Hawa kay zour se pindaar-e-baam-o-dar bhi gaya Chiragh ko jo bachatay thay, un ka ghar bhi gaya
Pukarte rahe mehfooz kishtiyun waale Main Doobta hua darya k paar utar bhi gaya Ab ehtiyaat ki diwaar kya uthate ho Jo chor dil main chupa tha wo kaam kar bhi gaya
Main chup raha k is main thi aafiyat jaan ki Koi to meri tarah tha jo daar par bhi gaya
Sulaghte sochte weraan mausamon ki tarah Kara tha ehad-e-jawani magar guzar bhi gaya
Jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta Jo naam dil main raha zehan se utar bhi gaya
Phati phati huye ankhon se yun na dekh mujhe Tujhe talash hai jis ki wo shakhs mar bhi gaya
Magar falak ki adawat ussi k ghar se na thi Jahan "Faraz" na tha sayel-e-Gham udhar bhi gaya