Jul 20, 2014

Tum mere kiya ho ....?

Tum mere kiya ho ....?

Jo mujh se poocha hai aaj tum ne 
Keh main tumhara hoon kiya , batayo
To khud hi socho 
Tum ik pal ko 
Bhala main kaisay tumhain bataon 
Hai tum se mera wohi taaluq
Jo apnay saye se hai shajar ka 
Wohi jo khursheed se qamar ka 
Gulon se jo hota hai mehak ka
Kisi kay aankhon kay mast dooron se
Us kay mehboob ki jhalak ka 
Main hoon badan to , tum us ki jaan ho 
Bahaar mousam kay tarjumaan ho 
Lahoo ki surat meri ragon main 
Her ik lehjay rawaan dawaan ho 
Nimaaz hoon main , to tum azaan ho 
MAkeen hon main , to tum makaan ho 
Zameen hoon main , tum asmaan ho 
Wohi taaluq hai tum se mera 
Jo dil se hota hai dharkano ka 
Khumaar se jo hai meh'kashon ka 
Jo shayeron se hai meh'washon ka 
Jo husan walon se hai dil'jalon ka 
HAi zahid se bhi jo zahidon ka 
Jo raaston se hai manzalon ka
Jo manzalon se hai reh'baron ka 
Azal se dharti se parbaton ka 
Wohi jo sagar se saahilon ka 
Jo rooh se hai kisi badan ka
Wohi jo chanda se hai kiran ka 
Jo baag;baan se kisi chaman ka 
HAi gutagoo se kisi dehan ka 
Jo baarishon se zameen ka hai 
Ibaadaton ka jabeen se hai 
Wohi taaluq
Azal se apnay bhi darmiyaan hai 
Tum hi baharon ki dil'kashi ho 
Tum hi to aankhon ki roshni ho
Jo sach kahoon , tum meri khushi ho 
Tum hi ujala , tumhi sabaa ho
Tum arzoo ho ,  tum hi wafa ho 
Tum jazbon ki intihaa ho 
To kiyon na tum par yeh dil fida ho
Batao jana! hai itna kaafi ?
Keh aur kuch bhi tumhain bataaon 
Jo ho sake to khyal rakhna 
Tumhara mujh se wohi hai rishta 
Mla'eka se jo bandagi ka 
Jo marnay wale se zindagi ka 
Samandaron ka jo seep se hai 
Wohi jo aankhon ka deep se hai 

Fakhira Batool 

Jo mujh se poocha hai aaj tum ne keh main tumhara hoon kiya

Jo mujh se poocha hai aaj tum ne 
Keh main tumhara hoon kiya , batayo
To khud hi socho 
Tum ik pal ko 
Bhala main kaisay tumhain bataon 
Hai tum se mera wohi taaluq
Jo apnay saye se hai shajar ka 
Wohi jo khursheed se qamar ka 
Gulon se jo hota hai mehak ka
Kisi kay aankhon kay mast dooron se
Us kay mehboob ki jhalak ka 
Main hoon badan to , tum us ki jaan ho 
Bahaar mousam kay tarjumaan ho 
Lahoo ki surat meri ragon main 
Her ik lehjay rawaan dawaan ho 
Nimaaz hoon main , to tum azaan ho 
MAkeen hon main , to tum makaan ho 
Zameen hoon main , tum asmaan ho 
Wohi taaluq hai tum se mera 
Jo dil se hota hai dharkano ka 
Khumaar se jo hai meh'kashon ka 
Jo shayeron se hai meh'washon ka 
Jo husan walon se hai dil'jalon ka 
HAi zahid se bhi jo zahidon ka 
Jo raaston se hai manzalon ka
Jo manzalon se hai reh'baron ka 
Azal se dharti se parbaton ka 
Wohi jo sagar se saahilon ka 
Jo rooh se hai kisi badan ka
Wohi jo chanda se hai kiran ka 
Jo baag;baan se kisi chaman ka 
HAi gutagoo se kisi dehan ka 
Jo baarishon se zameen ka hai 
Ibaadaton ka jabeen se hai 
Wohi taaluq
Azal se apnay bhi darmiyaan hai 
Tum hi baharon ki dil'kashi ho 
Tum hi to aankhon ki roshni ho
Jo sach kahoon , tum meri khushi ho 
Tum hi ujala , tumhi sabaa ho
Tum arzoo ho ,  tum hi wafa ho 
Tum jazbon ki intihaa ho 
To kiyon na tum par yeh dil fida ho
Batao jana! hai itna kaafi ?
Keh aur kuch bhi tumhain bataaon 
Jo ho sake to khyal rakhna 
Tumhara mujh se wohi hai rishta 
Mla'eka se jo bandagi ka 
Jo marnay wale se zindagi ka 
Samandaron ka jo seep se hai 
Wohi jo aankhon ka deep se hai 

Fakhira Batool 

Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe aa

Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe aa 
Umar guzri tujay dekhaye huye , behlaye huye
Yaad hai ?
Hum tujhay dil maantay thay 
Teray her nakhray ki farmaeish par 
Aik jeevan ki tamana'on ki beenai se hum dekhtay thaktay hi na thay 
Sochtay thay 
Aik chota sa naya ghar 
Mohabbat ki fizza
Hum dono 
Aur kisi baat pe takiyon se larai apni
Phir larai main kabhi hanstay huye ro parna 
Aur kabhi rotay huye hans parna 
Aur thak haar kay gir parnay ka masoom khush baksh khyal 
Yaad hai ?
Hum tujhay sukh jaantay thay 
Raat hans parti thi be'saakhta darshan se teray 
Din teri doori se ro parta tha 
Yaad hai ?
Hum tujhay jaan kehtay thay 
Teri khamoshi se hum mar jaate thay 
Teri awaaz se jee uth'tay thay 
Tujh ko choo lenay se ik zindagi aa jaati thi  shariyaano main 
Thaam lenay se koi shaher sa bas jata tha veerano main 
Yaad hai ?
Hum tujhay milnay kay liye 
Waqat se pehlay ponch jaatay thay 
Aur mulaqaat kay baad 
Hum bhout dair se ghar aatay to kehtay keh hamain kuch na kaho
Hum bhout door se aye hain 
Is qadar dooe se aye hain keh shayed hi koi aa paye
Yaad hai ?
Hum tujhay bhagwaan samjhtay thay , magar kufar se dar jatay thay 
Teray chin jaanay ka dar theek se rakhta tha muslmaan hamain 
 Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe aa 
Teray bhoolay huye rastay pe liye phirta tha emaan hamain 
Aur kehta tha keh pehchaan hamain 
Yaad hai ?
Hum tujhay emaan kaha kartay thay

Poet : Farhat Abaas Shah

Hum tujhay emaan kaha kartay thay

Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe aa 
Umar guzri tujay dekhaye huye , behlaye huye
Yaad hai ?
Hum tujhay dil maantay thay 
Teray her nakhray ki farmaeish par 
Aik jeeva n ki tamanaon ki beenai se hum dekhtay thaktay hi na thay 
Sochtay thay 
Aik chota sa naya ghar 
Mohabbat ki fizza
Hum dono 
Aur kisi baat pe takiyon se larai apni
Phir larai main kabhi hanstay huye ro parna 
Aur kabhi rotay huye hans parna 
Aur thak haar kay gir parnay ka masoom khush baksh khyal 
Yaad hai ?
Hum tujhay sukh jaantay thay 
Raat hans parti thi be'saakhta darshan se teray 
Din teri doori se ro parta tha 
Yaad hai ?
Hum tujhay jaan kehtay thay 
Teri khamoshi se hum mar jaate thay 
Teri awaaz se jee uth'tay thay 
Tujh ko choo lenay se ik zindagi aa jaati thi  shariyaano main 
Thaam lenay se koi shaher sa bas jata tha veerano main 
Yaad hai ?
Hum tujhay milnay kay liye 
Waqat se pehlay ponch jaatay thay 
Aur mulaqaat kay baad 
Hum bhout dair se ghar aatay to kehtay keh hamain kuch na kaho
Hum bhout door se aye hain 
Is qadar dooe se aye hain keh shayed hi koi aa paye
Yaad hai ?
Hum tujhay bhagwaan samjhtay thay , magar kufar se dar jatay thay 
Teray chin jaanay ka dar theek se rakhta tha muslmaan hamain 
 Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe aa 
Teray bhoolay huye rastay pe liye phirta tha emaan hamain 
Aur kehta tha keh pehchaan hamain 
Yaad hai ?
Hum tujhay emaan kaha kartay thay

Poet : Farhat Abaas Shah

Phir se pyaar ka dhokha khaya jaa sakta tha

Phir se pyaar ka dhokha khaya jaa sakta tha
Dil ka kiya hai , dil behlaya jaa sakta tha

Kiyon wapis na aya jaa kar woh jaane
Lakin us kay paas to jaya jaa sakta tha 

Gar na hota mom ki surat dil apna 
Gham kay suraj se takraya jaa sakta tha 

Aik tumhara saath agar mil jaata to 
Saari duniya ko thukraya ja sakta tha 

Logon ne mujram tehraya maan liya 
Aakhir kis kis ko samjhaya jaa sakta tha 

Le dooba jab aankhon ko toofaan "Batool "
Kaisay dil ka shaher bachaya jaa sakta tha 

Poet : Fakhira Batool

Ishq karay be'haal sahaili , ishq karay be'haal

Na dekhay dukh sukh kay lamhay na dekhay din raat 
Na dekhay koi dhoop barasti na dekhay barsaat 
Is kay apnay tor tareeqay , is ki apni chaal 

Ishq karay be'haal sahaili , ishq karay be'haal 

Sehra sehra safar karaye jungle jungle roke 
Basti basti bheek manga'ye de de so so dhokay 
Qadam qadam pe gorakh dhanda qadam qadam par jaal

Ishq karay be'haal sahaili , ishq karay be'haal 

Aap bharay rag rag kay andar aik dehakti aag 
Aap kahay phir kaan main aa kay bhaag dewane bhaag
Aap hi mehak waar kare air aap banay phir dhaal 

Yeh dil bhout udaas hai jab se khabar hui

Yeh dil bhout udaas hai jab se khabar hui 

Miltay ho tum khloos se her aadmi ke saath

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Teri talaash main nikloon bhi to kiya faida

Teri talaash main nikloon bhi to kiya faida 

Tu badel gaya hai , Khoya hota to alag baat thi

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Raat youn dil main teri yaad khoyi hui yaad ayi

Raat youn dil main teri yaad khoyi  hui yaad ayi 

Jaisay veeranay main chpkay s bahaar aa jaye

Jaisay sehraaon main hole se chalay baad-e-naseem 

Jaisay bemaar ko be'wajah qaraar aa jaye

Poet : Faiz Ahmed Faiz

Ghamon ki dhoop main bargad ki chaaon jaisi hai

Ghamon ki dhoop main bargad ki chaaon jaisi hai 

Meray liye meri hamsheer maaon jaisi hai 

Ho jaisay aik hi kumbay ki sari abaadi 

Fiza hamaray mohallay ki gaaon jaisi hai 

Haqeeqaton kay muqabil tehar nahin sakti 

Puraani fikar bhi jhootay khudaon jaisi hai 

Khalaa norodon ki manzil nahin paraao hai 

Misaal chaand ki "Supra" sraaon jaisi hai 

Poet : Tanveer Supra

Khoye khoye huye uljhay huye bikhray log

Khoye khoye huye uljhay huye bikhray log

Hasil-e-bazam do aalam hai yeh tootay huye log 

Faaslay saray smitay hi chalay jayein gay 

Chal parain gay jo kisi roz yeh tehray huye log

Poet : Syed Arif

Dil main ab youn teray bhoolay huye gham aatay hain

Dil main ab youn teray bhoolay huye gham aatay hain 

Jaisay bichray huye kaabay main sanam aatay hain

Aik ik kar kay huye jatay hain taaray roshan 

Meri manzil ki taraf teray qadam atay hain 

Raqs-e-meh tez karo , saaz ki lay tez karo 

Soo-e-meh'khana   sifraan-e-haram atay hain 

Kuch hami ko nahin ehsaan utahnay ka dimaagh 

Woh to jab aatay hain mayal ba'karam atay hain 

Aur kuch dair na guzray shab-e-furqat se kaho 

Dil bhi kam dukhta hai , woh yaad bhi kam aatay hain 

Naseeb azmaanay kay din aa rahay hain

Naseeb azmaanay kay din aa rahay hain 
Qareeb un kay aanay kay din aa rahay hain 

Jo dil se kaha hai , jo dil se suna hai 
Sab un ko sunanay kay din aa rahay hain 

Abhi se dil-o-jaan sar-e-raah rakh do 
Keh lutay lutanay kay din aa rahay hain 

Tapkanay lagi in aankhon se masti 
Nigahein churanay kay din aa rahay hain 

Saba phir hamain poochti phir rahi hai 
Chaman ko sajanay kay din aa rahay hain 

Chalo "Faiz" phir se kahin dil lagaein 
Suna hai thikanay kay din aa rahay hain 

Poet : Faiz Ahmed Faiz

Teri chahat ne mujhay aisa hunar baandha hai

Teri chahat ne mujhay aisa hunar baandha hai
Main ne suraj ko bhi andaaz-e-qamar baandha hai 

Aik pal chain se tiknay nahin deta hai kahin 
Tum ne kaisa meray paaon main bhanwar baandha hai 

Mujh ko be'noor usi noor-e-nazar ne hai kiya 
Main ne aankhon pe jissay misl-e-qamar baandha hai 

Koi jadoo hai na manzil ki talab hai dil main 
Jaane kiya soch kay phir rikhat-e-safar baandha hai 

Aur kuch bhi nahin baandha hai mohabbat ki qasam 
Main ne ghazlon main faqat dard-e-jiger baandha hai 

Poet : Imran Rasheed Yawar

Aam bulawa tha sabhi log thay shorish main shreek

Aam bulawa tha sabhi log thay shorish main shreek 
Pas-e-parda thi siyasat  kahin saazish main shreek 

Aaj asloob-e-mohabbat main akelay nahin hum 
Shaher ka shaher hai is tarz-e-nigaarish main shreek 

Ab kay sawan bhi manaya hai moharram ki tarah 
Chishm-e-giriyaan bhi rahi hijar ki baarish main shreek 

Sheikh ne aik zamanay ki ibaadat ki hai 
Aur rakha hai khuda ko bhi pristish main shreek 

Ae meri jaan-e-tamana yeh tamana hai meri 
Daaman-e-koh main hum dono hon baarish main shreek

Rang urtay huye dekhay hain gulaab kay "Turaab"
Woh pari chehra tha phoolon ki numaaish main shreek

Poet : Atta Turaab

Nazar-E-Faraz

Asool-e-mohabbat main tum khud bhi be'wafa ho

Asool-e-mohabbat main tum khud bhi be'wafa ho 

Woh jo bichra to , tum mar kiyon nahin jaate

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Safar par saath chali thi jo reh'baron ki tarah

Safar par saath chali thi jo reh'baron ki tarah

Juda hui woh bhi aakhir musafiron ki tarah 

Main sochta hoon woh kaisay bichar gayi mujh se

Jo dhoop main milti thi mujhay baadlon ki tarah 

Ajeeb larki thi hawaaon se dushmani le kar 

Woh rair pe likhti thi mera naam paaglon ki tarah 

Woh chahaton ki mukamal kitaab thi yaroo

Mujhay fasana sunaati thi shairon ki tarah
 
Paani samandar main ho ya aankhon main

Paani samandar main ho ya aankhon main 

Gehraai aur raaz dono main hotay hain

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Tanhaiyon kay dard se khoob waqif tha woh

Tanhaiyon kay dard se khoob waqif tha woh

Phir bhi duniya main mujhay tanha banaya us ne

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Un ke khat ki arzoo hai , un ki aamad ka khyaal

Un ke khat ki arzoo hai , un ki aamad ka khyaal

Kis qadar phaila hai karo'baar-e-intizaar

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Na tujhay khabar hui , na zamana samjh saka

Na tujhay khabar hui , na zamana samjh saka 

Hum chupkay chupkay tujh pe kai baar mar gaye 

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Mere haath mehkay hain aaj tamaam din

Mere haath mehkay hain aaj tamaam din 

Jab tere khwaab main baal sanwaray main ne

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Mujh ko veeraan kar diya jis ne

Mujh ko veeraan kar diya jis ne 

Kahin abaad to hua ho ga

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Youn hi ranjashon main guzar gayi

Youn hi ranjashon main guzar gayi 
Kabhi woh khafa , kabhi main khafa

Chahaton kay mor par
Kabho woh ruka , kabhi main ruka

Wohi raastay , wohi manzalain 
Na ussay khabar , na mujhay pata 

Apni apni anaa main gumm
Kabhi woh juda , kabhi main juda 

Yeh qudrat ka ajeeb sa khail tha 
Na woh be'wafa , na main be'wafa

Youn bhi karta hai koi chahnay walon pe sitam

Youn bhi karta hai koi chahnay walon pe sitam 

Na ishara, na kinaara, na inayat , na salaam

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Tum ko kisi aur ka hone ki ijaazat to hai magar

Tum ko kisi aur ka hone ki ijaazat to hai magar 

Us par laazim hai keh woh tumhain mujh se ziada chahey

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Teray khyaal me jab be'khyal hoti hoon

Teray khyaal me jab be'khyal hoti hoon 

thori si dair hi sahi , be'misaal hoti hoon

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Dil chahata hai unhain mufat main dil de doon

Dil chahata hai unhain mufat main dil de doon

Itnay piyaray kharidaar se kiya lena dena 

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Kuch is ada se aaj woh pehlu nasheen rahay

Kuch is ada se aaj woh pehlu nasheen rahay 

Jab tak hamaray paas rahay , hum hum nahin rahay

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Khamoshi bhi ik zubaan hoti hai

Khamoshi bhi ik zubaan hoti hai 
Jo kisi kisi pe mehrbaan hoti hai 

KAbhi yeh haal-e-dil biyaan deiti hai 
Kabhi yeh bilkul hi be'jaan hoti hai 

Bhout kuch de , to kabhi leiti bhi hai 
Kabhi duniya is kay zabat se hairaan hoti hai 

Yeh raqeeb ko jhuka deti hai kuch is tarah 
Keh dhoondo jo nishaan to be'nishaan hoti hai

KAbhi yeh ibbadat ka darja rakhti hai aur
Kabhi is se insaan ki pehchaan hoti hai

KAbhi kabhi to intizaar ki surat 
Aur kabhi bolay to ik dastaan hoti hai 

Khamoshi bhi ik zubaan hoti hai 
Jo kisi kisi pe mehrbaan hoti hai

Tum kiyon banay thay dil ka sahara jawaab do

Tum kiyon banay thay dil ka sahara jawaab do 

Ab kahan hai woh pyaar tumhara jawaab do 

Kis ko thaa naz apni aadaton pe her gharri

Kis ne kiya wafa se kunaara jawaab do 

Hum to seh na sakain gay judai ka gham 

Yeh qual tha mera , keh tumhara jawaab do 

Ek taraf zindagi ik taraf mout hai 

Ab kis taraf karo gay ishara jawaab do

Tu ne to ik sadmey se kiya tha do,chaar

Tu ne to ik sadmey se kiya tha do,chaar

Dil ko her tarah se bar'baad kiya hai main ne

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Pal pal ka intizaar hamain be'haal kar deta hai

Pal pal ka intizaar hamain be'haal kar deta hai 

Jaane tumhain kab fursat mile gi humain yaad karnay ki

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Dil mein reh kar bhi dil dukhatay ho

Dil mein reh kar bhi dil dukhatay ho

Apna muqaam dekho aur apnay kaam dekho

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Kho jaati hawaon mian teri aakhri tehreer

Kho jaati hawaon mian teri aakhri tehreer
Dil ko teray iqraar pe emaan to rehta 

Phir milnay ka wada bhi bari baat hai 
Phir kon mila magar ehsaan to rehta

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Patte shajar se toot kar kiya dharti pe giray

Patte shajar se toot kar kiya dharti pe giray 

Barbaadiyon kajashan mananay lagi hawa

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Main ussay chorna bhi chahon to chor nahin pati

Main ussay chorna bhi chahon to chor nahin pati 

Woh shakhs meri bigri hui aadat ki atrah hai

Hashar main na dena aye khuda

Hashar main na dena aye khuda 

Phir sada koi zindagi jaisi

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Ik to hussan bala ka , aur jhuki aankhon main sharam ghazab khuda ka

Ik to hussan bala ka , aur jhuki aankhon main sharam ghazab khuda ka 

Khailtay huye apnay kangan se lag raha hai woh banda sab se juda sa

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Teri soch ne tujhay mehdood rakha hai

Teri soch ne tujhay mehdood rakha hai 

Warna hum tujhay teri soch se bhi ziada chehtay hain

ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ♥ஜ۩۞۩ஜ

Ghazab ka pyaar tha us ki udaas aankhon main

Ghazab ka pyaar tha us ki udaas aankhon main 

Gumaan tak na hua k woh bicharnay wala hai 

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ

Jab bhi fursat mili hangama-e-duniya se mujhay

Jab bhi fursat mili hangama-e-duniya se mujhay 

Meri tanhai ko bas tera pata yaad aya

ஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜஜ۩۞۩ஜ
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...