Sep 29, 2014

Meri hasraton ko zubaan dy

Meri hasraton ko zubaan dy

Meri wehshaton se kalaam kar

Main tera adhoora sawaal hoon

Mujhay apnay mann main qayaam kar

Mujhay aisa koi jawaab dy

Keh sunnay to baagh baagh ho

Meri hasraton kay dayaar main

Teri aarzoo tera pyaar ho

MAin udaasiyon main pala barha

Mujhay mil saki na koi khushi

Kahaan khoo gaye

Kahin dhoond loon

Tujhay zindagi , meri zindagi

Baarishon kay mousam main dil ki sar'zameeno par

Baarishon kay mousam main

Dil ki sar'zameeno par

Gard kiyon bikharti hai

IS tarah kay mousam main phool kiyon nahin khiltay

Log kiyon nahin miltay

Kiyon faqat yeh tanhai saath saath rehti hai

Kiyon bicharnay walon ki yaad saath rehti hai

Itni tez baarish se dil kay aainay par se

Ashk kiyon nahin dhultay

Zakham kiyon nahin mit'tay

Neend kiyon nahin aati

Baarishon kay mousam main aankhain kiyon barasti hain

Ashk kiyon nahinb thamtay

Subha kiyon nahin hoti

Raat kiyon nahin dhalti

Bhout masroof lamhon main

Bhout masroof lamhon main

Kabhi ek pal ko socho to

Koi kitna akela hai

Kisi ki zindagi tum ho

Kisi ki bandagi tum ho

Kisi ko teri khwaish hai

koi zinda to hai lakin

Faqat woh saans leta hai

Zara ik pal ko socho to koi kitna akela hai

Kabhi socha hai ?

Kabhi socha hai ?

Hamaray rishtay ka naam kiya hai

Mohabbat , zaroorat , khwaish , junoon , ishq

Ya

Woh rishta jo

Aasmaan ka zameen se hai

Baarish ka sehra se hai

Haqeeqat ka khwaab se hai

Din ka raat se hai

Yeh bhi kabhi aik doosray se mil nahin saktay

LAkin aik doosray kay baghair adhooray bhi hain

Shayed aisa hi kuch rishta

Mera aur tumhara bhi hai

Kaash tum jaan saktay is mohabbat ko

Tum jaan saktay is mohabbat ko

Kaash

Kaash tum dekh saktay

Tootay huye dil ko

Behtay huye aanso'on ko

Is adhooray mousam ko

Kaash tum parh saktay

Meray haathon ki lakeeron ko

Khwaabon ki tabeeron ko

Dil kay afsaano ko Kaash tum samjh saktay

Meray lafzon ki gehraai ko

Honton ki sachai ko

Mehfil ki tanhai ko

Kaash tum jor saktay

Is dil ko

iis rishtay ko

Iss waday ko

Lakin yeh soch kar khamosh ho jaata hoon

Kaash

Tum jaan saktay is mohabbat ko

Kaash

Kaash

Yeh teray ishq ka hi kamaal hai

Yeh teray ishq ka hi kamaal hai

Muqaddar samjh liya hai main ne

Jo aankh bhaata nahin , dil ko pasand nahin

Apnay ashkon main bhigo diya main ne

Es shaher ki subh-e-be'noor ko

Shabnam samjh kar log nangay niklay

Meray her khwaab main tu hota hai

Magar zindagi main mera nahin ho ga

Ulti hoti hai her khwaab ki tabeer

Mujh se kuch kehnay ki tawaqo na rakh

"Karna" zindagi se mansoob hota hai

Khouf ki fasal bo kar

Ehal-e-shaher se sonay ki tawaqo

Dimaagh ka khalal lagta hai

Mujhay duaon main yaad rakhna

Mujhay duaon main yaad rakhna

Main woh musaafir hoon jis ka raasta bhout khathan hai

Main hoon woh raahi keh jis ki manzil kahin nahin hai

Mera thikaana koi nahin hai

Mera asaasa hi dosti hai

Jo maal-o-zar se bhi qeemti hai

Yeh ghup andheron main roshni hai

Yeh kaali raaton main chaandni hai

Yeh meri izaat

Yeh meri shohrat

Hai doston ki dua ka haasil

Mujhay duaaon ka aasra hai

Mujhay duaaon main yaad rakhna

Tujh ko khabar nahin tujhay yaad kartay hain her pal

Tujh ko khabar nahin

Tujhay yaad kartay hain her pal

Tujhay hi apnay khyalon main

Tashkeel kartay hain

Teray hi khwaab buntay hain

Zindagi kay safar  main

Tujhay hi apna hamsafar maantay hain

In un'dekhi raahon main tujhay hi

Meharbaan paatay hain

Kiya tujhay nahin maloom

Keh tum hi meri zindagi ho

Aashnaa hotay huye bhi aashna koi nahin

Aashnaa hotay huye bhi aashna koi nahin

Jaantay sab hain mujhay , pehchaanta koi nahin

Aik tanha meray zimmay kiyon hai kaar-e-ehtajaaj

Bolna sab jaantay hain , bolta koi nahin

Meh'kashi ki bhi saza hai , khud khushi ki bhi saza

Kon kis mushkil main hai yeh dekhta koi nahin

Mukhtalif lafzon main yeh hai ab mizaaj-e-dosti

Raabta sab se hai , lakin waasta koi nahin

Hum ne khud paida kiye hain zindagi main maslay

Warna sachi baat yeh hai masla koi nahin

Khud kalaami thi jissay main guftagoo samjha kiya

Main akela tha , yahaan aya gaya koi nahin

Hussan ho na'meharbaan ya ishq khud be'mehar ho

Haar dono ki hai is main jeet'tata koi nahin

Aik pathar aaj meri aankh par aa kar laga

Main ghalat samjha , mujhay pehchaanta koi nahin

Baar ha un se na milnay ki qasam khaata hoon main

Baar ha un se na milnay ki qasam khaata hoon main

Aur phir yeh baat qasdann bhool bhi jaata hoon main

Doobtay dekhye hain in aankhon se itnay aftaab

Roshni kay naam se bhi ab larz jaata hoon main

Itni afsurda'dili Allah dushman ko na dy

Log hanstay hain to jee hi jee main sharmaata hoon main

Be'rukhi ko un ki sach much be'rukhi samjha kiya

Aaj apni is ghalat fehmi pe pachtaata hoon main

Chahta yeh hoon keh duniya mujh ko tanha chor dy

Jaanay kiyon ab gham gusaari se bhi ghabraata hoon main

Bhout masroof lamhon main

Bhout masroof lamhon main

KAbhi ek pal ko socho to

Koi kitna akela hai

Kisi ki zindagi tum ho

Kisi ki bandagi tum ho

Kisi ko teri khwaish hai

Kisi ki chahatain tum ho

Kabhi ek pal ko socho to

Tumhari la'parwahi ne

Tumhari be'niazi ne

Kisi ko maar daala hai

Koi zinda to hai lakin

Faqat woh saans leta hai

Zara ik pal ko socho to

Kaash tum dekh saktay tootay huye dil ko

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...