Apr 7, 2016

Zindagi ka rang dena hai teri be'daad ko


Zindagi ka rang dena hai teri be'daad ko 
Surkhi khoon-e-tamana chahiye farhad ko 

Na'mukamal hain abhi mazloom ki ruswaiyan 
Phir zara tar'teeb deejiye zulam ki ru'daad ko 

Yeh haseen palkon kay jhoolay aur ashk-e-aarzu 
Muskura kar paalta hoon dard ki olaad ko 

Daam kay halqay lagaye hain wahin siyaad ne 
Said ne masoom samjha tha jahan siyaad ko 

Meray khoon-e-aarzu se zindagi ki aabru 
Main ne rangeen kar diya hai Aalam-e-ejaad ko 

Justagu phir bhi teray gham ki rahi ehsaas ko 
Dar-ba-dar le kay phira hoon is dil-e-na'shaad ko 

Raahi'ro "Saghar" kisi se dil lagatay hain kahan 
Manzilon pe chor dain gay raastay ki yaad ko 
 

Chaak-e-daman ko jo dekha to mila eid ka chand


Chaak-e-daman ko jo dekha to mila eid ka chand 
Apni taqdeer kahan bhool gaya eid ka chand 

Un kay aabru-e-khameeda ki tarah teekha hai 
Apni aankhon main bari dair chuppa eid ka chand 

Janay kiyon ? aap kay rukhsaar mehak uth'tay hain 
Jab kabhi kaan main chupkay se kaha eid ka chand 

Door veeran baseray main diya ho jaisay 
Gham ki dewaar se dekha to laga eid ka chand 

Lay kay halaat kay sehraaon main aa jata hai 
Aaj bhi khuld ki rangeen fiza eid ka chand 

Talkhiyan barh gayein jab zeest kay paimanay main 
Ghol kar dard kay maaron ne piya eid ka chand 

Chasham to wusat-e-aflaak main khoi "Saghar" 
Dil ne ik aur jaga dhoond liya eid ka chand 

Jafa-o-jor-o-sitam intikhaab kar lein


Jafa-o-jor-o-sitam intikhaab kar lein
Tumhari zulf kay kham intikhaab kar lein

Kisi tarah to karein gay diyar-e-dil roshan
Chragh-e-shaam-e-adam intikhaab kar lein

Main sochta hoon yeh faaqon main doobtay suraj 
Faraib-e-abar-e-karam intikhaab kar lein

Chalay chalo keh tajas'sus ka naam emaan hai 
Khuda nahin to sanam intikhaab kar lein

Jo manzalein na milein raah'guzaar-e-hasti main 
Kisi ka naqsh-e-qadam intikhaab kar lein


Shola sa maan khilono se behal jata hai


Shola sa maan khilono se behal jata hai 
Haye ! insaan khilono se behal jata hai 

Husan-e-butt'saaz khilono ka purana khaliq 
Ishq anjaan khilono se behal jata hai 

Hum behar'haal haqeeqat ko samjh letay hain 
Dil hai na'daan khilono se behal jata hai 

Jo teray gham ki nadamat na utha sakta ho 
Woh pash-e-maan khilono se behal jata hai 

Moj-e-giriya se lipat jatay hain waday un kay 
Gham ka toofan khilono se behal jata hai 

Chasham-e-Saghar ko nahin khwaish-e-jannat Wa'iz 
Tera emaan khilono se behal jata hai

Parishan aks-e-hasti , Aaina be'noor dekha hai


Parishan aks-e-hasti , Aaina be'noor dekha hai 
Meri aankhon ne afsurda chragh-e-toor dekha hai 

Saroor-o-kaif ka miyaar apni zaat hai Saqi !
Sharab-e-dard se her jaam ko mamoor dekha hai 

Bari muddat se Aashafta umeedain yaad karti hain 
Kahin is bazam main yaaro ! dil-e-majboor dekha hai 

Yeh dastoor-e-wafa sadiyon se raa'ij hai zamanay main 
Sada-e-qurb di jin ko inhi ko door dekha hai 

Mazda par tootay sapno ki baratein jag'magati hain 
Shararon ko chaman main in dino masroor dekha hai 

Kahin lakhat-e-jigar khanay se "Saghar" bhook mit'ti hai 
Lahu kay ghoont pee kar bhi koi makh'moor dekha hai

Bichartay waqat ik khayal


Bichartay waqat ik khayal

Aaj bhi waisa hi mousam hai
Aaj bhi waisay hi badal hain
Aaj bhi waisay hi baarish hai
Jab hum pehli baar milay thay
Yaad hai hum ne yeh socha tha!
Hum ko miltay dekh kay mousam
Itna khush hai , itna khush keh
Us ki aankhein bheeg gayi hain
Aaj magar hum jaan gaye hain
Mousam us din kiyon roya tha 

Tumhein kiyon itni jaldi thi



Tumhein kiyon itni jaldi thi ?

Meray humdam , meray sathi
Tumhein to yaad hi ho ga
Woh din kya khaas tha jab tum meray jeewan aayi thein
Meri be'rang duniya ko tumhari muskurahat ne hazaron rang bakshay thay
Ussay kaisay sajaya tha tumhein to yaad hi ho ga
Tumhein main ne bataya tha
Keh main khawabon main rehta hoon
magar tum ik haqeeqat ho
Mohabbat hi mohabbat ho
Phir us kay baad jeewan kay sabhi mousam , sabhi manzir tumhari aankh se dekhay
Tumharay saath jo guzray wohi apl zindagi thehray
Tumhein to yaad hi ho ga , mujhay kab yaad rehta tha
Mujhay kya kaam karnay hain
Mujhay kis kis se milna hai
Kahan jana zaroori hai
Khafa koi hai kiyon mujh se
Kissay jaa kar mana'na hai
Mujhay kab yaad rehta tha
Mera ma'mool to tum thein
Tumhi sab yaad rakhti thein
Main apnay dil ki sab baatein faqat tum se hi karta tha
Tumhari bhi yeh aadat thi
Tumhein to yaad hi ho ga main aksar tum se kehta tha
Abhi is zindagi kay saath kitnay rog liptay hai
Mujhay tum se mohabbat ki zara fursat nahin milti
Zara woh waqat aanay do , zara fursat milay mujh ko
Bitha kar samnay tum ko tumhein jee bhar kay dekhon ga
Bataon ga mujhay tum se mohabbat si mohabbat hai
Mujhay is dam mili fursat
Keh jab yeh baat sun'nanay ko nahin tum samnay meray
Meri jaan tum wahan par ho jahan se loat kar wapis kabhi koi nahin aata
Tumhein kiyon itni jaldi thi ?
Mera iqraar sun leti , mera izhaar sun leti
Keh ab fursat hi fursat hai
Keh ab ma'mool main meray faqat tum se mohabbat hai
Magar yeh bhi haqeeqat hai
Keh main ta'kheer se poncha , tumhein janay ki jaldi thi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...