Jan 17, 2017

Ab yeh baat mani hai


Ab yeh baat mani hai 
Wasal rai'gaani hai 

Us ki dard aankhon main 
Hijar ki kahani hai 

Jeet jis kisi ki ho 
Hum ne haar maani hai 

Churiyan bikharnay ki 
Rasam yeh purani hai 

Umar kay jazeeray par 
Gham ki hukam'rani hai 

Mil gaya to wehshat ki 
Daastan sunaani hai 

Hijraton kay sehraa ki 
Dil ne khaak chaani hai 

Munfarid sa koi pay'raya-e-fun chahti hai


Munfarid sa koi pay'raya-e-fun chahti hai
Zindagi ik naya tarz-e-sukhan chahti hai 

Rooh ki be'sar-o-samani se baahir aa kar 
Shairy apnay liye aik badan chahti hai 

Her taraf kitnay hi phoolon ki baharein hain yahan 
Par tabiyat wohi khushbu-e-watan chahati hai 

Saans lenay ko bas ik taza hawa ka jhonka 
Zindagi se woh kahan sar-o-saman chahti hai 

Door jaa kar dar-o-dewaar ki ronaq se kahin 
Aik khamosh sa ujjra hua ban chahti hai 

Kon bhanwar main malahon se ab takraar karay ga


Kon bhanwar main malahon se ab takraar karay ga 
Ab to qismat se hi koi dariya paar karay ga 

Sara shaher hi tareeki par youn khamosh raha to
Kon chragh jalanay kay paida Aa'saar karay ga 

Jab us ka kirdaar tumharay sach ki zad main aaya 
Likhnay wala shaher ki kaali , her dewaar karay ga 

Janay kon si dhun main teray shaher main aa niklay hain 
Dil tujh se milnay ki khawaish ab so baar karay ga 

Dil main tera qayaam tha lakin ab yeh kissay khabar thi 
Dukh bhi apnay  honay par itna israar karay ga 

Pooch lo phool se kya karti hai




Pooch lo phool se kya karti hai 
Kabhi khushbu bhi wafa karti hai 

Khaima-e-dil kay muqadar ka yahan 
Faisala tez hawa karti hai 

Be'rukhi teri , inayat teri 
Zakham deti hai dawa karti hai 

Teri aahat meri tanhai ka 
Raasta rok liya karti hai 

Roshni tera hawala thehray 
Meri her saans dua karti hai 

Meri tanhai se khamoshi teri 
Shair kehti hai , suna karti hai 

Yeh meri umar meray maah-o-saal de us ko


Yeh meri umar meray maah-o-saal de us ko 
Meray Khuda meray dukh se nikaal de us ko 

Woh chup kharra hai kai din se teri khaatir to
Kawaar khol de Izn-e-sawal de us ko 

Azaab-e-bad'nazri ka jissay sha'oor na ho 
Yeh meri aankhein , meray khad-o-khaal de us ko 

Yeh daikhna shab-e-hijran keh kis ki dastak hai
Wisaal-e-rutt hai agar woh to taal de us ko 

Woh jis ka harf-e-dua roshni hai meray liye
Main bujh bhi jaon to Mola ujaal de us ko 

Khawaish kay izhaar se darna seekh liya hai




Khawaish kay izhaar se darna seekh liya hai 

Dil ne kiyon samjhota karna seekh liya hai 

Band hoti kitabon main urrti hui titliyan daal dein


Band hoti kitabon main urrti hui titliyan daal dein 
Kis ne rasmon ki jalti hui aag main larkiyan daal dein 

Khouf kaisa hai yeh naam us ka kahin zer-lab bhi nahin 
Jis kay haathon main meray harray kaanch ki churiyan daal dein 

Hont piyasay rahay , hoslay thak gaye , umar sehraa hui 
Hum ne pani kay dhokay main phir rait par kashtiyan daal dein 

Mousam-e-hijar ki kaisi saa'at hai yeh dil bhi hairaan hai 
Meray kaano main kis ne teri yaad ki baaliyan daal dein 

Kon Rok sakta hai



Kon Rok sakta hai 

Laakh zabt-e-khawaish kay 
be'shumaar da'way hon 
Us ko bhool janay kay 
Be'panah iraday hon 
Aur us mohabbat ko tark kar kay jeenay ka 
Faisala suna'nay ko 
Kitnay lafz sochay hon 
Dil ko us ki aahat par 
Bar'mala dharaknay se kon rok sakta hai 
Phir wafa kay sehraa main 
Us kay narm lehjay aur sogwaar aankhon ki 
Khushbu'on ko choonay ki
Justagoo main rehnay se 
Rooh tak pighalnay se 
Nangay paon chalnay se
Kon rok sakta hai 
Aansu'on ki baarish main 
Chah'ye dil kay haathon main 
Hijar kay musafir kay 
Paon tak bhi chu aayo
Jis ko loat jana ho 
Us ko door janay se 
Raasta badalnay se 
Door jaa nikalnay se 
Kon rok sakta hai 

Hijar ki shab main qaid karay ya subh-e-wisaal main rakhay


Hijar ki shab main qaid karay ya subh-e-wisaal main rakhay 
Acha Mola ! teri marzi tu jis haal main rakhay 

Khel yeh kaisa khel rahi hai dil se teri mohabbat 
Ik pal ki sar'shaari de aur dino malaal main rakhay 

Main ne sari khushbu'ein aanchal se baandh kay rakhein 
Shayed un ka zakir tu apnay kisi sawal main rakhay 

Kisi se teray aanay ki sar'goshi ko suntay hi 
Main ne kitnay phool chunay aur apni shaal main rakhay 

Mushkil ban kay toot pari hai dil pe yeh tanhai 
Ab janay yeh kab tak us ko apnay jaal main rakhay 

Kuch bhi kar guzarnay main dair kitni lagti hai


Kuch bhi kar guzarnay main dair kitni lagti hai 
Baraf kay pighalnay main dair kitni lagti hai 

Us ne hans kay daikha to muskura diye hum bhi 
Zaat se nikalnay main dair kitni lagti hai 

Hijar ki tamazat se wasal kay alaao tak 
Larkiyon kay jalnay main dair kitni lagti hai 

Baat jaisi be'mahni baat aur kya ho gi 
Baat se mukarnay main dair kitni lagti hai 

Zoham kitna kartay ho ik chragh par apnay 
Aur hawa kay chalnay main dair kitni lagti hai 

Jab yaqeen ki baanhon par shak kay paon par jayein 
Churiyann bikharnay main dair kitni lagti hai 

Dushman-e-jaan kai qabeelay huye


Dushman-e-jaan kai qabeelay huye 
Phir bhi khushbu kay haath peelay huye 

Bad'gumani kay sard mousam main 
Meri guriya kay haath neelay huye 

Jab zameen ki zubaan chat'taknay lagi 
Tab kahin baarishon kay heelay huye 

Waqat ne khaak woh uraai hai 
Shaher Aabaad thay jo teelay huye 

Jab prindon ki saans ruknay lagi 
Tab hawa'on kay kuch waseelay huye 

Koi baarish thi bad'gumani ki 
Saray kaghaz hi dil kay geelay huye 

Aik Pash-e-maan si hasrat se mujhay sochta hai


Aik Pash-e-maan si hasrat se mujhay sochta hai 
Ab wohi shaher mohabbat se mujhay sochta hai 

Main to mehdood se lamhon main mili thi us se 
Phir bhi woh kitni wazahat se mujhay sochta hai 

Jis ne socha hi na tha hijar ka mumkin hona 
Dukh main doobi hui hairat se mujhay sochta hai 

Main to mar jaon agar sochnay lag jaon ussay 
Aur woh kitni sahoolat se mujhay sochta hai 

Garcha ab tark-e-marasam ko bhout dair hui 
Ab bhi woh meri ijzat se mujhay sochta hai 

Kitna khush feham hai woh shakhs keh her mousam main 
Ik naye rukh nayi surat se mujhay sochta hai 

Ba'Ehtiyaat-e-aqeedat ba'chasham-e-tar kehna


Ba'Ehtiyaat-e-aqeedat ba'chasham-e-tar kehna 
Saba Hazoor (s.a.w) se haal-e-dil-o-nazar kehna 

Hisaar-e-jabar main hoon aur yahan se bhi hijrat 
Main jaanti hoon keh mumkin nahin magar , kehna 

Main Khaak-e-shaher-e-Madeena pehan kay jab niklon 
To mujh se barh kay koi ho ga Mohtabar kehna 

Yeh arz karna keh Aaqa meri bhi sun leejiye 
Ba'juz tumharay nahin koi chara gar kehna 

Main apni palkon se likhti hoon Harf-e-Naam-e-Rasool(s.a.w)
Mujhay bhi aa gaya likhnay ka ab hunar kehna 

Yeh kehna ab to hamein taab-e-intizaar nahin 
Keh hum karein gay Madeenay ka kab safar kehna 

Zamanay walon se chup kay ronay kay din nahin hain


Zamanay walon se chup kay ronay kay din nahin hain 

Ussay yeh kehna udaas honay kay din nahin hain 

Main jaan sakti hoon wasal main asal bhaid kya hai 

Magar haqeeqat shanaas honay kay din nahin hain 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...