Jan 27, 2017

Kabhi kabhi "Khizaan" darakhton par hi nahin


Kabhi kabhi "Khizaan" darakhton par hi nahin

Hamaray wajood par bhi utrarti hai 

Lakin us khizaan ka 

Hamaray siwa kisi aur ko ilm nahin hota


Kaash aa jaye mujhay jaan se guzartay daikhay



Kaash aa jaye mujhay jaan se guzartay daikhay 

Us ki khawaish thi kabhi mujh ko bikhartay daikhay

Mujhay acha lagta hai


Mujhay acha lagta hai 
Tumhi ko daikhtay rehna 
Tumhi ko sochtay rehna 
Bhout gehray khayalon main 
Mohabbat kay sab hawalon main 
Tumharay naam ka aana 
Mujhay acha lagta hai 


Qurb kay na wafa kay hotay hain


Qurb kay na wafa kay hotay hain 

Jhagray saray Anaa kay hotay hain 

Lambi sarak halki si baarish


Lambi sarak halki si baarish 

Dhair si baatein tum aur main 

Aik teri khawaish hai bas


Aik teri khawaish hai bas 

Kainaat kis ne maangi hai 

Aqal walon kay naseebon main kahan zoq-e-junoon


Aqal walon kay naseebon main kahan zoq-e-junoon 

Ishq walay hain jo her cheez luta detay hain ! ! ! ! ! 

Tu husan kay rangon se likhi hui ghazal hai


Tu husan kay rangon se likhi hui ghazal hai 

Tu payar kay dariya main khilta hua kanwal hai 


Kaha us ne yeh logon se


Kaha us ne yeh logon se 
Mohabbat ik dua bhi hai 
Jo lag jaye kisi ko to 
Bhout achi guzarti hai 
Magar jis din woh badla to 
Kaha dheeray se yeh us ne 
Agar yeh raas na aaye .....
To phir samjho saza bhi hai 
Mohabbat bad'dua bhi hai 

Bhout hi khoobsurat hai teray ehsaas ki mehak


Bhout hi khoobsurat hai teray ehsaas ki mehak 

Jitna bhi sochta hoon , utna hi mehak jaata hoon


Ik baar kaho tum meray ho


Meray dil kay shaam saweray ho

Ik baar kaho tum meray ho 

Mujhay tum bin kuch na dikhaai de

Kiyon itnay ghour andheray ho 

Main punchi payar kay deson ki 

Tum meray rain baseray ho 

Main maal-o-manaal mohabbat ka

Tum daaku chor luteray ho 

Kuch bolo ya azaad karo 

Kiyon khamoshi se gheray ho 


Aankhein khul'ein to beet chuki thi hayaat bhi


Aankhein khul'ein to beet chuki thi hayaat bhi 

Ik khawaab daikhnay main kai saal lag gaye 


Aaj shiddat se dil chah raha hai


Aaj shiddat se dil chah raha hai 

Band aankhein kholon aur samnay tum ho 


December hosh kar pagal yeh tujh ko kya hua aakhir


December hosh kar pagal yeh tujh ko kya hua aakhir 

Bina barsay chalay jaana teri aadat na thi pehlay 


Bura waqat tha mera , ik shafaaf aaina


Bura waqat tha mera , ik shafaaf aaina 

Dikhaa gaya mujhay sab kay asal roop


Aarzoo kar na saki , tark-e-taluq ko qabool


Aarzoo kar na saki , tark-e-taluq ko qabool . . 

Tujh se bichray to , teri yaad kay ho baithay 


December teray aanay se ,December teray janay se


December teray aanay se 

December teray janay se 

Badalta ab nahin kuch bhi 

Woh saray mousamon kay saath basta hai 

Meray andar . . . . .


Ik udaasi meray kaandhay ka sahara lay kar


Ik udaasi meray kaandhay ka sahara lay kar 

Dheeray dheeray meray pehlu main utar aayi hai 


Zinda rahein to kya hai jo mar jayein hum to kya hai


Zinda rahein to kya hai jo mar jayein hum to kya hai 
Duniya se khamoshi se guzar jayein hum to kya 

Hasti hi apni kya hai zamanay kay samnay 
Ik khawaab hain jahan main bikhar jayein hum to kya 

Ab kon muntazir hai hamaray liye wahan 
Shaam aa gayi hai loat kay ghar jayein hum to kya 

Dil ki khalish to saath rahay gi tamaam umar 
Dariya-e-gham kay paar utar jayein hum to kya 




Mujh se khawabon ne bhi aksar yeh shikayat ki hai


Mujh se khawabon ne bhi aksar yeh shikayat ki hai 

Tu ne kis dour kay logon se , mohabbat ki hai !


Woh saamnay aaya to ajab saaniha hua


Woh saamnay aaya to ajab saaniha hua 

Her lafz-e-shikayat ne khud kushi kar li 


Tum jo kartay ho ishq main hissab-o-kitaab


Tum jo kartay ho ishq main hissab-o-kitaab 

Hum jo karnay baithay to khareed lain gay tumhein


Mujhay taqseem se matlab nahin hai


Mujhay taqseem se matlab nahin hai 

Woh sab ka tha faqat mera nahin tha , !


Yahi nahin keh hamein torr kar gaya hai koi


Yahi nahin keh hamein torr kar gaya hai koi 

Ussay bhi khud ko bhout dair jorna ho ga 


Lipta hai meray dil se kisi raaz ki surat


Lipta hai meray dil se kisi raaz ki surat 

Woh shakhs keh jis ko mera hona bhi nahin hai 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...