen ge
tumhen bhi yaad hai kuch ye kalam kis ka tha


raha na dil mein wo be-dard aur dard raha
Muqeem kon hua hai maqaam kis ka tha


na pooch guch thi kisi ke wahan na aao bhagat
tumhari bazm mein kal ehtamam kis ka tha


hamare khat ke to purze kiye parha bhi nahi
suna jo tum ne ae dil wo payam kis ka tha


inhain sifaat se hota hai aadmi mash'hoor
jo lutf aam woh karte to naam kis ka tha


guzar gaya wo zamana kahain to kis se kahain
khayal mere dil ko subah-o-sham kis ka tha


har ek se kehtay hain kiya “daag” bewafa nikla
ye pooche in se koi wo gulam kis ka tha


Poet : Daagh dehlvi

Chale to kat hi jaye ga safar ahista ahista




Chale to kat hi jaye ga safar ahista ahista
ham us ke paas jaate hain magar aahistaa-aahista

dikhaa denaa usey zakhm-e-jigar aahistaa-aahista
samajh kar, soch kar, pahchaan kar, aahistaa-aahista

uthaa denaa hijaab-e-rasmiyaat-e-darmiyaan lekin
khitaab aahistaa-aahistaa, nazar aahistaa-aahistaa

abhii taaron se khelo, chaand kii kirnon se ithlaao
milegii us ke chehre kii sahar aahistaa-aahistaa

dariichon ko to dekho, chilmanon ke raaz to samjho
uthenge pardah_haa-e-baam-o-dar aahistaa-aahista

yoon hii ik roz apne dil kaa qissah bhii sunaa dena
khtt'ab aahistaa-aahistaa, nazar aahistaa-aahista
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...