Apr 24, 2016

Chandi ka yeh taar meray siyah baalon main



Chandi ka yeh taar 
Meray siyah baalon main 
Gharri gharri bijli ki tarah chamakta hai 
Sotay jaagtay main is lishkaray ki zad main rehti hoon !
Aik lamha ti jaisay dil hi tehar gaya tha !
Aaina 
Umar main pehli dafa 
Sach bolta nahin laga tha 
Shak ka faida beenai ko diya tha main ne
Lakin kitnay arsay ?
(Faisala kitna talta)
Kitnay aainay chup rehtay 
Aur kitni aankhin mera dil rakh saktein thein 
Jaan gayi hoon 
Waqat 
Meri bar'nai par 
Pehla shab-e-khoon daal chuka hai 

Kaisy kaisay chehray nazar main ghoom rahya hain 
Fart-e-mohabbat se gul'naar
Josh-e-aqeedat se sar'shaar 
Mujh ko dekhnay , mujh ko choonay , mujh ko panay ki hasray main 
Koocha-ba-koocha khwaar 
Sar-ta-pa-dildaar 
Aaj hama tan chasham woh log 
Mujh ko kaisay dekhain gay 
Dekh sakain gay?
Maalik ! Ambwah-e-talab main
Kiya koi aisi aankh bhi ho gi 
Jis ki chamak 
Bujh janay kay bajaye 
Chaandi kay is taar ko choo kar 
Sonay jaisi ho jaye ?

Parveen Shakir 

Gulab jaisi woh narm-o-nazuk haseen larki




" Aik nazam jaisi larki kay naam "

Gulab jaisi woh narm-o-nazuk  haseen larki 
Hamaray sapno main roz aaye 
Sunehray jazbon kay 
Sainkaron woh diye jalaye
Hamaray khawabon ki her disha par
Woh apni zulfon ki bheeni khushbu bakhair jaye 
Woh tapti sochon kay thar pe
Sawan kay badalon si barasti jaye 
Magar kabhi samnay na aaye 
Woh narm-o-nazuk gulab jaisi haseen larki 
Hamaray jazbon 
Ki tishnagi ko barhati jaye 
Usi ki chahat 
Usi ki khawaish 
Hamari hasti mita'ti jaye

Aik hai aisi larki jis se tum ne hans kar baat na ki


" Us ka dil to acha dil tha "

Aik hai aisi larki jis se tum ne hans kar baat na ki 
Kabhi na dekha us ki aankhon main kaisay moti 
Kabhi na socha , tum se aisi batein woh kiyon kehti hai 
Kabhi na samjha , miltay ho to ghabrai kiyon rehti hai 
Kiyon us kay rukhsar ki rangat sarson jaisi zard hui 
Tum se milnay se pehlay woh aisi tanha kabhi na thi 
Mil kar aankh bahanay se , woh kab tak aansu rokay gi 
Us kay honton ki larzish bhi tum ne kabhi nahin dekhi 
Kiyon aisi sun'saan sarak par ussay akela chor diya 
Us ka dil to acha dil tha jis ko tum ne tor diya 
Woh kuch na'dam woh kuch hairan , rasta dhoonda karti thi 
Dhalti dhoop main apna be'kal saya dekh kay hansti thi 
Aksar suraj doob gaya aur raah main us ko shaam hui

Apni mohabaton ki khudai na diya kar


Apni mohabaton ki khudai na diya kar 
Her be'talab kay haath kamai diya na kar 

Deti hai jab zara si bhi aahat aziyatein 
Aisi khamoshiyon main sunai diya na kar 

Pehlay hi haadsat kay imkaan kam nahin 
Youn mujh ko raaston main sujhai diya na kar

Nazrein to pathron ko bhi kar jayein chaak chaak 
Saj dhaj kay bastiyon main dikhai diya na kar 

In mousamon main panchi palat'tay nahin sada 
Dil ko udasiyon main rihaai diya na kar 

Aata nahin badalna jo andaz-e-dushmani 
Chehray badal badal kay dikhai diya na kar 

Farhat koi to farq ho aam aur khaas main 
Her aik aashna ko risai diya na kar 
 

Bura kehti hai yeh duniya mujhay bhi


Bura kehti hai yeh duniya mujhay bhi 
Mohabbat hai teri tarah mujhay bhi 

Mujhay bhi dukh hai apni aagahi ka 
Zamanay ne nahin samjha mujhay bhi 

Jo haq par datt gaya to yaad aaya 
Husain Ibn-e-Ali (r.a) kitna mujhay bhi 

Bichar jana zaroori tha wagarna 
Bicharnay ka bhout dukh tha mujhay bhi 

Bhala main sach ko kaisay sach kahon ga 
Usi duniya main hai rehna mujhay bhi 

Jo sari umar na ik pal raha chup


Jo sari umar na ik pal raha chup 
Ussay aksar yahan dekha gaya chup 

Ajab hai sabar ka yeh sil'sala bhi 
Yahan main hoon wahan mera Khuda chup 

Tumhara naam hi laya zuban par 
Kisi ne cheekh kar mujh se kaha chup 

Yeh tum her baat jo sach boltay ho 
Suna di jaye gi ik din saza chup 

Yeh kaisa shor hai baahir gali main 
Na janay kiyon nahin hoti hawa chup 

Yeh kaisa mustaqil chup ka safar hai 
Musafir chup , fiza chup , raasta chup

Chand ne badal orh liya




Chand ne badal orh liya 

Ik shab taron kay jhurmat main 
Chand utar kar chatt par aaya 
Holay se phir mujh se bola 
Hairan hairan si aankhon se 
Ayo mujh ko barh kar chu lo 
Main ghabrai ......kuch sharmai 
Aur youn boli 
Aisa kiyon kar ho sakta hai 
Us ka jab israar barha to 
Main ne chaha
Aagay barh kar us ko chu loon 
Lakin tab tak 
Chand ne badal orh liya tha 

Laakh kaata hai teri yaad ko jarr se main ne


Laakh kaata hai teri yaad ko jarr se main ne 
Kya karon , phir yeh shajar mujh main nikal aata hai ?

Jab bhi socha hai mohabbat nahin karni , ab kay 
Phir mohabbat ka asar mujh main nikal aata hai 

Chaltay chaltay jo thakawat se main sastanay lagon 
Apni janib ka safar mujh main nikal aata hai

Shaam partay hi udasi ka yeh mousam Yawar 
Laakh rokon main magar mujh main nikal aata hai 
 

Tera sheerein lab-o-lehja , main kaisay bhool sakta hoon


Tera sheerein lab-o-lehja , main kaisay bhool sakta hoon 
Aur us pe chand sa chehra , main kaisay bhool sakta hoon 

Woh jis dam kho gaya tha main teri chahat kay melay main 
Bata mujh ko keh woh lamha , main kaisay bhool sakta hoon 

Woh jis main ki biyaan tum ne haqeeqat , zindgani ki 
Tera sada sa woh jumla , main kaisay bhool sakta hoon 

Kisi kay hijar main barson jahan ki khaak chaani hai 
Bhala us dasht ka rasta , main kaisay bhool sakta hoon 

Kisi talwar ki tarah woh jis ne dil ko cheera tha 
Woh teri aankh ka kajla  , main kaisay bhool sakta hoon 

Woh jo sairaab karta tha meray ehsaas ko Yawar 
Mohabbat ka woh sar'chashma , main kaisay bhool sakta hoon

Aaya hi tha nazar keh nazara mita diya


Aaya hi tha nazar keh nazara mita diya
Toofan ne ik pal main kinara mita diya

Aaye jo lehraa kay tujhay lay na jaye saath
Saahil pe likh kay naam tumhara mita diya

Main ne kaha keh naam hatheli pe hai abhi
Woh hans kay dard se hi pukara , mita diya

Nadi main aks chand ka aur us ka aks bhi
Yeh to hawa ne chal kay  nazara mita diya

Poocha keh zindagi ki haqeeqat hai kis qadar
Naqsh-e-qadam zameen pe ubhara mita diya

Ik zard si lakeer kheenchi aasman par
Qismat ne janay kis ka sitara mita diya

Woh jis ko zoham tha keh hamesha rahoon ga main
Kutba bhi us ka waqat ne sara mita diya

Khaaka wafa ka us ne banaya to tha magar
Jitna sanwar saka tha sanwara , mita diya

Main us ka husan dekh kay zinda raha Adeem
Us ne to sab ko jaan se maara , mita diya

Kitna haseen phir se nazara bana diya


Kitna haseen phir se nazara bana diya 
Jaisay Khuda ne us ko dobara bana diya 

Aya tha imtihaan main mazmoon husan par 
Parchay main sab ne chehra tumhara bana diya 

Kashti ko aasra koi thora sa to rahay 
Rangon se baad'baan pe kinara bana diya 

Yousaf kay husan ki zara tanees pooch li 
Kaghaz pe sab ne chehra tumhara bana diya 

Ehsaan lay saka na khud apna bhi main Adeem 
Khud ko bhi doosron ka sahara bana diya

Main soch raha hoon keh main hoon bhi keh nahin hoon


Main soch raha hoon keh main hoon bhi keh nahin hoon 
Tum zid pe arri ho keh kisi ka nahin ban'nana

Is zehar ko kiyon rag-o-pay main utaron 
Jis zehar ki taseer ko nasha nahin ban'nana

Is waqat to woh khud bhi manajaat main gum hai 
Is waqat to us ko bhi dilaasa nahin ban'nana 

Main raat ki eentein to bhout jor raha hoon 
Par mujh se teray din ka dareecha nahin ban'nana 

Is dard ki tehveel main rehtay huye hum ko 
Chup chaap bikharna hai tamasha nahin ban'nana 

Us ne mujhay rakhna hi nahin aankhon main Aamir 
Aur mujh se koi aur thikana nahin ban'nana 

Samjhotay kay patwaar sambhalo keh "Sohail" ab 
Us ko teray dariyaon ka kaasa nahin ban'nana

Poet : Aamir Sohail

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...