Aug 30, 2014

Aik dewaana yeh kehtay huye hansta jaata

Aik dewaana yeh kehtay huye hansta jaata 

Kaash manzil se bhi aagay koi raasta jaata

Ae mere abar-e-guraizan meri aankhon ki tarah 

Gar barasna hi tujhay tha to barasta jaata 

Aaj tak yaad hai izhaar-e-mohabbat ka woh pal 

Keh meri baat ki luknat pe woh hansta jaata 

Itnay mehdood karam to taghufal behtar 

GAr tarasna hi mujhay tha to tarasta jaata

Tujh se mil kar to yeh lagta hai ae ajnabi dost

Tujh se mil kar to yeh lagta hai ae ajnabi dost 
Tu meri pehli mohabbat thi meri aakhri dost 

Log her baat ka afsaana bana detay hain 
Yeh to duniya hai meri jaan kay dushman kay dost 

Teri qamat se se bhi lipti hai amar baali koi 
Meri chahat ko bhi duniya ki nazar khaa gayi dost

Yaad ayi hai to phir toot kay yaad ayi hai 
Koi guzri hui manzil , koi bhooli hui dost 

Ab bhi aye ho to ehsaan tumhara lakin 
Woh qayamat jo guzri thi guzri bhi gayi dost 

Tere lehjay ki thakhan main tera dil shaamil hai 
Aisa lagta hai judaai ki gharri aa gayi dost 

Baarish sang ka mousam hai mere shaher main to 
Tu yeh sheeshay sa badan lay kar kahan aa gyi dost 

Main ussay ehad-e-sukhan kaisay samjh loon jis ne 
Aakhri khatt main yeh likha tha faqat "aap ki dost"

Larkiyan be'wafa nahin hotein

Woh to majboorion main lipti hain 
APnay shiddat bharay khyalon main 
Apnay andar chupi ek aurat main
Woh hamesha hi darti rehti hain
Na to tooti hain na to marti hain 
Larkiyian be'wafa nahin hotein 
Par hamesha hi darti rehti hain 
Apnay reeti aur riwajon se 
Anay wale naye azaabon se 
Zaroorat main khilay gulaabon main 
Pyaar karti hain aur chuppati hain 
Larkiyaan be'wafa nahin hotein 
Kiyon keh majbooriyon main lipti hain 
Aur her lamha darti rehti hain 
Apnay pyaar se apnay saaye se 
Apnay rishton se dil ki dharkan se
Apni khwaishon se apni khushiyon se
Larkiyan be'wafa nahin hotein 

Woh to majboorion main lipti hain

Woh to majboorion main lipti hain 
APnay shiddat bharay khyalon main 
Apnay andar chupi ek aurat main
Woh hamesha hi darti rehti hain
Na to tooti hain na to marti hain 
Larkiyian be'wafa nahin hotein 
Par hamesha hi darti rehti hain 
Apnay reeti aur riwajon se 
Anay wale naye azaabon se 
Zaroorat main khilay gulaabon main 
Pyaar karti hain aur chuppati hain 
Larkiyaan be'wafa nahin hotein 
Kiyon keh majbooriyon main lipti hain 
Aur her lamha darti rehti hain 
Apnay pyaar se apnay saaye se 
Apnay rishton se dil ki dharkan se
Apni khwaishon se apni khushiyon se
Larkiyan be'wafa nahin hotein 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...