Apr 4, 2016

Ishq koh-e-garaan hai lagta hai


Ishq koh-e-garaan hai lagta hai 
Yeh haqeeqat gumaan hai lagta hai 

Wasal lamhon main soch uggti hai 
Hijar bhi darmiyan hai lagta hai 

Mil gaye hum do chahnay walay 
Yeh koi daastan hai lagta hai 

Aisi taza nishaniyan hain teri 
Tu abhi tak yahan hai lagta hai 

Aag andar kahin pe sulgay to 
Chaar janib dhuwan hai lagta hai 

Tu jo bhooli nahin mujhay ab tak 
Koi mujh sa wahan hai lagta hai 

Aa gayi hai gharri bicharnay ki 
Aisa socha kahan hai lagta hai 

Jhil'milanay lagi hain jo aankhein 
Kuch to dil main nihaan hai lagta hai 

Sab se kehta hai haal is dil ka 
Mera chehra zuban hai lagta hai

Haath hathon main jab tumhara tha


Haath hathon main jab tumhara tha 
Khawab woh zindagi se pyara tha 

Main ne dekhay thay khawab main aansoo 
Yeh bhi shayed koi ishara tha 

Jo abhi aasman se toota hai 
Woh meray bakhat ka sitara tha 

Tum mujhay ghair hi samjh letay 
Mujh ko yeh bhi sitam gawara tha 

Ik qadam bhi barha nahin koi 
Main ne kis aas se pukara tha 

Dar raha tha jo bheer se "Atif"
Us ko tanhaiyon ne mara tha 

jan-e-jaan kuch kaho khamoshi ki zuban suntay suntay meray kaan thaknay lagay


Mohabbat ki aik nazam 

Jan-e-jaan kuch kaho 
Khamoshi ki zuban suntay suntay meray kaan thaknay lagay 
Jaanta hoon mohabbat main izhaar kab kho'kalay har-o-mahni ka mohtaaj hai 
Maanta hoon mohabbat woh ehsaas hai 
Jis main khamoshiyan baat karnay lagein 
Nit naye khawab aankhon main sajnay lagein 
Rooh sun'nanay lagay dharkano ki zuban 
Phir bhi ab jan-e-jaan 
Khamoshi ki zuban suntay suntay meray kaan thaknay lagay 
Kuch kaho 
Shar'mageen muskurahat main lipti hui hijar ki daastan 
Was'wason main ghirra , aanso'on se likha dharkano ka biyaan 
Apnay jazbon ko lafzon ki poshaak do 
Toota phoota sahi , uljha uljha sahi 
Koi izhaar do 
Kiyon keh ab jan-e-jaan 
Khamoshi ki zuban suntay suntay meray kaan thaknay lagay 

Bicharnay aur judai main zara sa farq hota hai


Bicharnay aur judai main zara sa farq hota hai 
Juda ho kar kisi se phir kabhi koi nahin milta 
Bichar jayein to milnay ka imkaan rehta hai 

Juda ho kar kisi ki yaad dil main reh nahin sakti 
Bichar jayein to dil main to ik diya jalta hi rehta hai 

Jida ho kar kisi ka pyar dil main reh nahin sakta 
Bichar jayein to dil main bas usi ka pyar rehta hai 

To phir ae hum'sukhan meray , tu mera faisala sun lay 
Mujhay tum se bicharna hai , juda tum se nahin hona

Woh shakhs mujh ko jeet kay haara hai aur bas




Woh shakhs mujh ko jeet kay haara hai aur bas
Itna hi zindagi ka khasara hai aur bas

Kaisay kahon keh us ka irada badal gaya 
Sach to yahi hai us ne pukara hai aur bas

Duniya ko is main dard ki shiddat kahan milay 
Aankhon se toot'ta hua tara hai aur bas

Lafzon main dard-e-hijar ko mehsoos kar kay dekh  
Kehnay ko main ne waqat guzara hai aur bas

Ab un main koi khawab sajanay nahin mujhay 
Aankhon ko intizaar tumhara hai aur bas

Main ne kaha keh khawab main dekhi hain baarishein 
Us ne kaha keh aik ishara hai aur bas

Meray humdam , meray sathi tumhein to yaad hi ho ga


Tumhein kiyon itni jaldi thi ?

Meray humdam , meray sathi 
Tumhein to yaad hi ho ga 
Woh din kya khaas tha jab tum meray jeewan main aayi thein
Meri be'rang duniya ko tumhari muskurahat ne hazaron rang bakshay thay 
Ussay kaisay sajaya tha tumhein to yaad hi ho ga 
Tumhein main ne bataya tha 
Keh main khawabon main rehta hoon 
magar tum ik haqeeqat ho 
Mohabbat hi mohabbat ho 
Phir us kay baad jeewan kay sabhi mousam , sabhi manzir tumhari aankh se dekhay 
Tumharay saath jo guzray wohi apl zindagi thehray 
Tumhein to yaad hi ho ga , mujhay kab yaad rehta tha 
Mujhay kya kaam karnay hain 
Mujhay kis kis se milna hai 
Kahan jana zaroori hai 
Khafa koi hai kiyon mujh se
Kissay jaa kar mana'na hai 
Mujhay kab yaad rehta tha 
Mera ma'mool to tum thein 
Tumhi sab yaad rakhti thein 
Main apnay dil ki sab baatein faqat tum se hi karta tha 
Tumhari bhi yeh aadat thi 
Tumhein to yaad hi ho ga main aksar tum se kehta tha 
Abhi is zindagi kay saath kitnay rog liptay hai 
Mujhay tum se mohabbat ki zara fursat nahin milti 
Zara woh waqat aanay do , zara fursat milay mujh ko 
Bitha kar samnay tum ko tumhein jee bhar kay dekhon ga 
Bataon ga mujhay tum se mohabbat si mohabbat hai
Mujhay is dam mili fursat 
Keh jab yeh baat sun'nanay ko nahin tum samnay meray 
Meri jaan tum wahan par ho jahan se loat kar wapis kabhi koi nahin aata 
Tumhein kiyon itni jaldi thi ?
Mera iqraar sun leti , mera izhaar sun leti 
Keh ab fursat hi fursat hai 
Keh ab ma'mool main meray faqat tum se mohabbat hai 
Magar yeh bhi haqeeqat hai 
Keh main ta'kheer se poncha , tumhein janay ki jaldi thj
 

Badal gayi hai zindagi ab , sabhi nazaray badal agye hain


Badal gayi hai zindagi ab , sabhi nazaray badal agye hain 
Kahin pe mojein badal gayi hain , kahin kinaray badal gaye hain 

Badal gaya hai ab us ka lehja , ab us ki aankhein badal gayi hain 
Woh chand chehra hai ab bhi waisa , meray sitaray badal gaye hain  

Mila hoon tum se to youn laga hai keh jaisay dono hi ajnabi hain 
Kabhi jo mujh ko aziz-e-jaan thay , woh tor saray badal gaye hain 

Kahin pe badla hai kehnay wala , kahin pe sun'nanay wala badal gaya hai 
Kahin pe aankhein badal gayi hain , kahin nazaray badal gaye hain 

Is liye bhi main sar jhuka kar , tumhari nagri se chal para hoon 
Tha naaz jin par kabhi mujhay bhi , woh sab saharay badal gaye hain


Mujhay ik nazam likhni hai kahin se lafz mil jayein


Mujhay ik nazam likhni hai

Mujhay ik nazam likhni hai
Kahin se lafz mil jayein
Main be'bas hoon
Koi tashbeeh na koi ista'ara theek lagta hai
Kahan se lafz woh laon jo dil ka haal keh payein
Mujhay kitni mohabbat hai
Mujhay kitni aqeedat hai
Mujhay kitni zaroorat hai
Main bat'laa doon inhein sab kuch kahin se lafz mil jayein
Mujhay maan ki dua se jo hawa-e-khald aati hai
Issay main kaisay likhon ga ?
Meray abu ki shafqat jo mujhay jeena sikhati hai
Ussay main kaisay likhon ga ?
Main be'bas hoon
Kahan se lafz woh laaon jo dil ka haal keh payein
Main aisay lafz dhoondon ga
Jinhein likhon to kaghaz par diye se jag'maga uthein
Jinhein sochon to zehan-o-dil ka her gosha mehak jaye
Jinhein honton pe laaon to dua kay phool khil jayein
Kahin se lafz mil jayein
Dhanak orhay huye kuch lafz mujh ko dhoondnay hon gay
Keh jin se nazam likhni hai
Unhein sab kuch batana hai
Mujhay kitni mohabbat hai
Mujhay kitni aqeedat hai
Mujhay kitni zaroorat hai

Phir wohi sa dard jaga hai ragon main meri


Aaj phir shaam dhalay

Phir wohi sa dard jaga hai ragon main meri
Phir wohi aah si nikli hai meray seenay se
Phir wohi khawab se tootay hain meri aankhon main
Phir wohi dard ki talkhi hai meri baaton main
Phir wohi ashk se thehray hain meri palkon apr
Phir wohi raat si jeewan main utar aayi hai
Phir wohi aakhri manzir hai meri aankhon main
Aaj phir shaam dhalay tum mujhay yaad aayi ho

Khawab sajanay wali aankhein pal bhar main banjar ho jayein


Aisa bhi ho sakta hai

Khawab sajanay wali aankhein
Pal bhar main banjar ho jayein
Rasta taktay taktay thak kar
Umeedein pathar ho jayein
Lab pe ugg aye khamoshi
Aur seenay main hashar barpa ho
Lafzon ki mala ka dhaga
Beech se jaisay toot gaya ho
Bhooli bisri sari batein
Main bhi shayed yaad bana loon
Bhool kay apnay dukhray saray
Honton pe muskan saja loon
Tum dhoondo phir mujh main mujh ko
Aur main khud main gum ho jaon
Aisa bhi to ho sakta hai
AMin bhi ik din tum ho jaon

Mera wada yeh hai tum se


Mera wada yeh hai tum se

Tumhein itna main chahon ga 

Keh duniya main kahin par bhi 

Mohabbat kay hawalay se

Kabhi jo baat niklay gi 

Hamara naam aaye ga

Mujhay khud se mukarna par gaya hai


Mujhay khud se mukarna par gaya hai 
Teray sanchay main dhalna par gaya hai 

Yeh aankhein is liye khoon rang hui hain 
Mujhay aansoo nigalna par gaya hai 

Ussay bhi chahiye mera sahara 
Usi khatir sambhalna par gaya hai 

Tumharay saath chalnay ki talab main 
Yeh kin raaston pe chalna par gaya hai 

Tumhein tabdeel karna chahata tha 
Magar khud ko badalna par gaya hai

Kal raat janay kya hua kuch dair pehlay neend se




Kuch dair pehlay neend se

Kal raat janay kya hua 
Kuch dair pehlay neend se
Kuch ashk milnay aa gaye 
Kuch khawab bhi tootay huye
Kuch log bhi bhoolay huye 
Kuch raasta bhatki hawaein 
Kuch gard main lipti hawaein 
Kuch be'tarah phaili hawaein 
Kuch khol main simti hawaein 
Be'rabt si sochein kai 
Bhuli hui baatein kai 
Ik shakhs ki yaadein kai 
Phir dair tak jaga raha 
Sochon main gum baitha raha 
Ungli se thanday farash par 
Ik naam bas likhta raha 
Kal raat bhi woh raat thi 
Kuch dair pehlay neend se
Main dair tak rota raha 
 

Teri aankhon si aankhein aaj ik chehray pe dekhi hain




Teri aankhon si aankhein 
Aaj ik chehray pe dekhi hain 
Wohi rangat , banawat 
Aur waisi be'rukhi un main 
Bichartay waqat jo main ne
Teri aankhon main dekhi thi 

Teri aankhon si aankhon ne 
Mujhay ik pal ko dekha tha 
Woh pal ik aam sa pal tha 
Magar is aam se pal main 
Puranay kitnay mousam , kitnay manzir main ne dekhay thay 

Meri jaan ! main samajhta tha
Teri aankhon si aankhein jab 
Meri aankhon ko dekhein gi 
To ik lamhay ko sochein gi 
Keh in aankhon ko pehlay bhi 
Kisi chehray pe dekha hai 
Magar un jheel aankhon main 
Shana'saai nahin jaagi 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...