Mar 16, 2016

Kya khabar ashk kaisay bantay hain




Kya khabar ashk kaisay bantay hain 

Hum magar toot phoot jaatay hain

"Saad" rakha hi kya hai duniya main


"Saad" rakha hi kya hai duniya main 
Aik duniya hai meri kutiya main 

Kitna mushkil hai kheenchna khud ko 
Jab baghawat ho apnay Aazaa main 

Aik ehsaas par main zinda hoon 
Khud ko choron ga main bhi farda main 

Mujh ko Aaraam ne to mara hai 
Warna qismat thi meri Anka main 
 

Doobtay suraj ka soona din sunehra kar gaya


Doobtay suraj ka soona din sunehra kar gaya 
Ik sehar asaar manzir phir shabon main bhar gaya 

Ik thakay bachay ki surat shaher sara chup hua 
Ik sitara shaam ki dehleez par sar dhar gaya 

Kya khabar aaghaz kya tha , hai magar anjaam aik 
Woh bhi apnay ghar gaya aur main bhi apnay ghar gaya 

Roshni to naam hai ik jurrat-e-izhaar ka 
Aks is ka hai to kiyon main sa'iye se dar gaya 

Chand chamka aankh main to par lagay is khaak ko 
Jaisay Anka pal jhapaktay kaam apna kar gaya 
 

Khud hi lagatay hain aur khud hi unhein woh seetay hain


Khud hi lagatay hain aur khud hi unhein woh seetay hain 
Dekho un kay haathon se hum kaisay martay jeetay hain 

Haal bataein kaisay tum to apnay jazb-e-daron ka hum 
Pani ho joun aag pe raqsan youn hum aansoo peetay hain 

Bura hua jo duniya roothi hum jaisay dewano se 
Acha hua jo chand ik lamhay apnay saath bhi beetay hain 

Meray andar ki yeh duniya cheekhta goonjta jungle hai 
Aur yeh wehshi jazbay meray jaisay bhookay cheetay hain 

Husan jo aag dikhata hai to jal uth'ta hoon foran hi 
Meray ehsa'saat bhi goya koi Aatishi feetay hain

Khouf raah-e-hayat kabhi chatt hi jaye ga


Khouf raah-e-hayat kabhi chatt hi jaye ga 
Mushkil sahi magar yeh safar kat hi jaye ga 

Yeh ashk hai to phailnay se rok lo issay 
Gar abar hai to raah se yeh hatt hi jaye ga 

Us zar pe aadmi ki nahin dastaras koi 
Aaye ga paas saamp to yeh batt hi jaye ga 

Aab-e-rawan hi rehta hai shafaaf aur paak 
Daman wagarna gard se yeh att hi jaye ga 

Ae "Saad" aqal aaye gi jab darmiyan zaroor 
Aankhon ka dil se raabta phir ghatt hi jaye ga 

Ae "Saad" dil ki baat pe tasdeeq kis liye 
Pagal ka kya hai raastay main dutt hi jaye ga

Dard kay rishton ka nishan koi nahin


Dard kay rishton ka nishan koi nahin 
Dil jo jala hai to dhuwan koi nahin 

Raat ki gehraai main ik khouf sa hai 
Subha kay pehlu main amaan koi nahin 

Aik se manzir hain meray samnay ab 
Aankh se hat kar to samaa koi nahin 

Us ne kaha haath dikha mujh ko zara 
Main ne kaha us ka gumaan koi nahin 

Main ne kaha us sa makeen kon hai "Saad" 
Dil ne kaha , mujh sa makaan koi nahin '

Kaisay pehlu badal raha hai koi




Kaisay pehlu badal raha hai koi 
Dil se kaanta nikal raha hai koi 

Us badan ka tarakna mat poocho 
Khushk paton pe chal raha hai koi 

Taazgi khaa gaya koi us ki 
Zard bailon main pal raha hai koi 

Chand suraj ka aik manzir hai 
Ban kay pani uchal raha hai koi 

Karwatein le rahi hai phir se zameen 
Jaisay andar se jal raha hai koi 

"Saad" ehsaas kab kisi ko hai 
Waqat kay saath dhal raha hai koi 
 

Gul parishan ho gaye hain dekh lo


Gul parishan ho gaye hain dekh lo 
Sapnay armaan ho gaye hain dekh lo 

Aainay main hai teri tasveer bhi 
Log hairan ho gaye hain dekh lo 

Apnay gham ko baichtay phirtay hain hum 
Kitnay arzan ho gaye hain dekh lo 

Lazar-e-ehsaas ki yeh be'basi 
Dard darmaan ho gaye hain dekh lo 

Khawab dekhaye ab hamein arsa hua 
Din bhi veeran ho gaye hain dekh lo

Apnay dil se poocho tum aur kaho keh hum kya hain


Apnay dil se poocho tum aur kaho keh hum kya hain 
Hum se hai sabhi kuch yeh warna sab sanam kya hain 

Hum ne hijar ko khud pe kar liya hai taari kiyon 
Ik khizan ki surat hai , is se barh kay gham kya hain 

Jis kay dil main nafrat ho woh karay mohabbat kiyon 
Sang dil se poocho to chasham-e-haye num kya hain 

Ayo kuch to likhein hum lakin aik jazbay se 
Gar nahin hai aisay to loh aur qalam kya hain 

Ayo muskuraein hum sab ko bhool jayein hum 
Do ghari to khush ho lain jeetay jee sitam kya hain 

Us ki kaj-adaei bhi hai faraib nazron ka 
"Saad" mat ulajhna tum ka'kalon kay khum kya hain 

Jab bhi chahtay ho hum khud ko dekh letay hain 
Samnay un aankhon kay "Saad" jaam-e-jum kya hain

Ik khawab to poora ho phir doosra dekhein gay


Ik khawab to poora ho phir doosra dekhein gay 
Lagta hai muk'krar hum aik aap sa dekhein gay 

Chaltay hain jahan tak ho mushkil hai to phir kya hai 
Dewane safar par hain kya Aabla dekhein gay 

Bhatkay ho to socho phir kis simat se bhatkay ho 
Jo khoj main niklein gay woh qaafla dekhein gay 

Un'honi bhi honay ko ho jati hai pal bhar main 
Kab sochein gay  us ka woh jo saniha dekhein gay 

Umeed pe qaim hai ae "Saad" yeh duniya bhi 
Umeed bar aaye gi jab raasta dekhein gay


Kon samjhay mera tanha hona


Kon samjhay mera tanha hona
Yeh hai duniya se sha'nasa hona

Ik shagufta sa khayal aaya tha
Haye ! us husan ka yakjaa hona

Lafz roshan huye in aankhon main
Yeh andheron ka hai paspa hona

Kitnay gardaab huye hain paida
Dil-e-dariya ka yeh gehra hona

Kab tak aankhein yeh beh'ein gi aisay
Ik samandar ko hai sehra hona

Bad'gumani hi sahi  ho to sahi
Ik taluq ka youn paida hona

Saad jee aur bhi jaan leva hai
Us kay beemar ka acha hona

Weham ik mohjaza-e-sheesha giran hai koi


Weham ik mohjaza-e-sheesha giran hai koi 
Her haqeeqat main kahin aik gumaan hai koi 

Aik koshish keh main tasveer utha'on dil ki 
Phir yahi khouf keh yaan khwab jawan hai koi 

Ik dhuwan sa hai , hayola sa hai , ya phir kya hai 
Yeh to duniya kay bikharnay ka samaa hai koi 

Kya dikha'on woh dara'rain keh jo is rooh pe hain 
Apnay imkaan se zara waqif-e-jahan hai koi 

Her ro'ein main hai hararat keh lahu jagta hai 
Aisay lagta hai ragon main bhi rawan hai koi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...