Aug 17, 2014

Is jahan main bhout se log aisay hain


Is jahan main 
Bhout se log aisay hain 
Jo sab jahano se 

Ashnaa hain 
Is shnasai ka dukh 
Sirf 

Ghar walon ko hai 
Woh is liye 
Keh sab jahano se 

Yeh ashna
Ghar kay makeeno se 
Na'ashnaa hain

Kiya ussay takleef na de ga tera rasta badalna


Ae musafir maanti hoon 
Raasta dushwaar tar hai 
Tere qadmon talay jalti zameen hai 
Asmaan pe aik bhi baadil nahin hai 
Ghar badar hona kisi kay wastay 
Aur dar badar phirna khathan hai 
Ae musafir !
Soch tu itna magar 
Aur faisala kar 
Tu akela to nahin is raastay par 
Teri ham'raahi main koi aur bhi hai 
Jo teri khatar sab hi kuch chor kar 
Bas ik waday ko nibhanay kay liye 
Is raastay pe chal raha hai
Woh bhi to insaan hai teri tarah 
Ae Musafir
Phir is kay wastay tere chehray pe be'zaariyan kiyon?
Maanti hoon raasta dushwaar tar hai 
Phir bhi lakin 
Kiya ussay takleef na de ga tera rasta badalna  

Phoolon ki pankhariyaan chuntay chuntay


Phoolon ki pankhariyaan chuntay chuntay 

Aaina dar aaina , khud ko khojti yeh larki 

Shaher ki is sunsaan gali tak aa ponchi hai 

Keh mur kay dekhti hai to peechay door door tak 

Kirchiyaan bikhri hui hain 

Aisa nahin keh us ne 

Apnay aks ko jornay ki sa'ae nahin ki 

Par is khail main kabhi tasveer dhundlaa gayi 

Kabhi ungliyaan lahoo lohaan ho gayein 

Parveen Shakir

Mujhay khaber thi mere baad woh bikhar jaata


Mujhay khaber thi mere baad woh bikhar jaata
So us ko kis kay bharosay pe chor kar jaata 

Woh koi nasha nahin tha keh toot'ta mujh ko 
Woh saniha bhi nahin tha keh jo guzar jaata 

Ruka hua tha mera saans mere seenay main 
Ussay galay na lagata to ghut kay mar jaata

Shakista ho gaya pindaar-e-aaina . warna 
Yaqeen kar main tere ishq se mukar jaata 

Na janay kitnay mohazon pe jung thi meri 
Bas aik wada nibhanay main apnay ghar jaata 


Tum mujhay ab bhi yaad atay ho


Tum mujhay ab bhi yaad atay ho 
Magar 
Ab tumharay naam se dharkanain murtaish nahin rehtein 
Ab tumhara zikar 
Aur rumharay lehjay ki gham'beerta nazron main nahin jajti
Aur tumhari samndar ki hum'rang aankhain 
Jinhain dekh dekh kay jeeti thi
Ab dil ko chooti nahin hain 
Aur ab main tumhain sochti hoon 
To khud par hans parti hoon 
Keh 
KAchi umar main larkiyan 
Kitni na'daan hoti hain

Pathar hi lagain gay her simat se aa kar


Pathar hi lagain gay her simat se aa kar 

Yeh jhoot ki duniya hai yahan sach na kaha kar 

Ab rota hai kiya tujh se kai baar kaha tha 

Halaat kay dharay kay mukhalif na baha kar

Baarish hui to phoolon kay tann chaak ho gaye


Baarish hui to phoolon kay tann chaak ho gaye 

Mousam kay haath bheeg kar safak ho gaye 

Baarish ko kiya khaber hai keh baarish ki chah main 

Kaisay buland-o-bala shajar khaak ho gaye 

Raston ko dhuwan shehar ko sunsaan na kartay


Raston ko dhuwan shehar ko sunsaan na kartay 

Karna hi tha yeh kaam to insaan na kartay 

Thay jaisay bhi halaat alag baat hai lakin 

Mumkin hi nahin tha keh tera dhiyaan na kartay

Youn teri chahatein sambhaali hain


Youn teri chahatein sambhaali hain 

Jaisai eidi ho mere bachpan ki 

Taaray utray jab phailaya daaman ko



Taaray utray jab phailaya daaman ko 
Eid kay chaand main dekha main ne dekha saajan ko 

Mehndi , choori aur tumhara saath sajan 
Us se barh kar kiya hai aik sohagan ko 

Teri chahat , teray qurab kay mousam ne 
Kitnay piyaray phool diye hain sawan ko 

Chaand ko dekha phir tum samnay aye thay 
Eid ki khushiyan bhar gayein mere daman ko 

Chaand raat ki mehndi mujh se kehti hai 
Tum bhi aik paighaam likho na sajan ko 


Eid kay chaand main dekha main ne dekha saajan ko


Taaray utray jab phailaya daaman ko 
Eid kay chaand main dekha main ne dekha saajan ko 

Mehndi , choori aur tumhara saath sajan 
Us se barh kar kiya hai aik sohagan ko 

Teri chahat , teray qurab kay mousam ne 
Kitnay piyaray phool diye hain sawan ko 

Chaand ko dekha phir tum samnay aye thay 
Eid ki khushiyan bhar gayein mere daman ko 

Chaand raat ki mehndi mujh se kehti hai 
Tum bhi aik paighaam likho na sajan ko 

Zkiya Ghazal

Kaanch ko khalis heera samjhay , sari bhool hamari thi


Kaanch ko khalis heera samjhay , sari bhool hamari thi 

Ik sehra ko dariya samjhay , sari bhool hamari thi 

Kitni khush fehmi thi hum ko , un ki na ko haan gardana 

Woh kiya bolay , hum kiya samjhay , sari bhool hamari thi

Ussay kabhi na kabhi to bichar jaana hi tha



Ussay kabhi na kabhi to bichar jaana hi tha 

Yeh hadsa bhi meri zindagi main ana tha 

Woh aik shaks mujhay sari umar tarsay ga 

Naseeb us kay keh us ne mujhay gawana tha

Aksar woh log bar'baad hotay hain


Tawajo day apni taleem par 

Na par ishq kay azaabon main 

Aksar woh log bar'baad hotay hain 

Jo rakhtay hain phool kitabon main

Rangon main aik rang teri saadgi ka rang


Rangon main aik rang teri saadgi ka rang 

Aisi hawa chali keh woh rangat nahin rahi 

Baaton main aik baat , teri chahat ki baat 

Aur ab yeh itifaaq keh chahat nahin rahi 

Duniya ka kuch bura bhi tamasha nahin raha


Duniya ka kuch bura bhi tamasha nahin raha

Dil chehta hai jis tarah waisa nahin raha 

Kehtay hain ik pal na jeyein gay teray baghair

Hum dono reh gaye hain , woh wada nahin raha

Kaar-o-baar-e-ishq main aisay bhi soday hain jahan


Kaar-o-baar-e-ishq main aisay bhi soday hain jahan 

Faa'idon kay goshawaray aur khsaray heech hain 

Hai kahin koi ta'aluq aur hi andaaz ka 

Jis kay aagay sab kay sab rishtay hamaray heech hain 

Khuli aankhon se sari umar dekha


Khuli aankhon se sari umar dekha 

Ik aisa khwaab jo apna nahin tha 

Tum ne hi kon se achai ki hai 

Chalo maana keh main acha nahin tha

Mana keh zindagi se hamain kuch mila bhi hai


Mana keh zindagi se hamain kuch mila bhi hai 
Is zindagi ko hum ne bhout kuch diya bhi hai 

Qatil ne kis safai se dhoi hai asteen 
Us ko khaber nahin keh lahoo bolta bhi hai 

Yeh husan-e-itafaaq hai ya husan-e-ehtamaam 
Hai jis jaga faraat wahin karbala bhi hai 

Hum phir bhi apnay chehray na dekhain to kiya ilaaj 
Aankhain bhi hain , chragh bhi hai , aaina bhi hai 

"Iqbaal" shukar bhaigo keh tum deeda'wr nahin 
Deeda'wron ko aaj koi poochta bhi hai 

Poet  : Iqbal Azeem

Ghair kay khat main mujhay un kay payaam atay hain


Ghair kay khat main mujhay un kay payaam atay hain 
Koi manay ya na manay meray naam atay hain 

Afiyat kosh musafir jinhain manzil samjhain 
Ishq ki raah main aisay bhi maqaam atay hain 

Ab meray ishq pe tohmat hai hawas'kaari ki 
Muskuratay huye ab woh lab-e-baam atay hain 

Dour-e-hashar mera naama-e-aamaal na dekh 
Is main kuch parda nasheeno kay naam bhi aatay hain 

Jin ko khilwat main bhi "Taseer" na dekha tha kabhi 
Mehfil-e-ghair main ab woh sar-e-aam aatay hain 


Na pooch kiyon meri aankhon main aa gaye aansoo


Na pooch kiyon meri aankhon main aa gaye aansoo
Jo teray dil main hai , us baat pe nahin aye 

Abhi abhi woh gaye hain magar yeh aalam hai 
Bhout dino se woh jaisay nazar nahin aye 

Kahin yeh tark-e-mohabbat ki ibtada to nahin 
Woh mujh ko yaad kabhi is qadar nahin aye 

Ajeeb manzil-e-dil'kash adm ki manzil hai 
|Musafraan-e-adm loat kar nahin aye 

Na chair in ko khuda kay liye keh ehal-e-wafa 
Bhatak gaye hain to phir raah par nahin aye 

"Hafeez" kab unhain dekha nahin ba-rang-e-digar 
"Hafeez" kab woh ba-rang-e-digar nahin aye

Phir raat kay pehloo main sehar dhoond rahay hain



Phir raat kay pehloo main sehar dhoond rahay hain 
Hum phir koi imkaan-e-safar dhoond rahay hain 

Be'naam khamoshi hai jahan pichlay dino se 
Ghabra kay wahan zakhm-e-jiger dhoond rahay hain

Yeh shaam dhalay ab bhala ghar se nikal kar 
Kis ko youn sar-e-raah guzar dhoond rahay hain 

Kis kay liye be'taab hui jaati hain aankhain 
Akhbaar main yeh kis ki khabar dhoond rahay hain 

Dewaangi le ayi hai kis mor pe hum ko 
Ghar loat kay aye hain to ghar dhoond rahay hain 

Ab habas barha hai ti hawaon ki talab hai 
Ab dhoop barhi hai to shajar dhoond rahay hain 

Jo dard ki bujhti hui lo phir se barha day 
Phir dast-e-saba main woh hunar dhoond rahay hain 


Hum phir koi imkaan-e-safar dhoond rahay hain


Phir raat kay pehloo main sehar dhoond rahay hain 
Hum phir koi imkaan-e-safar dhoond rahay hain 

Be'naam khamoshi hai jahan pichlay dino se 
Ghabra kay wahan zakhm-e-jiger dhoond rahay hain

Yeh shaam dhalay ab bhala ghar se nikal kar 
Kis ko youn sar-e-raah guzar dhoond rahay hain 

Kis kay liye be'taab hui jaati hain aankhain 
Akhbaar main yeh kis ki khabar dhoond rahay hain 

Dewaangi le ayi hai kis mor pe hum ko 
Ghar loat kay aye hain to ghar dhoond rahay hain 

Ab habas barha hai ti hawaon ki talab hai 
Ab dhoop barhi hai to shajar dhoond rahay hain 

Jo dard ki bujhti hui lo phir se barha day 
Phir dast-e-saba main woh hunar dhoond rahay hain 


YEh dua hai zindgaani haram-e-nabi ain guzray {Naat}


Naat

YEh dua hai zindgaani haram-e-nabi ain guzray 
Kabhi maseeton main guzray , kabhi be'khudi main guzray 

Meri zindagi ki raahon main in hi se ujaala 
Woh khushi kay chand lamhay jo teri gali main guzray 

Teri yaad kay tasadaq teri yaad bhi karam hai 
Meray gham kay roz-o-shab bhi bari sar khushi main guzray 

Ae arab kay maah-e-taban , yahi ab to aarzoo hai 
Keh tamaam umar meri teri chandani main guzray 

Woh khard se mawara hain , woh hain ishq ka muqadar 
Jo nazar se kuch manazir haram-e-nabi main guzray 

Maalik hai rab zameen-o-asmaan ka (Hamd-e-bari-ta'ala }


Hamd-e-bari-ta'ala
Maalik hai rab zameen-o-asmaan ka 
Mohtaaj-e-kin hai zarah zarah jahan ka 

Dasht-o-chaman kay rangon main hai jalwa gar wohi 
Aleem hai woh makaan-o-la'makaan ka 

Arsh-o-farsh ki her shai tasbeeh khwaan hai her pal 
Mohafiz hai woh zabardasther saibaan ka 

Jin-o-bashar usi ki jumbish kay hain ghulaam 
HAi gawaah pata pata us ki hi shaan ka 

Naiki ki aarzoo main kosar jayea jaye gi 
Kar band-o-bast mola hashar kay samaan ka

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...